SEARCH RESULTS
Showing search results for "mufaahamat"
Ghazal MATCHES FOR "mufaahamat"
Ghazal
mufaahamat na sikhaa jabr-e-naaravaa se mujhe
mai.n sar-ba-kaf huu.n la.Daa de kisii balaa se mujhe
Adeem Hashmi
Ghazal
mufaahamat na sikhaa dushmano.n se ai saalaar
tirii taraf na kahii.n mo.D duu.n kamaan ko mai.n
Akhtar Usman
Ghazal
mufaahamat na kar arzaa.n na ho bharam na ga.nvaa
har ik nafas ho agar ik saliib tab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Ghazal
mufaahamat sii ajab ho ga.ii hai raat ke saath
charaaG mai.n ne jalaayaa nahii.n bahut din se
Farhat Ehsas
Ghazal
rahii hai parda-e-ulfat me.n maslahat kyaa kyaa
adaavato.n me.n hu.ii hai mufaahamat kyaa kyaa
Khursheed Rizvi
Ghazal
mufaahamat ke dev kaa asiir ho gayaa 'nizaam'
merii anaa kaa vo parind jis me.n merii jaan hai
Nizamuddin Nizam
Ghazal
tum ne jo manfa.at se KHasaara badal diyaa
ham ne mufaahamat kaa iraada badal diyaa
Saima Ishaq
Ghazal
anaa ke haatho.n hu.aa hai 'shafiiq' jo bhii hu.aa
magar ye dil ki abhii tak mufaahamat chaahe
Shafiq Saleemi
Ghazal
mufaahamat kaa dars jo shikam kii aag se milaa
so aafato.n kaa daur sab jhukaav me.n guzar gayaa
Mansoor Mahboob
Ghazal
mufaahamat mirii koshish supurdagii tiraa kaam
tuu apne shahr-e-junuu.n kaa mujhe rivaaj bataa
Sahba Waheed
Ghazal
mufaahamat se jo had paar ho to ho jaa.e
ba.ndhaa hu.aa rag-e-jaa.n se zamiir khii.nchtaa huu.n
Afzaal Naveed
Ghazal
mufaahamat kii nikaltii nahii.n hai raah ko.ii
jab apne apne usuulo.n pe baat aa Thahre
Khawer Eijaz
Ghazal
muqaavamat hai tiraa Guruur aur bad-kalaamii
mufaahamat hai hamaarii hujjat kii naa-tamaamii
Krishna Mohan
Ghazal
hu.aa na kuchh bhii jo ham se mufaahamat to hu.ii
ham apne aap se ab tak KHafaa-KHafaa the bahut
Nashtar Khaanqahi
Ghazal
dekhuu.ngaa kaise karnii hai us se mufaahamat
filhaal ko.ii dard ba.Daa karne vaalaa huu.n
Iqtidar Javed
Ghazal
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
ye muKHaasamat ke jazbe ye mahaaz haasido.n ke
magar umr bhar vo 'zauqii' ke maqaam tak na pahu.nche