SEARCH RESULTS
Showing search results for "mukaafaat-e-amal"
Ghazal MATCHES FOR "mukaafaat-e-amal"
Ghazal
yuu.n mukaafaat-e-amal sab kuchh uThaa kar le gayaa
sar-phiraa sailaab bastii ko bahaa kar le gayaa
Mohammad Sharfuddin Sahil
Ghazal
KHuugar-e-sa.ii-e-mukaafaat-e-amal ban ke 'atiiq'
faa.eda tuu bhii har aasaanii-o-mushkil se uThaa
Ateeq Ahmad Ateeq
Ghazal
mukaafaat-e-amal KHud raasta tajviiz kartii hai
KHudaa qaumo.n pe apnaa faisla jaarii nahii.n kartaa
Aasi Karnali
Ghazal
ham-nashii.n dekh mukaafaat-e-amal hai duniyaa
kaam kuchh bhii yahaa.n asbaab nahii.n aate hai.n
Ramzi Asim
Ghazal
ye jahaa.n ek mukaafaat-e-amal hai jis ne
ja.D ko sii.nchaa vahii phaldaar shajar tak pahu.nchaa
Nafeesa Sultana Ana
Ghazal
visaal-o-hijr ke qisse kise sunaa.uu.n 'amal'
hai ko.ii jo mire zaKHmo.n kaa chaara-kaar kare
Amina Amal Idrisi
Ghazal
is ko bhii hijr kaa taavaan to bharnaa hogaa
ko.ii dam me.n hai mukaafaat-e-amal hone ko
Seema Naqvi
Ghazal
iimaa.n nahii.n momin kaa mukaafaat-e-amal par
ummiid-e-karam kyaa tama-e-KHaam nahii.n hai
Abdul Aziz Khalid
Ghazal
jo dukh kii fasl bo.ii hai to ab dukh kaaTnaa hogaa
mukaafaat-e-amal samjhe ishaara ho gayaa hotaa
Sabeela Inam Siddiqui
Ghazal
kuchh samajh me.n nahii.n aataa ye mukaafaat-e-amal
kaaTte kyuu.n nahii.n jo aap ne bo.e hu.e hai.n
Arman Najmi
Ghazal
log kahte hai.n ki jaarii hai mukaafaat-e-amal
ham ne bhii dekhaa hai kartaa kaun bhartaa kaun hai
Shehab Kazmi
Ghazal
qaatil ko mukaafaat-e-‘amal mil ke rahegii
maqtuul kaa har qatra-e-KHuu.n bol rahaa hai
Saqib Qamri Misbahi
Ghazal
maajid aasii
Ghazal
thaa mukaafaat-e-amal ahbaab kaa husn-e-amal
ye bhii aisaa qarz thaa jo aur se le kar diyaa
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
kis ne badlaa naqsh-e-kohna dahr kii tasviir kaa
ye mukaafaat-e-'amal hai yaa likhaa taqdiir kaa