SEARCH RESULTS
Showing search results for "munaadii"
Ghazal MATCHES FOR "munaadii"
Ghazal
log tharraa ga.e jis vaqt munaadii aa.ii
aaj paiGaam nayaa zill-e-ilaahii de.nge
Parveen Shakir
Ghazal
ai qais-numaa shaKHs yahaa.n kuchh nahii.n teraa
tujh naam kii sahraa me.n munaadii hai chalaa jaa
Shozeb Kashir
Ghazal
ye shahr shahr sar-e-aam ab munaadii hai
na vo rahegaa mulaaqaat kaa jo aadii hai
Manmohan Talkh
Ghazal
ye zulm hai ki munaadii ho imtihaano.n kii
phir is ke baa'd ko.ii imtihaa.n nahii.n honaa
Liaqat Jafri
Ghazal
jo piyegaa na sharaab aaj vo mujrim hogaa
kuu-ba-kuu kal se tuu kar de ye munaadii saaqii
Rind Lakhnavi
Ghazal
saarii duniyaa me.n ujaalo.n kii munaadii kar ke
aaj phir ek sahar raat par aa kar Thahrii
Navin Joshi
Ghazal
ko.ii bhii ghar se na nikle charaaG-e-dil le kar
amiir-e-shahr kii ye shahr me.n munaadii hai
Aabid Jafri
Ghazal
siyaasiyaat ke maahir mujhe samajhte hai.n
mai.n sarhado.n ke liye jang kii munaadii huu.n
Shakeel Shah
Ghazal
us se kahnaa ye munaadii bhii karaa dii jaa.e
ko.ii is ahd me.n ab KHvaab na sachchaa dekhe
Shamim Ravish
Ghazal
KHud munaadii o munaadaa huu.n na Gaibat na huzuur
aalam-e-Gaib se yuu.n dil me.n nidaa aa.ii hai
Ismail Merathi
Ghazal
marg-e-ehsaas pe is darja KHamoshii duniyaa
ko.ii elaan nahii.n ko.ii munaadii bhii nahii.n
Syed Zamin Abbas Kazmi
Ghazal
na basar hovegii be-nashsha qadah-KHvaaro.n kii
ho agar mai kii munaadii hai falak sair to hai
Rind Lakhnavi
Ghazal
kisii kii jaan kaa zaamin nahii.n yahaa.n ko.ii
amiin-e-shahr kii jaanib se ye munaadii hai
Aziz Qaisi
Ghazal
ho saare shahr me.n ye munaadii ki jashn ho
apnii hii saf me.n haare dilaavar palaT kar aa.e