SEARCH RESULTS
Showing search results for "naql"
Ghazal MATCHES FOR "naql"
Ghazal
raKHt-e-safar bhii hogaa mire saath shahr me.n
sahraa bhii shauq-e-naql-e-makaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Ghazal
kuchh tujh se ye duurii bhii mujhe maar ga.ii hai
kuchh jazbe mire naql-e-makaanii me.n mare hai.n
Ejaaz tawakkal
Ghazal
mujhe naql par bhii itnaa agar iKHtiyaar hotaa
kabhii fail imtihaa.n me.n na mai.n baar baar hotaa
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
pa.Dhne vaalo.n ne bhii kyaa kuchh na kiyaa
naql karnaa mirii aadat hii sahii
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
is ghuumtii zamii.n pe dobaara mile.nge ham
hijrat faraar naql-e-makaanii fareb hai
Shahid Zaki
Ghazal
Mahshar Badayuni
Ghazal
ab parindo.n kii yahaa.n naql-e-makaanii kam hai
ham hai.n jis jhiil pe us jhiil me.n paanii kam hai
Abbas Tabish
Ghazal
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Ghazal
dekhnaa chaaho udaasii me.n shajar Duube hu.e
tum parindo.n kii kabhii naql-e-makaanii dekhnaa
Ashu Mishra
Ghazal
qissa-e-naql kuchh aisaa hai bataa.e na bane
baat big.Dii hai kuchh aisii ki banaa.e na bane
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
gar imtihaan-e-junuu.n me.n na karte qais kii naql
'jamaal' sab se zaruurii savaal rah jaataa
Jamal Ehsani
Ghazal
kyaa KHuubii us ke mu.nh kii ai Guncha naql kariye
tuu to na bol zaalim buu aatii hai vahaa.n se
Meer Taqi Meer
Ghazal
mirii tarah se uja.D kar basaa.e.n shahr-e-suKHan
jo naql karnii hai merii to huu-ba-huu kii jaa.e
Abbas Tabish
Ghazal
kis KHaraabii me.n hu.aa paidaa jamaal-e-zindagii
asl kis naql-e-makaa.n me.n raa.egaa.n hotii ga.ii
Muneer Niyazi
Ghazal
aazurda hai makaan me.n KHaak-e-zamiin bhii
chiizo.n me.n shauq-e-naql-e-makaanii ko dekh kar
Muneer Niyazi
Ghazal
paanii to hai kam naql-e-makaanii hai ziyaada
ye shahr saraabo.n me.n basaanaa hii nahii.n thaa
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
Duub rahe hai.n log samundar me.n 'ammaar'
us ne in aa.nkho.n kii naql utaarii hai