SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruud"
Ghazal MATCHES FOR "ruud"
Ghazal
sone kii gaa.e kii qasam aur ruud-e-niil kii
fir'aun kii qasam tujhe haamaan kii qasam
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
phir ruud-e-bevafaa.ii mai.n bahtaa rahaa ye jism
ye ranj hai ki terii taraf se du.aa milii
Saqi Faruqi
Ghazal
kis sahraa kii dhuul hai sab kii aa.nkho.n me.n
be-mauj o be-ruud kinaare kis ke hai.n
Jamal Ehsani
Ghazal
Zuhoor Nazar
Ghazal
jis aab-ruud kii auqaat chand qatre ho
to us ko phaa.ndnaa kyaa us me.n paa.nv dharnaa kyaa
Zafar Iqbal
Ghazal
ye ruud-e-KHvaab nahii.n maKHmase kaa dariyaa hai
Dubo.e ishq kabhii josh me.n uchhaale mujhe
Azad Husain Azad
Ghazal
kyaa dardnaak manzar-e-kashtii thaa ruud me.n
mai.n naa-KHudaa ko dekh rahaa thaa KHudaa mujhe
Gulzar Dehlvi
Ghazal
Shakeb Jalali
Ghazal
sukuut-e-lab ko sadaa.o.n kaa pesh-rau samjho
ki ruud-baar ke aage khulaa samundar hai
Zahid Farani
Ghazal
bujh jaa.egii mil-jul ke agar pyaas bujhaa.o
ga.ngaa hii ke nazdiik to hai ruud-e-jaman bhii
Darshan Singh
Ghazal
sahraa me.n jaa ke dekh ki har ruud-e-KHushk ko
ham ra.ng-e-juu-e-shiir banaatii hai chaandnii
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
dil miraa misr-e-husn hai tab to
nadii aa.nkho.n kii ruud-e-niil sii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
ye vaqt se pahle kii sadaa rang na laa.e
suunaa na pahu.nch jaa.e kahii.n ruud-e-garaa.n tak
Hosh Nomani Rampuri
Ghazal
bahut shiddat rahii pahle kanaar-e-chashm tak
umaD aayaa hai ab vo sail ruud-e-niil me.n
Aftab Hussain
Ghazal
mutarannim hai mirii ruuh me.n yuu.n terii sadaa
aabshaaro.n kii sukuu.n-rez ravaanii jaise
Irfana Azeez
Ghazal
hai vahii aaj bhii ra.ng-o-ravish-e-ruud-e-faraat
har nafas maatamii-e-tishna-labaa.n hai ki jo thaa
Jafar Tahir
Ghazal
ik ruud-e-bevafaa.ii me.n mujh ko bahaa ke aaj
saato.n-samundaro.n kii ko.ii pyaas de gayaa
Musavvir Sabzwari
Ghazal
qadam qadam pe use dasht de daGaa lekin
jo tishna-lab hai vo sahraa me.n ruud Dhuu.nDhegaa