SEARCH RESULTS
Showing search results for "taash"
Ghazal MATCHES FOR "taash"
Ghazal
zindagii taash ke patto.n kii tarah hai merii
aur patto.n ko bahar-haal bikhar jaanaa hai
Munawwar Rana
Ghazal
Mohammad Alvi
Ghazal
duniyaa bhii jaise taash ke patto.n kaa khel hai
joker ke saath rahtii hai raanii hii kyuu.n na ho
Munawwar Rana
Ghazal
aa jaa ki yaar paan ke khokhe pe jam.a hai.n
cigarette chhupaa ke haath me.n aur taash jeb
Amir Ameer
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
banaa.o taaj-mahal ke bajaa.e taash-mahal
tamaam umr mohabbat karo giraa.o banaa.o
Charagh Sharma
Ghazal
do chaar daa.o.n khel ke vo sard pa.D gayaa
ab kyaa karoge taash ke patto.n ko pheT ke
Shahid Kabir
Ghazal
khel phir in ke binaa khel na rah paa.egaa
zid na kar taash ke patte mujhe vaapas kar de
Fay Seen Ejaz
Ghazal
der se Thahraa hu.aa thaa taash ke miinaar saa
ek pattaa phir achaanak hil gayaa to kyaa kahuu.n
Bhavya Soni
Ghazal
taash kaa muubaaf choTii me.n muqarrar chaahiye
chaa.ndnii se aur hii hotaa hai joban raat kaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
jo giraa degaa mujhe taash ke patto.n kii tarah
merii ta.amiir me.n tujh saa ko.ii patthar hogaa
Dinesh Kumar Drouna
Ghazal
aadmii taash ke patte hai.n tire haatho.n me.n
ai KHudaa tuu bhii to hai shobada-gar kii suurat
Mohsin Ehsan
Ghazal
dekhnaa hai.n khelne vaalo.n kii chaabuk-dastiyaa.n
taash kaa pattaa sahii meraa hunar teraa hunar
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
vo ham-piyaala bhii thaa KHvaaja-e-taash bhii 'kaavish'
jo baat baat pe tardiid karne vaalaa thaa
Kavish Badri
Ghazal
agar tujhe ishq taash kaa khel lag rahaa hai
to le mai.n apne tamaam patte ulaT rahaa huu.n
Mohammad Owais Malik
Ghazal
khelaa kiye ye taash mai.n royaa kiyaa lahuu
chaaragaro.n ke faiz se jiinaa muhaal hai
Qazi Ghulam Mohammad
Ghazal
mujh divaane kii nazar me.n ai parii
taash aur kamKHaab hai kamlii tarah
Obaidullah Khan Mubtala
Ghazal
jiivan kyaa thaa taash ke patto.n kii baazii thii
shaah magar kab mere hisse me.n aayaa thaa