SEARCH RESULTS
Showing search results for "tunuk-zarf"
Ghazal MATCHES FOR "tunuk-zarf"
Ghazal
be-minnat-e-jahaan-e-tunuk-zarf agar mile
vallaah phir to charb hai KHashaa pulaav par
Imdad Ali Bahr
Ghazal
ham aise balaa-nosh ki chhalkaate hii guzrii
tum aise tunuk-zarf chhalaknaa bhii na aayaa
Ezaz Afzal
Ghazal
mere rone pe vo ha.ns ha.ns ke ye kahnaa teraa
ki tunuk-zarf se chhupte kabhii asraar nahii.n
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi
Ghazal
ubhraa jo ruu-siyaah tunuk-zarf kyaa hu.aa
had se sivaa jo KHaal hu.aa vo masaa hu.aa
Shad Lakhnavi
Ghazal
khii.nch lo dast-e-talab band karo chashm-e-umiid
vo tunuk-zarf kisii kaa nahii.n hone vaalaa
Sultan Akhtar
Ghazal
kuchh ab ke aise pa.Daa saaya-e-tunuk-zarfii
samundaro.n ko bhii ham log aabjuu kiye jaa.e.n
Mohsin Ehsan
Ghazal
kaavish-e-besh-o-kam kii baat na kar
chho.D daam-o-diram kii baat na kar
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
kyaa karuu.n pii ke bhalaa ek piyaalii saaqii
is tunuk-zarfii kaa banda nahii.n aadii saaqii
Rind Lakhnavi
Ghazal
taaki ta.ana na mile ham ko tunuk-zarfii kaa
ham qadah saamne aGyaar ke rakh dete hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
Gam nahii.n saahil-e-dariyaa kii tunuk-zarfii kaa
Duubne vaalaa to aasuuda-e-tuufaa.n niklaa
Afqar Mohani
Ghazal
qais ko ishq kii takriim thii shaayad kam-kam
ham tunak-zarf nahii.n ishq jo afsaana bane
Syed Bashir Husain Bashir
Ghazal
bhalaa ho Gam kii tunuk-zarfii-e-tabii.at kaa
agarche baat ga.nvaa dii asar KHariid liyaa
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
mai.n bahak jaa.uu.n to ye merii tunuk-zarfii hai
aur agar nashsha na ho kis kii hatak hai saaqii
Ehsas Muradabadi
Ghazal
huu.n tunak-zarf na jheluu.ngaa sharaab-e-pur-zor
parda yakbaar na chehre se uThaanaa hargiz
Meer Mehdi Majrooh
Ghazal
pyaar me.n kam to nahii.n kam-nigahii bhii us kii
haa.n tunak-zarfii-e-ehsaas kushaada bhii to ho
Gauhar Hoshiyarpuri
Ghazal
qatra apnaa bhii haqiiqat me.n hai dariyaa lekin
ham ko taqliid-e-tunuk-zarfi-e-mansuur nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
tuufaan kii aaGosh me.n ghar Dhuu.nDne vaalaa
mamnuun-e-tunak-zarfii-e-saahil nahii.n hotaa
Basit Ujjaini
Ghazal
be-etidaalyaa.n mirii zarf-e-tunak se hai.n
thaa naqs kuchh na jauhar-e-sahbaa-e-naab me.n