SEARCH RESULTS
Showing search results for "ummiid-e-vasl"
Ghazal MATCHES FOR "ummiid-e-vasl"
Ghazal
shaaKH-e-umiid-e-vasl KHizaa.n-diida ho ga.ii
aur aa.nkh apne sabr kii ranjiida ho ga.ii
Zubair Ahad
Ghazal
ummiid-e-vasl us se KHudaa kii qasam nahii.n
kahte hai.n arz-e-bosa pe vo dam-ba-dam nahii.n
Faheem Gorakhpuri
Ghazal
umiid-e-vasl me.n lutf-e-hayaat aur bhii hai
charaaG abhii na bujhaa.o ki raat aur bhii hai
Musavvir Lakhnavi
Ghazal
kam na hogaa shor-e-noshaa-nosh-e-sahbaa vaa.izo
dam salaamat chaahiye ummiid-e-sahbaa-nosh kaa
Ummeed Amethvi
Ghazal
kaisii KHush-fahmii tumhe.n kis baat kaa Garra 'umiid'
aa ga.e hai.n aqrabaa vaqt-e-azaa.n hone lagaa
Ummeed KHwaja
Ghazal
sham.a-e-umiid-e-vasl munavvar hai 'sarfaraaz'
tuul-e-shab-e-firaaq se vahshat nahii.n mujhe
Sarfaraz Khan Azmi
Ghazal
kyaa kyaa na us ko zom-e-masiihaa.ii thaa 'umiid'
ham ne dikhaa.e zaKHm to chehra utar gayaa
Ummeed Fazli
Ghazal
nashsha-e-dahr-o-qayaamat kaa to kyaa zikr 'umiid'
vo miraa sarv-e-sar-afraaz judaa hai sab se
Ummeed Fazli
Ghazal
sar-e-jariida-e-hastii hamaare baad 'umiid'
lahuu se kaun likhegaa ibaarate.n dil kii
Ummeed Fazli
Ghazal
lahuu se harf taraashe.n jo merii tarah ummiid
unhii.n ke hisse me.n zaKHm-e-hunar bhii aataa hai
Ummeed Fazli
Ghazal
samundaro.n se zamiino.n ko KHauf kyaa ki umiid
numuu-paziir zamiin-e-hunar to ab bhii hai
Ummeed Fazli
Ghazal
jis ruup me.n jab chaahe jise Dhaal de 'ummiid'
duniyaa bhii ajab kaar-gah-e-kuuza-garii hai