SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaaqif"
Ghazal MATCHES FOR "vaaqif"
Ghazal
Meer Taqi Meer
Ghazal
mere labo.n pe mohr thii par mere shiisha-ruu ne to
shahr ke shahr ko miraa vaaqif-e-haal kar diyaa
Parveen Shakir
Ghazal
vo kaun hai us se to mai.n vaaqif bhii nahii.n huu.n
jo mujh ko kisii aur kaa hone nahii.n detaa
Abbas Tabish
Ghazal
vo bhii sar-e-maqtal hai ki sach jis kaa thaa shaahid
aur vaaqif-e-ahvaal-e-adaalat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Ghazal
vo tire husn kii qiimat se nahii.n hai.n vaaqif
pa.nkhu.Dii ko jo tire lab kaa badal kahte hai.n
Qateel Shifai
Ghazal
pahle hii lazzat-e-inkaar se vaaqif nahii.n jo
us se inkaar dobaara bhii nahii.n ho saktaa
Saleem Kausar
Ghazal
udaasiyo.n ke KHad-o-KHaal se jo vaaqif ho
ik aise shaKHs ko aksar talaash karnaa hai
Asad Badayuni
Ghazal
avval avval to na the vaaqif-e-aadaab-e-qafas
aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahii.n
Ahmad Faraz
Ghazal
us shaKHs ke fareb se vaaqif hai.n ham magar
kuchh apnii pyaas ko hii saraabo.n kaa shauq hai
Charagh Sharma
Ghazal
vaaqif hii na thaa ramz-e-mohabbat se vo varna
dil ke liye tho.Dii sii inaayat hii bahut thii
Kaleem Aajiz
Ghazal
ba-zaahir saadgii se muskuraa kar dekhne vaalo
ko.ii kam-baKHt naa-vaaqif agar diivaana ho jaa.e
Hafeez Jalandhari
Ghazal
kaun naa-vaaqif-e-anjaam-e-tabassum hai 'amiir'
mere haalaat pe ye kis ko ha.nsii aa.ii hai
Ameer Qazalbash
Ghazal
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
aashiq samajh rahe hai.n mujhe dil lagii se aap
vaaqif nahii.n abhii mire dil kii lagii se aap
Bekhud Dehlvi
Ghazal
Mehshar Afridi
Ghazal
ab us ke liye is qadar aasaan thaa sab kuchh
vaaqif vo magar sa.ii mukarrar se nahii.n thaa
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
vaise har baat se rakkhaa use vaaqif ham ne
lekin afsaana-e-ulfat ko chhupaa.e rakkhaa
Aks samastipuri
Ghazal
dard ke naam se vaaqif na jahaa.n ho ko.ii
aisii mahfil me.n hame.n bhii to biThaa do yaaro
Rajendera Krishan
Ghazal
aa.ina mere shab o roz se vaaqif hii nahii.n
kaun huu.n kyaa huu.n mujhe yaad dilaayaa na kare