SEARCH RESULTS
Showing search results for "zehn-e-karbalaa"
Ghazal MATCHES FOR "zehn-e-karbalaa"
Ghazal
ban ga.ii hai bai.at-e-baatil asaas-e-vaq.at 'ramz'
arsa-e-imkaa.n ko zehn-e-karbalaa dene se kyaa
Mohammad Ahmad Ramz
Ghazal
ajab shai hai 'fazaa' zehn o nazar kii ye asiirii bhii
musalsal dekhte rahnaa baraabar sochte rahnaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
ek shikast-e-zaahirii fat.h bane to kis tarah
aa.iina-daar ban gayaa qissa-e-karbalaa ki yuu.n
S A Mehdi
Ghazal
tishnagii hogii jahaa.n be-saaKHta nauha-kunaa.n
us jagah ham daastaan-e-karbalaa le jaa.e.nge
Badr-e-Alam Khan Azmi
Ghazal
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
hamaare ahd kaa har zehn to nahii.n jaamid
kisii dariicha-e-ehsaas se guzar jaanaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
'shaan' be-samt na kar de tumhe.n sahraa-e-hayaat
zehn me.n un ke nuquush-e-kaf-e-paa rahne do
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
gulzaar-e-rivaayat se zaraa zehn ko mo.Do
jiddat ke bayaabaan me.n ashjaar bahut hai.n
Aulad-e-Rasool Qudsi
Ghazal
'aniis' bech ke jaa.n apnii hind se niklo
jo tosha-e-safar-e-karbalaa nahii.n rakhte
Meer Anees
Ghazal
naamuus-e-sub.h-e-karbalaa apnii ridaa sambhaal
chal kar abhii to shaam kaa darbaar aa.egaa
Musavvir Sabzwari
Ghazal
bas ek shaam sar-e-dasht-e-karbalaa utrii
phir us ke baa'd gharo.n se alam nikaltaa rahaa
Nazeer Qaisar
Ghazal
mai.n bhaagtaa huu.n sar-e-dasht-e-karbalaa aur phir
izaafa karte hai.n aa kar imaam gardish me.n
Nawed fidaa sattii
Ghazal
har aarzuu kaa naam nahii.n aabruu-e-jaa.n
har tishna-lab jamaal-e-ruKH-e-karbalaa na thaa
Ada Jafarey
Ghazal
mai.n jhukaa.uu.n sar sar-e-maqtal KHudaa aisaa na ho
saamne dars-e-imaam-e-karbalaa hote hu.e
Asif Bilal
Ghazal
phir ko.ii taaza bapaa hone ko hai ik maa'rka
nahr-e-furaat-e-karbalaa ko phir se jaarii kiijiye