SEARCH RESULTS
Showing search results for "zinhaar"
Ghazal MATCHES FOR "zinhaar"
Ghazal
ai taaza vaardaan-e-bisaat-e-havaa-e-dil
zinhaar agar tumhe.n havas-e-naa.e-o-nosh hai
Mirza Ghalib
Ghazal
Gaafil KHudaa kii yaad pe mat bhuul ziinhaar
apne ta.ii.n bhulaa de agar tuu bhulaa sake
Khwaja Meer Dard
Ghazal
sham o parvaana na mahfil me.n ho.n baaham zinhaar
sham.a-ruu ne mujhe bheje hai.n ye parvaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Ghazal
ai vo ki tuu baiThaa hai sar-e-raah pe zinhaar
kahiyo jo kabhuu 'miir' balaa-kash idhar aave
Meer Taqi Meer
Ghazal
iisaa tilism husn taGaaful hai ziinhaar
juz pusht chashm nusKHa arz davaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Ghazal
ai dil razaa-e-Gair hai shart-e-razaa-e-dost
zinhaar baar-e-ishq uThaayaa na jaa.egaa
Altaf Hussain Hali
Ghazal
bis ki hairat se zi-paa uftaada-e-zinhaar hai
naaKHun-e-a.ngusht-e-but KHaal-e-lab-e-biimaar hai
Mirza Ghalib
Ghazal
mujhe ye hukm hai zinhaar tum na karnaa ishq
nasiihate.n bhii vo karte hai.n imtihaa.n kii tarah
Dagh Dehlvi
Ghazal
is raaz ko rakh jii hii me.n taa jii bache teraa
zinhaar jo kartaa ho tuu iz.haar-e-mohabbat
Meer Taqi Meer
Ghazal
rindaan-e-dar-e-mai-kada gustaaKH hai.n zaahid
zinhaar na honaa taraf in be-adabo.n se
Mirza Ghalib
Ghazal
zindaa.n me.n pha.nse tauq pa.De qaid me.n mar jaa.e
par daam-e-mohabbat me.n giraftaar na hove
Meer Taqi Meer
Ghazal
ye tarz-e-tarannum kahii.n zinhaar na Dhuu.nDo
ai 'shefta' yaa murG-e-chaman rakhte hai.n yaa ham
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
zinhaar tark-e-lazzat-e-iizaa na kiijiye
hargiz gunaah-e-ishq se tauba na kiijiye
Yagana Changezi
Ghazal
zinhaar agar ahl-e-havas tujh pe fidaa huu.n
ye martaba-e-sadq-o-safaa mere liye hai
Hasrat Mohani
Ghazal
ha.ns ha.ns ke chhe.D us ko zinhaar tuu na ai dil
hogaa gale kaa tere ye haar ha.nste ha.nste
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
us me.n dar-parda samajhte hai.n vo apnaa hii gila
shikva-e-charKH bhii zinhaar na hone paa.e
Shibli Nomani
Ghazal
kab se mutahammil hai jafaa.o.n kaa dil-e-zaar
zinhaar-vafaa ho na sakii yaar se ab tak
Meer Taqi Meer
Ghazal
kal vo jo bolaa Tuk to kahaa ham ne mu.nh phiraa
KHair ab na ham se boliye zinhaar bas jii bas
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
din ko zinhaar Thaharte nahii.n ham us kuu mai.n
raat ko milne kii Thahraa ke chale aate hai.n