aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".fri"
aa ki vaabasta hai.n us husn kii yaade.n tujh sejis ne is dil ko parii-KHaana banaa rakkhaa thaajis kii ulfat me.n bhulaa rakkhii thii duniyaa ham nedahr ko dahr kaa afsaana banaa rakkhaa thaa
na jaane aariba kyuu.n aa.e kyuu.n musta.araba aa.emuzir ke log to chhaane hii vaale the so vo chhaa.emire jad haashim-e-aalii ga.e gazza me.n dafnaa.emai.n naaqe ko pilaa.uu.ngaa mujhe vaa.n tak vo le jaa.eliduu lilmauti vabnuu lilhizaabi san KHaraabaatiivo mard-e-uus kahtaa hai haqiiqat hai KHuraafaatiiye zaalim tiisraa paig ik aqaaniimii bidaayat haiuluuhii harzaa-farmaa.ii kaa sirr-e-tuur-e-luknat haibhalaa huurab kii jhaa.Dii kaa vo ramz-e-aatishii.n kyaa thaamagar huurab kii jhaa.Dii kyaa ye kis se kis kii nisbat haiye nisbat ke bahut se qaafiye hai.n hai gilaa is kaamagar tujh ko to yaaraa! qaafiyo.n kii be-tarah lat haigumaa.n ye hai ki shaayad bahr se KHaarij nahii.n huu.n mai.nzaraa bhii haal ke aaha.ng me.n haarij nahii.n huu.ntanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tantanaa-tan tan nahii.n mehnat-kasho.n kaa tan na pairaahanna pairaahan na puurii aadhii roTii ab rahaa saalanye saale kuchh bhii khaane ko na paa.e.n gaaliyaa.n khaa.e.nhai in kii be-hisii me.n to muqaddas-tar haraamii-pan
do paa.nv bane hariyaalii parek titlii baiThii Daalii parkuchh jagmag jugnuu jangal sekuchh jhuumte haathii baadal seye ek kahaanii nii.nd bhariiik taKHt pe baiThii ek pariikuchh gin gin karte parvaanedo nanhe nanhe dastaanekuchh u.Dte ra.ngii.n Gubaarebabbuu ke dupaTTe ke taareye chehra banno buu.Dhii kaaye Tuk.Daa maa.n kii chuu.Dii kaaye mujh se milne aa.e hai.nmai.n KHud na jinhe.n pahchaan sakuu.nkuchh itne dhu.ndle saa.e hai.n
shaa'irsaahil-e-dariyaa pe mai.n ik raat thaa mahv-e-nazargosha-e-dil me.n chhupaa.e ik jahaan-e-iztiraabshab sukuut-afzaa havaa aasuuda dariyaa narm sairthii nazar hairaa.n ki ye dariyaa hai yaa tasviir-e-aabjaise gahvaare me.n so jaataa hai tifl-e-shiir-KHvaarmauj-e-muztar thii kahii.n gahraa.iyo.n me.n mast-e-KHvaabraat ke afsuu.n se taa.ir aashiyaano.n me.n asiiranjum-e-kam-zau giraftaar-e-tilism-e-maahtaabdekhtaa kyaa huu.n ki vo paik-e-jahaa.n-paimaa KHizrjis kii piirii me.n hai maanind-e-sahar ra.ng-e-shabaabkah rahaa hai mujh se ai juuyaa-e-asraar-e-azalchashm-e-dil vaa ho to hai taqdiir-e-aalam be-hijaabdil me.n ye sun kar bapaa ha.ngaama-e-mahshar hu.aamai.n shahiid-e-justujuu thaa yuu.n suKHan-gustar hu.aaai tirii chashm-e-jahaa.n-bii.n par vo tuufaa.n aashkaarjin ke hangaame abhii dariyaa me.n sote hai.n KHamoshkashtii-e-miskiin-o-jaan-e-paak-o-diivaar-e-yatiimilm-e-muusaa bhii hai tire saamne hairat-faroshchho.D kar aabaadiyaa.n rahtaa hai tuu sahraa-navardzindagii terii hai be-roz-o-shab-o-fardaa-o-doshzindagii kaa raaz kyaa hai saltanat kyaa chiiz haiaur ye sarmaaya-o-mehnat me.n hai kaisaa KHaroshho rahaa hai asia kaa KHirqa-e-deriina chaaknaujavaa.n aqvaam-e-nau-daulat ke hai.n pairaaya-poshgarche askandar rahaa mahruum-e-aab-e-zindagiifitrat-e-askandarii ab tak hai garm-e-naa.o-noshbechtaa hai haashmii naamuus diin-e-mustafaaKHaak-o-KHuu.n me.n mil rahaa hai turkamaan-e-saKHt-koshaag hai aulaad-e-ibraahiim hai namruud haikyaa kisii ko phir kisii kaa imtihaa.n maqsuud haijavaab-e-KHizrsahraa-navardii
shaayad ki inhii.n Tuk.Do.n me.n kahii.nvo saaGar-e-dil hai jis me.n kabhiisad-naaz se utraa kartii thiisahbaa-e-Gam-e-jaanaa.n kii parii
jo jism kaa ii.ndhan thaagulnaar kiyaa ham nevo zahr ki amrit thaajii bhar ke piyaa ham nesau zaKHm ubhar aa.ejab dil ko siyaa ham nekyaa kyaa na mohabbat kiikyaa kyaa na jiyaa ham nelo kuuch kiyaa ghar selo jog liyaa ham nejo kuchh thaa diyaa ham neaur dil se kahaa ham neruknaa nahii.n darveshaayuu.n hai ki safar apnaathaa KHvaab na afsaanaaa.nkho.n me.n abhii tak haifardaa kaa parii-KHaanasad-shukr salaamat haipindaar-e-faqiiraanais shahr-e-KHamoshii me.nphir naara-e-mastaanaai himmat-e-mardaanasad-KHaaraa-o-yak-teshaai ishq-e-junuu.n-peshaai ishq-e-junuu.n-pesha
kuchh ukh.De ukh.De, kaTe hu.e se ajiib jumle,''kahaanii vo jis me.n ek shahzaadii chaaT letii haiapnii a.ngushtarii kaa hiiraa,vo tum ne puurii nahii.n sunaa.ii''
tum bilkul ham jaise nikleab tak kahaa.n chhupe the bhaa.iivo muurakhtaa vo ghaama.D-panjis me.n ham ne sadii ga.nvaa.iiaaKHir pahu.nchii dvaar tuhaareare badhaa.ii bahut badhaa.iipret dharm kaa naach rahaa haiqaa.em hinduu raaj karogesaare ulTe kaaj karogeapnaa chaman taaraaj karogetum bhii baiThe karoge sochaapuurii hai vaisii tayyaariikaun hai hinduu kaun nahii.n haitum bhii karoge fatvaa jaariihogaa kaThin yahaa.n bhii jiinaadaa.nto.n aa jaa.egaa pasiinaajaisii-taisii kaTaa karegiiyahaa.n bhii sab kii saa.ns ghuTegiibhaa.D me.n jaa.e shikshaa-vikshaaab jaahil-pan ke gun gaanaaaage ga.Dhaa hai ye mat dekhovaapas laa.o gayaa zamaanamashq karo tum aa jaa.egaaulTe paa.nv chalte jaanaadhyaan na duujaa man me.n aa.ebas piichhe hii nazar jamaanaaek jaap saa karte jaa.obaaram-baar yahii doharaa.okaisaa viir mahaan thaa bhaaratkitnaa 'aalii-shaan thaa bhaaratphir tum log pahu.nch jaa.ogebas parlok pahu.nch jaa.ogeham to hai.n pahle se vahaa.n partum bhii samay nikaalte rahnaaab jis nark me.n jaa.o vahaa.n sechiTThii-viTThii Daalte rahnaa
ik maulvii saahab kii sunaataa huu.n kahaaniitezii nahii.n manzuur tabii.at kii dikhaaniishohra thaa bahut aap kii suufii-manushii kaakarte the adab un kaa a.aalii o adaaniikahte the ki pinhaa.n hai tasavvuf me.n sharii.atjis tarah ki alfaaz me.n muzmar ho.n ma.aaniilabrez mai-e-zohd se thii dil kii suraahiithii tah me.n kahii.n durd-e-KHayaal-e-hama-daaniikarte the bayaa.n aap karaamaat kaa apniimanzuur thii taadaad muriido.n kii ba.Dhaaniimuddat se rahaa karte the ham-saa.e me.n merethii rind se zaahid kii mulaaqaat puraaniihazrat ne mire ek shanaasaa se ye puuchhaa'iqbaal' ki hai qumri-e-shamshaad-e-ma.aaniipaabandi-e-ahkaam-e-sharii.at me.n hai kaisaago sher me.n hai rashk-e-kaliim-e-hamdaaniisuntaa huu.n ki kaafir nahii.n hinduu ko samajhtaahai aisaa aqiida asar-e-falsafa-daaniihai us kii tabii.at me.n tashayyo bhii zaraa saatafziil-e-alii ham ne sunii us kii zabaaniisamjhaa hai ki hai raag ibaadaat me.n daaKHilmaqsuud hai maz.hab kii magar KHaak u.Daaniikuchh aar use husn-faraamosho.n se nahii.n haiaadat ye hamaare shoraa kii hai puraaniigaanaa jo hai shab ko to sahar ko hai tilaavatis ramz ke ab tak na khule ham pe ma.aaniilekin ye sunaa apne muriido.n se hai mai.n nebe-daaG hai maanind-e-sahar us kii javaaniimajmu.a-e-azdaad hai 'iqbaal' nahii.n haidil daftar-e-hikmat hai tabii.at KHafaqaaniirindii se bhii aagaah sharii.at se bhii vaaqifpuuchho jo tasavvuf kii to mansuur kaa saaniius shaKHs kii ham par to haqiiqat nahii.n khultiihogaa ye kisii aur hii islaam kaa baaniial-qissa bahut tuul diyaa vaaz ko apnetaa-der rahii aap kii ye naGz-bayaaniiis shahr me.n jo baat ho u.D jaatii hai sab me.nmai.n ne bhii sunii apne ahibbaa kii zabaaniiik din jo sar-e-raah mile hazrat-e-zaahidphir chhi.D ga.ii baato.n me.n vahii baat puraaniifarmaayaa shikaayat vo mohabbat ke sabab thiithaa farz miraa raah sharii.at kii dikhaaniimai.n ne ye kahaa ko.ii gila mujh ko nahii.n haiye aap kaa haq thaa ze-rah-e-qurb-e-makaaniiKHam hai sar-e-tasliim miraa aap ke aagepiirii hai tavaazo ke sabab merii javaaniigar aap ko maaluum nahii.n merii haqiiqatpaidaa nahii.n kuchh is se qusuur-e-hamaadaaniimai.n KHud bhii nahii.n apnii haqiiqat kaa shanaasaagahraa hai mire bahr-e-KHayaalaat kaa paaniimujh ko bhii tamannaa hai ki 'iqbaal' ko dekhuu.nkii us kii judaa.ii me.n bahut ashk-fishaanii'iqbaal' bhii 'iqbaal' se aagaah nahii.n haikuchh is me.n tamasKHur nahii.n vallaah nahii.n hai
jo kaamyaabii hai us kii KHushii to puurii haimagar ye yaad bhii rakhnaa bahut zaruurii haiki daastaan hamaarii abhii adhuurii haibahut hu.aa hai magar phir bhii ye kamii to haibahut se ho.nTho.n pe muskaan aa ga.ii lekinbahut sii aa.nkhe.n hai jin me.n abhii namii to hai
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
KHuub pahchaan lo asraar huu.n mai.njins-e-ulfat kaa talabgaar huu.n mai.nishq hii ishq hai duniyaa meriifitna-e-aql se be-zaar huu.n mai.nKHvaab-e-ishrat me.n hai.n arbaab-e-KHiradaur ik shaa.ir-e-bedaar huu.n mai.nchhe.Dtii hai jise mizraab-e-alamsaaz-e-fitrat kaa vahii taar huu.n mai.nra.ng nazzaara-e-qudrat mujh sejaan-e-ra.ngiini-e-kohsaar huu.n mai.nnashsha-e-nargis-e-KHuubaa.n mujh seGaaza-e-aariz-o-ruKHsaar huu.n mai.naib jo haafiz o KHayyaam mai.n thaahaa.n kuchh is kaa bhii gunahgaar huu.n mai.nzindagii kyaa hai gunaah-e-aadamzindagii hai to gunahgaar huu.n mai.nrashk-e-sad-hosh hai mastii meriiaisii mastii hai ki hushyaar huu.n mai.nle ke niklaa huu.n guhar-haa-e-suKHanmaah o anjum kaa KHariidaar huu.n mai.ndair o ka.aba me.n mire hii charcheaur rusvaa sar-e-baazaar huu.n mai.nkufr o ilhaad se nafrat hai mujheaur maz.hab se bhii be-zaar huu.n mai.nahl-e-duniyaa ke liye na.ng sahiiraunaq-e-anjuman-e-yaar huu.n mai.nain is be-sar-o-saamaanii me.nkyaa ye kam hai ki guhar-baar huu.n mai.nmerii baato.n me.n masiihaa.ii hailog kahte hai.n ki biimaar huu.n mai.nmujh se barham hai mizaaj-e-piiriimujrim-e-shoKHi-e-guftaar huu.n mai.nhuur o Gilmaa.n kaa yahaa.n zikr nahii.nnau-e-insaa.n kaa parastaar huu.n mai.nmahfil-e-dahr pe taarii hai jumuudaur vaarafta-e-raftaar huu.n mai.nik lapaktaa hu.aa sho.ala huu.n mai.nek chaltii hu.ii talvaar huu.n mai.n
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
mai.n tirii yaad ko siine se lagaa.e guzraaajnabii shahr kii mashGuul guzar gaaho.n sebevafaa.ii kii tarah phailii hu.ii raaho.n sena.ii tahziib ke aabaad bayaabaano.n sedast-e-mazduur pe ha.nste hu.e aivaano.n semai.n tirii yaad ko siine se lagaa.e guzraagaa.nv kii do-pahrii dhuup ke sannaaTo.n seKHushk nahro.n ke kinaaro.n pe thakii chhaa.nv seapne dil kii tarah ro.ii hu.ii pag-DanDii semai.n tirii yaad ko siine se lagaa.e pahu.nchaabastiyaa.n chho.D ke tarse hu.e viiraano.n me.ntalKHii-e--dahr sameTe hu.e mai-KHaano.n me.nKHuun-e-insaan pe palte hu.e insaano.n me.njaane pahchaane hu.e logo.n me.n an-jaano.n me.nmai.n tirii yaad ko siine se lagaa.e pahuu.nchaaapne ahbaab tire Gam ke parastaaro.n me.napnii ruuThii hu.ii taqdiir ke Gam-KHvaaro.n me.napne ham-manzil-o-ham-raasta fankaaro.n me.naur fankaar kii saa.nso.n ke KHariidaaro.n me.nmai.n tirii yaad ko siine se lagaa.e pahu.nchaaye samajh kar ki ko.ii aa.nkh idhar uTThegiimerii maGmuum nigaahii ko mujhe samjhegiilekin a dost ye duniyaa hai yahaa.n teraa Gamek insaan ko taskiin bhii de saktaa haiek insaan kaa aaraam bhii le saktaa haiKHuu.n me.n Duubii hu.ii tahriir bhii ban saktaa haiek fankaar kii taqdiir bhii ban saktaa haisaarii duniyaa ke magar kaam nahii.n aa saktaasab ke ho.nTo.n pe tiraa naam nahii.n aa saktaa
ye aa.e din ke ha.ngaameye jab dekho safar karnaayahaa.n jaanaa vahaa.n jaanaaise milnaa use milnaahamaare saare lamheaise lagte hai.nki jaise train ke chalne se pahlerailway-station parjaldii jaldii apne Dabbe Dhuu.nDteko.ii musaafir ho.njinhe.n kab saa.ns bhii lene kii mohlat haikabhii lagtaa haitum ko mujh se mujh ko tum se milne kaaKHayaal aa.ekahaa.n itnii bhii fursat haimagar jab sa.ng-dil duniyaa meraa dil to.Dtii hai toko.ii ummiid chalte chaltejab mu.nh mo.Dtii hai tokabhii ko.ii KHushii kaa phuuljab is dil me.n khiltaa haikabhii jab mujh ko apne zehn seko.ii KHayaal in.aam miltaa haikabhii jab ik tamannaa puurii hone seye dil KHaalii saa hotaa haikabhii jab dard aa ke palko.n pe motii pirotaa haito ye ehsaas hotaa haiKHushii ho Gam ho hairat hoko.ii jazba hois me.n jab kahii.n ik mo.D aa.e tovahaa.n pal bhar kosaarii duniyaa piichhe chhuuT jaatii haivahaa.n pal bhar kois kaTh-putlii jaisii zindagii kiiDorii TuuT jaatii haimujhe us mo.D parbas ik tumhaarii hii zaruurat haimagar ye zindagii kii KHuubsuurat ik haqiiqat haiki merii raah me.n jab aisaa ko.ii mo.D aayaa haito har us mo.D par mai.n netumhe.n ham-raah paayaa hai
mai.n ki KHud apnii hii aavaaz ke sho.alo.n kaa asiirmai.n ki KHud apnii hii zanjiir kaa zindaanii huu.nkaun samjhegaa jahaa.n me.n mire zaKHmo.n kaa hisaabkis ko KHush aa.egaa is dahr me.n ruuho.n kaa azaabkaun aa kar mire miTne kaa tamaashaa dekhekis ko fursat ki uja.Dtii hu.ii duniyaa dekhekaun bha.Dkii hu.ii is aag ko apnaa.egaajo bhii aa.egaa mire saath hii jal jaa.egaavo gha.Dii kaun thii jab mujh ko milaa thaa ban-baasek jho.nkaa bhii havaa kaa na vatan se aayaane ko.ii nik.hat-e-gul aur na ko.ii mauj-e-nasiimphir ko.ii Dhuu.nDne mujh ko na chaman se aayaamai.n vo ik laal huu.n jo bik gayaa baazaaro.n me.nphir ko.ii puuchhne mujh ko na yaman se aayaayaad karte hu.e ik yuusuf-e-gum-gashta kokuchh dino.n ro.ii to hogii mire ghar kii diivaarkuchh dino.n gaa.nv kii galiyo.n me.n udaasii hogiikuchh dino.n khul na sake ho.nge tire haar si.nghaarkuchh dino.n ke liye sunsaan saa lagtaa hogaaaam ke baaG me.n bechain phirii hogii bahaarmai.n ne ik pe.D pe jo naam likhaa thaa apnaakuchh dino.n zaKHm ke maanind vo taaza hogaamere sab dost use dekh ke kahte ho.ngejaane kis des me.n bechaara bhaTaktaa hogaaumr bhar kaun kise yaad kiyaa kartaa haiek ik kar ke mujhe sab ne bhulaayaa hogaahaa.e un ko bhii KHabar kyaa ki vo ik zaKHm-nasiibzindagii ke liye niklaa thaa jo raahii ban karaaj tak paa na sakaa chashma-e-aab-e-haivaa.nus ko suuraj bhii mile hai.n to siyaahii ban karghar se laayaa thaa jo kuchh tab-e-ravaa.n zehn-e-rasaasaath us ke rahe asbaab-e-tabaahii ban karmeraa ye jurm ki mai.n saahab-e-idraak-o-shu.uurmeraa ye aib ki ik shaa.ir o fankaar huu.n mai.nmujh ko ye zid hai ki mai.n sar na jhukaa.uu.ngaa kabhiimujh ko israar ki jiine kaa sazaa-vaar huu.n mai.nmujh ko ye faKHr ki mai.n haqq-o-sadaaqat kaa amii.nmujh ko ye zo.am KHud-aagaah huu.n KHuddaar huu.n mai.nek ik mo.D pe aalaam o masaa.ib ke pahaa.Dek ik gaam pe aafaat se Takraayaa huu.nek ik zahr ko ha.ns ha.ns ke piyaa hai mai.n neek ik zaKHm ko chun chun ke uThaa laayaa huu.nek ik lamhe kii zanjiir se mai.n uljhaa huu.nek ik saa.ns pe KHud aap se sharmaayaa huu.nyuu.n to kahne kii nahii.n baat magar kahtaa huu.npyaar kaa naam kitaabo.n me.n likhaa dekhaa haijab kabhii haath ba.Dhaayaa hai kisii kii jaanibfaasla aur bhii kuchh ba.Dhtaa hu.aa dekhaa haibuu.nd bhar de na sakaa ko.ii mohabbat kii sharaabyuu.n to mai-KHaane kaa mai-KHaana luTaa dekhaa hai
zabaan me.n fii lafz ek inch izaafa ho rahaa haipahle bhii to ye kaa.ndho.n par pa.Dii thiitumhe.n merii mushkil kaa andaaza ho rahaa haitum jo mujh se baat karne par a.Dii thii.n
sulaimaa.n sar-ba-zaanuu aur sabaa viiraa.nsabaa viiraa.n, sabaa aaseb kaa maskansabaa aalaam kaa ambaar-e-be-paayaa.n!gayaah o sabza o gul se jahaa.n KHaaliihavaa.e.n tishna-e-baaraa.n,tuyuur is dasht ke minqaar-e-zer-e-partuu surma var guluu insaa.nsulaimaa.n sar-ba-zaanuu aur sabaa viiraa.n!sulaimaa.n sar-ba-zaanuu tursh-ruu Gam-gii.n, pareshaa.n-muujahaa.n-girii, jahaa.n-baanii faqat tarraara-e-aahuumohabbat shola-e-paraa.n havas buu-e-gul be-buuza-raaz-e-dahr kam-tar-go!sabaa viiraa.n ke ab tak is zamii.n par hai.nkisii ayyaar ke Gaarat-garo.n ke naqsh-e-paa baaqiisabaa baaqii, na mahru-e-sabaa baaqii!sulaimaa.n sar-ba-zaanuuab kahaa.n se qaasid-e-farKHanda-pai aa.e?kahaa.n se, kis subuu se kaasa-e-piirii me.n mai aa.e?
jis gul-badan ke tan me.n poshaak sausanii haiso vo parii to KHaasii kaalii-ghaTaa banii haiaur jis pe surKH jo.Daa yaa uudii o.Dhnii haius par to sab ghulaavaT barsaat kii chhanii haikyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books