aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "baak"
ahd-e-gum-gashta kii tasviir dikhaatii kyuu.n hoek aavaara-e-manzil ko sataatii kyuu.n hovo hasii.n ahd jo sharminda-e-iifaa na hu.aaus hasii.n ahd kaa mafhuum jataatii kyuu.n hozindagii sho.ala-e-be-baak banaa lo apniiKHud ko KHaakistar-e-KHaamosh banaatii kyuu.n homai.n tasavvuf ke maraahil kaa nahii.n huu.n qaa.ilmerii tasviir pe tum phuul cha.Daatii kyuu.n hokaun kahtaa hai ki aa.he.n hai.n masaa.ib kaa ilaajjaan ko apnii abas rog lagaatii kyuu.n hoek sarkash se mohabbat kii tamannaa rakh karKHud ko aa.iin ke phando.n me.n pha.nsaatii kyuu.n homai.n samajhtaa huu.n taqaddus ko tamaddun kaa farebtum rusuumaat ko iimaan banaatii kyuu.n hojab tumhe.n mujh se ziyaada hai zamaane kaa KHayaalphir mirii yaad me.n yuu.n ashk bahaatii kyuu.n hotum me.n himmat hai to duniyaa se baGaavat kar dovarna maa.n baap jahaa.n kahte hai.n shaadii kar lo
lo vo chaah-e-shab se niklaa pichhle-pahar piilaa mahtaabzehn ne kholii rukte rukte maazii kii paariina kitaabyaado.n ke be-ma.anii daftar KHvaabo.n ke afsurda shahaabsab ke sab KHaamosh zabaa.n se kahte hai.n ai KHaana-KHaraabguzrii baat sadii yaa pal ho guzrii baat hai naqsh-bar-aabye ruudaad hai apne safar kii is aabaad KHaraabe me.ndekho ham ne kaise basar kii is aabaad KHaraabe me.n
hai imtihaa.n sar par kha.Daa mehnat karo mehnat karobaa.ndho kamar baiThe ho kyaa mehnat karo mehnat karobe-shak pa.Dhaa.ii hai savaa aur vaqt hai tho.Daa rahaahai aisii mushkil baat kyaa mehnat karo mehnat karoshikve shikaayat jo ki the tum ne kahe ham ne sunejo kuchh hu.aa achchhaa hu.aa mehnat karo mehnat karomehnat karo in.aam lo in.aam par ikraam lojo chaahoge mil jaa.egaa mehnat karo mehnat karojo baiTh jaa.e.n haar kar kah do unhe.n lalkaar karhimmat kaa kuu.Daa maar kar mehnat karo mehnat karotadbiire.n saarii kar chuke baato.n ke dariyaa bah chukebak bak se ab kyaa faa.eda mehnat karo mehnat karoye biij agar Daaloge tum dil se use paa loge tumdekhoge phir is kaa mazaa mehnat karo mehnat karomehnat jo kii jii to.D kar har shauq se mu.nh mo.D karkar doge dam me.n faisla mehnat karo mehnat karokhetii ho yaa saudaagarii ho bhiik ho yaa chaakariisab kaa sabaq yaksaa.n sunaa mehnat karo mehnat karojis din ba.De tum ho ga.e duniyaa ke dhando.n me.n pha.nsepa.Dhne kii phir fursat kujaa mehnat karo mehnat karobachpan rahaa kis kaa bhalaa anjaam ko socho zaraaye to kaho khaa.oge kyaa mehnat karo mehnat karo
'zahra' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa haihaalaa.nki dar-ii.n-asnaa kyaa kuchh nahii.n dekhaa haipar likkhe to kyaa likkhe? aur soche to kyaa soche?kuchh fikr bhii mub.ham hai kuchh haath laraztaa hai'zahra' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa hai!diivaanii nahii.n itnii jo mu.nh me.n ho bak jaa.echup-shaah kaa roza bhii yuu.nhii nahii.n rakkhaa haibuu.Dhii bhii nahii.n itnii is tarah vo thak jaa.eab jaan ke us ne ye andaaz banaayaa haihar chiiz bhulaave ke sanduuq me.n rakh dii haiaasaanii se jiine kaa achchhaa ye tariiqa hai'zahra' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa hai!ghar baar, samajhtii thii, qil.a hai hifaazat kaadekhaa ki grihastii bhii miTTii kaa khilaunaa haimiTTii ho ki patthar ho hiiraa ho ki motii hoghar-baar ke maalik kaa ghar-baar pe qabza haiehsaas-e-hukuumat ke iz.haar kaa kyaa kahnaa!in.aam hai maz.hab kaa jo haath me.n ko.Daa hai'zehraa' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa hai!diivaar pe Taa.ngaa thaa farmaan rifaaqat kaakyaa vaqt ke dariyaa ne diivaar ko Dhaayaa haifarmaan-e-rifaaqat kii taqdiis bas itnii haiik jumbish-e-lab par hai, rishta jo azal kaa hai'zahra' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa hai!do beTo.n ko kyaa paalaa naadaa.n ye samajhtii thiiis daulat-e-duniyaa kii maalik vahii tanhaa haipar vaqt ne aa.iina kuchh aisaa dikhaayaa haitasviir kaa ye pahluu ab saamne aayaa haiba.Dhte hu.e bachcho.n par khultii hu.ii duniyaa haikhultii hu.ii duniyaa kaa har baab tamaasha haimaa.n baap kii suurat to dekhaa hu.aa naqsha haidekhe hu.e naqshe kaa har rang puraanaa hai'zehraa' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa hai!sochaa thaa bahan bhaa.ii dariyaa hai.n mohabbat kedekhaa ki kabhii dariyaa rasta bhii badaltaa haibhaa.ii bhii giraftaar-e-majbuurii-e-KHidmat hai.nbahno.n pe bhii taarii hai qismat kaa jo likkhaa haiik maa.n hai jo pe.Do.n se baate.n kiye jaatii haikahne ko hai.n das bachche aur phir bhii vo tanhaa hai'zehraa' ne bahut din se kuchh bhii nahii.n likkhaa hai
kaash ik ''diivaar-e-ra.ng''mere un ke darmiyaa.n haa.el na ho!ye siyah-paikar barahna raah-rauye gharo.n me.n KHuub-suurat aurato.n kaa zahr-e-KHandye guzargaaho.n pe dev-aasaa javaa.njin kii aa.nkho.n me.n gurisna aarzu.o.n kii lapakmushta.il be-baak mazduuro.n kaa sailaab-e-aziim!arz-e-mashriq, ek mub.ham KHauf se larzaa.n huu.n mai.naaj ham ko jin tamannaa.o.n kii hurmat ke sababdushmano.n kaa saamnaa maGrib ke maidaano.n me.n haiun kaa mashriq me.n nishaa.n tak bhii nahii.n!
uTThii hai maGrib se ghaTaapiine kaa mausam aa gayaahai raqs me.n ik mah-laqaanaazuk adaa naaz-aafrii.nhaa.n naachtii jaa gaa.e jaanazro.n se dil barmaa.e jaata.Dpaa.e jaa ta.Dpaa.e jaao dushman-e-duniyaa-o-dii.n!teraa thiraknaa KHuub haiterii adaa.e.n dil-nashii.nlekin Thahar tuu kaun haio niim-uryaa.n naaznii.nkyaa mashriqii aurat hai tuuhargiz nahii.n hargiz nahii.nterii ha.nsii bebaak haiterii nazar chaalaak haiuff kis qadar dil-soz haitaqriir baazaarii tiriikitnii havas-aamoz haiye saada purkaarii tiriisharm aur izzat vaaliyaa.nhotii hai.n iffat vaaliyaa.nvo husn kii shahzaadiyaa.nparde kii hai.n aabaadiyaa.nchashm-e-falak ne aaj takdekhii nahii.n un kii jhalaksarmaaya-e-sharm-o-hayaazevar hai un ke husn kaashauhar ke dukh sahtii hai.n vomu.nh se nahii.n kahtii hai.n vokab saamne aatii hai.n voGairat se kaT jaatii hai.n voe.azaaz-e-millat un se hainaam-e-sharaafat un se haiiimaan par qaa.em hai.n vopaakiiza-o-saa.em hai.n votujh me.n nahii.n sharm-o-hayaatujh me.n nahii.n mehr-o-vafaasach sach bataa tuu kaun haio be-hayaa tuu kaun haiehsaas-e-izzat kyuu.n nahii.nsharm aur Gairat kyuu.n nahii.nye pur-fusuu.n Gamze tirenaa-mahramo.n ke saamnehaT saamne se duur homarduud ho maqhuur hotaqdiir kii heTii hai tuushaitaan kii beTii hai tuujis qaum kii aurat hai tuuus qaum par la.anat hai tuulekin Thahar jaanaa zaraaterii nahii.n ko.ii KHataamardo.n me.n Gairat hii nahii.nqaumii hamiiyat hii nahii.nvo millat-e-baizaa ki thiisaare jahaa.n kii raushniijam.iyyat-e-islaamiyaa.nshaahanshah-e-hindostaa.nab is me.n dam kuchh bhii nahii.nham kyaa hai.n ham kuchh bhii nahii.nmillii siyaasat uTh ga.iibaazuu kii taaqat uTh ga.iishaan-e-hijaazii ab kahaa.nvo turktaazii ab kahaa.nab Gaznavii himmat ga.iiab baabarii shaukat ga.iiiimaan aalamgiir kaamuslim ke dil se uTh gayaaqaum ab jafaa-pesha hu.iiizzat gadaa-pesha hu.iiab rang hii kuchh aur haibe-Gairatii kaa daur haiye qaum ab miTne ko haiye nard ab piTne ko haiafsos ye hindostaa.n!ye gulshan-e-jannat-nishaa.n!iimaan-daaro.n kaa vatantaa.at-guzaaro.n kaa vatanrah jaa.egaa viiraana phirban jaa.egaa but-KHaana phirlekin mujhe kyaa KHabt haitaqriir kyuu.n be-rabt haiaisaa bahak jaataa huu.n mai.nmu.nh aa.ii bak jaataa huu.n mai.nitnaa sharaabii ho gayaaaql-o-KHirad ko kho gayaamujh ko zamaane se GarazmiTne miTaane se Garazhindostaa.n se kaam kyaaandesha-e-anjaam kyaajiine do jiine do mujhepiine do piine do mujhejab hashr kaa din aa.egaaus vaqt dekhaa jaa.egaahaa.n naachtii jaa gaa.e jaanazro.n se dil barmaa.e jaata.Dpaa.e jaa ta.Dpaa.e jaao dushman-e-duniyaa-o-dii.n
bharaa hu.aa hai nigaaho.n me.n zindagii ke dhu.aa.nbas ek sho.ala-e-shab-taab me.n sharar kyuu.n haimire vajuud me.n jis se ka.ii KHaraashe.n hai.nvo ik shikan tire maathe pe muKHtasar kyuu.n haijamii hu.ii hai sitaaro.n pe aa.nsu.o.n kii namiitire charaaG kii lau itnii tez-tar kyuu.n hai
dhartii dha.Dak rahii hai mire saath africadariyaa thirak rahaa hai to ban de rahaa hai taalmai.n africa huu.n dhaar liyaa mai.n ne teraa ruupmai.n tuu huu.n merii chaal hai terii babbar kii chaal''aa jaa.o africa''aa.o babbar kii chaal''aa jaa.o africa''
vo parvarda-e-ashva-baaziikanakhiyo.n se yuu.n dekhtii thiiki jaise vo un sar-niguu.n aarzuu.o.n ko pahchaantii hojo kartii hai.n akasr yuu.nhii ruu-shanaasiikabhii dostii kii tamannaakabhii ilm kii pyaas ban kar!vo kuulhe hilaatii thii ha.nstii thiiik sochii samjhii hisaabii lagaavaT sejaise vo un KHufiya sar-chashma-gaaho.n ke har raaz ko jaantii hovo taKHte ke piichhe kha.Dii qahqahe maartii lauTtii thiikahaa mai.n ne KHaalid se:bahruupiye!is vilaayat me.n zarb-e-masal hai''ki uu.nTo.n kii saudaa-garii kii lagan hoto ghar un ke qaabil banaa.oaur is shahr me.n yuu.n to ustaaniyaa.n an-ginat hai.nmagar is kii ujrat bhalaa tum kahaa.n de sakoge!''vo phir muztarib ho ke be-iKHtiyaarii se ha.nsne lagii thii!vo bolii ''ye sach haiki ujrat to ik shaahii bhar kam na hogiimagar faujiyo.n kaa bharosa hii kyaa haibhalaa tum kahaa.n baaz aa.ogeaaKHir zabaa.n siikhne ke bahaaneKHayaanat karoge''vo ha.nstii hu.iiik na.e mushtarii kii taraf multafit ho ga.ii thii!
husn jab afsurda phuulo.n kii tarah paamaal thaajab mohabbat kaa Galat duniyaa me.n isti.maal thaabe-KHudii ke naam par jab daur-e-jaam-e-baada thaajab taljallii-e-haqiiqat se har ik dil saada thaaziist kaa aur maut kaa idraak duniyaa ko na thaazulm kaa ehsaas jab be-baak duniyaa ko na thaaband aa.nkhe.n kar ke is duniyaa ke makruuhaat setuu ne haasil kii ziyaa-e-dil, tajalliyyaat sebarf-zaaro.n ko tire anfaas ne garmaa diyaatere istiGnaa ne taKHt-e-saltanat Thukraa diyaayaad terii aaj bhii hindustaa.n me.n taaza haichiin, jaapaan aur tibbat tak tiraa aavaaza hairaushnii jis kii na hogii maa.nd vo mash.al hai tuusar-zamiin-e-hind kaa irfaanii-e-avval hai tuu
may ke mahiine kaa maanuus manzarGariibo.n ke saathii ye ka.nkar ye pattharvahaa.n shahr se ek hii miil haT karsa.Dak ban rahii haizamii.n par kudaalo.n ko barsaa rahe hai.npasiine pasiine hu.e jaa rahe hai.nmagar is mashaqqat me.n bhii gaa rahe hai.nsa.Dak ban rahii haimusiibat hai ko.ii masarrat nahii.n haiunhe.n sochne kii bhii fursat nahii.n haijamadaar ko kuchh shikaayat nahii.n haisa.Dak ban rahii haijavaa.n naujavaa.n aur KHamiida kamar bhiifasurda jabii.n bhii bahisht-e-nazar bhiivahii.n shaam-e-Gam bhii jamaal-e-sahar bhiisa.Dak bin rahii haijamadaar saa.e me.n baiThaa hu.aa haikisii par use kuchh itaab aa gayaa haikisii kii taraf dekh kar ha.ns rahaa haisa.Dak ban rahii haiye be-baak ulfat par alha.D ishaarabasantii se raamuu to raamuu se raadhaajamadaar bhii hai basantii kaa shaidaasa.Dak ban rahii haijo sar pe hai pag.Dii to haatho.n me.n hunterchalaa hai jamadaar kis shaan se gharbasantii bhii jaatii hai nazre.n bachaa karsa.Dak ban rahii haisamajhte hai.n lekin hai.n masruur ab bhiiusii tarah gaate hai.n mazduur ab bhiibahar-haal vaa.n hasb-e-dastuur ab bhiisa.Dak ban rahii hai
raat ke aks-e-taKHayyul se mulaaqaat ho jis kaa maqsuudkabhii darvaaze se aataa hai kabhii khi.Dkii seaur har baar na.e bhes me.n dar aataa haius ko ik shaKHs samajhnaa to munaasib hii nahii.nvo tasavvur me.n mire aks hai har shaKHs kaa har insaa.n kaakabhii bhar letaa hai ik bholii sii mahbuuba-e-naadaan kaa bahruup kabhiiek chaalaak jahaa.n-diida o be-baak sitam-gar ban kardhokaa dene ke liye aataa hai bahkaataa haiaur jab vaqt guzar jaa.e to chhup jaataa hai
zamii.n ke siine se aur aastiin-e-qaatil seguluu-e-kushta se behis zabaan-e-KHanjar sesadaa lapaktii hai har samt harf-e-haq kii tarahmagar vo kaan jo bahre hai.n sun nahii.n saktemagar vo qalb jo sa.ngii.n hai.n hil nahii.n sakteki un me.n ahl-e-havas kii sadaa kaa siisa haivo jhukte rahte hai.n lab-haa-e-iqtidaar kii samtvo sunte rahte hai.n bas hukm-e-haakimaan-e-jahaa.ntavaaf karte hai.n arbaab-e-giir-o-daar ke gird
KHvaab ab husn-e-tasavvur ke ufuq se hai.n paredil ke ik jazba-e-maasuum ne dekhe the jo KHvaabaur ta.abiiro.n ke tapte hu.e sahraa.o.n me.ntishnagii aabla-paa shola-ba-kaf mauj-e-saraabye to mumkin nahii.n bachpan kaa ko.ii din mil jaa.eyaa palaT aa.e ko.ii saa.at-e-naayaab-e-shabaabphuuT nikle kisii afsurda tabassum se kiranyaa damak uTThe kisii dast-e-buriida me.n gulaabaah patthar kii lakiire.n hai.n ki yaado.n ke nuquushkaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishta kii kitaabbiite lamhaat ke so.e hu.e tuufaano.n me.ntairte phirte hai.n phuuTii hu.ii aa.nkho.n ke hubaabtaabish-e-ra.ng-e-shafaq aatish-e-ruu-e-KHurshiidmil ke chehre pe sahar aa.ii hai KHuun-e-ahbaabjaane kis mo.D pe kis raah me.n kyaa biitii haikis se mumkin hai tamannaa.o.n ke zaKHmo.n kaa hisaabaastiino.n ko pukaare.nge kahaa.n tak aa.nsuuab to daaman ko paka.Dte hai.n lahuu ke girdaabdekhtii phirtii hai ek ek mu.nh KHaamoshiijaane kyaa baat hai sharminda hai andaaz-e-KHitaabdar-ba-dar Thokare.n khaate hu.e phirte hai.n savaalaur mujrim kii tarah un se gurezaa.n hai javaabsarkashii phir mai.n tujhe aaj sadaa detaa huu.nmai.n tiraa shaa.ir-e-aavaara o be-baak-o-KHaraabphe.nk phir jazba-e-be-taab kii aalam pe kamandek KHvaab aur bhii ai himmat-e-dushvaar-pasand
unhii.n sho.alo.n kii tamaazat kaa sahaaraa le karbarbariyyat ke har aivaan se Takraayaa huu.nhar ka.De vaqt me.n sa.ngiin chaTaano.n kii tarahtund haalaat ke tuufaan se Takraayaa huu.ntuu kahaa.n aur mirii jur.at-e-be-baak kahaa.ntujh ko is kaahish-e-jaa.n-soz kaa idraak kahaa.n
pyaare beTe ibraahiimtumhe.n shikaayat hai ki ek arse se mai.n ne kuchh likhaa likhaa yaa nahii.n'iqbaal' ne kahaa thaanaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.nphir 'faiz' ne kahaa thaabol ki lab aazaad hai.n terebahut uksaataa huu.n apne-aap kolekin zabaan kii girah khultii hii nahii.naur dil kaa sho.ala-lab mojiz-bayaa.n par aataa hii nahii.nhaa.e 'naasir'-kaazmii'bas 'Gaalib' kii tarah kaan lapeT kar baiTh jaataa huu.nkhulaa kar faa.eda arz-e-hunar me.n KHaak nahii.nboluu.ngaa to sunegaa kaunkisii ke kaan me.n pa.D bhii ga.ii to samjhegaa kaunaaj-kal to ba.De ba.De kha.D-pe.ncho.n kii haalat ye haiki ko.ii suntaa hai to samajhtaa nahii.nko.ii samajhtaa hai to suntaa nahii.naur bahut hai.n jo sunte bhii nahii.n samajhte bhii nahii.nphir mere paas naale ko hai kiyaakaun sii zaruurii baat hai jo an-kahii rah ga.ii haisaare falsafe saare nazariye saare masaa.il to bayaan ho chukeshaa.iro.n ne latiif se latiif jazbe ko sau sau tarah se baa.ndh Daalaamausiiqaaro.n ne naazuk se naazuk ehsaas ko paaband le kar diyaana kisii ke liye kuchh kahne ko baaqii haina kisii me.n sun.ne kaa yaaraa haiyahii Ganiimat hai ki dil bhar aa.e to mu.nh hii mu.nh me.n kuchh ba.Dba.Daa le.naaKHir jab KHudaa ne abhii KHudaa.ii na banaa.ii thiito akele me.n kyaa kartaa ho voKHud hii boltaa hogaa KHud hii suntaa hogaa vomeraa ye maqaam to nahii.n lekin haalat yahii haiKHud hii boltaa huu.n KHud hii suntaa huu.nbas ye samajh me.n nahii.n aataa ki kahaa kyaa hai aur sunaa kyaa haivaise ye samjhe samjhaane vaalii baat bhii Te.Dhii KHair hai'Gaalib' ne kahaa thaabak rahaa huu.n junuu.n me.n kyaa kyaa kuchh kuchh na samjhe KHudaa kariye ko.iiaur is se pahle 'miir-dard' ne bahut dard se bataayaa thaasamajhte the na magar sunte the taraana-e-dard samajh me.n aane lagaa jab to phir sunaa na gayaavassalaam
alif lafz o ma.aanii se mubarraaalif tanhaa.ii kaa raushan hayuulaaalif aazaad aavaazo.n ke shar sealif be-baak har aib o hunar sealif takmiilii markaz kaa muharrikalif har lamhe ke siine me.n dha.Dkanalif sadiyo.n ke sahraa par musallatalif aabii na siimaabii tasalsultasalsul saa.ns kii zanjiir-e-aaha.ngtasalsul KHvaab kii ta.abiir-e-be-ra.ngtasalsul lafz kii tafsiir-e-farha.ng
maTiyaale maTiyaale baadal ghuum rahe hai.n maidaano.n ke phailaav pardariyaa kii diivaanii mauje.n humak humak kar hans detii hai.n ik naav parsaamne uude se parbat kii abr-aaluuda choTii par hai ek shivaalaajis ke aks kii taabaanii se phail rahaa hai chaaro.n jaanib ek ujaalaajhilmil kartii ek mash.al se mehraabo.n ke gahre saa.e raqsiida hai.nhar suu pariyaa.n naach rahii hai.n jin ke aariz raKHshaa.n nazre.n duzdiida hai.nambar aur lobaan kii lahre.n doshiiza kii zulfo.n pe aaise bal khaatii hai.nchaa.ndii ke naaquus kii taane.n dhu.ndle dhu.ndle nazzaaro.n me.n ghul jaatii hai.nhaath ba.Dhaa.e sar nihuuu.Daa.e patle saayo.n kaa ik jhurmuT ghuum rahaa haipuujaa kii lazzat me.n kho kar mandir ke taabinda ziine chuum rahaa haiek bahut patlii pagDanDii saahil-e-dariyaa se mandir tak kaa.np rahii hainaav chalaane vaalii la.Dkii chappuu ko maathe se lagaa.e haa.np rahii haidiivaanii ko kaun bataa.e us mandir kii dhun me.n sab thak-haar ga.e hai.nsaa.e ban ke ghuum rahe hai.n jo be-baak chalaane vaale paar ga.e hai.nvo jab naav se utregii maTiyaale maTiyaale baadal ghir aa.e.ngemaidaano.n par kohsaaro.n par dariyaa par naav par sab par chhaa jaa.e.ngeavval to pagDanDii kho kar gir jaa.egii Gaaro.n Gaaro.n me.n bechaariibach niklii to ho jaa.egii us ke naazuk dil par ik haibat sii taariihosh me.n aa.ii to rag rag par ek nasha saa be-hoshii kaa chhaayaa hogaajism ke badle us mandir me.n dhundlaa ik lachkiilaa saayaa hogaa
dikhtii haDDiyaa.n kahtii hai aaraam karo abdil kahtaa hai abhii nahii.n abhii to kaam pa.Daa hai sabmagar ek aur hii bolii boltaa hai dimaaGpahle kaun saa tiir maar liyaa thaa aap ne jo ab phir chale hai.n jauhar dikhaanesarau.Te kaa don khote aur sarshaar kaa KHudaa.ii faujdaarii bhiita.Dapte ho.nge qabr me.n pa.De pa.Deaap kii be-qaraariyaa.n dekh karduniyaa hii to badal Daalii aap ne apnii tahriiro.n aur taqriiro.n seaur kyaa kahne hai.n aap kii siyaasat kesoto.n ko jagaa diyaa aap nezer-dasto.n ko uThaa diyaa zabardasto.n ko giraa diyaa aap nesach-much kaa inqilaab hii to barpaa kar ke rakh diyaa aap nechho.D jaane diijiye bahut ho ga.ii janaabsunahre harfo.n me.n likhaa jaa chukaa hai aap kaa naam an-likhii taariiKH me.naap vo hero hai.n ko.ii giit nahii.n gaataa jis kevo gumnaam sipaahii hai.n jise sirfaasmaan kii aa.nkh ne dekhaa hotaa hai daad-e-shujaa.at deteagar aap ke haatho.n vaaqa.ii ko.ii achchhaa kaam sarzad ho gayaa thaa toyaqiinan pataa hogaa us kaa KHudaa kovo is kaa zaruur ajr degaa aap koaur sabr se ba.Dh kar kyaa ho saktaa hai ajrsabr kiijiye zaraadukhtii haDDiyo.n kii bhii sun liijiye zaraais KHaana-KHaraab-e-dil kii maan kar hii to aap hu.e hai.n KHaana-KHaraabhamesha bahkaayaa hai us ne aap koGalat-salat raasto.n par chalaayaa hai aap kojahaa.n chup rahne me.n maslahat thii vahaa.n bolne par uksaayaa hai aap kojab haath ba.Dhaa kar jaam uThaane kaa vaqt thaa toinkisaarii ke chakkar me.n pha.nsaayaa hai aap kozaraa apne badan se pochhiye apnii umr aur phir puuchh kar dekhiye dil seaap sattar ke hai.n naa magar badan kahe gaa saalaur dil bataa.egaa chaaliis saalis dil par KHuun kii gulaabii nehuliya bigaa.D kar rakh diyaa hai achchhe-bhale insaan kaapa.Dhe-likkhe shariif aadmii ko dhakel diyaa haisiyaasat ke qassaab-KHaane me.nbha.ii jis kaa kaam usii ko saaje aur kare to The.ngaa baajeaap kyuu.n pareshaan hote hai.n har barii KHabar parvaise kabhii KHair kii KHabar bhii aa.ii hai vatan-e-aziiz seyaad nahii.n rahaa aap ke to murshid bhii kahte the baar baarvo kaam hamaarii zimmedaarii nahii.n hotaa jis kii anjaam-dahii kaa saamaan na de KHudaaumar-faaruuq ko zeb detaa thaa fikrmand honaafuraat ke kinaare bhuuk se mar jaane vaale kutte ke liyeis liye ki vo the KHaliifa-a-vaqtto kan me.n KHvaah-maKHvaahaap to kotvaal bhii nahii.n kisii shahr keaur chale hai.n puure malak kii fikr karnebalki saarii insaaniyat kaa Gam paal rakhaa hai aap ne tomai.n ne pahle bhii kahaa shaa.iro.n kii bak bak na sunaa kare.n aap ziyaadaba-qaul-e-KHudaa vo to aadii hai.n Galat-bayaanii kehaahaa kaa.nTaa chubhe kisii ko ta.Dapte hai.n ham amiir saare jahaa.n kaa dard hamaare jigar me.n haiaap ko auro.n kii pa.Dii hai.n pahle apnii to nabe.D le.n aapcharity begins at home janaabaa.iye sukuun se baiThe do gha.Diiziyaada der kha.De rahne se aur ba.Dh jaa.egaa ghuTne kaa dardkyaa KHayaal hai sabz chaa.e ke baare me.nyaa phir pii liijiye ThanDaa miiThaa ruuh-afzaasiine aasmaanii mausiiqii baaKH aur motzaarT kiiDhiilaa chho.Diye zaraa a.asaab koso jaa.iye so jaa.iye nii.nd aa jaa.e agarlorii duu.n aap koraat-din gardish me.n hai.n saat aasmaa.nho rahegaa kuchh na kuchh ghabraa.e.n kyaa
jin sar-afraazo.n kii ruuhe.n aaj hai.n aflaak parmaut KHud hairaa.n thii jin kii jur.at-e-be-baak par
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books