aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "chhut"
mai.n banjaaravaqt ke kitne shahro.n se guzraa huu.nlekinvaqt ke is ik shahr se jaate jaate mu.D ke dekh rahaa huu.nsoch rahaa huu.ntum se meraa ye naataa bhii TuuT rahaa haitum ne mujh ko chho.Daa thaa jis shahr me.n aa karvaqt kaa ab vo shahr bhii mujh se chhuuT rahaa haimujh ko vidaa.a karne aa.e hai.nis nagrii ke saare baasiivo saare dinjin ke ka.ndhe par sotii haiab bhii tumhaarii zulf kii KHushbuusaare lamhejin ke maathe par raushanab bhii tumhaare lams kaa Tiikaanam aa.nkho.n segum-sum mujh ko dekh rahe hai.nmujh ko in ke dukh kaa pataa haiin ko mere Gam kii KHabar hailekin mujh ko hukm-e-safar haijaanaa hogaavaqt ke agle shahr mujhe ab jaanaa hogaa
chup ho kyuu.n? kyaa soch rahe hoaa.o sab kuchh aaj bhulaa doaa.o apne pyaare saathiiphir se mujhe ik baar jilaa do
motii ho ki shiisha jaam ki durjo TuuT gayaa so TuuT gayaakab ashko.n se ju.D saktaa haijo TuuT gayaa so chhuuT gayaa
jo marhalo.n me.n saath the vo manzilo.n pe chhuT ga.ejo raat me.n luTe na the vo dopahar me.n luT ga.emagan thaa mai.n ki pyaar ke bahut se giit gaa.u.ngaazabaan gu.ng ho ga.ii, gale me.n giit ghuT ga.ekaTii hu.ii hai.n u.ngliyaa.n rubaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
umr-bhar kaa ye rishtachhuuT bhii to saktaa haiaaKHirii whistle ke saathDuub jaane vaalaa dilTuuT bhii to saktaa haitum bhii iftiKHaar-aarifbaarahve.n khilaa.Dii hointizaar karte hoek aise lamhe kaaek aisii saa.at kaajis me.n haadisa ho jaa.ejis me.n saaneha ho jaa.etum bhii iftiKHaar-aariftum bhii Duub jaa.ogetum bhii TuuT jaa.oge
kyaa hind kaa zindaa.n kaa.np rahaa hai guu.nj rahii hai.n takbiire.nuktaa.e hai.n shaayad kuchh qaidii aur to.D rahe hai.n zanjiire.ndiivaaro.n ke niiche aa aa kar yuu.n jam.a hu.e hai.n zindaaniisiino.n me.n talaatum bijlii kaa aa.nkho.n me.n jhalaktii shamshiire.nbhuuko.n kii nazar me.n bijlii hai topo.n ke dahaane ThanDe hai.ntaqdiir ke lab ko jumbish hai dam to.D rahii hai.n tadbiire.naa.nkho.n me.n gadaa kii surKHii hai be-nuur hai chehra sultaa.n kaataKHriib ne parcham kholaa hai sajde me.n pa.Dii hai.n taamiire.nkyaa un ko KHabar thii zer-o-zabar rakhte the jo ruuh-e-millat kouble.nge zamii.n se maar-e-siyah barse.ngii falak se shamshiire.nkyaa un ko KHabar thii siino.n se jo KHuun churaayaa karte theik roz isii be-ra.ngii se jhalke.ngii hazaaro.n tasviire.nkyaa un ko KHabar thii ho.nTo.n par jo qufl lagaayaa karte theik roz isii KHaamoshii se Tapke.ngii dahaktii taqriire.nsambhlo ki vo zindaa.n guu.nj uThaa jhapTo ki vo qaidii chhuuT ga.euTTho ki vo baiThii.n diivaare.n dau.Do ki vo TuuTii zanjiire.n
hotaa hai mah-vasho.n kaa vo aalam tire huzuurjaise charaaG-e-murdaa sar-e-bazm-e-sham-e-tuuraa kar tirii janaab me.n ai kaar-saaz-e-nuurpalko.n me.n mu.nh chhupaate hai.n jhe.npe hu.e Guruuraatii hai ek lahr sii chehro.n par aah kiiaa.nkho.n me.n chhuuT jaatii hai.n nabze.n nigaah kii
ai sip.har-e-barii.n ke sayyaaroai fazaa-e-zamii.n ke gul-zaaroai pahaa.Do.n kii dil-fareb fazaaai lab-e-juu kii ThanDii ThanDii havaaai anaadil ke naGma-e-sahariiai shab-e-maahtaab taaro.n bhariiai nasiim-e-bahaar ke jho.nkodahr-e-naa-paa.edaar ke dhokotum har ik haal me.n ho yuu.n to aziizthe vatan me.n magar kuchh aur hii chiizjab vatan me.n hamaaraa thaa ramnaatum se dil baaG baaG thaa apnaatum mirii dil-lagii ke saamaa.n thetum mire dard-e-dil ke darmaa.n thetum se kaTtaa thaa ra.nj-e-tanhaa.iitum se paataa thaa dil shakebaa.iiaan ik ik tumhaarii bhaatii thiijo adaa thii vo jii lubhaatii thiikarte the jab tum apnii Gam-KHvaariidho.ii jaatii thii.n kulfate.n saariijab havaa khaane baaG jaate theho ke KHush-haal ghar me.n aate thebaiTh jaate the jab kabhii lab-e-aabdho ke uThte the dil ke daaG shitaabkoh o sahraa o aasmaan o zamii.nsab mirii dil-lagii kii shakle.n thii.npar chhuTaa jis se apnaa mulk o dayaarjii hu.aa tum se KHud-ba-KHud bezaarna gulo.n kii adaa KHush aatii haina sadaa bulbulo.n kii bhaatii haisair-e-gulshan hai jii kaa ik janjaalshab-e-mahtaab jaan ko hai vabaalkoh o sahraa se taa lab-e-dariyaajis taraf jaa.e.n jii nahii.n lagtaakyaa hu.e vo din aur vo raate.ntum me.n aglii sii ab nahii.n baate.nham hii Gurbat me.n ho ga.e kuchh auryaa tumhaare badal ga.e kuchh taurgo vahii ham hai.n aur vahii duniyaapar nahii.n ham ko lutf duniyaa kaaai vatan ai mire bahisht-e-barii.nkyaa hu.e tere aasmaan o zamii.nraat aur din kaa vo samaa.n na rahaavo zamii.n aur vo aasmaa.n na rahaaterii duurii hai morid-e-aalaamtere chhuTne se chhuT gayaa aaraamkaaTe khaataa hai baaG bin teregul hai.n nazro.n me.n daaG bin teremiT gayaa naqsh kaamraanii kaatujh se thaa lutf zindagaanii kaajo ki rahte hai.n tujh se duur sadaain ko kyaa hogaa zindagii kaa mazaaho gayaa yaa.n to do hii din me.n ye haaltujh bin ek ek pal hai ik ik saalsach bataa to sabhii ko bhaataa haiyaa ki mujh se hii teraa naataa haimai.n hii kartaa huu.n tujh pe jaan nisaaryaa ki duniyaa hai terii aashiq-e-zaarkyaa zamaane ko tuu aziiz nahii.nai vatan tuu to aisii chiiz nahii.njin o insaan kii hayaat hai tuumurG o maahii kii kaa.enaat hai tuuhai nabaataat kaa numuu tujh seruukh tujh bin hare nahii.n hotesab ko hotaa hai tujh se nashv-o-numaasab ko bhaatii hai terii aab-o-havaaterii ik musht-e-KHaak ke badleluu.n na hargiz agar bahisht milejaan jab tak na ho badan se judaako.ii dushman na ho vatan se havaa
ye aa.e din ke ha.ngaameye jab dekho safar karnaayahaa.n jaanaa vahaa.n jaanaaise milnaa use milnaahamaare saare lamheaise lagte hai.nki jaise train ke chalne se pahlerailway-station parjaldii jaldii apne Dabbe Dhuu.nDteko.ii musaafir ho.njinhe.n kab saa.ns bhii lene kii mohlat haikabhii lagtaa haitum ko mujh se mujh ko tum se milne kaaKHayaal aa.ekahaa.n itnii bhii fursat haimagar jab sa.ng-dil duniyaa meraa dil to.Dtii hai toko.ii ummiid chalte chaltejab mu.nh mo.Dtii hai tokabhii ko.ii KHushii kaa phuuljab is dil me.n khiltaa haikabhii jab mujh ko apne zehn seko.ii KHayaal in.aam miltaa haikabhii jab ik tamannaa puurii hone seye dil KHaalii saa hotaa haikabhii jab dard aa ke palko.n pe motii pirotaa haito ye ehsaas hotaa haiKHushii ho Gam ho hairat hoko.ii jazba hois me.n jab kahii.n ik mo.D aa.e tovahaa.n pal bhar kosaarii duniyaa piichhe chhuuT jaatii haivahaa.n pal bhar kois kaTh-putlii jaisii zindagii kiiDorii TuuT jaatii haimujhe us mo.D parbas ik tumhaarii hii zaruurat haimagar ye zindagii kii KHuubsuurat ik haqiiqat haiki merii raah me.n jab aisaa ko.ii mo.D aayaa haito har us mo.D par mai.n netumhe.n ham-raah paayaa hai
kis ko samjhaa.e.n use khode.n to phir paa.e.nge kyaaham agar rishvat nahii.n le.nge to phir khaa.e.nge kyaaqaid bhii kar de.n to ham ko raah par laa.e.nge kyaaye junuun-e-ishq ke andaaz chhuT jaa.e.nge kyaa
jahaa.n me.n chaar taraf chiiKH hai karaahe hai.nsitam-rasiida dilo.n se nikaltii aahe.n hai.nhai shor-e-naala-o-aah-o-buka chahaar tarafkahaa.n kii eid hai maatam bapaa chahaar tarafmanaa.e kaise ko.ii eid har taraf Gam haimanaa.e kaise ko.ii eid aa.nkh pur-nam haisunaa.e kaise ko.ii giit saaz TuuT ga.ejagaa.e kaise ko.ii aas apne chhuuT ga.e
mai.n tum se chhuuT rahaa huu.n mire pyaaromagar miraa rishta puKHta ho rahaa hai is zamii.n sejis kii god me.n samaane ke liyemai.n ne puurii zindagii rehearsal kii haikabhii kuchh kho kar kabhii kuchh paa karkabhii ha.ns kar kabhii ro karpahle din se mujhe apnii manzil kaa pata thaaisii liye mai.n kabhii zor se nahii.n chalaaaur jinhe.n zor se chalte dekhaataras khaayaa un kii haalat paris liye ki vo jaante hii na theki vo kyaa kar rahe hai.n
mere kamre me.n utar aa.ii KHamoshii phir sesaaya-e-shaam-e-Gariibaa.n kii tarahshorish-e-diida-e-giryaa.n kii tarahmausam-e-kunj-e-bayaabaa.n kii tarahkitnaa be-nutq hai yaado.n kaa hujuumjaise ho.nTo.n kii fazaa yaKH-bastajaise lafzo.n ko gahan lag jaa.ejaise ruuThe hu.e rasto.n ke musaafir chup-chaapjaise marqad ke sirhaane ko.ii KHaamosh charaaGjaise sunsaan se maqtal kii saliibjaise kajlaa.ii hu.ii shab kaa nasiibmere kamre me.n utar aa.ii KHamoshii phir sephir se zaKHmo.n kii qataare.n jaagii.navval-e-shaam-e-charaaGaa.n kii tarahhar na.e zaKHm ne phir yaad dilaayaa mujh koisii kamre me.n kabhiimahfil-e-ahbaab ke saathgungunaate hu.e lamho.n ke shajar phailte theraqs karte hu.e jazbo.n ke dahakte lamheqarya-e-jaa.n me.n lahuu kii suuratsham-e-vaada kii tarah jalte thesaa.ns letii thii fazaa me.n KHushbuuaa.nkh me.n gulban-e-marjaa.n kii tarahsaa.ns ke saath guhar Dhalte theaaj kyaa kahiye ki aisaa kyuu.n haishaam chup-chaapfazaa yaKH-bastadil miraa dil ki samundar kii tarah zinda thaatere hote hu.e tanhaa kyuu.n haito ki KHud chashma-e-aavaaz bhii haimerii mahram mirii hamraaz bhii haitere hote hu.e har samt udaasii kaisiishaam chup-chaapfazaa yaKH-bastadil ke hamraah badan TuuT rahaa ho jaiseruuh se rishta-e-jaa.n chhuuT rahaa ho jaiseai ki tuu chashma-e-aavaaz bhii haihaasil-e-naGmagii-e-saaz bhii hailab-kushaa ho ki sar-e-shaam-e-figaaris se pahle ki shikasta-dil me.nbad-gumaanii kii ko.ii tez kiran chubh jaa.eis se pahle ki charaaG-e-va.adayak-ba-yak bujh jaa.elab-kushaa ho ki fazaa me.n phir sejalte lafzo.n ke dahakte jugnuutair jaa.e.n to sukuut-e-shab-e-uryaa.n TuuTephir ko.ii band-e-garebaa.n TuuTelab-kushaa ho ki mirii nas nas me.nzahr bhar de na kahii.nvaqt kii zaKHm-faroshii phir selab-kushaa ho ki mujhe Das legiiKHud-faraamoshii phir semere kamre me.n utar aa.iiKHamoshii phir se
zindagii kii raaho.n me.nbaarhaa ye dekhaa haisirf sun nahii.n rakkhaaKHud bhii aazmaayaa haitajrabo.n se saabit haijo bhii pa.Dhte aa.e hai.nus ko Thiik paayaa haiis tarah kii baato.n semanzilo.n se pahle hiisaath chhuuT jaate hai.nlog ruuTh jaate hai.nye tumhe.n bataa duu.n mai.nchaahato.n ke rishte me.nphir girah nahii.n lagtiilag bhii jaa.e to us me.nvo kashish nahii.n hotiiek phiikaa phiikaa saaraabta to hotaa haitaazgii nahii.n rahtiiruuh ke ta'alluq me.nzindagii nahii.n rahtiibaat vo nahii.n bantiidostii nahii.n rahtiilaakh baar mil kar bhiidil kabhii nahii.n miltezehn ke jharokho.n me.nyaad ke dariicho.n me.ntitliyo.n ke ra.ngo.n kephuul phir nahii.n khilteis liye mai.n kahtaa huu.nis tarah kii baato.n me.nehtiyaat karte hai.nis tarah kii baato.n seijtinaab karte hai.n
ye kaun muskuraahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.eshabaab-e-sher-o-ra.ng-o-nuur kaa dhu.aa.n liye hu.edhu.aa.n ki barq-e-husn kaa mahaktaa sho.ala hai ko.iichaTiilii zindagii kii shaadmaaniyaa.n liye hu.elabo.n se pa.nkhu.Dii gulaab kii hayaat maa.nge haika.nval sii aa.nkh sau nigaah-e-mehrbaa.n liye hu.eqadam qadam pe de uThii hai lau zamiin-e-rah-guzaradaa adaa me.n be-shumaar bijliyaa.n liye hu.enikalte baiThte dino.n kii aahaTe.n nigaah me.nrasiile ho.nT fasl-e-gul kii daastaa.n liye hu.eKHutuut-e-ruKH me.n jalva-gar vafaa ke naqsh sar-ba-sardil-e-Ganii me.n kul hisaab-e-dostaa.n liye hu.evo muskuraatii aa.nkhe.n jin me.n raqs kartii hai bahaarshafaq kii gul kii bijliyo.n kii shoKHiyaa.n liye hu.eadaa-e-husn barq-paash shola-zan nazaara-sozfazaa-e-husn uudii uudii bijliyaa.n liye hu.ejagaane vaale naGma-e-sahar labo.n pe maujzannigaahe.n nii.nd laane vaalii loriyaa.n liye hu.evo nargis-e-siyaah-e-niim-baaz, mai-kada-ba-doshhazaar mast raato.n kii javaaniyaa.n liye hu.etaGaaful-o-KHumaar aur be-KHudii kii oT me.nnigaahe.n ik jahaa.n kii hoshiyaariyaa.n liye hu.eharii-bharii rago.n me.n vo chahaktaa boltaa lahuuvo sochtaa hu.aa badan KHud ik jahaa.n liye hu.eza-farq taa-qadam tamaam chehra jism-e-naaznii.nlatiif jagmagaahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.etabassumash takallume takallumash tarannumenafas nafas me.n thartharaataa saaz-e-jaa.n liye hu.ejabiin-e-nuur jis pe pa.D rahii hai narm chhuuT siiKHud apnii jagmagaahTo.n kii kahkashaa.n liye hu.e''sitaara-baar o mah-chakaa.n o KHuur-fishaa.n'' jamaal-e-yaarjahaan-e-nuur kaarvaa.n-ba-kaarvaa.n liye hu.evo zulf-e-KHam-ba-KHam shamiim-e-mast se dhu.aa.n dhu.aa.nvo ruKH chaman chaman bahaar-e-jaavedaa.n liye hu.eba-mastii-e-jamaal-e-kaa.enaat, KHvaab-e-kaa.enaatba-gardish-e-nigaah daur-e-aasmaa.n liye hu.eye kaun aa gayaa mire qariib uzv uzv me.njavaaniyaa.n, javaaniyo.n kii aa.ndhiyaa.n liye hu.eye kaun aa.nkh pa.D rahii hai mujh par itne pyaar sevo bhuulii sii vo yaad sii kahaaniyaa.n liye hu.eye kis kii mahkii mahkii saa.nse.n taaza kar ga.ii.n dimaaGshabo.n ke raaz nuur-e-mah kii narmiyaa.n liye hu.eye kin nigaaho.n ne mire gale me.n baahe.n Daal dii.njahaan bhar ke dukh se dard se amaa.n liye hu.enigaah-e-yaar de ga.ii mujhe sukuun-e-be-karaa.nvo be-kahii vafaa.o.n kii gavaahiyaa.n liye hu.emujhe jagaa rahaa hai maut kii Gunuudgii se kaunnigaaho.n me.n suhaag-raat kaa samaa.n liye hu.emirii fasurda aur bujhii hu.ii jabii.n ko chhuu liyaaye kis nigaah kii kiran ne saaz-e-jaa.n liye hu.esute se chehre par hayaat rasmasaatii muskuraatiina jaane kab ke aa.nsu.o.n kii daastaa.n liye hu.etabassum-e-sahar hai aspataal kii udaas shaamye kaun aa gayaa nashaat-e-be-karaa.n liye hu.etire na aane tak agarche mehrbaa.n thaa ik jahaa.nmai.n ro ke rah gayaa huu.n sau Gam-e-nihaa.n liye hu.ezamiin muskuraa uThii ye shaam jagmagaa uThiibahaar lahlhaa uThii shamiim-e-jaa.n liye hu.efazaa-e-aspataal hai ki ra.ng-o-buu kii karvaTe.ntire jamaal-e-laala-guu.n kii daastaa.n liye hu.e'firaaq' aaj pichhlii raat kyuu.n na mar rahuu.n ki abhayaat aisii shaame.n hogii phir kahaa.n liye hu.e(2)magar nahii.n kuchh aur maslahat thii us ke aane me.njamaal-o-diid-e-yaar the nayaa jahaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge aadmiijabii.n pe shaahkaar-e-dahr kaa nishaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge devtaatahaarato.n kaa farq-e-paak par nishaa.n liye hu.eKHudaa.ii aadmii kii hogii is na.e jahaan parsitaaro.n ke hai.n dil ye pesh-go.iiya.n liye hu.esulagte dil sharar-fishaa.n o sho.ala-baar barq-paashguzarte din hayaat-e-nau kii surKHiyaa.n liye hu.etamaam qaul aur qasam nigaah-e-naaz-e-yaar thiituluu-e-zindagii-e-nau kii daastaa.n liye hu.enayaa janam hu.aa miraa ki zindagii na.ii miliijiyuu.ngaa shaam-e-diid kii nishaaniyaa.n liye hu.ena dekhaa aa.nkh uThaa ke ahd-e-nau ke parda-daaro.n neguzar gayaa zamaana yaad-e-raftagaa.n liye hu.eham inqilaabiyo.n ne ye jahaa.n bachaa liyaa magarabhii hai ik jahaa.n vo bad-gumaaniyaa.n liye hu.e
ham kyaa karte kis rah chaltehar raah me.n kaa.nTe bikhre thein rishto.n ke jo chhuuT ga.ein sadiyo.n ke yaarano.n kejo ik ik kar ke TuuT ga.ejis raah chale jis samt ga.eyuu.n paa.nv lahuuluhaan hu.esab dekhne vaale kahte theye kaisii riit rachaa.ii haiye meh.ndii kyuu.n lagaa.ii haivo kahte the kyuu.n qaht-e-vafaakaa naahaq charchaa karte hopaa.nv se lahuu ko dho Daalo!ye raahe.n jab aT jaa.e.ngiisau raste in se phuuTe.ngetum dil ko sambhaalo jis me.n abhiisau tarah ke nashtar TuuTe.nge
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
ab tum aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aayaa na karochhuuT jaane do jo daamaan-e-vafaa chhuuT gayaakyuu.n ye laGziida-KHiraamii pe pashiimaa.n-nazariitum ne to.Daa to nahii.n rishta-e-dil TuuT gayaa
sa.ng-dil rivaajo.n keKHasta-haal zindaa.n me.nik sadaa-e-mastaanaek raqs-e-rindaanaye imaarat-e-kohna TuuT bhii to saktii haiye asiir-e-shahzaadii chhuuT bhii to saktii hai
ik bachcha chhoTaa saa bachchaek haath me.n us ke taKHtii thiiek haath me.n us ke basta thaaaur paa.nv ke niiche duur talakschool ko jaataa rasta thaavo afsar ban.naa chaahtaa thaavo sach-much pa.Dhnaa chaahtaa thaakuchh KHvaab the us kii aa.nkho.n me.njo rafta rafta TuuT ga.eGurbat ne use majbuur kiyaayuu.n pa.Dhne se vo duur hu.aaphir paa.nv se raste ruuTh ga.eaur haath se baste chhuuT ga.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books