aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "daaku"
aaj ke naamauraaj ke Gam ke naamaaj kaa Gam ki hai zindagii ke bhare gulsitaa.n se KHafaazard patto.n kaa banzard patto.n kaa ban jo miraa des haidard kii anjuman jo miraa des haiclerko.n kii afsurda jaano.n ke naamkirm-KHurda dilo.n aur zabaano.n ke naampost-mano.n ke naamtaa.nge vaalo.n kaa naamrail-baano.n ke naamkaar-KHaano.n ke bhuuke jiyaalo.n ke naambaadshaah-e-jahaa.n vaalii-e-maa-sivaa, naa.eb-ul-allaah fil-arzdahqaa.n ke naamjis ke Dhoro.n ko zaalim ha.nkaa le ga.ejis kii beTii ko Daaku uThaa le ga.ehaath bhar khet se ek a.ngusht paTvaar ne kaaT lii haiduusrii maaliye ke bahaane se sarkaar ne kaaT lii haijis kii pag zor vaalo.n ke paa.nv-taledhajjiyaa.n ho ga.ii haiun dukhii maa.o.n ke naamraat me.n jin ke bachche bilakte hai.n aurnii.nd kii maar khaa.e hu.e baazu.o.n me.n sambhalte nahii.ndukh bataate nahii.nminnato.n zaariyo.n se bahalte nahii.n
jo haath ba.Dhe yaavar hai yahaa.njo aa.nkh uThe vo baKHtaavaryaa.n dhan-daulat kaa ant nahii.nho.n ghaat me.n Daaku laakh magar
ye hai mil vaalaa vo baniyaa hai ye saahuukaar haiye hai duukaa.n-daar vo hai ved ye attaar haivo agar Thag hai to ye Daaku hai vo baT-maar haiaaj har gardan me.n kaalii jiit kaa ik haar hai
kal raat miraa beTaa mire gharchehre pe mun.Dhe KHaakii kap.Daabanduuq uThaa.e aa pahu.nchaanau-umrii kii surKHii se rachii us kii aa.nkhe.nmai.n jaan ga.iiaur bachpan ke sandal se ma.nDhaa us kaa chehrapahchaan ga.iivo aayaa thaa KHud apne gharghar kii chiize.n le jaane koan-kahii kahii manvaane ko
pa.Dhnaa likhnaa sikhaa.eachchhii raah bataa.ebad se hame.n bachaa.eachchhaa bachcha banaa.ebhayyaa pyaaraa pyaaraaghanTii KHuub bajaa.ebasta bhii laTkaa.emaktab le kar jaa.ejaldii se pahu.nchaa.erickshaw pyaaraa pyaaraaphuulo.n par itraa.eKHushbuu bhii bikhraa.eghar aa.ngan mahkaa.ehariyaalii bhii laa.egamlaa pyaaraa pyaaraabhayyaa le kar jaa.ecircus bhii dikhlaa.elaDDuu bhii khilvaa.ejo chaaho mil jaa.emela pyaaraa pyaaraajab jab ye lahraa.esab kii shaan ba.Dhaa.ejis ke haath ye aa.eaage ba.Dhtaa jaa.ejhanDaa pyaaraa pyaaraataariikii me.n aa.ebistar tak pahu.nchaa.elorii bhii sunvaa.esapne bhii dikhlaa.esonaa pyaaraa pyaaraasab ko maar bhagaa.ejo dekhe Dar jaa.eulTii shaamat laa.edushman ko.ii aa.eDa.nDaa pyaaraa pyaaraabaarish me.n kaam aa.ebaahar le kar jaa.eKHud to bhiigaa jaa.elekin hame.n bachaa.echhaataa pyaaraa pyaaraajagmag ruup dikhaa.echandaa riijhaa jaa.erasta bhii batlaa.elekin haath na aa.etaaraa pyaaraa pyaaraatal kar munnaa khaa.eKHaagiina banvaa.esaalan me.n pak jaa.emunnii ko lalchaa.eanDaa pyaaraa pyaaraajab ye mausam aa.esehat KHuub banaa.eDhero.n kap.De laa.ephir bhii duur na jaa.ejaa.Daa pyaaraa pyaaraakhaanaa jab bhii aa.eaage ba.Dh kar laa.eham ko sab khilvaa.eKHud bhuukaa rah jaa.echamcha pyaaraa pyaaraabaazaaro.n me.n niklehaath me.n sab ke laTkejo kuchh bhii ye dekheapne peT me.n rakhethailaa pyaaraa pyaaraamiiThaa miiThaa khaa.omunnaa bole laa.ojaldii se pakvaa.osaaraa chaT kar jaa.ohalva pyaaraa pyaaraachaahe ko.ii bulaa.esab kii god me.n jaa.edekhe to lalchaa.etoffee biscuit chaa.enanhaa pyaaraa pyaaraapaanii ThanDaa kar desar pe kaToraa rakhedau.De aa.e.n pyaarejo chaahe vo pii lemaTkaa pyaaraa pyaaraasuurat rang bira.ngiihaalat bhii hai achchhiibistar kaa hai saathiiaadat me.n hai narmiitakiya pyaaraa pyaaraagarmii duur bhagaa.eThanDaa mausam laa.etho.Dii bijlii khaa.ebehtar kaam banaa.epa.nkhaa pyaaraa pyaaraacham cham chamkaa jaa.ebijlii saa lahraa.ejaldii jaldii aa.esaath me.n chaltaa jaa.ejuutaa pyaaraa pyaaraasab se pahle jaagepe.D pe cha.Dh ke baiThediivaaro.n par bhaagekuuk.Duu.n kuuk.Duu.n chiiKHemurGaa pyaaraa pyaaraaghar me.n dau.D lagaa.ebaahar bhaag ke jaa.ebillii par Gurraa.enanhe ko bahlaa.ekuttaa pyaaraa pyaaraapiiTh pe hame.n biThaa.esarpaT dau.D ke jaa.emanzil par pahu.nchaa.etab jaa kar sustaa.egho.Daa pyaaraa pyaaraajaldii se uTh jaa.echiiKHe aur chillaa.edaana patte khaa.ephir bhuukaa rah jaa.ebakraa pyaaraa pyaaraapinjre me.n par toleThumak Thumak kar Dolejab bhii mu.nh ko kholemiiThii bolii boletotaa piyaare pyaaraaru.ii ko lipTaa.edhaagaa bantaa jaa.ehaatho.n me.n bal khaa.ebal khaa kar lahraa.etaklaa pyaaraa pyaaraachoro.n se la.D jaa.eDaaku se Takraa.ejo bhii chaabii laa.eus ke bas me.n aa.etaalaa pyaaraa pyaaraasa.Dke.n bhii dikhlaa.egaliyo.n me.n le jaa.ekaun kidhar ko jaa.ebhed ye sab batlaa.enaqsha pyaaraa pyaaraakaliyo.n par manD laa.ephuulo.n se batlaa.enaache jhuume gaa.emastii me.n lahraa.ebhau.nraa pyaaraa pyaaraashab ko mu.nh dikhlaa.esuuraj se sharmaa.ebaadal me.n chhup jaa.eraat hote hii aa.echandaa pyaaraa pyaaraajhiil ke paas hii baiThechhoTii machhlii pak.Dehans ho ko.ii jaisemotii khaane aa.ebagulaa pyaaraa pyaaraaaa.nkho.n se lag jaa.eraahat hii pahu.nchaa.ekaale kaale shiisheabr ke Tuk.Do.n jaisechashma pyaaraa pyaaraameraa hamdam saathiiaisaa na hogaa ko.iisuurat bhii hai pyaariisiirat bhii hai achchhiibasta pyaaraa pyaaraavaqt pe so kar uThevaqt pe apne khelevaqt pe pa.Dhne jaa.eavval number aa.ebachcha pyaaraa pyaaraa
kaale kaale Daakuchhat pardham dham kartedau.D rahe hai.nkamro.n se sab box uThaa karchhat par laa karbe-rahmii se to.D rahe hai.nin bakso.n me.nek ba.Daa saa box hai merii maa.n kaa bhiijis me.n meriishiishe vaalii golii kii thailii rakkhii haiis bakse ke TuuTne parmai.n KHush hotaa huu.nchhat par jaa karbanduuqo.n ke saa.e me.napnii sab golii chuntaa huu.nsub.h ko mere saare saathiimerii rang bharii golii kolalchaa.ii nazro.n se takte rahte hai.nbarbaadii kaa maatammujh kogolii ke ra.ngo.n se halkaa lagtaa hai
ham paidaa karte hai.nham giilii miTTii ko muTThii me.n bhii.nchaa karte hai.nto shakle.n bantii hai.nham un kii cho.nche.n khol ke saa.nse.n phuu.nkaa karte hai.njo miTTii the vo chhuu lene se taa.ir hote hai.nham shaa.ir hote hai.nkan.aan me.n rahte hai.njab jalva karte hai.nto shashdar a.ngushto.n ko pore.n nashtar detii hai.nphir KHuun Tapaktaa hai jo sard nahii.n hotaaik sahmaa saa sakta hotaa hai dard nahii.n hotaayuunaan ke Daaku hai.nham devtaa.o.n ke mahal me.n naqab lagaayaa karte hai.nham aasmaan kaa niilaa shah-darvaaza to.Dte hai.nham aag churaate hai.nto is duniyaa kii yaKH choTii se barf pighaltii haiphir jame hu.e siine milte hai.nsaa.ns humaktii haiaur shiryaano.n ke mu.nh khulte hai.nKHuun dha.Daktaa haijiivan-raamaayan me.njab raavan istibdaadii kaarobaar chalaataa haiham siitaa likhte hai.njab rath ke pahiye jismo.n ke poshaak kuchalte hai.nto giitaa likhte hai.njab ho.nTo.n ke sahme kap.Do.n par baKHiya hotaa haiham bolaa karte hai.njab manDii se ek ek taraazuu Gaa.eb hotaa haito jiivan ko miizaan pe rakh kar tolaa karte hai.nmazduurii karte hai.nham lafzo.n ke jangal se lak.Dii kaaTaa karte hai.nham arkashii ke maahir hai.n ambaar lagaate hai.nphir randa pherte hai.n phir barmaa dete hai.nphir budh milaate hai.n phir chuul biThaate hai.nham tho.De tho.De hote hai.nis bharii bharaa.ii duniyaa me.n ham kam-kam hote hai.njab shahr me.n jangal dar aa.e aur us kaa chalan ja.nglaa.eto ham Gaar se aate hai.njab jangal shahr kii zad me.n ho aur us kaa sukuu.n shahraa.eto bargad se nikalte hai.nham tho.De tho.De hote hai.nham kam-kam hote hai.nham shaa.ir hote hai.n
sunte hai.n shahr me.n jo KHvaatiin kaa hai bankparvez kaa nahii.n hai ye parviin kaa hai bankrakkhii hai.n is liye yahaa.n KHaatuun manageris mohkme ko chaahiye baatuun managerladies ittihaad jo begaanagii se haikyaa jaane KHauf kyaa unhe.n mardaangii se hainok-e-zabaa.n bhii chalne lagii hai zabaa.n ke saathbeTii bhii hai shariik la.Daa.ii me.n maa.n ke saathhar naaznii.n ke saamne ik beauty-box haibaaqii rakhaa hai ghar me.n ye tho.Daa saa aks haibaiThii hai.n apne saamne gesuu sa.nvaar kelocker me.n rakh diyaa hai dupaTTa utaar kechaTKHaare hai.n zabaa.n pe nazar me.n ishaare hai.nhar maah-vash ke pars me.n imlii kaTaare hai.njo baat kar rahii hai.n kamaa.ii ke shobe kiivo head hai.n lagaa.ii-bujhaa.ii ke shobe kiikal saas se zabaan ke bal par la.Dii hai.n yeilm-e-lissniyaat me.n p.hd hai.n yekhaate kii in ko fikr na ledger kii fikr hainando.n kii Giibate.n hai.n to devar kaa zikr haishaadii ke baa'd nuqta banii.n dash ho ga.ii.npahle jo check-book thii.n vo ab cash ho ga.ii.nhar naaznii.n kii umr bhii KHufiya account haikyaa jaane in kii umr me.n kitnaa amount haiye husn kaa KHazaana ko.ii kyaa dabochegaaDaaku bhii Daaka Daalne se pahle sochegaanaakaara shauharo.n ko bhii debit karaa.ii.enisvaaniyat yahaa.n se credit karaa.ii.e
mere gaa.nv me.n aa.ii railbachcho nahii.n ye ko.ii khelbaat hai mere bachpan kiishaayad unniis sau pachpan kiimere dil kii uljhan kiigaa.nv me.n kaise aa.ii railbachcho nahii.n ye ko.ii khelmere daadaa kahte thekalkatta jo rahte thegaa.nv vaale ha.nste thevahaa.n sa.Dak par chalii railbachcho nahii.n ye ko.ii khelkalkatta jaanaa thaa mushkilrail to miltii chal kar paidaltiis miil par thaa jo signalmushkil ko sab jaate jhelbachcho nahii.n ye ko.ii khelba.De log jab jaanaa sochteraat me.n bail-gaa.Dii ko jot-teraaste me.n jab Daaku roktechho.D ke gaa.Dii bhaagte bailbachcho nahii.n ye ko.ii khelaazaadii ne daad miTaayaagaa.nv ko shahro.n se milaayaaummiido.n kaa phuul khilaayaasadaa harii rahe ye belbachcho nahii.n ye ko.ii kheldillii me.n anshan hu.erail ke tab naqshe banebaabuu jii jab ban ga.emarkaz me.n vaziir-e-railbachcho nahii.n ye ko.ii khelshahr se sab kuchh rail se laateDibbo.n ko nuqsaa.n pahu.nchaatechorii karte pak.De jaatejo pak.Daa.e jaate jailbachcho nahii.n ye ko.ii khelmushkil din sab kaT jaate hai.nlekin vo din yaad aate hai.nab to sab collage jaate hai.npaka.D ke bombay-mailbachcho nahii.n ye ko.ii khel
ye kis ne bazm-e-adab ke sukuun ko taakaamushaa.eron me.n bhii pa.Dne lagaa hai ab Daakamushaa.ere me.n Dakaitii kaa shauq rakhte hai.nhamaare ahd ke Daaku bhii zauq rakhte hai.nadab-navaaz the Daaku suKHan-shanaas the vomire vatan kii siyaasat kaa iqtibaas the voajab Dakait the jin kaa nasiib phuuTaa thaajinho.n ne shahr ke in mufliso.n ko luuTaa thaapa.Daa vo ran ki ik ustaad sher bhuul gayaakisii nahiif se shaa.er kaa saa.ns phuul gayaabayaaz apnii kisii ne uchhaal kar rakh diibajaa.e cash rubaa.ii nikaal kar rakh diiudhar Dakait sambhaale the gun u.Daa.ii hu.iiudhar vo pel rahaa thaa Gazal churaa.ii hu.iiye kis ne bazm-e-suKHan luuT lii KHudaa jaane''tamaam shahr ne pahne hu.e hai.n dastaane''mushaa.ere me.n na sonaa thaa aur na chaa.ndii thiisuKHan-varo.n kii to har chiiz hii puraanii haijo sab se qiimtii shai hai vo shervaanii haiye apne sher sunaate hii phuuT lete hai.nmushaa.ere ko tarannum se luuT lete hai.nhamaare sher sune.n aur sher-bii.n ho jaa.e.nKHudaa kare ki ye Daaku bhii saama.ii.n ho jaa.e.n
ye aurat is liye paidaa hu.ii haiki is ko Tuk.De Tuk.De kar ke phaa.nsii par cha.Dhaayaa jaa.eise yuunaan ke ik mash.huur Daaku ke bistar kii zaruurat hai(vo apne sab shikaaro.n kaa qadd-o-qaamat isii bistar ke paimaane kii nisbat se ghaTaataa kaaTtaa yaakhii.nch kaa jabran ba.Dhaataa thaa)KHutuut-e-lab to dekho!kis tarah simTe hu.e hai.n, sa.ng-e-dilaamiyaana-pan taraavish kar rahaa haiye kiina-tuuz aa.nkhe.nin kii gahraa.ii ke kiicha.D me.nsunahrii machhliyaa.n Gote lagaatii hai.nrupahlii shaaKH tauba hai ki khultii baa.nh hai, lekinko.ii saaya nahii.n pa.Dtaa!
raste me.n kuchh Daaku aa.ezulm-o-sitam har ik par Dhaa.e
mire paasmaut ke bahut se options hai.nmai.n kisii bhii vaqt kahii.n bhii maaraa jaa saktaa huu.nmobile chhiin.ne vaalaa naujavaanmujhe TaKHne par golii maar saktaa haipolice ke naake par na rukne kii paadaash me.nmujhe thaane ke andar maaraa jaa saktaa hairaat ke pichhle paharghar me.n ghusne vaalaa Daaku kaalii jeb hone ke jurm me.nmujhe banduuq ke hiT-mark se halaak kar saktaa haijii pii fund ke husuul kii KHaatirmai.na-g office kii sii.Dhiyaa.n cha.Dhte cha.Dhtedil ke daure se bhii mar saktaa huu.naurkisii gunjaan market yaa masjid me.n hone vaale dhamaake me.n baa-aasaaniishahaadat paa saktaa huu.nab toGurbat kii lakiir se laTak karmere bhuuk se marne ke imkaanaat bhii paidaa hone lage hai.nagarche ja.ng me.n kaam aane kaa zamaana guzar chukaa haimagar ba.az muqaddas dushmanmerii maut ke evaz jannat ke talabgaar hai.nmerii samaajii maut se ab kisii ko ko.ii faa.eda nahii.nhattaa ki mujhe bhii nahii.nmagar plot mafiyaa ke alaava zaKHiira-andoz aur saTTe-baazmerii maut ke muntazir hai.naurunho.n ne mujhe be-tauqiir kar kesa.Dak par merii KHud-sozii kaa raasta kushaada kar diyaa haijamhuuriyat aur insaanii huquuq kii baazyaaft ke liye marnaa meraa KHvaab thaamagarbachcho.n kii feese.n adaa karne ke liye aur Time lagaane ke baa.ismere paas aisii ayyaashii ke liye vaqt nahii.nsomai.n ba-qaa.emii hosh-o-havaas aise farsuuda nazriyaat ko mustarad kartaa huu.nraat der ga.eghar lauTte hu.eraah-giirii maut maare jaanaa merii hargiz tarjiih nahii.nmagar us me.n harj bhii kyaa haiki us ke evaz sarkaarii KHazaane se paa.nch laakh ruupa.e milte hai.nmai.nzinda rahne ke imkaanaat se taqriiban mahruum kiyaa jaa chukaa huu.nmagar na-jaane kyuu.nmai.n zinda rahnaa chaahtaa huu.n
javaa.n aurat kii galtii laashkuu.De se milii haius ko tho.Daa chaT-paTaa kar dolikho sattrah baras kii gandumii la.Dkiijise insaan ne nochaajise kutto.n ne khaayaaaur police ne qabr me.n DaalaaKHabar ye ban ga.ii haiis KHabar ko paa.nch column chaukhaTe me.n Daal kar chhaapoaur is ke saath sa.Dtii laash kiitasviir bhii de doka.ii din se karachi KHuun kii holii nahii.n khelaabahut aKHbaar phiikaa haikahii.n se ko.ii dahshat-gard Daaku aur qaatilDhuu.nD kar laa.okahii.n ho KHauf kaa chaskaakahii.n ko.ii scandal hokahii.n par jins kii tazliil hotii hokahii.n par masKH laashe ho.nkahii.n par KHuun kii buu ho
panghaT aur chaupaal bhii suune raahe.n bhii sunsaangaliyaa.n aur kuuche viiraanjho.nke suukhe patte role.n bikhrii raakh u.Daa.ii.nraakh aur patte ban ke baguule apnaa naach dikhaa.e.naur vahii.n rah jaa.e.nye bastii ab to.D chukii hai hastii kii zanjiir-e-giraa.naur quyuud-e-zamaan-o-makaa.nvaqt ke Daaku chakkar us ko bisaat mutaabiq luuT chukeus ke liye maahaul-o-fizaa ke saare bandhan TuuT chukemaazii-o-haal bhii chhuuT chukekaun aa.e jo aa kar is me.n ziist ke rang bharekheto.n ko sarsabz karegalii galii aur kuucha kuucha panghaT aur chaupaalkhelte bachcho.n ha.nstii javaanii se kar de cho.nchaalzinda kar de maazii-o-haal
aaj ek kaale komercedes me.n dekhaadil me.n vasvase jaagedrugs kaa ye pesha haiaurato.n kii dallaaliiyaa hai bank kaa Daakuho na ho ye gaa.Dii bhiipaar kar ke laayaa haiis dhyaan me.n meraapaa.nv is tarah uljhaamercedes sar par thiimaut saamne raqsaa.nmeraa sar bachaane komercedes kaale neapnii gaa.Dii de maariiraaste ke khambe sesar miraa salaamat thaamercedes chaknaa-chuurkaale ne salaasat semerii KHairiyat puuchhiimere mu.nh se ye niklaamerii aa.nkho.n me.n bhaa.iimotiyaa hai kaalaa saa
kis kii uThii hai ye arthiikamlaaseTh lachhman kii pa.Dosan bevaseTh do gho.Do.n kii bagghii me.n aataa hai udharshahr kaa sab se ba.Daa daaniidiyaa lodhanvaanjis ne sone kaa cha.Dhaayaa hai kalas mandir parjis ne gauu-shaalaa bhii banvaa.ii thiijis kii mil me.n abhii parso.n hii chalii thii goliijis ke darvaaze pe mil jaatii hai bhikshaa lekinbhuukii mar jaa.e jo ik beva pa.Dosan mar jaa.epeT bhartaa nahii.n mazduur kaa saat aane me.n golii chal jaa.edaan dete hai.n dayaaluudhanvaanizzat-e-nafs ke Daakushaitaankap.De kii mil ke maalik aaTe kii mil ke maalik
aslii jaapaanii do naaliinaanaa kii banduuq niraaliikanda is kaa maT-mailaa saaruup Daraavnaa suurat kaaliinaanaa jii is ke rasiyaa thenaanii thii is kii matvaaliilete the is se jo nishaanajaataa thaa vo aksar KHaaliichi.Diyo.n kaa jiinaa duubhar thaachhuptii thii.n vo Daalii Daaliinaanaa jii ik roz ga.e thedekhne jab mela vaishaaliinaanii ko samjhaa ke ga.e thekarnii thii is kii rakhvaaliisaarii raat guzaarii baaharmele kii thii shaan niraaliighar par raat ko Daaku aa.eto.D ke raushan-daan kii jaaliinaanii ko pistaul dikhaa karle bhaage banduuq kamaaliishor machaatii piichhe dau.Dii.nvo thii.n diler ba.Dii dil vaaliihallaa sun kar log bhii dau.Dele kar ballam aur bhujaaliichor hu.e tab nau do gyaarahchho.D ga.e banduuq misaaliinaanaa ke ghar isii KHushii me.nagle roz manii diivaaliinaanii jii ne isii KHushii me.nghar ghar bhejii khiir kii thaalii
nahii.n ye Dher miTTii ke sabaq-aamoz-e-ibrat hai.nkaruu.n ai ham-nashii.n kyuu.nkar na in se istifaada mai.nnishaan-e-raftgaa.n mai.n ne har ik manzil me.n paayaa haiisii ibrat-kade ne kyaa KHayaal un kaa jamaayaa haiqayaas apnaa kiyaa un par jo mai.n ne ai shariif insaa.nnazar aayaa mujhe un me.n ko.ii KHandaa.n ko.ii giryaa.nyahaa.n mazluum hii rahte nahii.n hai.n balki zaalim bhiinazar pahluu-ba-pahluu aate hai.n mahkuum-o-haakim bhiina dekhaa tum ne shaayad un ko ab tak chashm-e-ibrat seKHudaa-raa lo sabaq kuchh bhii to in alvaah-e-turbat sehumaayuu.n hai yahaa.n aasuuda vo qabr-e-halaakuu haisunaa hai ye ko.ii murshid hai aur vo ek Daaku haivo shah-zor aaj bekas hai.n jo kamzoro.n se la.Dte theKHudaa jaane ki ahl-e-hilm se kyuu.nkar biga.Dte thekaro yaad un buzurgo.n ko sharaafat jin pe hai naazaa.nna bhuulo un ko bhii jo the sipah-saalaar-e-sharbaazaa.nnigaaho.n me.n unhe.n rakkho ubharnaa hai agar tum koKHayaalo.n me.n unhe.n parkho sa.nvarnaa hai agar tum ko
ik jaaduu.ii khilaunaa haatho.n pe dhar liye hai.nbachche javaan buu.Dhe sab is se khelte hai.naa.nkhe.n ga.Dii hu.ii hai.n aur u.ngliyaa.n hai.n raqsaa.nduniyaa kii sair is me.n sab lutf ke hai.n saamaa.ntasviir o film is me.n youtube radio bhiibhaashan bhajan tilaavat naGmaat-e-radio bhiicamera-o-conferencing hai.n ehtimaam saarehar ghar me.n har galii me.n is ke Gulaam saaresach puuchhiye to ye hai jaaduu kaa ik khilaunaahai is me.n sar khapaanaa umr-e-aziiz khonaagumraahiyo.n ke raste is me.n khule hu.e hai.nis raah-e-ilm me.n bhii Daaku chhupe hu.e hai.nmiilo.n kii duuriyaa.n hai.n pal me.n ubuur kartaadil duuriyaa.n bhii achchhaa hotaa jo duur kartaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books