aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "dalte"
tum bilkul ham jaise nikleab tak kahaa.n chhupe the bhaa.iivo muurakhtaa vo ghaama.D-panjis me.n ham ne sadii ga.nvaa.iiaaKHir pahu.nchii dvaar tuhaareare badhaa.ii bahut badhaa.iipret dharm kaa naach rahaa haiqaa.em hinduu raaj karogesaare ulTe kaaj karogeapnaa chaman taaraaj karogetum bhii baiThe karoge sochaapuurii hai vaisii tayyaariikaun hai hinduu kaun nahii.n haitum bhii karoge fatvaa jaariihogaa kaThin yahaa.n bhii jiinaadaa.nto.n aa jaa.egaa pasiinaajaisii-taisii kaTaa karegiiyahaa.n bhii sab kii saa.ns ghuTegiibhaa.D me.n jaa.e shikshaa-vikshaaab jaahil-pan ke gun gaanaaaage ga.Dhaa hai ye mat dekhovaapas laa.o gayaa zamaanamashq karo tum aa jaa.egaaulTe paa.nv chalte jaanaadhyaan na duujaa man me.n aa.ebas piichhe hii nazar jamaanaaek jaap saa karte jaa.obaaram-baar yahii doharaa.okaisaa viir mahaan thaa bhaaratkitnaa 'aalii-shaan thaa bhaaratphir tum log pahu.nch jaa.ogebas parlok pahu.nch jaa.ogeham to hai.n pahle se vahaa.n partum bhii samay nikaalte rahnaaab jis nark me.n jaa.o vahaa.n sechiTThii-viTThii Daalte rahnaa
ai majaaz ai taraana-baar majaazzinda paiGambar-e-bahaar majaazai baruu-e-saman-vishaa.n gul-poshai ba kuu-e-muGaa.n tamaam KHaroshai parastaar-e-mah-ruKHaan-e-jahaa.nai kamaa.n-daar-e-shaa.iraan-e-javaa.ntujh se taabaa.n jabiin-e-mustaqbilai mire siina-e-umiid ke dilai majaaz ai mubassir-e-KHad-o-KHaalai shu.uur-e-jamaal o sham-e-KHayaalai surayyaa-fareb o zohra-navaazshaa.ir-e-mast o rind-e-shaahid-baaznaaqid-e-ishva-e-shabaab hai tuusub.h-e-fardaa kaa aaftaab hai tuutujh ko aayaa huu.n aaj samjhaanehaif hai tuu agar buraa maaneKHud ko Garq-e-sharaab-e-naab na kardekh apne ko yuu.n KHaraab na karshaa.irii ko tirii zaruurat haidaur-e-fardaa kii tuu amaanat haisirf terii bhalaa.ii ko ai jaa.nban ke aayaa huu.n naaseh-e-naadaa.nek Thahraav ik takaan hai tuudekh kis darja dhaan-paan hai tuuna.ng hai mahz ustuKHaa.n honaasaKHt ihaanat hai naa-tavaa.n honaaustuKHvaanii badan duKHaanii postek sa.ngiin jurm hai ai dostsharm kii baat hai vajuud-e-saqiimnaa-tavaanii hai ik gunaah-e-aziimjism aur ilm turfa taaqat haiyahii insaan kii nubuvvat haijo za.iif-o-aliil hotaa haiishq me.n bhii zaliil hotaa haihar hunar ko jo ek daulat haiilm aur jism kii zaruurat haikasrat-e-baada rang laatii haiaadmii ko lahuu rulaatii haiKHush-dilo.n ko rulaa ke ha.nstii haisham-e-aKHtar bujhaa ke ha.nstii haiaur jab aafat jigar pe laatii hairi.nd ko maulvii banaatii haimai se hotaa hai maqsad-e-dil fautmai hai buniyaad-e-maulviyyat-o-mautkaan me.n sun ye baat hai nashtarmaulviyyat hai maut se bad-taris se hotaa hai kaar-e-umr tamaamis se hotaa hai aql ko sarsaamis me.n insaa.n kii jaan jaatii haiis me.n shaa.ir kii aan jaatii haiye zamiin aasmaan kyaa shai haiaan jaa.e to jaan kyaa shai haigauhar-e-shaah-vaar chun pyaaremujh se ik gur kii baat sun pyaareGam to bantaa hai chaar din me.n nashaatshaadmaanii se rah bahut mohtaatGam ke maare to jii rahe hai.n hazaarnahii.n bachte hai.n aish ke biimaaraan me.n dil ke paar hotii haipa.nkhu.Dii me.n vo dhaar hotii haijuu-e-ishrat me.n Gam ke dhaare hai.nyaKH-o-shabnam me.n bhii sharaare hai.nhaa.n sambhal kar lataafato.n ko baratTuuT jaa.e kahii.n na ko.ii paratdekh kar shiisha-e-nashaat uThaaye varaq hai varaq hai sone kaakaaGaz-e-baad ye nagiina haibalki ai dost aabgiina haisaaGar-e-shabnam-e-KHush-aab hai yeaabgiina nahii.n habaab hai yerok le saa.ns jo qariib aa.eThes us ko kahii.n na lag jaa.eteG-e-mastii ko ehtiyaat se chhuuvarna Tapkegaa u.ngliyo.n se lahuumastiyo.n me.n hai taab-e-jalva-e-maahaur siyah mastiyaa.n KHudaa kii panaahKHuub hai ek had pe qaa.em nashahalkaa phulkaa subuk mulaa.em nashahaa.n adab se uThaa adab se jaamtaaki aab-e-halaal ho na haraamjaam par jaam jo cha.Dhaate hai.nuu.nT kii tarah bilbilaate hai.nzindagii kii havas me.n marte hai.nmai ko rusvaa-e-dahr karte hai.nyaad hai jab 'jigar' cha.Dhaate thekyaa alif ho ke hin-hinaate themerii gardan me.n bhar ke chand aahe.npaa.nv se Daalte the vo baa.nhe.naql kii maut ilm kii pastiial-amaa.n la.anat-e-siyah mastiiuf ghaTaa-Top nashshe kaa tuufaanbhuut ifriit dev jin shaitaanlaat ghuu.nsa chha.Dii chhurii chaaquulib-libaahaT lu.aab kaf badbuutanz aavaaza barhamii ifsaadta.an tashnii.a maz.haka iiraadshor huu-haq abe-tabe hai haiaukhiyaa.n gaaliyaa.n dhamaake qaimas-masaahaT Gashii tapish chakkarsoz sailaab sansanii sarsarchal-chaKHe chiiKH chunaa.n-chunii.n chi.nghaa.DchaKH-chaKHe chaa.uu.n chaa.uu.n chiil-chilhaa.Dlappaa-Dukki lataam laam la.Daa.iihaul haijaan haa.nk haathaa-paa.iikhalbalii kaa.o.n kaa.o.n khaT-manDalhau.nk ha.ngaama hamhama halchaluljhan aavaargii udham aiThanbhau.nk bhau.n bhau.n bhinan bhinan bhan-bhandhaul-dhappaa dhaka.D-paka.D dhutkaartahlka tuu ta.Daaq tuf takraarbuu bhabhak bhay bikas barar bhau.nchaaldabdabe dandanaahaTe.n dhammaalgaah narmii o lutf o mehr o salaamgaah talKHii o turshii o dushnaamaql kii maut ilm kii pastiial-amaa.n la.anat-e-siyah mastiisirf nashshe kii bhiigne de mase.nin ko ban.ne na de kabhii mo.nchhe.nal-amaa.n KHaufnaak kaalaa nashaoh riish-o-buruut vaalaa nashaazhdar-e-marg o dev-e-KHuu.n-KHvaariial-amaa.n nashsha-e-''jaTaadhaarii''nashshe kaa jhuT-puTaa hai nuur-e-hayaatjhuTpuTe ko banaa na kaalii raatnashshe kii tez raushnii bhii Galatchaudhvii.n kii sii chaa.ndnii bhii Galatzehn-e-insaa.n ko baKHshtaa hai jamaalnashsha ho jab ye qadr-e-nuur-e-hilaalGurfa-e-aql bhe.D to akasrpar use kach-kachaa ke band na karraat ko lutf-e-jaam hai pyaaredin kaa piinaa haraam hai pyaaredin hai ifriit-e-aaz kii khankaarraat paazeb naazukii jhankaardin hai KHaashaak KHaak dhuul dhu.aa.nraat aa.iina anjuman afshaa.ndin musallah davaa.n kamar bastaraat taaq-o-ravaaq-o-gul-dastadin hai faulaad-e-sa.ng teG-e-alamraat kam-KHvaab pa.nkhu.Dii shabnamdin hai shevan duhaa.iyaa.n dukh.Deraat mast a.nkh.Diyaa.n javaa.n mukh.Dedin ka.Dii dhuup kii bad-aaha.ngiiraat pichhle pahar kii saara.ngiidin bahaadur kaa baan biir kii rathraat champaa-kalii a.nguuThii nathdin hai tuufaan-e-jumbish-o-raftaarraat miizaan-e-kaakul-o-ruKHsaaraaftaab-o-sharaab hai.n bairiibotale.n din ko hai.n pachhal pairiikar na paamaal hurmat-e-auqaatraat ko din banaa na din ko raatpii magar sirf shaam ke ha.ngaamaur vo bhii ba-qadr-e-yak-do jaamvahii insaa.n hai KHurram-o-KHursandjo hai miqdaar o vaqt kaa paabandmere piine hii par na jaa mirii jaa.nmujh se jiinaa bhii siikh hai.n qurbaa.nus ke piine me.n rang aataa haijis ko jiine kaa Dha.ng aataa haiye nasaa.eh bahut hai.n besh-bahaajald so jald jaag jald nahaabaaG me.n jaa tuluu.a se pahletaa nigaar-e-sahar se dil bahlesarv-o-shamshaad ko gale se lagaahar chaman-zaad ko gale se lagaamu.nh a.ndhere fazaa-e-gulshan dekhsaahil o sabza-zaar o sausan dekhgaah aavaara abr-paare dekhin kii raftaar me.n sitaare dekhjaise kohre me.n taab-e-ruu-e-nikuujaise jangal me.n raat ko jugnuugul kaa mu.nh chuum ik tarannum senahr ko gudgudaa tabassum sejism ko kar araq se nam-aaluudtaaki shabnam pa.Dhe lahak ke daruudphe.nk sanjiidgii kaa sar se baarnaach uchhal dandanaa chhalaa.nge.n maardekh aab-e-ravaa.n kaa aa.iinadau.D saahil pe taan kar siinamast chi.Diyo.n kaa chahchahaanaa sunmauj-e-nau-mashq kaa taraana sunbostaa.n me.n sabaa kaa chalnaa dekhsabza o sarv kaa machalnaa dekhshabnam-aaluud kar suKHan kaa libaaschakh dhundalke me.n buu-e-gul kii miThaasshaa.irii ko khilaa havaa-e-saharis kaa nafqa hai terii gardan parraqs kii lahr me.n ho gum lab-e-nahryuu.n adaa kar uruus-e-sher kaa mahrjazb kar bostaa.n ke naqsh-o-nigaarzehan me.n khol misr kaa baazaarnarm jho.nko.n kaa aab-e-haivaa.n piibuu-e-gul ra.ng-e-shabnamistaa.n piigun-gunaa kar nazar uThaa kar piisub.h kaa shiir daGdaGa kar piitaaki mujre ko aa.e.n kul barkaatdaulat jism o ilm o aql o hayaatye na ta.ana na ye ulahnaa haiek nukta bas aur kahnaa haiGaibat-e-nuur ho ki kasrat-e-nuurzulmat-e-taam ho ki sho.ala-e-tuurek saa hai vabaal dono.n kaatiirgii hai ma.aal dono.n kaadarKHur-e-saahab-e-ma.aal nahii.nhar vo shai jis me.n e'tidaal nahii.nshaadmaanii se pii nahii.n saktaajis ko haukaa ho jii nahii.n saktaaai pisar ai baraadar ai hamraazban na is tarah duur kii aavaazko.ii biimaar tan nahii.n saktaaKHaadim-e-KHalq ban nahii.n saktaaKHidmat-e-KHalq farz hai tujh pardaur-e-maazii kaa qarz hai tujh parasr-e-haazir ke shaa.ir-e-KHuddaarqarz-daarii kii maut se hoshyaarzehn-e-insaaniyat ubhaar ke jaazindagaanii kaa qarz utaar ke jaatujh pe hindostaan naaz kareumr terii KHudaa daraaz kare
roz hii bu.Dhiyaa uTh kar kyo.n kahtii haipyaas lagii haipaanii Daalte Daalte mug se aa jaatii haigilaas giraa.oge tumhaath tumhaare kaa.np rahe hai.njaan jalaa rakhii hai is neKHarraaTe kyaa mai.n letaa huu.nnaak to is kii pharraatii haiaadhii raat ko uTh kar kahtii hai ki pa.nkhaa band karo naa.n ThanDlagtii haipaa.nv maar ke KHud hii to chaadar phe.nkii thiipaa.nv pala.ng pe maar kar pair sujaa rakhaa haisaarii raat dabaataa huu.npain-killer khaa khaa ke bhii ab uub gayaa huu.nsaarii umr jalaayaa is neek baras hone ko aayaasii.Dhii par phislii thii to sar pho.D liyaa thaaapne haath se aag ke uupar rakh kar aayaa thaa mai.n us koaur kahaa thaa tuu chal mai.n bhii aataa huu.npar jaa.e tab naa.nsaarii raat mire bistar par karvaTe.n letii rahtii hai
in haatho.n kii taaziim karoin haatho.n kii takriim karoduniyaa ke chalaane vaale hai.nin haatho.n ko tasliim karotaariiKH ke aur mashiino.n ke pahiyo.n kii ravaanii in se haitahziib kii aur tamaddun kii bharpuur javaanii in se haiduniyaa kaa fasaana in se hai, insaa.n kii kahaanii in se haiin haatho.n kii taaziim karosadiyo.n se guzar kar aa.e hai.n, ye nek aur bad ko jaante hai.nye dost hai.n saare aalam ke, par dushman ko pahchaante hai.nKHud shaktii kaa autaar hai.n, ye kab Gair kii shaktii maante hai.nin haatho.n ko taaziim karoek zaKHm hamaare haatho.n ke, ye phuul jo hai.n gul-daano.n me.nsuukhe hu.e pyaase chulluu the, jo jaam hai.n ab mai-KHaano.n me.nTuuTii hu.ii sau a.ng.Daa.iyo.n kii mehraabe.n hai.n aivaano.n me.nin haatho.n kii taaziim karoraaho.n kii sunahrii raushniyaa.n, bijlii ke jo phaile daaman me.nfaanuus hasii.n aivaano.n ke, jo rang-o-nuur ke KHirman me.nye haath hamaare jalte hai.n, ye haath hamaare raushan hai.nin haatho.n kii taaziim karoKHaamosh hai.n ye KHaamoshii se, so barbat-o-cha.ng banaate hai.ntaaro.n me.n raag sulaate hai.n, tablo.n me.n bol chhupaate hai.njab saaz me.n jumbish hotii hai, tab haath hamaare gaate hai.nin haatho.n kii taaziim karoe.ajaaz hai ye in haatho.n kaa, resham ko chhu.e.n to aa.nchal haipatthar ko chhu.e.n to but kar de.n, kaalakh ko chhu.e.n to kaajal haimiTTii ko chhu.e.n to sonaa hai, chaa.ndii ko chhu.e.n to paayal haiin haatho.n kii taaziim karobahtii hu.ii bijlii kii lahre.n, simTe hu.e gangaa ke dhaaredhartii ke muqaddar ke maalik, mehnat ke ufuq ke sayyaareye chaaragaraan-e-dard-e-jahaa.n, sadiyo.n se magar KHud bechaarein haatho.n kii taaziim karotaKHliiq ye soz-e-mehnat kii, aur fitrat ke shahkaar bhii hai.nmaidaan-e-amal me.n lekin KHud, ye KHaaliq bhii me.amaar bhii hai.nphuulo.n se bharii ye shaaKH bhii hai.n aur chaltii hu.ii talvaar bhii hai.nin haatho.n kii taaziim karoye haath na huu.n to mohmal sab, tahriire.n aur taqriire.n hai.nye haath na ho.n to be-ma.anii insaano.n kii taqriire.n hai.nsab hikmat-o-daanish ilm-o-hunar in haatho.n kii tafsiire.n hai.nin haatho.n kii ta.aziim karoye kitne subuk aur naazuk hai.n, ye kitne siDaul aur achchhe hai.nchaalaakii me.n ustaad hai.n ye aur bhole-pan me.n bachche hai.nis jhuuT kii gandii duniyaa me.n bas haath hamaare sachche hai.nin haatho.n kii taaziim karoye sarhad sarhad ju.Dte hai.n aur mulko.n mulko.n jaate hai.nbaa.nho.n me.n baa.nhe.n Daalte hai.n aur dil se dil ko milaate hai.nphir zulm-o-sitam ke pairo.n kii zanjiir-e-giraa.n ban jaate hai.nin haatho.n kii ta.aziim karota.amiir to in kii fitrat hai, ik aur na.ii ta.amiir sahiiik aur na.ii tadbiir sahii, ik aur na.ii taqdiir sahiiik shoKH o hasii.n KHvaab aur sahii ik shoKH o hasii.n ta.abiir sahiiin haatho.n kii ta.aziim karoin haatho.n kii takriim karoduniyaa ko chalaane vaale hai.nin haatho.n ko tasliim karo
vo jin ke mai'de bhare hu.e hai.nunhe.n bataa doye diin-o-duniyaa se maavaraa hai.ninhe.n jahannum se mat Daraa.e.nye roz apne badan jahannum me.n Daalte hai.n
sub.h hote hii aaTh karo.D masKHare nikal aate hai.n sa.Dko.n paraur shuruu.a kar dete hai.n naachaaTh karo.D masKHare nikal aate hai.n apne ra.nge chehro.n aur lambii Topiyo.n ke saathto.D-pho.D Daalte hai.n aasmaandhajjii dhajjii kar dete hai.n dhuupuljhaa lete hai.n havaa kii Dor apne haatho.n me.nraasta nahii.n dete mayyat-gaa.Diyo.n ko aur aag bujhaane vaale engine kobhar dete hai.n sayyaare ko behuuda fiqro.n seaur shaam aatii hailauT jaate hai.n suuraj ke saath chorus gaate hu.eaur raat hotii haiaur sub.h hotii haisub.h hote hii aaTh karo.D masKHare nikal aate hai.n sa.Dko.n paraur shuruu.a kar dete hai.n naach...
dekh kar kisii kaa desh ke liye upvaasham netaa.o.n kaa u.Daate hai.n uphaasaur dete hai.n gaaliyaa.nbas hamaaraa farz puuraajab bhii hotaa hai ko.ii aandolanham yaar dosto.n kaa kar ke sammelannigaah sarkaar pe Daalte hai.n savaaliyabas hamaaraa farz puuraadesh jaataa hai jahaa.n jaa.enetaa chaahe jaise bhii desh ko chalaa.e.nham duty kar dete hai.n paa.nch saalbas hamaaraa farz puuraapaanii ho chalaa hai hamaaraa KHuunab kahaa.n desh-bhaktii kaa junuunroz kahte hai.n achchhaa nahii.n hamaaraa qaanuunbas hamaaraa farz puuraaham Dar se maante hai.n qaanuun-qaa.edaaisii aazaadii kaa kyaa faa.edasach maante hai.n paa.nch saal vaalaa va.adabas hamaaraa farz puuraajaldii bhulaa dete hai.n uupar pa.Dii laat kophir kyuu.n bhunte hai.n ham binaa baat kojab itnaa hii bahaana banaanaa hai ham aap koki bas hamaaraa farz puuraa
KHudaa gar hame.n ik parinda banaataajahaa.n me.n ham ik aashiyaana banaatekisii sabz vaadii me.n apnaa nashemanyaa sehn-e-chaman ko Thikaana banaatekabhii u.Dte baadal me.n hotaa baseraakabhii Daalte kunj-e-vahshat me.n Deraakabhii daaman-e-koh hotaa hamaaraakabhii bantaa ghar ik nadii kaa kinaaraakabhii giit gaate ghaTaa.o.n ke niichekabhii hote paagal havaa.o.n ke piichhefazaa.o.n me.n ham sub.h se shaam kartea.ndhere se pahle zamii.n par utarteko.ii gulistaa.n mulk hotaa hamaaraaham is ke liye ik taraana banaateKHudaa gar hame.n ik parinda banaataause ham parinde KHudaa na banaate
na the shaa.ir hii kuchh ba.De Gaalibdil-lagii me.n bhii KHuub the GaalibKHuub ha.nste ha.nsaate rahte theba.Dii pur-lutf baat kahte theaam un ko pasand the behadya.anii rasiyaa the aam ke behadKHud bhii baazaar se ma.ngaate thedost bhii aam un ko bhijvaatephir bhii aamo.n se jii na bhartaa thaaaam kaa shauq un ko itnaa thaaun ke qisse tumhe.n sunaa.e.n hamun kii baato.n se kuchh ha.nsaa.e.n hamek mahfil me.n vo bhii baiThe thelog aamo.n kaa zikr karte theaam aisaa ho aam vaisaa hopuuchhaa Gaalib se aam kaisaa hobole Gaalib ki puuchhte ho agarsirf do KHuubiyo.n pe rakhiye nazarbaat pahlii ye hai ki miiThaa hoduusrii baat ye bahut saa hoek din dost un ke ghar aa.eaam Gaalib ne the bahut khaa.esaamne ghar ke the pa.De chhilkeus galii me.n se kuchh gadhe guzreun gadho.n ne na chhilke vo khaa.esuu.ngh kar un ko ba.Dh ga.e aagedost ne jab ye maajraa dekhaasochaa Gaalib ko ab hai samjhaanaadost bole hai shai burii sii aamdekho khaate nahii.n gad.he bhii aamha.ns ke Gaalib ye dost se bolejii haa.n be-shak gad.he nahii.n khaatebaadshah kar rahe the sair-e-baaGKHush thaa aamo.n se un kaa qalb-o-dimaaGbaadshah ke the saath Gaalib bhiiDaalte the nazar vo lalchaa.iijii me.n ye thaa ki KHuub khaa.e.n aambaadshah se jo aaj paa.e.n aamghuurte the jo Gaalib aamo.n kobaadshah bole ghuurte kyaa hobaadshah se ye bole vo ha.ns karmuhr hotii hai daane daane pardekhtaa huu.n yuu.n ghuur kar mai.n aamshaayad un par likhaa ho meraa naammaqsad un kaa jo baadshah paa.ephir bahut aam un ko bhijvaa.e
karuu.ngaa fat.h ko.ii shaam to mai.n utruu.ngaa ulajhtii saa.ns ke kiikar se aurKHvaabo.n se raft-o-buud ke us paarabad ke husn-e-hariirii ke safed se phuul apnii palko.n pe chun sakuu.ngaa mai.nmai.n ban sakuu.ngaa KHud apnaa libaas KHud apnaa taar-e-nafasna sun sakuu.ngaa ko.ii lafz ko.ii nazm aur ko.ii aavaazsukuut-e-zaat me.n lamho.n kii chaap tak na aa.egiichamakte hosh-o-havaas thak chuke.n to savaad-e-shaam me.nso.e hu.e shajar ke tale pa.Daav Daalte hai.npuraanii yaado.n ke ra.ngii.n parinde shajar se niiche utarte hai.nudaas aa.nkho.n ke puraane ghar me.n KHayaal-o-KHvaabkaa malbuus pahne aate hai.nmai.n nanhe tifl ke maanind unhe.n paka.Dne khulii niim ujliivaadiyo.n me.n dau.Dtaa huu.nkahii.n pe pair phisaltaa hai aur dha.Daam se niiche kaalii khaa.iiyo.nme.n Duubtaa huu.naa.nkh khultii haichahaar-samt a.ndheraa hai a.ndhere me.n sapediiko.ii rang ko.ii libaas nahii.nko.ii KHushbuu ko.ii baas nahii.nba.Dii hii der talak ghuurte a.ndhere me.nrafta rafta ghule hai.n siyaahii mujh me.n aur mai.nsiyaahii me.nathaah nii.nd ke saahil pe saarii umr ke daaGtamaam nasl ke saare gunaah dhulte hai.nmagar havaas kahaa.n chho.Dte hai.n jism ke rogsavere pahlii kiran raushnii kii jaise hii jhilmilaatii haiKHvaabiida aa.nkh kulbulaatii haiathaah nii.nd ke saahil pe dhuup phailtii haidaaG ujaalo.n me.n phir chamakne lagte hai.nsaare gunaah a.ndherii ruuh ke taaqo.n pephir charaaG kii maanind jalne lagte hai.nna shaam fat.h hu.ii aur na sub.h fat.h hu.iiraat fat.h hu.ii aur na baat fat.h hu.iivahii huu.n mai.n vahii din raat aur vahii man-o-tuuvahii zamaana vahii yaade.n aur vahii KHvaabnasha utarne pe vahii maKHluuq aur vahii duniyaavahii.n hai.n motare.n vahii raaste vahii shahr aur vahii gaa.nvvahii hai biivii vahii bachche vahii ghar aur vahii chhaa.nvkaruu.ngaa fat.h ko.ii shaam to mai.n utruu.ngaatire kinaare (mere ruu-ba-ruu) ki jahaa.nna ko.ii sub.h na shaam aur na ko.ii nii.nd na KHvaabna ko.ii rasta na manzil na ko.ii ghar hai na ghaaT!
barso.n baa'd bar-nok-e-zabaan rahtaa hai ko.ii sherphir ek dinus ke jaane pahchaane hazaar martaba dohraa.e hu.e alfaaz ke andarkhul jaataa hai ma.aanii kaa ek nayaa darvaazaaur rah jaate hai.n ham hakka-bakkaajis mafhuum par sar dhunte aa.e the kal tak kitnaa sat.hii kitnaa adhuuraa thaa voshukr karte hai.n ki nahii.n puuchh liyaa kisii ne ham se is sher kaa matlabsatya-naas kar Daalte achchhe bhale sher kaa in na.e ma.aanii ke baGair hamyahii kuchh hotaa hai zindagii me.n pesh aane vaalevaaqi.aat o haadsaat ke saath bhiijo kuchh biit gayaa aur biit rahaa hai ham parder tak raaz hii nahii.n khultaa us kii ahmiyat kaabe-maqsad ho rahaa hai ye sab kuchhyaa is kaa hamaare mustaqbil aur muqaddar se bhii ta'alluq hai kuchhphir parda saa haTtaa hai aur ho jaate hai.n ham Garq-e-hairatkitnaa mahduud thaa hamaaraa naqd-e-ilmaur kin muGaalito.n me.n pa.De hu.e the hammujhe to KHuugar saa banaa diyaa hai roz-marra kii is hairaanii o pareshaanii nena.e se nayaa sadma sahne ko tayyaar rahtaa huu.n sub.h o shaamapnii jahaalat ke inkishaaf parone-day cricket to shauq se dekhte hai.n aap bhiiyuu.n samajhiye ki mashq thaa guzishta kal kaa match aaj ke match kiimashq hai aaj kaa match aane vaale kal ke liyeaur kal jo match hogaa apnii jagah vo final hii kyuu.n na homashq hogaa parso.n ke match kiihaDDiyaa.n gal ga.ii.n itnii saada sii baat samajhte samajhteki har din tuluu hotaa hai apne saath ek nayaa savaal ek nayaa challenge le karaur mutaaliba kartaa hai ham se ek na.e javaab ek na.e tarz-e-amal kaana to zindagii hii jaamid hai na zindagii kaa KHaaliq KHudaazindagii bahte dariyaa kii tarah badaltii rahtii hai har lahza qaa.em-o-daa.em rahte hu.eaur nit-na.ii taKHliiq me.n masruuf KHudaa bhii nahii.n hotaa kabhii pahle vaalaa KHudaajab zindagii aur us ke KHaaliq hii kii kaayaa kalp hotii rahtii hai yuu.nto ash.aar ho.n yaa vaaqi.aat o haadsaat badal jaataa hai hir shai kaa mafhuumbha.ii, badal jaate hai.n ham KHud badal jaatii hai hamaarii nazar hamaaraa ehsaasbadal jaatii hai.n vo mohabbate.njin ke azlii o abadii hone kii qasme.n khaayaa karte the hambadal jaatii hai.n be-badal dostiyaa.nvo KHvaahishe.n badal jaatii hai.n jinho.n neek umr paagal banaa.e rakhaa hotaa hai hame.naur to aur badal jaate hai.n diin aur iimaanraaste hii nahii.n badal jaatii hai.n manzile.nsun rahe hai.n aapbhar to nahii.n paa.e aap bhii?kidhar chal diye aap?badal to nahii.n ga.e aap bhii?
ham vo nahii.n jo tum samajhte hoham vo hai.n jo tum nahii.n samajhteham laash ke mu.nh pe apnii nazm kii miTTii Daalte hai.naur chain se so jaate hai.nsub.h uTh kar kaam kii talaash me.n nikalte hai.nhame.n aise mat dekhojaise suukhii ghaas baadal ko dekhtii haihame.n aise dekhojaise marne vaalaa gor-kan ko dekhtaa hai
tumhaare baa'd kyaa hu.aatumhe.n to kuchh KHabar nahii.nGamo.n ne zindagii ke saare zaaviye badal diyemirii tamaam KHvaahisho.n ke hausle kuchal diyemirii to saarii 'umr hii isii me.n kaT ke rah ga.iiudaasiyo.n kii bhii.D me.nsafar kii tez dhuup me.nKHushii kii ko.ii bazm ho ki Gam kaa silsila kahii.nmai.n har jagah tumhe.n faqat tumhe.n talaashtaa rahaamagar na jaane kyaa hu.aamai.n thak gayaamai.n thak gayaa tumhaare naqsh-e-paa talaashte hu.emai.n thak gayaa huu.n is badan me.n jaan Daalte hu.eye sochtaa huu.nzindagii ke bojh ko mai.n ab nahii.n uThaa.uu.ngaabhale tumhe.n KHabar na homai.n tum ko bhuul jaa.u.ngaa
use dukh ke saath byaahaa gayaaki jab aa.nkh khulii to sar par suuraj jaltii naa.nd me.n dhuulise dhuup ke saath byaahaa gayaaki jo shaam pa.De se din guzre tak sotii thiiuse nii.nd ke saath byaahaa gayaaki jo aaj ke KHvaab se kal ke KHvaab kaa saudaa kartii thiiuse byaah ke saath byaahaa gayaaki jo kashT uThaatii dhuup me.n baiThii saa.e se baate.n kartii thiiuse saa.e ke saath byaahaa gayaamallaaho.n ne us kii aa.nkho.n kii taariif nahii.n kiibachche us ko dekh ke ruke nahii.nla.Dkiyaa.n us ke libaas pe chau.nkii.n nahii.nuse yuu.n dafnaayaa jaise machhliyaa.n jaal se jaal me.n Daalte hai.nuse yuu.n nahlaayaa jaise baarish aabii paudo.n ko nahlaa kar KHush hotii haiuse shaam ke saath vidaa.a kiyaajab chaa.nd ghane baadal me.n chhuptaa phirtaa thaaaur aa.nkhe.n chun.ne vaalii machhliyaa.n chunii ga.ii thii.naur naav ne naav ke saath gunaah kiyaa thaamiTTii paanii ke beTe ye sab kuchh dekh chuke hote to dahshat se pahle mar jaate
ham vo nahii.n jo tum samajhte hoham vo hai.n jo tum nahii.n samajhteham laash ke mu.nh pe apnii nazm kii miTTii Daalte hai.naur chain se so jaate hai.nsub.h uTh kar kaam kii talaash me.n nikalte hai.nhame.n aise mat dekhojaise suukhii ghaas baadal ko dekhtii haihame.n aise dekhojaise marne vaalaa gorkan ko dekhtaa hai
ham aisii zard dopahro.n me.njab dukh kii raakh barastii haiis raakh ko terii yaad ke zevar pahnaa karraato.n ko KHvaab pirote hai.naur duusrii sub.hvo KHvaab anaa kii thaal me.n rakhmajruuh pindaar ke haatho.ntere qadmo.n pe ham Daalte hai.nvo KHvaab jo apne pal-pal kii is raakh se ham ta.amiir kare.nhar roz ham apne KHvaabo.n kii tauhiin kare.n
maut ko itnaa qariib dekh kar bhiiun kii ha.nsii band nahii.n hotiiun ke qadam nahii.n la.Dkha.Daatevo ha.nste hii rahte hai.nhar samt me.n be-shumaargoliyaa.n chalaatehar diivaar har darvaaze parbahut se suuraaKH kartesiyaah sa.Dak par insaanii KHuun sesurKH nishaan Daalteapne piichhe tar-o-taaza phuulo.n se bhariiqabro.n kii jannatapne piichhelaa-ta.adaad aa.nsu.o.n se bharaashaffaaf dariyaa chho.Dteha.nste hu.evo guzar jaate hai.n
ye namak-KHvaaraan-e-millat jab kahii.n piite hai.n chaa.e''aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e''Daalte hai.n ye ''sweetics'' is me.n chiinii kii bajaa.ejis ko apnii jaan piyaarii ho shakar kas tarah khaa.eye hai.n vo farhaad jo shiirii.n se apnii duur hai.nhai zeyabetis vo ba.Dhiyaa jis se ye majbuur hai.n
bachcho.n ne ik baaG lagaayaabaaG ko apne KHuub sajaayaakarte vo kaam baarii baariipaude lagaate kyaarii kyaariiroz vo KHabar us kii letevaqt pe khaad aur paanii Daaltera.ng-bira.nge phuul mahakteaa ke parinde us pe chahaktephal bhii miiThe miiThe aatephal bhii vo jo sab ko bhaatejo bhii bachcha mehnat kartaavaqt maze se us kaa guzartaa
ye ba.ngaalii hasiinaa.o.n kii jalva-gaah hai hamdamyahaa.n piir-o-javaa.n aa kar mataa-e-dil luTaate hai.njunuu.n-a.ngez lai me.n narm-o-shiirii.n giit gaate hai.nnigaaho.n me.n nigaahe.n Daalte hai.n muskuraate hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books