aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "darmaa.n"
jannat-e-shauq thii begaana-e-aafaat-e-sumuumdard jab dard na ho kaavish-e-darmaa.n maaluumKHaak the diida-e-bebaak me.n garduu.n ke nujuumbazm-e-parvii.n thii nigaaho.n me.n kaniizo.n kaa hujuum
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
ai sip.har-e-barii.n ke sayyaaroai fazaa-e-zamii.n ke gul-zaaroai pahaa.Do.n kii dil-fareb fazaaai lab-e-juu kii ThanDii ThanDii havaaai anaadil ke naGma-e-sahariiai shab-e-maahtaab taaro.n bhariiai nasiim-e-bahaar ke jho.nkodahr-e-naa-paa.edaar ke dhokotum har ik haal me.n ho yuu.n to aziizthe vatan me.n magar kuchh aur hii chiizjab vatan me.n hamaaraa thaa ramnaatum se dil baaG baaG thaa apnaatum mirii dil-lagii ke saamaa.n thetum mire dard-e-dil ke darmaa.n thetum se kaTtaa thaa ra.nj-e-tanhaa.iitum se paataa thaa dil shakebaa.iiaan ik ik tumhaarii bhaatii thiijo adaa thii vo jii lubhaatii thiikarte the jab tum apnii Gam-KHvaariidho.ii jaatii thii.n kulfate.n saariijab havaa khaane baaG jaate theho ke KHush-haal ghar me.n aate thebaiTh jaate the jab kabhii lab-e-aabdho ke uThte the dil ke daaG shitaabkoh o sahraa o aasmaan o zamii.nsab mirii dil-lagii kii shakle.n thii.npar chhuTaa jis se apnaa mulk o dayaarjii hu.aa tum se KHud-ba-KHud bezaarna gulo.n kii adaa KHush aatii haina sadaa bulbulo.n kii bhaatii haisair-e-gulshan hai jii kaa ik janjaalshab-e-mahtaab jaan ko hai vabaalkoh o sahraa se taa lab-e-dariyaajis taraf jaa.e.n jii nahii.n lagtaakyaa hu.e vo din aur vo raate.ntum me.n aglii sii ab nahii.n baate.nham hii Gurbat me.n ho ga.e kuchh auryaa tumhaare badal ga.e kuchh taurgo vahii ham hai.n aur vahii duniyaapar nahii.n ham ko lutf duniyaa kaaai vatan ai mire bahisht-e-barii.nkyaa hu.e tere aasmaan o zamii.nraat aur din kaa vo samaa.n na rahaavo zamii.n aur vo aasmaa.n na rahaaterii duurii hai morid-e-aalaamtere chhuTne se chhuT gayaa aaraamkaaTe khaataa hai baaG bin teregul hai.n nazro.n me.n daaG bin teremiT gayaa naqsh kaamraanii kaatujh se thaa lutf zindagaanii kaajo ki rahte hai.n tujh se duur sadaain ko kyaa hogaa zindagii kaa mazaaho gayaa yaa.n to do hii din me.n ye haaltujh bin ek ek pal hai ik ik saalsach bataa to sabhii ko bhaataa haiyaa ki mujh se hii teraa naataa haimai.n hii kartaa huu.n tujh pe jaan nisaaryaa ki duniyaa hai terii aashiq-e-zaarkyaa zamaane ko tuu aziiz nahii.nai vatan tuu to aisii chiiz nahii.njin o insaan kii hayaat hai tuumurG o maahii kii kaa.enaat hai tuuhai nabaataat kaa numuu tujh seruukh tujh bin hare nahii.n hotesab ko hotaa hai tujh se nashv-o-numaasab ko bhaatii hai terii aab-o-havaaterii ik musht-e-KHaak ke badleluu.n na hargiz agar bahisht milejaan jab tak na ho badan se judaako.ii dushman na ho vatan se havaa
pahlii aavaazab sa.ii kaa imkaa.n aur nahii.n parvaaz kaa mazmuu.n ho bhii chukaataaro.n pe kamande.n phe.nk chuke mahtaab pe shab-KHuu.n ho bhii chukaaab aur kisii fardaa ke liye un aa.nkho.n se kyaa paimaa.n kiijekis KHvaab ke jhuuTe afsuu.n se taskiin-e-dil-e-naadaa.n kiijeshiiriinii-e-lab KHushbuu-e-dahan ab shauq kaa unvaa.n ko.ii nahii.nshaadaabii-e-dil tafriih-e-nazar ab ziist kaa darmaa.n ko.ii nahii.njiine ke fasaane rahne do ab in me.n ulajh kar kyaa le.ngeik maut kaa dhandaa baaqii hai jab chaahe.nge nipTaa le.ngeye teraa kafan vo meraa kafan ye merii lahad vo terii hai
kal bhii merii pyaas pe dariyaa ha.nste theaaj bhii mere dard kaa darmaa.n ko.ii nahii.nmai.n is dhartii kaa adnaa saa baasii huu.nsach puuchho to mujh saa pareshaa.n ko.ii nahii.nkaise kaise KHvaab bune the aa.nkho.n neaaj bhii un KHvaabo.n saa arzaa.n ko.ii nahii.nkal bhii mere zaKHm bhunaa.e jaate theaaj bhii mere haath me.n daamaa.n ko.ii nahii.nkal meraa niilaam kiyaa thaa Gairo.n neaaj to mere apne beche dete hai.nsach puuchho to merii KHataa bas itnii haimai.n is dhartii kaa adnaa saa baasii huu.n
mere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatangul-posh terii vaadiyaa.nfarhat-nishaa.n raahat-rasaa.ntere chaman-zaaro.n pe haigulzaar-e-jannat kaa gumaa.nhar shaaKH phuulo.n kii chha.Diihar naKHl-e-tuubaa hai yahaa.nkausar ke chashme jaa-ba-jaatasniim har aab-e-ravaa.nhar barg ruuh-e-taazgiihar phuul jaan-e-gulsitaa.nhar baaG baaG-e-dil-kashiihar baaG baaG-e-be-KHizaa.ndilkash charaagaahe.n tiriiDhoro.n ke jin me.n kaarvaa.nanjum-sifat gulhaa-e-nauhar taKHta-e-gul aasmaa.nnaqsh-e-surayyaa jaa-ba-jaahar har ravish ik kahkashaa.nterii bahaare.n daa.imiiterii bahaare.n jaavedaa.ntujh me.n hai ruuh-e-zindagiipaiham ravaa.n paiham davaa.ndariyaa vo tere tund-KHuujhiile.n vo terii be-karaa.nshaam-e-avadh ke lab pe haihusn-e-azal kii daastaa.nkahtii hai raaz-e-sarmadiisub.h-e-banaras kii zabaa.nu.Dtaa hai haft-aflaak parun kaar-KHaano.n kaa dhu.aa.njin me.n hai.n laakho.n mehnatiisan.at-garii ke paasbaa.nterii banaras kii zariirashk-e-hariir-o-parniyaa.nbiidar kii fankaarii me.n hai.nsan.at kii sab baariikiyaa.nazmat tire iqbaal kiitere pahaa.Do.n se ayaa.ndariyaa.o.n kaa paanii, tariitaqdiis kaa andaaza-daa.nkyaa 'bhaarte.ndu' ne kiyaaga.ngaa kii lahro.n kaa bayaa.n'iqbaal' aur chakbast hai.nazmat ke terii naGma-KHvaa.n'josh' o 'firaaq' o 'pant' hai.ntere adab ke tarjumaa.n'tulsii' o 'KHusrav' hai.n teriitaariif me.n ratb-ul-lisaa.ngaate hai.n naGma mil ke sabuu.nchaa rahe teraa nishaa.nmere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatantere nazaaro.n ke nagii.nduniyaa kii KHaatam me.n nahii.nsaare jahaa.n me.n muntaKHabkashmiir kii arz-e-hasii.nfitrat kaa ra.ngii.n mo.ajazafirdaus bar-ruu-e-zamii.nfirdaus bar-ruu-e-zamii.nhaa.n haa.n hamii.n ast o hamii.nsarsabz jis ke dasht hai.njis ke jabal hai.n surmagii.nmeve ba-kasrat hai.n jahaa.nshiirii.n misaal-e-a.ngbii.nhar za.afaraa.n ke phuul me.naks-e-jamaal-e-huura.ii.nvo maalve kii chaa.ndniigum jis me.n ho.n duniyaa-o-dii.nis KHitta-e-naira.ng me.nhar ik fazaa husn-aafrii.nhar shai me.n husn-e-zindagiidilkash makaa.n dilkash zamii.nhar mard mard-e-KHuub-ruuhar ek aurat naaznii.nvo taaj kii KHush-paikariihar zaaviye se dil-nashii.nsan.at-garo.n ke daur kiiik yaadgaar-e-marmarii.nhotii hai jo har shaam kofaiz-e-shafaq se ahmarii.ndariyaa kii maujo.n se alagyaa ik bat-e-nazzaara-bii.nyaa taa.er-e-nuurii ko.iiparvaaz karne ke qarii.nyaa ahl-e-duniyaa se alagik aabid-e-uzlat-guzii.nnaqsh-e-ajantaa kii qasamjachtaa nahii.n arzha.ng-e-chii۔nshaan-e-ellora dekh karjhuktii hai aazar kii jabii.nchittau.D ho yaa aagaraaise nahii.n qil.e kahii.nbut-gar ho yaa naqqaash hotuu sab kii azmat kaa amii.nmere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatandilkash tire dasht o chamanra.ngii.n tire shahr o chamantere javaa.n raa.anaa javaa.ntere hasii.n gul pairahanik anjuman duniyaa hai yetuu is me.n sadr-e-anjumantere muGannii KHush-navaashaa.er tire shiirii.n-suKHanhar zarra ik maah-e-mubii.nhar KHaar rashk-e-nastarii.nGuncha tire sahraa kaa haiik naafa-e-mushk-e-KHutanka.nkar hai.n tere be-bahaapatthar tire laal-e-yamanbastii se jangal KHuub-tarbaaGo.n se husn afroz banvo mor vo kabk-e-dariivo chauk.Dii bharte hiranra.ngii.n-adaa vo titliyaa.nbaa.nbnii me.n vo naago.n ke phanvo sher jin ke naam selarze me.n aa.e ahrmankheto.n kii barkat se ayaa.nfaizaan-e-rabb-e-zul-minanchashmo.n ke shiirii.n aab selazzat-kashaa.n kaam-o-dahantaabinda teraa ahd-e-nauraushan tiraa ahd-e-kuhankitno.n ne tujh par kar diyaaqurbaan apnaa maal dhankitne shahiido.n ko miletere liye daar-o-rasankitno.n ko teraa ishq thaakitno.n ko thii terii lagantere jafaa-kash mehnatiirakhte hai.n azm-e-kohkantere sipaahii suurmaabe-misl yaktaa-e-zaman'bhisham' saa jin me.n hausla'arjun' saa jin me.n baa.nkpanaalim jo faKHr-e-ilm hai.nfankaar naazaa.n jin pe fan'raa.e' o 'bos' o 'shergil''dinkar,' 'jigar' 'maithli-sharan''vallathol' 'maahir', bhaartii'bachchan', 'mahaadevii' 'suman''krishnan', 'niraalaa', 'prem-chand''tagore' o 'aazaad' o 'raman'mere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatankhetii tirii har ik hariidilkash tirii KHush-manzariiterii bisaat-e-KHaak kezarre hai.n mahr-o-mushtariijhelum kaveri naag voga.ngaa kii vo ga.ngotariivo narbadaa kii tamkanatvo shaukat-e-godaavariipaakiizgii sarjuu kii vojamunaa kii vo KHush-gauhariidullarba aab-e-niil-guu.nkashmiir kii niilam-pariidilkash papiihe kii sadaakoyal kii taane.n mad-bhariitiitar kaa vo haq sirrahutuutii kaa vo vird-e-hariisuufii tire har daur me.nkarte rahe paiGambarii'chishtii' o 'nanak' se miliifaqr-o-Ginaa ko bartariiadl-e-jahaa.ngiirii me.n thiimuzmar re.aayaa-parvariivo nau-ratan jin se hu.iitahziib-e-daur-e-akbariirakhte the afGaan-o-muGalik saulat-e-askandariiraanaa.on ke iqbaal kiihotii hai kis se ham-sariisaava.nt vo yodhdhaa tiretere jiyaale vo jariiniiatii vidur kii aaj takkartii hai terii rahbariiab tak hai mash.huur-e-zamaa.n'chanakya' kii daanish-variivayaas aur vishvamitr semuniyo.n kii shaan-e-qaisariipaatanjalii o saa.nkh serishiyo.n kii hikmat-parvariibaKHshe tujhe in.aam-e-nauhar daur charKH-e-chambariiKHush-gauharii de aab koaur KHaak ko KHush-jauhariizarro.n ko mahr-afshaaniyaa.nqatro.n ko dariyaa-gustariimere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujiyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatantuu rahbar-e-nau-e-bashartuu amn kaa paiGaam-barpaale hai.n tuu ne god me.nsaahib-KHirad saahib-e-nazarafzal-tarii.n in sab me.n haibaapuu kaa naam-e-mo'tabarhar lafz jis kaa dil-nashii.nhar baat jis kii pur-asarjis ne lagaayaa dahr me.nna.ara ye be-KHauf-o-KHatarbe-kaar hai.n tiir-o-sinaa.nbe-suud hai.n teG-o-tabarhinsaa kaa rasta jhuuT haihaq hai ahinsaa kii Dagardarmaa.n hai ye har dard kaaye har maraz kaa chaara-garja.ngaah-e-aalam me.n ko.iiis se nahii.n behtar siparkartaa huu.n mai.n tere liyeab ye du.aa-e-muKHtasarraunaq pe ho.n tere chamansarsabz ho.n tere shajarnaKHl-e-umiid-e-behtariihar fasl me.n ho baarvarkoshish ho duniyaa me.n ko.iiKHitta na ho zer-o-zabarteraa har ik baasii raheneko-sifat neko-siyarhar zan saliiqa-ma.nd hohar mard ho saahib-hunarjab tak hai.n ye arz o falakjab tak hai.n ye shams o qamarmere vatan, pyaare vatanraahat ke gahvaare vatanhar dil ke ujyaare vatanhar aa.nkh ke taare vatan
KHaakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaa.n honaahairat kaa jahaa.n honaa hasrat kaa nishaa.n honaaai shaKHs jo tuu aakar yuu.n dil me.n samaayaa haituu dard ki darmaa.n hai to dhuup ki saayaa hai?nainaa.n tire jaaduu hai.n gesuu tire KHushbuu hai.nbaate.n kisii jangal me.n bhaTkaa hu.aa aahuu hai.nmaqsuud-e-vafaa sun le kyaa saaf hai saada haijiine kii tamannaa hai marne kaa iraada hai
dard-o-Gam-e-hayaat kaa darmaa.n chalaa gayaavo KHizr-e-asr-o-iisa-e-dauraa.n chalaa gayaahinduu chalaa gayaa na musalmaa.n chalaa gayaainsaa.n kii justujuu me.n ik insaa.n chalaa gayaaraqsaa.n chalaa gayaa na Gazal-KHvaa.n chalaa gayaasoz-o-gudaaz o dard me.n Galtaa.n chalaa gayaabarham hai zulf-e-kufr to iimaa.n hai sar-niguu.nvo faKHr-e-kufr-o-naazish-e-iimaa.n chalaa gayaabiimaar zindagii kii kare kaun dil-dahiinabbaaz o chaarasaaz-e-mariizaa.n chalaa gayaakis kii nazar pa.Degii ab 'isyaa.n pe lutf kiivo mahram-e-nazaakat-e-isyaa.n chalaa gayaavo raaz-daar-er-mahfil-e-yaaraa.n nahii.n rahaavo Gam-gusaar-e-bazm-e-ariifaa.n chalaa gayaaab kaafirii me.n rasm-o-raah-e-dilbarii nahii.niimaa.n kii baat ye hai ki iimaa.n chalaa gayaaik be-KHud-e-suruur-e-dil-o-jaa.n nahii.n rahaaik aashiq-e-sadaaqat-e-pinhaa.n chalaa gayaabaa-chashm-e-nam hai aaj zuleKHaa-e-kaa.enaatzindaa.n-shikan vo yuusuf-e-zindaa.n chalaa gayaaai aarzuu vo chashma-e-haivaa.n na kar talaashzulmaat se vo chashma-e-haivaa.n chalaa gayaaab sang-o-KHisht o KHaak o KHazaf sar-buland hai.ntaaj-e-vatan kaa la.al-e-daraKHshaa.n chalaa gayaaab ahrman ke haath me.n hai teG-e-KHuu.n-chakaa.nKHush hai ki dast-o-baazuu-e-yazdaa.n chalaa gayaadev-e-badii se maark-e-saKHt hii sahiiye to nahii.n ki zor-e-javaanaa.n chalaa gayaakyaa ahl-e-dil me.n jazba-e-Gairat nahii.n rahaakyaa azm-e-sar-faroshii-e-mardaa.n chalaa gayaakyaa baaGiyo.n kii aatish-e-dil sard ho ga.iikyaa sarkasho.n kaa jazba-e-pinhaa.n chalaa gayaakyaa vo junuun-o-jazba-e-bedaar mar gayaakyaa vo shabaab-e-hashr-badaamaa.n chalaa gayaaKHush hai badii jo daam ye nekii pe Daal kerakh de.nge ham badii kaa kaleja nikaal ke
suno bint-e-havvaabahan bhii ho beTii bhii ho maa.n bhii ho tummire saare dardo.n kaa darmaa.n bhii ho tummagar ye bhii sach haitumhaare liye mai.n shariik-e-hayaat o shariik-e-safar huu.nshariik-e-Gam-e-jaa.n shariik-e-shab-e-Gam shariik-e-sahar huu.ntumhaaraa har ik ashk hai meraa aa.nsuutumhaarii ha.nsii merii apnii ha.nsii hai
mere shahr ke saare raste band hai.n logomai.n is shahr kaa naGma-garjo do ik mausam Gurbat ke dukh jhel ke aayaataaki apne ghar kii diivaaro.n seapnii thakii hu.ii aur tarsii hu.iiaa.nkhe.n sahlaa.uu.napne darvaaze ke utarte roGan koapne ashko.n se saiqal kar luu.napne chaman ke jale hu.e paudo.naur gard-aaluud daraKHto.n kiimurda shaaKHo.n par bain karuu.nhar mahjuur sutuun ko itnaa TuuT ke chuumuu.nmere labo.n ke KHuun seun ke naqsh-o-nigaar sabhii jii uThe.ngalii ke logo.n ko itnaa dekhuu.nitnaa dekhuu.nmerii aa.nkhe.nbarso.n kii tarsii hu.ii aa.nkhe.nchehro.n ke aa.ngan ban jaa.e.nphir mai.n apnaa saaz uThaa.uu.naa.nsu.o.n aur muskaano.n se jhilmil jhilmilnazme.n Gazle.n giit sunaa.uu.napne pyaaro.ndard ke maaro.n kaa darmaa.n ban jaa.uu.nlekin mere shahr ke saare rasto.n parab baa.D hai lohe ke kaa.nTo.n kiishah darvaaze par kuchh pahre-daar kha.De hai.njo mujh se aur mujh jaise dil vaalo.n kiipahchaan se aariimere saaz sesa.ngiino.n se baat kare.nmai.n un se kahtaa huu.ndekhomai.n is shahr kaa naGma-gar huu.nbarso.n baa'd ka.Dii raaho.n kiisaarii aziyyat jhel ke ab vaapas aayaa huu.nus miTTii kii KHaatirjis kii KHushbu.e.nduniyaa bhar kii do-shiizaa.o.n ke jismo.n kii mahko.n seaur saare jahaa.n kesabhii gulaabo.n seba.Dh kar haimujh ko shahr me.nmere shahr me.n jaane dolekin tane hu.e nezo.n nemere jism ko yuu.n barmaayaamere saaz ko yuu.n rezaayaameraa humaktaa KHuun aur mere sisakte naGmeshah-darvaaze kii dahliiz seriste risteshahr ke andar jaa pahu.nche hai.naur mai.n apne jism kaa malbasaaz kaa laashaapne shahr ke shah-darvaazekii dahliiz pe chho.D kephir anjaane shahro.n kii shahraaho.n parmajbuur-e-safar huu.njin ko taj kar ghar aayaa thaajin ko taj kar ghar aayaa thaa
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
mujhe tere tasavvur se KHushii mahsuus hotii haidil-e-murda me.n bhii kuchh zindagii mahsuus hotii haiye taaro.n kii chamak me.n hai na phuulo.n hii kii KHushbuu me.ntirii tasviir me.n jo dilkashii mahsuus hotii haitujhe mai.n aaj tak masruuf-e-dars-o-va.az paataa huu.ntirii hastii mukammal aagahii mahsuus hotii haiye kyaa mumkin nahii.n tuu aa ke KHud ab is kaa darmaa.n karfazaa-e-dahr me.n kuchh barhamii mahsuus hotii haiujaalaa saa ujaalaa hai tirii sham-e-hidaayat kaashab-e-tiira me.n bhii ik raushnii mahsuus hotii haimai.n aa.uu.n bhii to kyaa mu.nh le ke aa.uu.n saamne tereKHud apne-aap se sharmindagii mahsuus hotii haitaKHayyul me.n tire nazdiik jab mai.n KHud ko paataa huu.nmujhe us vaqt ik-tarfa KHushii mahsuus hotii haituu hii jaane kahaa.n le aa.ii mujh ko aarzuu teriiye manzil ab saraapaa be-KHudii mahsuus hotii hai'ka.nval' jis vaqt kho jaataa huu.n mai.n us ke tasavvur me.nmujhe to zindagii hii zindagii mahsuus hotii hai
mahr sadiyo.n se chamaktaa hii rahaa aflaak parraat hii taarii rahii insaan ke idraak paraql ke maidaan me.n zulmat kaa Deraa hii rahaadil me.n taariikii dimaaGo.n me.n a.ndheraa hii rahaaik na ik maz.hab kii sa.ii-e-KHaam bhii hotii rahiiahl-e-dil par baarish-e-ilhaam bhii hotii rahiiaasmaano.n se farishte bhii utarte hii rahenek bande bhii KHudaa kaa kaam karte hii raheibn-e-maryam bhii uThe muusii-e-imraa.n bhii uTheraam o gautam bhii uThe fir.aun o haamaa.n bhii uTheahl-e-saif uThte rahe ahl-e-kitaab aate raheii.n janaab uThte aur aa.n-janaab aate rahehukmaraa.n dil par rahe sadiyo.n talak asnaam bhiiabr-e-rahmat ban ke chhaayaa dahr par islaam bhiimasjido.n me.n maulvii KHutbe sunaate hii rahemandiro.n me.n barhaman ashlok gaate hii raheaadmii minnat-kash-e-arbaab-e-irfaa.n hii rahaadard-e-insaanii magar mahruum-e-darmaa.n hii rahaaik na ik dar par jabiin-e-shauq ghistii hii rahiiaadamiyyat zulm kii chakkii me.n pastii hii rahiirahbarii jaarii rahii paiGambarii jaarii rahiidiin ke parde me.n ja.ng-e-zargarii jaarii rahiiahl-e-baatin ilm se siino.n ko garmaate rahejahl ke taariik saa.e haath phailaate raheye musalsal aafate.n ye yorish ye qatl-e-aamaadmii kab tak rahe auhaam-e-baatil kaa Gulaamzehan-e-insaanii ne ab auhaam ke zulmaat me.nzindagii kii saKHt tuufaanii a.ndherii raat me.nkuchh nahii.n to kam se kam KHvaab-e-sahar dekhaa to haijis taraf dekhaa na thaa ab tak udhar dekhaa to hai
din to u.D jaate hai.nye sab kaale par vaale bagule hai.njo ha.nste khelte lamho.n koapne pa.nkho.n me.n muu.nd ke aa.nkho.n se ojhal ho jaate hai.nraahat jaise KHvaab hai aise insaano.n kaajin kii ummiido.n ke daaman me.n paivand lage hai.njaama ek taraf siite hai.n duusrii jaanib phaT jaataa haiye duniyaa lamha lamha jiitii hai'maryam' ab kap.De setii haiaa.nkho.n kii biinaa.ii saath nahii.n detii abaur 'Gazanfar'jo ruumaal me.n laDDuu baa.ndh ke us ke ghar me.n phe.nkaa kartaa thaaaur us kii aa.nkho.n kii tausiif me.n Gazle.n likhvaa kar laayaa kartaa thaaus ne aur kahii.n shaadii kar lii haiab apnii lak.Dii kii Taal pe baiThaaapnii kaj-raa.ii aur javaanii ke qisse dohraayaa kartaa haiTaal se uTh kar jab ghar me.n aataa haibeTii par qadGan rakhtaa haina.e zamaane kii aulaad ab vaisii nahii.n rah ga.iibadkaarii ba.Dhtii jaatii haijo din biit ga.e kitne achchhe the!
phir dil me.n dard silsila-e-jumbaa hai kyaa karuu.nphir ashk garm-e-daavat-e-mizhgaa.n hai kyaa karuu.nphir chaak chaak siina hai aavaaz duu.n kisephir taar taar jaib-o-garebaa.n hai kyaa karuu.nphir ittisaal-e-gardan-o-KHanjar hai kyaa kahuu.nphir iKHtilaat-e-zaKHm-o-namak-daa.n hai kyaa karuu.nphir ik girah hariif-e-nafas hai kise bataa.uu.nphir ik khaTak rafiiqe-e-rag-e-jaa.n hai kyaa karuu.nsiine me.n ek dashna saa letaa hai karvaTe.nrag rag me.n ek aag sii Galtaa.n hai kyaa karuu.njis chiiz par madaar thaa darmaan-e-ziist kaavo shai phir aaj dard kaa unvaa.n hai kyaa karuu.nphir sar par abr-e-daur-e-junuu.n hai ghiraa hu.aaphir dil me.n buu-e-zulf pareshaa.n hai kyaa karuu.nphir ishq-e-naa-subuur kaa partav hai ruuh parphir dil huzuur-e-aql pashemaa.n hai kyaa karuu.nbiite dino.n kii yaad par afshaa.n hai kyaa karuu.nraato.n kii nam havaa.o.n me.n taaro.n kii chhaa.nv me.nbiite dino.n kii yaad par-afshaa.n hai kyaa karuu.njis chaa.ndnii ko kho.e hu.e muddate.n hu.ii.nphir zehn ke ufuq se numaayaa.n hai kyaa karuu.ntaqdiir ne kabhii jo nikaalaa thaa ik juluusphir jaada-e-nafas pe KHiraamaa.n hai kyaa karuu.nvo Gam ki de chukaa huu.n jise baar-haa shikastphir dil se 'josh' dast-o-garebaa.n hai kyaa karuu.n
''dahaan-e-yaar ki darmaan-e-dard-e-'haafiz' daashtfuGaa.n ki vaqt-e-muravvat che ta.ng hausla buud''
ai dost puraane pahchaaneham kitnii muddat baa'd mileaur kitnii sadiyo.n baa'd miliiye ek nigaah-e-mehr-o-saKHaajo apnii saKHaa se KHud pur-nambaiTho to zaraabatlaa.o to kyaaye sach hai mere ta.aaqub me.nphirtaa hai hujuum-e-sa.ng-zanaa.n?kyaa niil bahut hai.n chehre par?kyaa kaasa-e-sar hai KHuun se tar?paivand-e-qabaa dushnaam bahutpaivast-e-jigar ilzaam bahutye nazr-e-karam kyuu.n hai pur-nam?jab nikle kuu-e-malaamat me.nik GauGaa to ham ne bhii sunaatiflaa.n kii to kuchh taqsiir na thiiham aap hii the yuu.n KHud-raftamad.hoshii ne mohlat hii na diiham mu.D ke nazaara kar letebachne kii to suurat KHair na thiidarmaa.n kaa hii chaara kar letepal bhar bhii hamaare kaar-e-junuu.nGaflat jo gavaara kar lete
os kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.nphuul gar chaahe ki apnii raat ke anjaam koek hii lamhe me.n yaksar jaan leus ko laazim hai havaa ke sard jho.nke se kahejaa.o us ke aa.nsu.o.n ko chuum loaa.nsu.o.n ko chuum kar mahsuus ye hone lagaaek aa.nsuu ek buu.ndek pal me.n ek bahr-e-niilguu.nban ke chhaa jaataa hai tanhaa naav parkyaa hu.aa gar os kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.nos kii buu.ndo.n me.n namkiinii agar hotii to kyaaphuul is me.n tairte hii tairteapnii manzil tak pahu.nch saktaa na thaa ik naav ban saktaa na thaaphuul kyaa hai tuu ki mai.nphuul mai.n huu.n tuu nahii.ntuu to bahr-e-niilguu.n me.n ek tanhaa naav haibahtii jaatii hai zaraa ruktii nahii.ntujh ko ye ma.aluum kab hai os kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.ntuu faqat baato.n ke bal par apnii raato.n kii rasiilii chhaa.nv me.nye samajhtii hai ki har lamha achaanak phail karshash-jihat par dil dha.Dakte hii me.n yuu.n chhaane lagaajaise ik Thahraav furqat kii a.ndherii raat me.ndard ke ham-dosh lazzat ko bhii uksaataa rahele piyaala thaam leis me.n baaqii hai abhii zahr-e-Gamjis ko pii kar mai.n bhii apnii zindagii se bhaagtaa phirtaa rahaaguftuguu se faa.eda kuchh bhii nahii.n lekin mujhehar ishaaraa daam hai alfaaz kaajis me.n taa.ir pha.D-pha.Daate chiiKHtechiiKHte hii chiiKHte KHaamosh ho jaate hu.ejaan lete hai.n ki ab vo raat hii darmaa.n banegii dard ke ambaar kaajis ke bikhre daaman-e-sad-chaak me.nphuul kii bhiigii hu.ii pattii pe buu.nde.n os kiisaath laatii hai.n gudaaz-e-ruuh kii halkii malaahat ko jisechakh ke kahtii hai zabaa.n kyuu.n ab kahoos kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.ndekh duurek tanhaa naav bahr-e-niilguu.n pe rafta rafta ba.Dhte ba.Dhte aa rahii hai paas dekhduur kii chiize.n bhii yuu.nbaato.n baato.n me.n qariib aa jaa.e.ngii kyaa thii KHabardekh torishta-e-ahd-e-taKHayyul band thaakhulne lagaarafta rafta ik na.ii suurat nazar aane lagiiik na.ii suurat magar kuchh naqsh to maanuus hai.naur har lamhe se har aa.nsuu se qasr-e-niilguu.n istaada haiduur us kii chhat me.n do faanuus hai.n
chaa.ndnii raat ke ha.nste hu.e KHvaabo.n kii tarahnuqra.ii jism kaa shaadaab gulistaa.n le karshoKH aa.nkho.n ke chhalakte hu.e paimaano.n me.nmujh tahii-dast ke aalaam kaa darmaa.n le karaaj tuu jin ko bujhaane ke liye aa.ii haiunhii.n sho.alo.n se mire dil ne jilaa paa.ii hai
is shaam-e-KHizaa.n ne ab tak to har tarh se parda-daarii kiijab sub.h-e-bahaar aa jaa.egii ai tangii-e-daamaa.n kyaa hogaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books