aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "golaa"
kyaa saKHt makaa.n banvaataa hai KHam tere tan kaa hai polaatuu uu.nche coat uThaataa hai vaa.n gor ga.Dhe ne mu.nh kholaakyaa renii KHandaq rand ba.De kyaa brij ka.nguuraa anmolaaga.D.h coat rahakla top qila kyaa shiisha daaruu aur golaasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
uruus-e-shab kii zulfe.n thii.n abhii naa-aashnaa KHam sesitaare aasmaa.n ke be-KHabar the lazzat-e-ram seqamar apne libaas-e-nau me.n begaana saa lagtaa thaana thaa vaaqif abhii gardish ke aa.iin-e-musallam seabhii imkaa.n ke zulmat-KHaane se ubhrii hii thii duniyaamazaaq-e-zindagii poshiida thaa pahnaa-e-aalam sekamaal-e-nazm-e-hastii kii abhii thii ibtidaa goyaahuvaidaa thii nagiine kii tamannaa chashm-e-KHaatam sesunaa hai aalam-e-baalaa me.n ko.ii kiimiyaa-gar thaasafaa thii jis kii KHaak-e-paa me.n ba.Dh kar saaGar-e-jam selikhaa thaa arsh ke paa.e pe ik iksiir kaa nusKHachhupaate the farishte jis ko chashm-e-ruuh-e-aadam senigaahe.n taak me.n rahtii thii.n lekin kiimiyaa-gar kiivo is nusKHe ko ba.Dh kar jaantaa thaa ism-e-aazam seba.Dhaa tasbiih-KHvaanii ke bahaane arsh kii jaanibtamannaa-e-dilii aaKHir bar aa.ii sa.i-e-paiham sephiraayaa fikr-e-ajzaa ne use maidaan-e-imkaa.n me.nchhupegii kyaa ko.ii shai baargaah-e-haq ke mahram sechamak taare se maa.ngii chaa.nd se daaG-e-jigar maa.ngaau.Daa.ii tiirgii tho.Dii sii shab kii zulf-e-barham seta.Dap bijlii se paa.ii huur se paakiizgii paa.iiharaarat lii nafas-haa-e-masiih-e-ibn-e-maryam sezaraa sii phir rubuubiyat se shaan-e-be-niyaazii liimalak se aajizii uftaadgii taqdiir shabnam sephir in ajzaa ko gholaa chashma-e-haivaa.n ke paanii me.nmurkkab ne mohabbat naam paayaa arsh-e-aazam semuhavvis ne ye paanii hasti-e-nau-KHez par chhi.Dkaagirah kholii hunar ne us ke goyaa kaar-e-aalam sehu.ii jumbish ayaa.n zarro.n ne lutf-e-KHvaab ko chho.Daagale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam seKHiraam-e-naaz paayaa aaftaabo.n ne sitaaro.n nechaTak Guncho.n ne paa.ii daaG paa.e laala-zaaro.n ne
bhalaa.ii sab kii ho jis se vo kaam us kaa haijahaa.n bhii jaa.o vahii.n ehtiraam us kaa haiuThaa.e sar ko.ii kyaa sar uThaa nahii.n saktaamuqaable ke liye aage aa nahii.n saktaakisii se us ko mohabbat kisii se ulfat haikisii ko us kii hai us ko kisii kii hasrat haivafaa-o-lutf tarahhum kii KHaas aadat haiGaraz karam hai mudaaraat hai inaayat haikisii ko dekh hii saktaa nahii.n hai mushkil me.nye baat kyuu.n hai ki rakhtaa hai dard vo dil me.nvo rashk-e-sham-e-hidaayaat hai anjuman ke liyevo misl-e-ruuh-e-ravaa.n unsur-e-badan ke liyevo ek saaGar-e-nau mahfil-e-kuhan ke liyevo KHaas maslah-e-kul shaiKH-o-barahman ke liyelagan use hai ki sab maalik-e-vatan ho jaa.e.nqafas se chhuuT ke ziinat-dah-e-chaman ho jaa.e.njafaa-shi.aar se hotaa hai bar-sar-e-paikaarna paas top na golaa na qabze me.n talvaarzamaana taaba-e-irshaad hukm par tayyaarvo paak shakl se paidaa hai.n josh ke aasaarkisii KHayaal se charKHe ke bal pe la.Dtaa haikha.Dii hai fauj ye tanhaa magar aka.Dtaa haitarah tarah ke sitam dil par apne sahtaa haihazaar ko.ii kahe kuchh KHamosh rahtaa haikahaa.n shariik hai.n aa.nkho.n se KHuun bahtaa haisuno suno ki ye ik kahne vaalaa kahtaa haijo aabruu tumhe.n rakhnii ho josh me.n aa.oraho na be-KHud-o-be-hosh hosh me.n aa.ousii ko ghere amiir-o-Gariib rahte hai.nnadiim-o-muunish-o-yaar-o-habiib rahte hai.nadab ke saath adab se adiib rahte hai.nnasiib-var hai.n vo ba.De KHush-nasiib rahte hai.nko.ii bataa.e to yuu.n dekh-bhaal kis kii haijo us se baat kare ye majaal kis kii hairifaah-e-aam se raGbat hai aur matlab haianokhii baat niraalii ravish nayaa Dhab haiyahii KHayaal thaa pahle yahii KHayaal ab haifaqat hai diin yahii bas yahii to maz.hab haiagar bajaa hai to 'bismil' kii arz bhii sun lochaman hai saamne do-chaar phuul tum chun lo
itnii afsurda aavaaz mere KHudaamerii pahlii samaa.at pe likkhii ga.iimerii pahlii hii saa.nso.n me.n gholaa gayaain shikasta se lahjo.n kaa zahriilaa-pan
ek kachhve ke aa ga.ii jii me.nkiijiye sair o gasht KHushkii kiijaa rahaa thaa chalaa hu.aa KHaamoshus se naahaq ulajh pa.Daa KHargoshmiyaa.n kachhve! tumhaarii chaal hai yeyaa ko.ii shaamat aur vabaal hai yeyuu.n qadam phuu.nk phuu.nk dharte hogoyaa uttuu zamii.n pe dharte hokyuu.n hu.e chal ke muft me.n bad-naambe-chale kyaa aTak rahaa thaa kaamtum ko ye hausla na karnaa thaachulluu paanii me.n Duub marnaa thaaye tan-o-tosh aur ye raftaaraisii raftaar par KHudaa kii maarbolaa kachhvaa ki ho.n KHafaa na huzuurmai.n to huu.n aap mo'tarif ba-qusuuragar aahistagii hai jurm-o-gunaahto mai.n KHud apne jurm kaa huu.n gavaahmujh ko jo saKHt sust farmaayaaaap ne sab durust farmaayaamujh ko Gaafil magar na jaaniyegaabanda-parvar buraa na maaniyegaayuu.n zabaanii javaab to kyaa duu.nshart bad kar chalo to dikhlaa duu.ntum to ho aaftaab me.n zarrapar miTaa duu.ngaa aap kaa Gurrasun ke KHargosh ne ye talKH javaabkahaa kachhve se yuu.n zi-ruu-e-itaabtuu kare merii ham-sarii kaa KHayaalterii ye taab ye sakat ye majaalchyuu.nTii ke jo par nikal aa.eto yaqii.n hai ki ab ajal aa.eare bebaak! bad-zabaa.n mu.nh-phaTtuu ne dekhii kahaa.n hai dau.D jhapaTjab mai.n tezii se jast kartaa huu.nshahsavaaro.n ko past kartaa huu.ngard ko merii baad-e-paa na lagelaakh dau.De miraa pata na lagerail huu.n barq huu.n chhalaavaa huu.nmai.n chhalaave kaa balki baavaa huu.nterii merii nibhegii sohbat kyaaaasmaa.n ko zamii.n se nisbat kyaajis ne bhugte ho.n turkii o taaziiaaise mariyal se kyaa bade baaziibaat ko ab ziyaada kyaa duu.n tuulKHair kartaa huu.n terii shart qubuulhai munaasib ki imtihaa.n ho jaa.etaaki aib o hunar ayaa.n ho jaa.eal-Garaz ik maqaam Thahraa karhu.e dono.n hariif garm-e-safarbas-ki zoro.n pe thaa cha.Dhaa KHargoshtezii phurtii se yuu.n ba.Dhaa KHargoshjis tarah jaa.e top kaa golaayaa gire aasamaan se olaaek do khet chauk.Dii bhar keapnii chustii pe aafrii.n kar kekisii goshe me.n so gayaa jaa karfikr ''kyaa hai chale.nge sustaa kar''aur kachhvaa Gariib aahistachalaa siine ko KHaak par ghistaasuu.ii ghanTe kii jaise chaltii haiyaa ba-tadriij chhaa.nv Dhaltii haiyuu.nhii chaltaa rahaa ba-istiqlaalna kiyaa kuchh idhar udhar kaa KHayaalkaam kartaa rahaa jo pai-dar-paikar gayaa rafta rafta manzil taihaif KHargosh rah gayaa sotaasamra Gaflat kaa aur kyaa hotaajab khulii aa.nkh to saveraa thaasaKHt sharmindagii ne gheraa thaasabr o mohabbat me.n hai sar-afraaziisust kachhve ne jiit lii baaziinahii.n qissa ye dil-lagii ke liyebalki ibrat hai aadmii ke liyehai suKHan is hijaab me.n ruu-poshvarna kachhvaa kahaa.n kahaa.n KHargosh
mai.n ik ma.asuum shahrii thaasharaafat se sabhii ke saath rahtaa thaamohazzab taur se jiitaa thaasab ke kaam aataa thaakabhii mai.n ne kisii kaa dil nahii.n to.Daakisii kaa sar nahii.n pho.Daakisii tarkash se ko.ii tiir kyaa tinkaa nahii.n chho.Daakisii kii piiTh me.n KHanjar nahii.n bho.nkaakisii ke jism par baaruud kaa golaa nahii.n phe.nkaakisii ko aag me.n mai.n ne nahii.n jho.nkaakisii kaa haq nahii.n maaraakisii kaa zar nahii.n luuTaako.ii KHirman nahii.n phuu.nkaakisii building kisii gaa.Dii kisii mahfil me.n ko.ii bam nahii.n rakkhaamire haatho.n kisii kaa ghar nahii.n uj.Daakisii kaa dar nahii.n ukh.Daako.ii kumba nahii.n bikhraako.ii maathaa nahii.n siku.Daakisii kii raah me.n ro.Daa nahii.n aTkaakisii ke kaam me.n mai.n ne kabhii raKHna nahii.n Daalaakisii ke vaaste dil me.n kabhii kiina nahii.n paalaako.ii farmaan haakim kaa kabhii mai.n ne nahii.n Taalaako.ii gheraa nahii.n laa.nghaako.ii aa.ngan nahii.n phaa.ndaamagar phir bhii qayaamat mujh pe TuuTii haiajab Gaarat-garii kaa qahr barsaa haiajab saffaak KHanjar dil me.n utraa haiki merii ruuh ab tak tilmilaatii haiki meraa zehn ab bhii jhunjhunaataa haiki merii saa.ns ab bhii la.Dkha.Daatii haisamajh me.n kuchh nahii.n aataaki mai.n ne kyaa bigaa.Daa haimire kis jurm kii mujh ko milii haiye sazaa aaKHirye gutthii kis tarah kholuu.nsabab kis se yahaa.n puuchhuu.nkidhar jaa.uu.nkise rokuu.nsabhii chehre yahaa.n pattharsabhii aa.nkhe.n yahaa.n pattharbasaarat me.n bharaa pattharsamaa.at me.n basaa pattharzabaano.n me.n ga.Daa pattharadaalat me.n kha.Daa pattharhar ik qaanuun me.n pattharhar ik aa.iin me.n pattharhar ik insaaf me.n pattharhar ik aavaaz me.n pattharhar ik ehsaas me.n pattharye patthar yug ke patthar se bhii bhaarii hainagiine kii tarah tarshaa hu.aa haiaur hiire kii anii kii tarah us kii tez noke.n hai.nbahut shaffaaf hai ye aur is me.n ik tamaddun haimai.n is patthar se sar pho.Duu.nki apnii zindagii chho.Duu.nki apnaa raasta mo.Duu.nki ban jaa.uu.n mai.n KHud pattharsamajh me.n kuchh nahii.n aataa
ye duniyaa to un shola saamaan logo.n ne aapas me.n taqsiim kar liijo hathiyaar kii shakl me.n ranj-o-Gam Dhaalte hai.nyaa gola-baaruud ke kaar-KHaano.n ke maalik hai.nyaa phir sanaa-KHvaa.n hai.n un kehamaare liye sirf naare bache hai.nsan.atii daur ke kaj-kulaaho.n kii daad-o-dahish ruuh-parvar ho yaa jaan-levaamagar zindaabaad, aafrii.n, marhabaa, ke sivaa kuchh nahii.n paas apneye sab jaantaa hai hamaarii shujaa.at kii parvaaz kyaa haihamaarii javaa.n-mardii ik suuba-jaatii ta.assub seyaa firqa-vaarii fasaadaat se aage kuchh bhii nahii.n haifutuuhaat-e-askandarii ham ne taKHtii pe likh kar miTaa dii hai.n kab kiihamaare baa'd zamii.n ke tale so rahe hai.najaa.ib-gharo.n me.n laTaktii hai.n talvaare.n un kiiaur un ke zarrii.n libaado.n ko ghun khaa gayaa haizira-baktaro.n par clones aa ga.ii haiye sab jaantaa hai hamaarii tag-o-taaz kyaa haihamaare shikam gar hamaare suro.n pe na hoteaur chehro.n me.n aazaa-e-jinsiito ham achchhe insaan bantehamaare gharo.n ke kam o besh sab aqabii darvaaze paiham khule hai.nhamaare lahuu me.n hare laal piile bahut saare parcham khule hai.nkahii.n se magar haq kii aavaaz aatii nahii.n haihamaarii zabaa.n dil kii saathii nahii.n haihamaare liye khokhlaa lafz-e-jamhuuriyat hai, taqaariir hai.n leadero.n kiihamaare liye roz-naamo.n ke safhaat hai.n, ishtihaaraat hai.n niim-jinsiihamaare liye devtaa.o.n ke but hai.n, KHudaa ke faraamiin hai.n aur uqbaajo bad-ra.ng hai haal kii tarah aur kore laTThe kii buu se bharii haihamaare liye sirf roTii kii jidd-o-johdaurato.n ke barhana badan kii tamannaa se aage kahii.n kuchh nahii.n haihamaarii rago.n me.n jo tezaab hai us kii shiddat kabhii kam na hogii!
diary roz bulaatii hai mujhe likhne koek muddat se ko.ii sher nahii.n likkhaa haimire siine me.n bhii ik dard uThaa jaataa haiterii yaade.n bhii bahut zehn me.n chillaatii hai.npen kaaGaz mai.n luu.naur ko.ii nayaa sher likhuu.nbaiTh jaataa huu.n so mai.n diary apnii le karmisre likhtaa huu.nmiTaataa huu.nmai.n phir likhtaa huu.nphe.nk detaa huu.n phir un misro.n ke kaaGaz ko mai.n golaa kar kephir mire kamre seaaho.n kii sadaa aatii haidekhtaa huu.nto vahii saare adhuure misredustbin me.n pa.De dam to.D rahe hote hai.nmai.n pas-o-pesh me.n pa.D jaataa huu.nus lamha tabaur samajh me.n nahii.n aataa hai mujhe itnaa bhiimai.n ke shaa.er huu.n ko.iiyaa ke ko.ii qaatil huu.n
zamiinmirii nazro.n me.n ai mirriiKH teraa darja a.alaa haibulandii par tuu rahtaa hai tirii qismat bhii baalaa haimirriiKHbulandii aur pastii kaa kabhii dhokaa nahii.n khaa.e.nzamii.n uupar dikhaa.ii de agar mirriiKH par aa.e.nzamiintujhe maanaa hai devtaa ja.ng kaa naadaan logo.n netabaahii kaa diyaa ilzaam tujh ko rome vaalo.n netujhe bhaarat ke daanish-var sadaa manhuus kahte hai.ntujhe kahte rahe ma.ngal kabhii jallaad kahte hai.nbataa ai surKH sayyaare tire haalaat kaise hai.ntire taalaab kaise hai.n tire baaGaat kaise hai.ntire paakiiza daaman me.n manaazir kaise kaise hai.ntirii aaGosh ke andar navaadir kaise kaise hai.nmirriiKHnahii.n mirriiKH par jhiile.n na chashma hii ubaltaa haisamundar hai na dariyaa hai na ko.ii motii miltaa haina bulbul ke taraane hai.n na ko.ii gul mahaktaa haiparinda bhii nahii.n ko.ii KHushii se jo chahaktaa haiyahaa.n jugnuu nahii.n ko.ii jo zulmat me.n chamaktaa haina hiiraa aur niilam hai hamesha jo damaktaa haihavaa kaa ko.ii jho.nkaa hai na sabza lahlahaataa haina battaKHo.n kii qataare.n hai.n na taa.ir chachahaataa hainasiim-e-sub.h chaltii hai na baadal aur paanii haina gulshan hai yahaa.n ko.ii na maujo.n kii ravaanii haimire qutbain ko dekho vahaa.n yaKH-basta paanii haiyahii paanii yahaa.n par zindagaanii kii nishaanii haizamii.n ke log kahte hai.n ki nahro.n kii ravaanii haihaqiiqat me.n nahii.n aisaa faqat jhuuTii kahaanii haiyahaa.n suurat nazar aatii hai aabshaaro.n kiinazar aatii hai kasrat har taraf sa.nglaaKH Gaaro.n kiiyahaa.n hai gahraa sannaaTaa KHamoshii kii hukuumat haifazaa bhii KHushk hai merii nahii.n ko.ii ratuubat haizamiinshariik-e-bazm ho mister ataarid tum bhii kuchh bolozabaa.n par lag gayaa taalaa to is mahfil me.n tum kholoataaradpa.Dosii huu.n mai.n suuraj kaa namuuna huu.n jahannum kaayahaa.n shiddat kii garmii hai to mumkin hii nahii.n jiinaazamiinmire nazdiik ho zohra bahut raKHshanda sayyaarayahaa.n sab log kahte hai.n ki tum ho sub.h kaa taarazohramunavvar meraa chehra hai mai.n garmii kaa maaraa huu.nzamii.n hai mujh ko pyaarii mai.n zamii.n vaalo.n kaa pyaaraa huu.nzamiinaziimushshaan jussa hai hamaarii mantarii tum hojise zebaa hai sardaarii vo be-shak mushtarii tum homushtariiba.Daa hai jism meraa aur ziinat kuchh nahii.n mujh me.nba.Daa saa gol-gappaa huu.n sabaahat kuchh nahii.n mujh me.nzamiinhamaarii anjuman me.n ai zuhal tum hii niraale hotumhaare gird halqa hai anokhii shakl vaale hozuhalgale me.n tauq hai mere mirii suurat niraalii haiagar nazdiik se dekhe.n to ye shai tez aa.ndhii hainazar aataa hai jo halqa vo hai.n chhoTe ba.De pattharlagaate hai.n ba.Dii ta.adaad me.n chaaro.n taraf chakkarzamiinmire do bhaa.ii hai.n aage tumhaaraa haal kaisaa haivahaa.n hai kaifiyat kaisii vahaa.n maahaul kaisaa haiuranusyahaa.n shiddat kii sardii hai lihaazaa mai.n bhii ThanDaa huu.nzaraa merii taraf dekho ba.Daa saa golaa ganDaa huu.nneptunemujhe neptune kahte hai.n usii kumbe kaa huu.n memberbahut duurii hai suuraj se lagaataa huu.n ba.Daa chakkarmirriiKHmai.n pahu.nchaa is natiije par zamii.n par KHush-numaa.ii haiKHudaa ne phuul aur paudo.n se ye duniyaa sajaa.ii haizamii.n par zindagii hai husn hai aur dilrubaa.ii haimujhe ulfat zamii.n se hai vahii dil me.n samaa.ii haivahaa.n aabaad hai.n insaa.n vahaa.n shaan-e-KHudaa.ii haihamaarii kahkashaa.n me.n aisii qismat kis ne paa.ii hai
ho ga.ii shaam aur suuraj Duubaapachchhim me.n hai aag kaa golaarang shafaq se aisaa barsaasurKH hu.e jangal aur dariyaarang tiraa hai shaam kaa daamanphuul banaa hai shaam kaa daamanvaah shafaq kyaa rang bharii haisurKH parii hai surKH parii haishaam kii godii me.n baiThii hailaal cha.ndariyaa o.Dh rahii haiis ko apne paas bulaa luu.napnii sahelii us ko banaa luu.naa merii rangiin shafaq aaaa jaa merii god me.n aa jaarang tiraa hai kitnaa pyaaraajaise ho ammaa.n kaa dupaTTaai malika ai shaam kii beTiirango.n kii tuu hai shahzaadiitub me.n paanii KHuub bharaa haiabbaa ne ye bharvaayaa haiis me.n teraa rath utraa haichaa.nd tiraa rath khii.nch rahaa hairok le rath ko aur utar aaaaj sahelii merii ban jaa
aman kaa Damruu Dam Dam Damchain kii Dholak Dham Dham Dhamaa.o bajaa.e.n tum aur hamjhuume.n naache.n chham chham chhamjab tak apne dam me.n damdes ye chamke cham cham chamgolii golaa aur na bamaa.nsuu aah na dard-o-alamdahshat KHauf na ko.ii GamKHushiyaa.n barse.n jham jham jhamjhuum ke gaa.e.n ram pam pamdes ye chamke cham cham chamgautam kii ta.abiir hai.n hamKHvaaja kii tafsiir hai.n hamnaanak kii tasviir hai.n hamgaa.ndhii jii kii jaagiir hai.n hamham se amn-o-amaa.n kaa damdes ye chamke cham cham chamsukh dukh sab me.n saathii hambaa.nTe.n KHushiyaa.n baa.nTe.n Gamkabhii na ko.ii aa.nkh ho namham ik ik ke hai.n ham-damham se KHushiyo.n kii jham jhamdes ye chamke cham cham chamaisaa ko.ii kaam kare.njag me.n is ko aam kare.nmehnat sub.h-o-shaam kare.nduniyaa bhar me.n naam kare.napnaa uu.nchaa ho parchamdes ye chamke cham cham chammaulaa teraa rahm-o-karamis dhartii par ho har damrahe hamesha miTTii namphuul khilaa.e har mausamsaa.nse.n mahke.n chahke damdes ye chamke cham cham chamhar chehre par phuul khilehar maathe par chaa.nd ugeaa.nkh me.n ik ik diip jaleik ik lab par giit sajeDhal jaa.e har shaam-e-Gamdes ye chamke cham cham chamnafrat kii diivaar gireraste se banduuq haTekiina ranjish bair miTedahshat kaa har shor thameruk jaa.e ye dham dham dhamdes ye chamke cham cham cham
do ikam do do duunaa chaarsab se karte rahnaa pyaardo tiyaa.n chhe do chauko aaThyaad karo tum apnaa paaThdo panje das do chhik baarahachchhaa la.Dkaa sab ko pyaaraado satte chaudah do aThe solabaato.n me.n amrit ras gholaado navaa aThaarah do daham biisban jaa.o tum dil ke ra.iisustaado.n ko shaad karoapnaa pahaa.Daa yaad karo
darvaaze pe khaT se hu.ii ik aavaazaur mai.n chau.nk ga.iizaruur hogaa aaj kaa aKHbaardarvaaza khol kar dekhaameraa andaaza sahii nahii.n thaavahaa.n aKHbaar pa.Daa nahii.n thaavahaa.n thaa aag kaa ek golaaus me.n lipTii thii.nchand maslii hu.ii ma.asuum kaliyaa.nkuchh gandii tang galiyaa.nbhuuk kaa sozaur kuchh zaKHiira-andozbe-roz-gaarii kaa sannaaTaaGurbat kaa chaa.nTaasuukhaa aur baazaar mandasaath me.n KHud-kushii kaa thaa phandaasarhado.n ke jhag.Dejangaur ek KHatra atom-bombkitne jangalghaTtii hariyaaliibiimaariiaspataalo.n kii bad-haliighoTaalo.n kaa shoraur rishvat-KHorii kii ho.Dzulm-o-sitam kii daastaane.ndhamaako.n kii aavaaze.ndimaaG ghuum gayaaphir Gaur se dekhaaare nahii.nvo aaj kaa aKHbaar hii thaalarazte kaa.npte haatho.n se uThaa liyaauThaanaa to thaa hii naa
vo kyaa thaaqahqaha thaachiiKH thiichi.nghaa.D thiiyaa dahaa.D thii?us ne samaa.at chiirtii aavaaz kaa golaautartii raat kii bhiigii hu.ii pahnaa.ii me.n daaGaato mere paa.nv ke niiche zamiin chalne lagiiye tum ne kyaa kiyaa merii dabii aavaaz ne puuchhaato vo ik ghuu.nT paanii se phaTii aavaaz ko sii karkisii andhe ku.e.n kii tah se bolaamujhe jab bhii miirii bedard soche.n ta.ng kartii hai.nzamaane kii ravish se jab mirii KHurd-rau daliile.n ja.ng kartii hai.nkitaabe.n jab mire sar kaa nishaana baa.ndh ke apnii ibaarat sang kartii hai.nto mujh se aur kuchh bhii ho nahii.n saktaamai.n ye bedard aavaazaa lagaataa huu.nvagarna so nahii.n saktaa
ai dil-e-zinda sach bataa ki tujheaaKHirash intizaar kis kaa haikaun sii sub.h terii nazro.n me.nho sakii sub.h-e-intiKHaab kabhiikaun saa lamha tere aa.ngan me.nlamha-e-jaavedaa.n nazar aayaakis kiran ne tire lahuu ko chunaakab havaa ne taraash lii.n raahe.nkin nigaaho.n ne tujh ko parkhaa haikin saliibo.n ne teraa qad naapaakab tiraa naGma jaan-e-mahfil thaakab tire saaya me.n humaa aayaakab tirii zulf kaa bharam TuuTaaphir tujhe shikva kyo.n rahaa ki tujhezindagii raas aa sakii na kabhiituu ne kab zindagii se ulfat kiikab use marham-e-vafaa jaanaakab fazaa.o.n me.n tuu ne ras gholaahar taraf talKHiyo.n ke rishte hai.ntuu ne kab un kaa zaa.iqa chho.Daa
tuu ne sard havaa.o.n kii zabaa.n siikhii haitere ThanDe lams se dha.Dkane.n yaKH-basta hu.ii.n aur mai.n chup huu.nmai.n ne vaqt-e-sub.h chi.Diyo.n kii suriilii chahchahaahaT ko sunaa haiaur mere zehn ke saagar me.n naGme bulbule ban kar uThe hai.ntere ka.Dve bol se har-suu hai.n aavaazo.n ke laasheaur mai.n chup huu.nmai.n ne vo maasuum pyaare gul-badan dekhe hai.njin ke marmarii.n jismo.n me.n paakiiza mohabbat ke nasheman hai.ntire in khurdure haatho.n ne ye saare nasheman noch Daaleaur mai.n chup huu.nmai.n ne dekhe hai.n vo chehre chaa.nd jaise Guncha-suuratjin kii aa.nkhe.n aa.ina hai.n aane vaale mausamo.n kaatuu ne un aa.nkho.n me.n bhii kaa.nTe chubho.eaur mai.n chup huu.nbaa-kamaal o baa-safaa vo log bhii dekhe hai.n mai.n nejin ke ho.nTo.n se khile hai.n sidq o daanaa.ii ke phuultuu ne un ho.nTo.n ko gholaa zahr me.naur mai.n chup huu.n
shakl hai merii jaise kaToraayaa ko.ii chaa.ndii kaa golaarang hai meraa goraa goraaa.ndherii shab kaa mai.n huu.n ujaalaameraa ujaalaa har jaa phailaabaaG ho bastii yaa ho sahraachaahtii hai mujh ko sab duniyaaghar ghar hai meraa hii charchaamujh se bahaltaa hai jii sab kaachhoTaa bachcha ho yaa buu.Dhaahai.n aakaash pe jitne taarehai.n ye sab mere hii pyaaremerii chamak ke aage dekhiiraushnii hai in sab kii phiikiihaq ne itnaa rutba ba.Dhaayaamai.n ne uu.nchaa darja paayaatum ai bhole bhaale la.Dkodekho mujh ko aur sabaq lofaa.eda tum bhii kuchh pahu.nchaa.ojiyo to kaam sabho.n ke aa.ogiit tumhaare gaa.egii duniyaahogaa tumhaaraa har-jaa charchaahaq hai 'jauhar' kaa ye kahnaakaam aanaa jab tak bhii rahnaa
jab zamii.n ke pyaase ho.nTbuu.nd buu.nd ko tarseus kii kokh ne jab bhiisabz bachche jan.ne kii aarzuu me.n lab kholetab shafiiq baadal neapnii jaa.n ke amrit seis zamii.n ke siine me.nqatra qatra ras gholaabe-badan daraa.Do.n sezindagii ugaa Daaliihaa.n ye sab hu.aa lekinko.ii aa ke baadal sesirf is qadar puuchheterii pyaas kaa dozaKHsard hai ki jaltaa hai
jango.n KHuun-aashaamiyo.n kii gardchehro.n par o.Dhehairaa.n lab basta bachchosaahil par siip kii maanindau.ndhe mu.nh bikhre motii jaise bachchobe-libaas sa.Dko.n par bhaagtedahshat-zada suukhe bachchoKHudaa ko is duniyaa kii shikaayat lagaane vaalerote bilakte jaa.n se guzarte bachchotaar-taar pairaahan jism dariida ruuh raakh badanaziim insaanii tahziib kemalbe tale dabe mazluum bachchotayyaaro.n kii ghan-garaj sun kar sahamtegola-baarii se peT bharte bachchokachre se chun kar khaate be-KHaanumaa.n sayyaaropeT kaa dozaKH bharne koghaas ubaalte bachchoham ne tumhaare liyekitnii hii udaas nazme.n likhii.nnauhe gaa.emarsiye pa.Dheaur tum phir bhii saakit baiThe hoduniyaa ko shaakii nazar se takte hobataa.o bhalaakeyboard activistaur kyaa kar saktaa thaa
chiiKHe.n sun kar dau.Daa aayatiin baras kaa thaa jab mai.n nepahlii baar ye manzar dekhaagaalii thappa.D ghuu.nsa dhakkaakamre me.n ik mard-e-vahshiiaurat ke nazdiik kha.Daa thaaaur use baalo.n se us kekhii.nch rahaa thaafarsh pe baiThii aurat rotii jaatii thiimai.n ne dekhaaaur aurat kii jaanib lapkaamard ne aurat ke baalo.n kohaatho.n se aazaad kiyaa thaaaurat merii jaanib bhaagiiKHauf se aa.nkho.n me.n aa.nsuu thedahshat se peshaab bhii niklaais se pahle mard hamaarii jaanib aataamai.n bhii us aurat ko bachaanerote roteus ke aage kha.Daa hu.aa yuu.njaise ik diivaar kha.Dii holekin ye diivaar bahut hii chhoTii nikliikhii.nch ke baalo.n se aurat komard ne kas ke Thokar maariiaurat ko diivaar ne rokaaaur palTaa ke farsh pe paTKHaadard se paagal ho ga.ii auratmaathe se favvaara uchhlaaKHuun se kap.De laal hu.eaise me.n haatho.n ko uThaa karus ne top kaa aaKHirii golaa aise daaGaaallaah tujh ko Gaarat kar deTuuTe.n tere haath aur paa.nvaur tujhe bas maut aa jaa.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books