aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "khayaabaa.n"
(undulus ke maidaan-e-ja.ng me.n)ye Gaazii ye tere pur-asraar bandejinhe.n tuu ne baKHshaa hai zauq-e-KHudaa.iido-niim un kii Thokar se sahraa o dariyaasimaT kar pahaa.D un kii haibat se raa.iido-aalam se kartii hai begaana dil koajab chiiz hai lazzat-e-aashnaa.iishahaadat hai matluub-o-maqsuud-e-mominna maal-e-Ganiimat na kishvar-kushaa.iiKHayaabaa.n me.n hai muntazir laala kab seqabaa chaahiye us ko KHuun-e-arab sekiyaa tuu ne sahraa-nashiino.n ko yaktaaKHabar me.n nazar me.n azaan-e-sahar me.ntalab jis kii sadiyo.n se thii zindagii kovo soz us ne paayaa unhii.n ke jigar me.nkushaad-e-dar-e-dil samajhte hai.n us kohalaakat nahii.n maut un kii nazar me.ndil-e-mard-e-momin me.n phir zinda kar devo bijlii ki thii naara-e-laa-tazar me.nazaa.em ko siino.n me.n bedaar kar denigaah-e-musalmaa.n ko talvaar kar de
ik zaraa sochne dois KHayaabaa.n me.njo is lahza bayaabaa.n bhii nahii.nkaun sii shaaKH me.n phuul aa.e the sab se pahlekaun be-ra.ng hu.ii ra.nj-o-ta.ab se pahleaur ab se pahlekis gha.Dii kaun se mausam me.n yahaa.nKHuun kaa qaht pa.Daagul kii shah-rag pe ka.Daavaqt pa.Daasochne dosochne doik zaraa sochne doye bharaa shahr jo ab vaadi-e-viiraa.n bhii nahii.nis me.n kis vaqt kahaa.naag lagii thii pahleis ke saf-basta dariicho.n me.n se kis me.n avvalzah hu.ii surKH shu.aa.o.n kii kamaa.nkis jagah jot jagii thii pahlesochne doham se us des kaa tum naam o nishaa.n puuchhte hojis kii taariiKH na juGraafiya ab yaad aa.eaur yaad aa.e to mahbuub-e-guzishta yaad aa.eruu-ba-ruu aane se jii ghabraa.ehaa.n magar jaise ko.iiaise mahbuub yaa mahbuuba kaa dil rakhne koaa nikaltaa hai kabhii raat bitaane ke liyeham ab us umr ko aa pahu.nche hai.n jab ham bhii yuu.nhiidil se mil aate hai.n bas rasm nibhaane ke liyedil kii kyaa puuchhte hosochne do
asia ke duur-uftaada shabistaano.n me.n bhiimere KHvaabo.n kaa ko.ii ruumaa.n nahii.n!kaash ik diivaar-e-zulmmere un ke darmiyaa.n haa.il na ho!ye imaaraat-e-qadiimye KHayaabaa.n, ye chaman, ye laala-zaar,chaa.ndnii me.n nauha-KHvaa.najnabii ke dast-e-Gaarat-gar se hai.nzindagii ke in nihaa.n-KHaano.n me.n bhiimere KHvaabo.n kaa ko.ii ruumaa.n nahii.n!
KHayaabaan-e-sa.adii me.nruusii kitaabo.n kii dukkaan par ham kha.De themujhe ruus ke chiida san.at-garo.n kena.e kaarnaamo.n kii ik umar se tishnagii thii!mujhe ruusiyo.n ke siyaasii ''hama-uusat'' se ko.ii raGbat nahii.n haimagar zarre zarre me.ninsaa.n ke jauhar kii taabindagii dekhne kii tamannaa hamesha rahii hai!aur us shaam to mursida kii uruusii thiius shoKH diivaanii la.Dkii kii KHaatirmujhe ek naazuk sii sauGaat kii justujuu thii
ghanghor ghaTaa tulii kha.Dii thiipar buu.nd abhii nahii.n pa.Dii thiihar qatra ke dil me.n thaa ye KHatranaachiiz huu.n mai.n Gariib qatratar mujh se kisii kaa lab na hogaamai.n aur kii guu.n na aap jogaakyaa khet kii mai.n bujhaa.uu.ngaa pyaasapnaa hii karuu.ngaa satyaanaasKHaalii haatho.n se kyaa saKHaavatphiikii baato.n me.n kyaa halaavatkis birte pe mai.n karuu.n dileriimai.n kaun huu.n kyaa bisaat meriihar qatra ke dil me.n thaa yahii Gamsargoshiyaa.n ho rahii thii.n baahamkhich.Dii sii ghaTaa me.n pak rahii thiikuchh kuchh bijlii chamak rahii thiiik qatra ki thaa ba.Daa dilaavarhimmat ke muhiit kaa shanaavarfaiyyaz o javvaad o nek-niyyatbha.Dkii us kii rag-e-hamiyyatbolaa lalkaar kar ki aa.o!mere piichhe qadam ba.Dhaa.okar guzro jo ho sake kuchh ehsaanDaalo murda zamiin me.n jaanyaaro! ye hachar-machar kahaa.n takapnii sii karo bane jahaa.n takmil kar jo karoge jaa.n-fishaaniimaidaan pe pher doge paaniikahtaa huu.n ye sab se barmalaa mai.naate ho to aa.o lo chalaa mai.nye kah ke vo ho gayaa ravaana''dushvaar hai jii pe khel jaanaa''har-chand ki thaa vo be-bizaa.atkii us ne magar ba.Dii shujaa.atdekhii jur.at jo us sakhii kiido-chaar ne aur pairvii kiiphir ek ke baa'd ek lapkaaqatra qatra zamii.n pe TapkaaaaKHir qatro.n kaa ba.ndh gayaa taarbaarish lagii hone moslaa-dhaarpaanii paanii hu.aa bayaabaa.nsairaab hu.e chaman KHayaabaa.nthii qaht se paa.emaal KHilqatis me.nh se hu.ii nihaal KHilqatjur.at qatra kii kar ga.ii kaambaaqii hai jahaa.n me.n aaj tak naamai saahibo! qaum kii KHabar loqatro.n kaa saa ittifaaq kar loqatro.n hii se hogii nahr jaariichal nikle.ngii kashtiyaa.n tumhaarii
''hayaat-e-daa.imii'' likkhaa hu.aa hai jin ke aivaa.n pariram-zaar-e-abad hai saaya-zan jin ke KHayaabaa.n pardavaamiyyat ke jalve chhaa rahe hai.n baaG-o-bustaa.n parguzar mumkin nahii.n hai maut kaa jin ke nazaaro.n me.nmirii 'salmaa'! mujhe le chal tuu un ra.ngii.n nazaaro.n me.n
gha.Dii kii Tik-Tik bol rahii hai raat ke shaayad ek baje hai.nbaTla house kii ek galii me.n moTe kutte bhau.nk rahe hai.nek kha.nDar me.n tez raushnii chaaro.n jaanib phail rahii haibaGal me.n leTaa saathii meraa ab tak pub jii khel rahaa haimai.n bhii ab tak jaag rahaa huu.n aa.nkhe.n muu.nde soch rahaa huu.nniiche jaanaa kaisaa hogaa baahar kitnii sardii hogiiqutub sitaara kidhar ko hogaa raat kii raanii kaisii hogiisub.h kaa suuraj kahaa.n pe hogaa abhii KHudaa kyaa kartaa hogaasa.Dak kinaare sone vaale jo.De kaise sote ho.ngein ko machchhar kaaTte ho.ngenaum chomsky lawn me.n baiThe bachche aaKHir kaise ho.ngeun ko kutte chaaTte ho.ngekyaa in bhuuk-zada bachcho.n ke KHvaab me.n pariyaa.n aatii ho.ngiikaTe-phaTe haatho.n ke takiye ke niiche kuchh rakhtii ho.ngiikaisii baate.n karte ho jii kyaa pariyo.n kaa kaam yahii haimahal saraa.e chho.D ke ab vo sa.Dak kinaare aa.e.ngii kyaaraat ke shaayad De.Dh baje hai.n baTla house kaa chauk khulaa hairaat ko job se aane vaale raat me.n job ko jaane vaaleek haath me.n liye chaa.e cup ek haath me.n chhoTii cigarettesa.Dak paar kyo.n dekh rahe hai.nbiryaanii ko Dhuu.nDh rahe hai.nun ke piichhe sa.Dak kinaare qabristaan kaa gate khulaa haiandar kutte ghuum rahe hai.n shaayad khaanaa Dhuu.nDh rahe hai.nbaahar cigarette aur coffee hai andar kaafii taariikii haimai.n bhii andar jhaa.nk rahaa huu.n haule haule soch rahaa huu.nqabristaan ke andar me.n ye latrine kis ne banvaayaakyo.n banvaayaashaayad murde raat me.n uTh kar us ke andar jaate ho.ngehaajat puurii karte ho.ngeyaa phir cigarette piine vaale la.Dke andar jaate ho.ngeKHaakii vardii ghar vaalo.n se chhup kar cigarette piite ho.ngeek kinaare adab kii malika sab kuchh baiThii dekh rahii haiaag kaa dariyaa chaa.ndnii begam shiishe kaa ghar likhne vaaliiainii aapaa soch rahii haimeraa qaarii kyo.n aayaa haishaayad is ko gautam shankar tal.at ne uljhaayaa hogaayaa phir us ko KHayaabaa.n kii champaa ne paglaayaa hogaayaa phir is paagal la.Dke ne shu.uur kii rau ko chhe.Daa hogaayaa phir is ne aag kaa dariyaa aadhaa pa.Dh kar chho.Daa hogaafalsafyaana baate.n sun kar saare murde sochte ho.ngeko.ii apnii KHvaab-gaah ko chho.D ke aaKHir kyo.n aayaa haimai.n bhii baiThaa soch rahaa huu.nitnii raat ko kyo.n aayaa huu.n
jis tarah mahv-e-safar ho ko.ii viiraane me.naur raste me.n kahii.n ko.ii KHayaabaa.n aa jaa.echand lamho.n me.n KHayaabaa.n ke guzar jaane parsaamne phir vahii duniyaa-e-bayaabaa.n aa jaa.ekuchh isii tarah se hai yaad ki tum aa.e the
is KHayaabaa.n ke aqab me.nvo jo pur-asraar duniyaa.e.n basii hai.nvo hame.n kyuu.n khii.nchtii hai.n?
zamistaa.n kii is shaamniiche KHayaabaa.n me.nmere dariiche ke paa.ii.njahaa.n tiirgii munjamid ho ga.ii haiye bhaarii yaKH-aaluud qadmo.n kii aavaazkyaa kah rahii haiKHudaavandkyaa aaj kii raat bhiiterii palko.n kii sangii.n chaTaane.nnahii.n haT sake.ngiiKHayaabaa.n to hai duur tak gahrii zulmat kaa paataalaur mai.n is me.n Gota-zanii kar rahaa huu.nsadaa.o.n ke maa'nii kii siina-kushaa.ii kii KHaatir chalaa huu.n
vaqt dariyaa kii maanind bahtaa rahegaa sadaajagmagaate rahe.nge sitaareyuu.nhii shab kii poshaak me.ngul khilaatii rahegii havaataa-abad aab me.n, KHaak me.niistaada rahe.nge KHayaabaa.n KHayaabaa.nye sarv-o-sanobar yuu.nhiisaahilo.n par yuu.nhiila.ngar-andaaz ho.nge jahaazaur bachche yuu.nhii siipiyaa.n chun.neaate rahe.nge sadaayuu.nhii mela rahegaazamaane ke kuucho.n me.nbaazaar me.n!aur insaan zinda rahegaa sadaaek paikaar me.nik zamaane talak ham bhii sab kii tarahyuu.nhii sochaa kiyeyuu.nhii samjhaa kiyeaur shab-o-roz kaa be-nishaa.n qaafilaparda-e-Gaib me.ngum-shuda manzilo.n kii tarafKHaamushii se rahaa gaamzanzindagii me.n achaanak phir ik rozik haadsa ho gayaajis kii shiddat se ik umr kaasehar-e-fikr-o-nazar TuuT bikhraato aaKHir ye uqda khulaavaqt dariyaa hai lekin ye KHudik samundar me.n jaa girtaa haius samundar kii jaanib haihastii kaa saaraa safaraa.nkh ne aaj tak jitne manzar bhii dekhevo sab us keapne taraashiida theaur dil me.n dha.Daktaa hu.aatajriid-e-vahm-o-gumaa.n ke sivaa kuchh nahii.naarzu-e-Gam-e-aagahii aisii arzaa.n nahii.nziist ke duusre raasto.n kii tarahraah-e-kaar-e-junuu.n itnii aasaa.n nahii.nhai bulandii kii jaanib agar zindagii kaa safarphir to kuchh aur hai.n manzile.n aadmii ke liyejin ke har gaam par, zindagii ke liyehai sabaat-e-abad muntaziraap-apnii nafii ke amal seguzarnaa pa.Degaa usemahbas-e-aab-o-gil senikalnaa pa.Degaa use
KHayaabaan-e-daanish-gah-e-mumbai seyahaa.n raaj-path ke safar takhamesha mire zer-e-paashaahraahe.n rahii hai.n
ai be-niyaaz-e-shuq-e-faraavaa.n kahaa.n hai tuuai nig.hat-e-shamiim-e-bahaaraa.n kahaa.n hai tuuai baa.is-e-faroG-e-gulistaa.n kahaa.n hai tuuai raunaq-e-vajuud-e-KHayaabaa.n kahaa.n hai tuupathraa ga.ii hai.n aa.nkhe.n tire intizaar me.nkuchh to bataa ki ai mah-e-taabaa.n kahaa.n hai tuuvo tere shauq-e-naGma-saraa.ii ko kyaa hu.aaai yaar naGma-rez-o-Gazal-KHvaa.n kahaa.n hai tuutere baGair kuchh nahii.n lutf-e-sharaab-o-sherai nig.hat-e-latiif-e-KHayaabaa.n kahaa.n hai tuuhaa.n tere dam se raunaq-e-bazm-e-vajuud thiiai raushnii-e-sham-e-farozaa.n kahaa.n hai tuutere baGair KHaak-basar phir rahaa huu.n mai.nmere baGair sar-ba-garebaa.n kahaa.n hai tuu
shabnamistaa.n bhii vahii kunj-o-KHayaabaa.n bhii vahiivahii dariyaa kii havaa.e.n vahii baaGo.n kii fazaale ke phir aa.ii hai vaadii kii vahii raqqaasabahke bahke se qadam phuul katarne kii adaa
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
nahii.n ma.aluum 'zaryuun' ab tumhaarii umr kyaa hogiivo kin KHvaabo.n se jaane aashnaa naa-aashnaa hogiitumhaare dil ke is duniyaa se kaise silsile ho.ngetumhe.n kaise gumaa.n ho.nge tumhe.n kaise gile ho.ngetumhaarii sub.h jaane kin KHayaalo.n se nahaatii hotumhaarii shaam jaane kin malaalo.n se nibhaatii hona jaane kaun doshiiza tumhaarii zindagii hogiina jaane us kii kyaa baayastagii shaa.istagii hogiiuse tum phone karte aur KHat likhte rahe hogena jaane tum ne kitnii kam Galat urdu likhii hogiiye KHat likhnaa to daqyaanuus kii pii.Dhii kaa qissa haiye sinf-e-nasr ham naa-baaliGo.n ke fan kaa hissa haivo ha.nstii ho to shaayad tum na rah paate ho haalo.n me.nga.Dhaa nanhaa saa pa.D jaataa ho shaayad us ke gaalo.n me.ngumaa.n ye hai tumhaarii bhii rasaa.ii naa-rasaa.ii hovo aa.ii ho tumhaare paas lekin aa na paa.ii hovo shaayad maa.ide kii gand biryaanii na khaatii hovo naan-e-be-KHamiir-e-maida kam-tar hii chabaatii hovo doshiiza bhii shaayad daastaano.n kii ho dil-daadause ma.aluum hogaa 'zaal' thaa 'sohraab' kaa daadaatahamtan ya.anii 'rustam' thaa giraamii 'saam' kaa vaarisgiraamii 'saam' thaa sulb-e-nar-e-'maanii' kaa KHush-zaada(ye merii ek KHvaahish hai jo mushkil hai)vo 'najm'-aafa.ndi-e-marhuum ko to jaantii hogiivo nauho.n ke adab kaa tarz to pahchaantii hogiiuse kad hogii shaayad un sabhii se jo lapaa.Dii ho.nna ho.nge KHvaab us kaa jo gavayye aur khilaa.Dii ho.n
is vaqt to yuu.n lagtaa hai ab kuchh bhii nahii.n haimahtaab na suuraj, na a.ndheraa na saveraaaa.nkho.n ke dariicho.n pe kisii husn kii chilmanaur dil kii panaaho.n me.n kisii dard kaa Deraamumkin hai ko.ii vahm thaa, mumkin hai sunaa hogaliyo.n me.n kisii chaap kaa ik aaKHirii pheraashaaKHo.n me.n KHayaalo.n ke ghane pe.D kii shaayadab aa ke karegaa na ko.ii KHvaab baseraaik bair na ik mehr na ik rabt na rishtateraa ko.ii apnaa, na paraayaa ko.ii meraa
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
mushta.il ho ke abhii uTThe.nge vahshii saa.eye chalaa jaa.egaa rah jaa.e.nge baaqii saa.eraat-bhar jin se tiraa KHuun-KHaraabaa hogaaja.ng Thahrii hai ko.ii khel nahii.n hai ai dildushman-e-jaa.n hai.n sabhii saare ke saare qaatilye ka.Dii raat bhii ye saa.e bhii tanhaa.ii bhiidard aur ja.ng me.n kuchh mel nahii.n hai ai dillaa.o sulgaa.o ko.ii josh-e-Gazab kaa a.ngaartaish kii aatish-e-jarraar kahaa.n hai laa.ovo dahaktaa hu.aa gulzaar kahaa.n hai laa.ojis me.n garmii bhii hai harkat bhii tavaanaa.ii bhii
apne be-ant KHayaalo.n me.nhar ahd nibhaane kii qasme.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books