aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "lade"
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
ziyaada paas mat aanaamai.n vo tah-KHaana huu.n jis me.nshikasta KHvaahisho.n ke an-ginat aaseb baste hai.njo aadhii shab to rote hai.n phir aadhii raat ha.nste hai.nmirii taariikiyo.n me.ngum-shuda sadiyo.n ke gard-aaluud naa-aasuuda KHvaabo.n keka.ii ifriit baste hai.nmirii KHushiyo.n pe rote hai.n mire ashko.n pe ha.nste hai.nmire viiraan dil me.n re.ngtii hai.n maka.Diyaa.n Gam kiitamannaa.o.n ke kaale naag shab-bhar sarsaraate hai.ngunaaho.n ke jane bichchhuudamo.n par apne apne Da.nk laadeapne apne zahr ke sho.alo.n me.n jalte hai.nye bichchhuu dukh nigalte aur pachhtaave ugalte hai.n
vo chaaliis raato.n se soyaa na thaavo KHvaabo.n ko uu.nTo.n pe laade hu.eraat ke regzaaro.n me.n chaltaa rahaachaandnii kii chitaa.o.n me.n jaltaa rahaamez parkaa.nch ke ik pyaale me.n rakkhe hu.edaa.nt ha.nste rahekaalii ainak ke shiisho.n ke piichhe se phirmotiye kii kalii sar uThaane lagiiaa.nkh me.n tiirgii muskuraane lagiiruuh kaa haathchhalnii hu.aa suu.ii kii nok seKHvaahisho.n ke diyejism me.n bujh ga.esabz paanii kii sayyaal parchhaa.iyaa.nlamha lamha band me.n utarne lagii.nghar kii chhat me.n ja.Dedas sitaaro.n ke saayo.n taleaks dhundlaa ga.eaks murjhaa ga.e
biis baras se kha.De the jo is gaatii nahr ke dvaarjhuumte kheto.n kii sarhad par baa.nke pahre-daarghane suhaane chhaa.nv chhi.Dakte bor lade chhatnaarbiis hazaar me.n bik ga.e saare hare bhare ashjaar
dard be-rahm haijallaad hai darddard kuchh kahtaa nahii.nsuntaa nahii.ndard bas hotaa haidard kaa maaraa hu.aarau.ndaa hu.aajism to ab haar gayaaruuh ziddii haila.De jaatii haihaa.nptiikaa.nptiighabraa.ii hu.iidard ke zor setharraa.ii hu.iijism se lipTii haikahtii hainahii.n chho.Duu.ngiimautchaukhaT pe kha.Dii hai kab sesabr se dekh rahii hai us koaaj kii raatna jaane kyaa ho
mere kaa.ndhe pe 'aurat ko rakkhaa gayaapusht par baap kaa kumba laadaa gayaasar pe kavve bhii bhuuke biThaa.e ga.emere haatho.n me.n talvaar de dii ga.iimujh ko mere KHudaa se Daraayaa gayaajab kamar jhuk ga.iimai.n ghisaT kar chalaakuhniyaa.n chhil ga.ii.nghuTne zaKHmii hu.eKHuun ristaa rahaamai.n nahii.n ro sakaa
kyaa zindagii hamaariisab kuchh hai apne bas me.naazaad hai.n fazaa.e.nduniyaa hai dastaras me.nkyaa kyaa hame.n milaa haikuchh vaqt kuchh baras me.nlekin jo mu.D ke dekhe.nthii ik ajab kahaaniidushvaar kaisaa jiinaamushkil thii zindagaaniiik aafat-e-musalsalaalaam-e-naa-gahaaniirozaana sub.h uThnaaaasaan thaa na itnaahar roz Daa.nT khaanaahar roz kaa sisaknaahar baat ke tamaashehar baat par jhaga.Dnaaabbaa vahii.n kha.De hai.naKHbaar pa.Dh rahe hai.nkyaa kaam ham ko de de.nhar vaqt sochte hai.naulaad ko to apniinaukar samajh rahe hai.nammii ke saamne tobilkul na mu.nh ko khole.nham bad-tamiiz Thahrego achchhii baat bole.nchup-chaap hii rahe.n baskitnaa bhii KHvaar ho le.npaanii baras rahaa haipar dil taras rahaa haivo cycle kha.Dii haimaa.njhaa vahii.n rakhaa haikanche yahaa.n pa.De hai.nballaa vahaa.n kha.Daa hailekin nahii.n hame.n kyaalaade kamar pe bastaschool jaa rahe hai.ntaariiKH kaa hai parchaachchhaa nahii.n hu.aa tobas band jeb KHarchaurdu kaa kaam puuraakal raat kar liyaa thaalekin hame.n riyaaziibilkul samajh na aayaaallaah ke hai.n bandeham se hai vaasta kyaaammii ne sirf Daa.nTaabaalo.n me.n tel Daalaabhayyaa ne sirf jhi.Dkaabaajii ne KHuub Taalaasab ke liye hai jii me.nnafrat kaa ek jaalaabhayyaa kii cycle kiikis ne havaa nikaaliiham ko bhalaa KHabar kyaahar shaKHs hai savaaliius ne hamaarii chi.Diyaaus din jo to.D Daaliisach hai bahut sitam thaagoyaa the ik khilaunaajaise ho sab baraabarghar me.n na honaa honaadekhaa nahii.n kisii nechhup chhup hamaaraa ronaaab ho gayaa hai apnaa har chiiz par ijaarasab apnii zimmedaariisab faisle hamaarehar chiiz iKHtiyaariilekin vo bachpane kii hai yaad pyaarii pyaariikyaa zindagii hamaariikyaa zindagii hamaarii
jo hai jo ab tak hu.aa hai jo ho rahaa haius se kise mafar haiko.ii jo chaaheki ahd-e-rafta se ek pal phir se lauT aa.ekahaa hu.aa lafz an-kahaa ho saketo is aarzuu kaa haasil vo jaantaa haibahut sahii iKHtiyaar-o-imkaa.nbarg-o-KHas kii taab-o-majaal kyaa hainumu-e-Guncha me.n us kaa apnaa kamaal kyaa haitirii nigaaho.n me.n teraa Gam koh se giraa.n-tar haituu samajhtaa haitere siine ke surKH laave seshahr-o-qarya pighal rahe hai.nKHizaa.n zamistaa.n tirii udaasii ke aa.ine hai.ntuu mushta.il ho to zalzalo.n se zamiin kaa.npetujhe gumaa.n haiki gul khile hai.n tire tabassum kii pairvii me.nye phuul ko iKHtiyaar kab thaaki kaun sii shaaKH par khilekaun kunj me.n muskuraa.eaur kin fazaa.o.n me.n KHushbu.e.n bikhere
sub.h hone lagii haimagar apne bistar me.n vo be-KHabar ab bhii be-sudh pa.Dii haiuse kyaa KHabar haiki do laakh saalo.n se chaltii hu.iiandromeda ke kuchh suurajo.n kii shu.aa.e.nzamii.n par pahu.nch kar hamaarii shu.aa.o.n me.n shaamil hu.ii hai.nto is sub.h kaa chehra raushan hu.aa haiye do laakh saalo.n kaa lambaa safarjis me.n ham sapiensjangalo.n ke a.ndhero.n me.n ba.Dhte hu.eapne cousino.n kii qismat ke rab ban ga.eun se itnaa la.Deun kii naapaidgii kaa sabab ban ga.eitne saalo.n me.n hamGaar se jho.np.Dii jho.np.Dii se qabiilo.n kii suurat baTeaur qabiilo.n se shahro.n me.n Dhalne lage hai.nye do laakh saalo.n se niklii hu.ii raushnii apne suuraj me.n aa kar milii haito duniyaa kii ain us jagah par jahaa.n is kaa ghar haivahaa.nsub.h ban.ne lagii haizamii.n par kisii din kii pahlii gha.Dii haizamii.n ghuum kar apne baabaa kii jaanib mu.Dii haimagar apne bistar me.n vo be-KHabar ab bhii be-sudh pa.Dii hai
raakh kaa saara.ng pahnebarf kii laash hailaade kaa saa badan pahneguu.ngii chaahat hairusvaa.ii kaa kafan pahnehar ek qatra muqaddas hai maile aa.nsuu kaaek hujuum apaahij hai aab-e-kausar parye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hairo pahlii chhaa.nv me.n bad-naamiyo.n kaa Deraa haiye kaisii jannat hai jo chau.nk chau.nk jaatii haiek intizaar-e-mujassam kaa naam KHaamoshiiaur ehsaas-e-be-karaa.n pe ye sarhad kaisiidar-o-diivaar kahaa.n kii aavaargii kenuur kii vaadii talak lams kaa ik safar taviilhar ek mo.D pe bas do hii naam milte hai.nmaut kah lo jo mohabbat nahii.n kahne paa.ousii kaa naam mohabbat hai jis kaa naam hai maut
kaun gustaaKH hai kyaa naam hai kyuu.n aayaa haipahre vaalo use KHanjar kii anii se rokoapnii banduuqo.n kii naalii se Daraa.o us koaur us par jo na maane use topo.n kii salaamii de dojashn kaa din hai mirii saalgirah kaa din haiaaj mahlo.n me.n jale.nge mah-o-anjum ke charaaGaaj bujhte hu.e chehro.n kii zaruurat kyaa haiaaj maayuus nigaaho.n kii zaruurat kyaa haikaun bebaak hai ba.Dhtaa hii chalaa aataa haipahre vaalo use KHanjar kii anii se rokoaadmii hai ki miraa vahm hai aaseb hai yeus ke chehre pe to zaKHmo.n ke nishaa.n tak bhii nahii.ngoliyaa.n us ke siyah siine se Takraa ke chalii aatii hai.nus ke ho.nTo.n pe tabassum hai ki mu.nh khole hu.eazhdahaa taKHt nigalne ko chalaa aataa haimaut kis bhes me.n aa.ii hai mujhe lene koaaj kyuu.n aa.ii hai kyuu.n aa.ii hai kyuu.n aa.ii haimai.n tujhe gauhar-o-almaas diye detaa huu.ntere ThiThure hu.e haatho.n ko haraarat duu.ngaajashn kaa din hai mirii saalgirah kaa din haikaun ho kaun ho tumai Gariibo.n ke KHudaavand amiiro.n ke rafiiqmai.n samajhtaa thaa mujhe aap na pahchaane.ngemai.n ne a.ngrez kii jailo.n me.n javaanii kaaTiimai.n ne ThiThure hu.e haatho.n se jalaa.e hai.n diyejin kii lau aaj bhii tuufaano.n se Takraatii haijin ko a.ngrez kii phuu.nko.n ne bujhaanaa chaahaaaur KHud un kii zabaa.n jal ke siyah-faam hu.iivo diye aaj bhii bar-lauu.n kii chiiKHo.n se la.De jaate hai.naap ko yaad na hogaa shaayadkaun ho kaun ho tummai.n ne taariiKH kii lahro.n me.n ravaanii de diimai.n ne buu.Dho.n kii rag-o-pai me.n javaanii de diimai.n ne jhukte hu.e shaano.n ko tavaanaa.ii diikaar-KHaane mirii aavaaz se bedaar hu.eaur ik merii hii aavaaz nahii.n guu.njii thiisaik.Do.n vaqt se haare hu.e insaan uThekuhra-e-vaqt pe chhaane ke liyekaun ho kaun ho tumauraaq me.n hii nahii.n aayaa huu.nsaik.Do.n vaqt ke maare hu.e insaan bhii hai.nsaik.Do.n vaqt pe chhaa.e hu.e insaan bhii hai.nkaun ho kaun ho tumaaj bhii ketiyo.n me.n bhuuk ugaa kartii haikaar-KHaano.n me.n dhu.e.n ke baadaltauq aur aahanii zanjiiro.n me.n Dhal jaate hai.nkaun ho kaun ho tumaap insaan kii azmat pe yaqii.n rakhte hai.naap ke hukm ne kitno.n kii zabaane.n sii dii.naap kii mumlikat adl me.n kitne biimaarqaid-e-tanhaa.ii me.n dam to.D chukekaun ho kaun ho tumaap kii be.Diyaa.n afraad ko paaband banaa saktii hai.naap kii be.Diyaa.n insaan ko paaband nahii.n kar saktii.nkal yahii sham.a jo siine me.n farozaa.n hai aajaap ke saare tilismaat jalaa Daalegiikal unhii.n kheto.n me.n uj.De hu.e khaliyaano.n me.nsaal-haa-saal kii paamaal zamii.napne siine ke KHazaano.n ko luTaatii hogiikaar-KHaane bhii siyahkaar KHudaa.o.n se rihaa.ii paa karlaakho.n insaano.n kii taskiin kaa saamaa.n ho.ngeik na.e ahd na.ii ziist kaa unvaa.n ho.ngeaur phir vaqt kaa bebaak mo.arriKH aa karsurKH parcham ko salaamii degaakaun ho kaun ho tumbhaardvaaj
jo KHvaab paraa.e des me.n tum nahii.n dekh sakevo phuuljo tum ne kisii ko denaa chaahaa aur nahii.n de paa.evo nii.ndjise gaTh.Dii kii tarahpalko.n par laade phirte hosab apne saath uThaa laanaais baar akele mat aanaa
ye aadmii kii guzargaah-e-shaahraah-e-hayaathazaaro.n saal kaa baar-e-garaa.n uThaa.e hu.ejabii.n pe kaatib-e-taqdiir kii jalii tahriirgale se saik.Do.n naqsh-e-qadam lagaa.e hu.eguzarte vaqt ke gard-o-Gubaar ke niichehasiin jism kii taabindagii chhupaa.e hu.eguzishta daur kii tahziib kii manaazil kojavaan maa.n kii tarah god me.n sulaa.e hu.eye aadmii kii guzargaah-e-shaahraah-e-hayaathazaaro.n saal kaa baar-e-garaa.n uThaa.e hu.eidhar se guzre hai.n cha.ngez-o-naadir-o-taimuurlahuu me.n bhiigii hu.ii mish.ale.n jalaa.e hu.eGulaamo.n aur kaniizo.n ke kaarvaa.n aa.eKHud apne KHuun me.n Duube hu.e nahaa.e hu.eshikasta dosh pe diivaar-e-chiin ko laadesaro.n pe misr ke ehraam ko uThaa.e hu.ejalaal-e-shaiKH-o-shikoh-e-barhamanii ke juluushavas ke siino.n me.n aatish-kade chhupaa.e hu.ejahaalato.n kii taviil-o-ariiz parchhaa.ii.ntavahhumaat kii taariikiyaa.n jagaa.e hu.esafed qaum ke ayyaar taajiro.n ke girohfareb-o-makr se apnii dukaa.n sajaa.e hu.eshikast-KHurda siyaasii gadaagaro.n ke hujuumadab se TuuTii hu.ii gardane.n jhukaa.e hu.eGamo.n se chuur musaafir thake hu.e raahiicharaaG-e-ruuh ke dil ke ka.nval bujhaa.e hu.eye aadmii kii guzargaah-e-shaahraah-e-hayaathazaaro.n saal kaa baar-e-garaa.n uThaa.e hu.ena.e ufuq se na.e qaafilo.n kii aamad haicharaaG-e-vaqt kii ra.ngiin lau ba.Dhaa.e hu.ebaGaavato.n kii sipah inqalaab ke lashkarzamii.n pe paa.nv falak pe nazar jamaa.e hu.eGuruur-e-fat.h ke parcham havaa me.n lahraatesabaat-o-azm ke uu.nche alam uThaa.e hu.ehatheliyo.n pe liye aaftaab aur mahtaabbaGal me.n kurra-e-arz-e-hasii.n dabaa.e hu.euTho aur uTh ke inhe.n qaafilo.n me.n mil jaa.ojo manzilo.n ko hai.n gard-e-safar banaa.e hu.eqadam ba.Dhaa.e hu.e hai.n mujaahidaan-e-vatanmujaahidaan-e-vatan hai.n qadam ba.Dhaa.e hu.e
vahii kaar-e-duniyaavahii kaar-e-duniyaa ke apne jhamelevahii dil kii haalatvahii KHvaahisho.n aarzuu.o.n ke melevahii zindagii se bharii bhii.D me.n chalne vaale sabhii logapnii jagah par akeleka.ii gard-aaluud manzar nigaaho.n kii dahliiz par jam ga.e hai.nmujhe yuu.n lagaa jaise chalte hu.e vaqt ke qaafile tham ga.e hai.nzaraa sii.Dhiyo.n se udhar mai.n ne dekhaavahii shahr hai aur vahii shahr kii be-karaamat fazaa haivahii KHalq hai aur vahii KHalq ke bhuul jaane kii apnii adaa haivahii raaste hai.n vahii be-suhuulat safar kii sazaa haivahii saa.ns lene ko jiine ko be-mehr aab-o-havaa haivahii zindagii hai vahii us ke chaaro.n taraf be-tahaffuz ridaa haivahii sii.Dhiyo.n se udhar raahdaarii ke baa.e.n taraf KHaalii kamratirii guftuguu se bharaa KHaalii kamratire qahqaho.n ke samundar me.n Duubaa hu.aa aa.nsu.o.n kaa jaziirajaziire me.n u.Dtaa hu.aa ik parindamu.nDero.n dariicho.n daraKHto.n kii tanhaa.iyo.n kaa mudaavaa parindatirii chaahato.n aur vafaa-daariyo.n ke ufuq par sitaara-numaa ik parindatire giit gaataatamannaa.o.n kii baarisho.n me.n nahaataakisii taaza imkaan ko jagmagaataakahii.n duur phailii hu.ii kahkashaa.o.n me.n gum ho gayaa haizaraa sii.Dhiyo.n se udhar mai.n ne dekhaaka.ii likhne vaaleKHushaamad kaa kaasa liye apne Giibat-kade me.n kha.De hai.nsiyaasii vaDeremusaavaat kaa naam le kar hamesha Gariib aadmii kii anaa se la.De hai.nka.ii ahl-e-daanishjo mazluum kii aah-o-zaarii pe dikhte thezaalim ke dar par pa.De hai.nyahaa.n ko.ii chhoTaa nahii.n haisab ik duusre se ba.De hai.ntirii shaa.irii kaa KHamiir apne jazbo.n kii sachchaa.iyo.n se uThaa thaatuu apne usuulo.n ke aatish-fishaa.n par kha.Daazindagii kii riyaa-kaariyo.n se nabard-aazmaa thaatuu apne ravayyo.n kii sab haalato.n me.nmohabbat se likkhii hu.ii ik du.aa thaatuu ahl-e-vafaa kaa zamiir aashnaa thaaabhii sii.Dhiyaa.n cha.Dhte cha.Dhte mai.n ruk saa gayaa huu.nvahaa.n kaun haikaun hai ab jo dastak kii pahlii kiran kii hikaayat sunegaana.e ratjago.n kii masaafat me.n uljhe hu.e aane vaale dino.n kiirivaayat sunegaacharaaGo.n kii aavaaz me.naa.ino.n kii tilaavat sunegaamire shaa.ir-e-KHush-navaatuu ki dushman bhii achchhaa thaaaur dostii me.n bhii teraa yahaa.n ko.ii saanii nahii.n haijise ahl-e-dil bhuul jaa.e.ngetuu vo kahaanii nahii.n hai
dhuup me.n saaya-daar daraKHtlade-phade phaldaar daraKHttaaza in se havaa milejiine kaa sab maza mile
mai.n chhoTaa saa ik la.Dkaa huu.npur kaam karuu.ngaa ba.De ba.Dejitne bhii la.Dkii la.Dke hai.nmai.n sab ko nek banaa.uu.ngaajo bikhre hu.e hai.n ham-joliiin sab ko ek banaa.uu.ngaasab aapas me.n mil jaa.e.ngejo rahte hai.n ab la.De la.Deye ilm kii hai.n jo raushaniyaa.nmai.n ghar ghar me.n phailaau.ngaata.aliim kaa parcham lahraa karmai.n sir-sayyad ban jaa.uu.ngaabe-kaar guzaaruu.n umr bhalaakyo.n apne ghar me.n pa.De pa.Demai.n chaar taraf le jaa.uu.ngaaiqbaal ne jo paiGaam diyaamai.n hii vo parinda huu.n jis kous ne shahbaaz kaa naam diyaaab mere paro.n par chamke.ngesab hiire motii ja.De ja.De
aur isii raste par mai.n ne lohe ke halqo.n me.nik qaidii ko dekhaaaahan chehra sipaahii kii jarsii kaa rag us qaidii ke ruKH par thaahar andesha to ik kunDii hai jo dil ko apnii jaanib khii.nch ke rakhtii hai aur vo qaidii bhiikhichaa hu.aa thaa apne dil ke KHauf kii jaanib jis kii ko.ii rut nahii.n hotiimai.n bhii apne andesho.n kaa qaidii huu.n lekin us qaidii ke andeshe toik mere sivaa sab ke hai.nik vahii apne apne dukh kii kunDiijis ke khichaa.o se ik ik gardan apnii jaanib jhukii hu.ii haiaise me.n ab kaun ghaTaa.o.n bharii us sub.h-e-bahaaraa.n ko dekhegaajo in bor lade andesho.n par yuu.n jhukii hu.ii hai aamo.n ke baaGo.n me.nmirii ruuh ke saamne
gul abbaas gulaab chambeliige.ndaa champaa belaa huuhiikal tak in se lade hu.e theaaj udaas kha.De hai.n paudechuuhe phuul kutar jaate hai.n
ai baad-e-sub.h-gaahii dil keii kalii khilaa deviiraana mere dil kaa rashk-e-chaman banaa deus bazm-e-jaa.n-fazaa kaa nazzaara phir dikhaa degulzaar-e-aarzuu me.n phir taaza gul khilaa deye kaar-zaar-e-hastii hai ranj-o-Gam keii bastiiphir yaad-e-bazm-e-jam me.n ik jaam-e-jam pilaa deab shaam-e-zindagii keii zulmat hai chhaane vaaliivo sub.h-e-dil-kushaa kaa nazzaara phir dikhaa depastii me.n paa-ba-gil hai umr-e-ravaa.n kaa dariyaaphir uu.nchii vaadiyo.n ke manzar use dikhaa devo ahd-e-shaadmaanii vo itr-e-zindagaaniiai daur-e-aasmaanii vaapas kahii.n se laadeai baaGbaa.n ho tujh ko taKHt-e-chaman mubaarakmujh ko vo ham-navaa de vo meraa gho.nsla dekin hasrato.n se 'naazir' us anjuman se niklemelaa saa lag rahaa hai jab ham chaman se nikleahvaal-e-bazm-e-gulshan ai naama-bar sunaanaavo daastaa.n hai dilkash ra.ngii.n hai vo fasaanaus bazm-e-dil-kushaa me.n ulfat keii us fazaa me.ntaaro.n keii raushnii me.n yaaro.n kaa mil ke gaanaakaano.n me.n rach rahii hai koyal keii kuuk ab tak'naazir' kaa hai vaziifa us dhun me.n gungunaanaacollage keii sarzamii.n thii yaa naqsh-e-dil-nashii.n thiidil se KHayaal us kaa mumkin nahii.n bhulaanaadariyaa me.n mil ke jaise ho.n naddiyaa.n ham-aaGoshbegaana kal jo aayaa vo aaj thaa yagaanabahr-e-tavaaf jaanaa piir-e-muGaa.n ke dar paraur us keii ik nigah se sarmast ho ke aanaaus chashm-e-mast me.n thii ye turfa ik karaamatphirtii vo jis taraf ko phirtaa udhar zamaanaaai vaqt-e-rafta aa jaa phir vo samaa.n dikhaa jaaaisaa bhii kyaa thaa jaanaa phir lauT kar na aanaaai naaKHudaa bha.nvar se kashtii merii bachaa karyaaraan-e-aashnaa se bahr-e-KHudaa milaanaadar fasl-e-gul ki gulshan naqsh-o-nigaar bando'naazir' KHayaal-e-KHud-raa aur bazm-e-yaar bando
duniyaa ek ku.nvaarii maa.n haiham sab hai.n naa-jaa.ez bachchejo apne naadiida pidar kii hirs o gunah ke pachhtaave koapne apne kandhe par laade phirte hai.nmarne kii dhun me.n jiite hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books