aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "lahad"
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
ma.iishat duusro.n ke haath me.n hai mere qabze me.njuz ik zehn-e-rasaa kuchh bhii nahii.n phir bhii magar mujh koKHarosh-e-umr ke itmaam tak ik baar uThaanaa haianaasir muntashir ho jaane nabze.n Duub jaane taknavaa-e-sub.h ho yaa naala-e-shab kuchh bhii gaanaa haizafar-mando.n ke aage rizq kii tahsiil kii KHaatirkabhii apnaa hii naGma un kaa kah kar muskuraanaa haivo KHaama-sozii shab-bedaariyo.n kaa jo natiija house ik khoTe sikke kii tarah sab ko dikhaanaa haikabhii jab sochtaa huu.n apne baare me.n to kahtaa huu.nki tuu ik aabla hai jis ko aaKHir phuuT jaanaa haiGaraz gardaa.n huu.n baad-e-sub.h-gaahii kii tarah lekinsahar kii aarzuu me.n shab kaa daaman thaamtaa huu.n jabye la.Dkaa puuchhtaa hai aKHtar-ul-iimaan tum hii hoye la.Dkaa puuchhtaa hai jab to mai.n jhallaa ke kahtaa huu.nvo aashufta-mizaaj andoh-parvar iztiraab-aasaajise tum puuchhte rahte ho kab kaa mar chukaa zaalimuse KHud apne haatho.n se kafan de kar farebo.n kaaisii kii aarzuu.o.n kii lahad me.n phe.nk aayaa huu.nmai.n us la.Dke se kahtaa huu.n vo sho.ala mar chukaa jis nekabhii chaahaa thaa ik KHaashaak-e-aalam phuu.nk Daalegaaye la.Dkaa muskuraataa hai ye aahista se kahtaa haiye kizb-o-iftiraa hai jhuuT hai dekho mai.n zinda huu.n
zarra zarra dahr kaa zindaanii-e-taqdiir haiparda-e-majbuurii o bechaargii tadbiir haiaasmaa.n majbuur hai shams o qamar majbuur hai.nanjum-e-siimaab-paa raftaar par majbuur hai.nhai shikast anjaam Gunche kaa subuu gulzaar me.nsabza o gul bhii hai.n majbuur-e-numuu gulzaar me.nnaGma-e-bulbul ho yaa aavaaz-e-KHaamosh-e-zamiirhai isii zanjiir-e-aalam-giir me.n har shai asiiraa.nkh par hotaa hai jab ye sirr-e-majbuurii ayaa.nKHushk ho jaataa hai dil me.n ashk kaa sail-e-ravaa.nqalb-e-insaanii me.n raqs-e-aish-o-Gam rahtaa nahii.nnaGma rah jaataa hai lutf-e-zer-o-bam rahtaa nahii.nilm o hikmat rahzan-e-saamaan-e-ashk-o-aah haiya.anii ik almaas kaa Tuk.Daa dil-e-aagaah haigarche mere baaG me.n shabnam kii shaadaabii nahii.naa.nkh merii maaya-daar-e-ashk-e-unnaabii nahii.njaantaa huu.n aah me.n aalaam-e-insaanii kaa raazhai navaa-e-shikva se KHaalii mirii fitrat kaa saazmere lab par qissa-e-naira.ngi-e-dauraa.n nahii.ndil miraa hairaa.n nahii.n KHanda nahii.n giryaa.n nahii.npar tirii tasviir qaasid girya-e-paiham kii haiaah ye tardiid merii hikmat-e-mohkam kii haigirya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaa.n paa.inda haidard ke irfaa.n se aql-e-sa.ng-dil sharminda haimauj-e-duud-e-aah se aa.iina hai raushan miraaganj-e-aab-aavrd se maamuur hai daaman miraahairatii huu.n mai.n tirii tasviir ke e.ajaaz kaaruKH badal Daalaa hai jis ne vaqt kii parvaaz kaarafta o haazir ko goyaa paa-ba-paa is ne kiyaaahd-e-tiflii se mujhe phir aashnaa is ne kiyaajab tire daaman me.n paltii thii vo jaan-e-naa-tavaa.nbaat se achchhii tarah mahram na thii jis kii zabaa.naur ab charche hai.n jis kii shoKHii-e-guftaar kebe-bahaa motii hai.n jis kii chashm-e-gauhar-baar keilm kii sa.njiida-guftaarii bu.Dhaape kaa shu.uurdunyavii e.azaaz kii shaukat javaanii kaa Guruurzindagii kii auj-gaaho.n se utar aate hai.n hamsohbat-e-maadar me.n tifl-e-saada rah jaate hai.n hambe-takalluf KHanda-zan hai.n fikr se aazaad hai.nphir usii kho.e hu.e firdaus me.n aabaad hai.nkis ko ab hogaa vatan me.n aah meraa intizaarkaun meraa KHat na aane se rahegaa be-qaraarKHaak-e-marqad par tirii le kar ye fariyaad aa.uu.ngaaab du.aa-e-niim-shab me.n kis ko mai.n yaad aa.uu.ngaatarbiyat se terii me.n anjum kaa ham-qismat hu.aaghar mire ajdaad kaa sarmaaya-e-izzat hu.aadaftar-e-hastii me.n thii zarrii.n varaq terii hayaatthii saraapaa diin o duniyaa kaa sabaq terii hayaatumr bhar terii mohabbat merii KHidmat-gar rahiimai.n tirii KHidmat ke qaabil jab hu.aa tuu chal basiivo javaa.n-qaamat me.n hai jo suurat-e-sarv-e-bulandterii KHidmat se hu.aa jo mujh se ba.Dh kar bahra-mandkaarobaar-e-zindagaanii me.n vo ham-pahluu miraavo mohabbat me.n tirii tasviir vo baazuu miraatujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-paa rotaa hai vosabr se naa-aashnaa sub.h o masaa rotaa hai votuKHm jis kaa tuu hamaarii kisht-e-jaa.n me.n bo ga.iishirkat-e-Gam se vo ulfat aur mohkam ho ga.iiaah ye duniyaa ye maatam-KHaana-e-barnaa-o-piiraadmii hai kis tilism-e-dosh-o-fardaa me.n asiirkitnii mushkil zindagii hai kis qadar aasaa.n hai mautgulshan-e-hastii me.n maanind-e-nasiim arzaa.n hai mautzalzale hai.n bijliyaa.n hai.n qaht hai.n aalaam hai.nkaisii kaisii duKHtaraan-e-maadar-e-ayyaam hai.nkalba-e-iflaas me.n daulat ke kaashaane me.n mautdasht o dar me.n shahr me.n gulshan me.n viiraane me.n mautmaut hai ha.ngaama-aaraa qulzum-e-KHaamosh me.nDuub jaate hai.n safiine mauj kii aaGosh me.nne majaal-e-shikva hai ne taaqat-e-guftaar haizindagaanii kyaa hai ik tauq-e-guluu-afshaar haiqaafile me.n Gair fariyaad-e-diraa kuchh bhii nahii.nik mataa-e-diida-e-tar ke sivaa kuchh bhii nahii.nKHatm ho jaa.egaa lekin imtihaa.n kaa daur bhiihai.n pas-e-noh parda-e-garduu.n abhii daur aur bhiisiina chaak is gulsitaa.n me.n laala-o-gul hai.n to kyaanaala o fariyaad par majbuur bulbul hai.n to kyaajhaa.Diyaa.n jin ke qafas me.n qaid hai aah-e-KHizaa.nsabz kar degii unhe.n baad-e-bahaar-e-jaavedaa.nKHufta-KHaak-e-pai sipar me.n hai sharaar apnaa to kyaaaarzii mahmil hai ye musht-e-Gubaar apnaa to kyaazindagii kii aag kaa anjaam KHaakistar nahii.nTuuTnaa jis kaa muqaddar ho ye vo gauhar nahii.nzindagii mahbuub aisii diida-e-qudrat me.n haizauq-e-hifz-e-zindagii har chiiz kii fitrat me.n haimaut ke haatho.n se miT saktaa agar naqsh-e-hayaataam yuu.n us ko na kar detaa nizaam-e-kaa.enaathai agar arzaa.n to ye samjho ajal kuchh bhii nahii.njis tarah sone se jiine me.n KHalal kuchh bhii nahii.naah Gaafil maut kaa raaz-e-nihaa.n kuchh aur hainaqsh kii naa-paa.edaarii se ayaa.n kuchh aur haijannat-e-nazaara hai naqsh-e-havaa baalaa-e-aabmauj-e-muztar to.D kar ta.amiir kartii hai habaabmauj ke daaman me.n phir us ko chhupaa detii hai yekitnii bedardii se naqsh apnaa miTaa detii hai yephir na kar saktii habaab apnaa agar paidaa havaato.Dne me.n us ke yuu.n hotii na be-parvaa havaais ravish kaa kyaa asar hai haiyat-e-taamiir parye to hujjat hai havaa kii quvvat-e-taamiir parfitrat-e-hastii shahiid-e-aarzuu rahtii na hoKHuub-tar paikar kii us ko justujuu rahtii na hoaah siimaab-e-pareshaa.n anjum-e-garduu.n-farozshoKH ye chi.ngaariyaa.n mamnuun-e-shab hai jin kaa sozaql jis se sar-ba-zaanuu hai vo muddat in kii haisarguzisht-e-nau-e-insaa.n ek saa.at un kii haiphir ye insaa.n aa.n suu-e-aflaak hai jis kii nazarqudsiyo.n se bhii maqaasid me.n hai jo paakiiza-tarjo misaal-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat me.n haiaasmaa.n ik nuqta jis kii vus.at-e-fitrat me.n haijis kii naadaanii sadaaqat ke liye betaab haijis kaa naaKHun saaz-e-hastii ke liye mizraab haisho.ala ye kam-tar hai garduu.n ke sharaaro.n se bhii kyaakam-bahaa hai aaftaab apnaa sitaaro.n se bhii kyaatuKHm-e-gul kii aa.nkh zer-e-KHaak bhii be-KHvaab haikis qadar nashv-o-numaa ke vaaste betaab haizindagii kaa sho.ala is daane me.n jo mastuur haiKHud-numaa.ii KHud-fazaa.ii ke liye majbuur haisardi-e-marqad se bhii afsurda ho saktaa nahii.nKHaak me.n dab kar bhii apnaa soz kho saktaa nahii.nphuul ban kar apnii turbat se nikal aataa hai yemaut se goyaa qabaa-e-zindagii paataa hai yehai lahad is quvvat-e-aashufta kii shiiraaza-bandDaaltii hai gardan-e-garduu.n me.n jo apnii kamandmaut tajdiid-e-mazaaq-e-zindagii kaa naam haiKHvaab ke parde me.n bedaarii kaa ik paiGaam haiKHuugar-e-parvaaz ko parvaaz me.n Dar kuchh nahii.nmaut is gulshan me.n juz sanjiidan-e-par kuchh nahii.nkahte hai.n ahl-e-jahaa.n dard-e-ajal hai laa-davaazaKHm-e-furqat vaqt ke marham se paataa hai shifaadil magar Gam marne vaalo.n kaa jahaa.n aabaad haihalqa-e-zanjiir-e-sub.h-o-shaam se aazaad haivaqt ke afsuu.n se thamtaa naala-e-maatam nahii.nvaqt zaKHm-e-teG-e-furqat kaa ko.ii marham nahii.nsar pe aa jaatii hai jab ko.ii musiibat naa-gahaa.nashk paiham diida-e-insaa.n se hote hai.n ravaa.nrabt ho jaataa hai dil ko naala o fariyaad seKHuun-e-dil bahtaa hai aa.nkho.n kii sarishk-aabaad seaadmii taab-e-shakebaa.ii se go mahruum haius kii fitrat me.n ye ik ehsaas-e-naa-maaluum haijauhar-e-insaa.n adam se aashnaa hotaa nahii.naa.nkh se Gaa.eb to hotaa hai fanaa hotaa nahii.nraKHt-e-hastii KHaak-e-Gam kii sho.ala-afshaanii se haisard ye aag is latiif ehsaas ke paanii se haiaah ye zabt-e-fuGaa.n Gaflat kii KHaamoshii nahii.naagahii hai ye dilaasaa.ii faraamoshii nahii.nparda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotii hai sub.hdaaG shab kaa daaman-e-aafaaq se dhotii hai sub.hlaala-e-afsurda ko aatish-qabaa kartii hai yebe-zabaa.n taa.ir ko sarmast-e-navaa kartii hai yesiina-e-bulbul ke zindaa.n se sarod aazaad haisaik.Do.n naGmo.n se baad-e-sub.h-dam-aabaad haiKHuftagaan-e-laala-zaar o kohsaar o ruud baarhote hai.n aaKHir uruus-e-zindagii se ham-kanaarye agar aa.iin-e-hastii hai ki ho har shaam sub.hmarqad-e-insaa.n kii shab kaa kyuu.n na ho anjaam sub.hdaam-e-siimiin-e-taKHayyul hai miraa aafaaq-giirkar liyaa hai jis se terii yaad ko mai.n ne asiiryaad se terii dil-e-dard aashnaa maamuur haijaise ka.abe me.n du.aa.o.n se fazaa maamuur haivo faraa.ez kaa tasalsul naam hai jis kaa hayaatjalva-gaahe.n us kii hai.n laakho.n jahaan-e-be-sabaatmuKHtalif har manzil-e-hastii ko rasm-o-raah haiaaKHirat bhii zindagii kii ek jaulaa.n-gaah haihai vahaa.n be-haasilii kisht-e-ajal ke vaastesaazgaar aab-o-havaa tuKHm-e-amal ke vaastenuur-e-fitrat zulmat-e-paikar kaa zindaanii nahii.nta.ng aisaa halqa-e-afkaar-e-insaanii nahii.nzindagaanii thii tirii mahtaab se taabinda-tarKHuub-tar thaa sub.h ke taare se bhii teraa safarmisl-e-aivaan-e-sahar marqad farozaa.n ho tiraanuur se maamuur ye KHaakii shabistaa.n ho tiraaaasmaa.n terii lahad par shabnam-afshaanii karesabza-e-nau-rasta is ghar kii nigahbaanii kare
farishte pa.Dhte hai.n jis ko vo naam hai teraaba.Dii janaab tirii faiz aam hai teraasitaare ishq ke terii kashish se hai.n qaa.emnizaam-e-mehr kii suurat nizaam hai teraatirii lahad kii ziyaarat hai zindagii dil kiimasiih o KHizr se uu.nchaa maqaam hai teraanihaa.n hai terii mohabbat me.n ra.ng-e-mahbuubiiba.Dii hai shaan ba.Daa ehtiraam hai teraaagar siyaah dilam daaG-e-laala-zaar-e-tavaamdigar kushaada jabiinam gul-e-bahaar-e-tavaamchaman ko chho.D ke niklaa huu.n misl-e-nik.hat-e-gulhu.aa hai sabr kaa manzuur imtihaa.n mujh kochalii hai le ke vatan ke nigaar-KHaane sesharaab-e-ilm kii lazzat kashaa.n kashaa.n mujh konazar hai abr-e-karam par daraKHt-e-sahraa huu.nkiyaa KHudaa ne na mohtaaj-e-baaGbaa.n mujh kofalak-nashii.n sifat-e-mehr huu.n zamaane me.ntirii du.aa se ataa ho vo nardbaa.n mujh komaqaam ham-safaro.n se ho is qadar aageki samjhe manzil-e-maqsuud kaarvaa.n mujh komirii zabaan-e-qalam se kisii kaa dil na dukhekisii se shikva na ho zer-e-aasmaa.n mujh kodilo.n ko chaak kare misl-e-shaana jis kaa asartirii janaab se aisii mile fuGaa.n mujh kobanaayaa thaa jise chun chun ke KHaar o KHas mai.n nechaman me.n phir nazar aa.e vo aashiyaa.n mujh kophir aa rakhuu.n qadam-e-maadar-o-pidar pe jabii.nkiyaa jinho.n ne mohabbat kaa raaz-daa.n mujh kovo sham-e-baargah-e-KHaandaan-e-murtazviirahegaa misl-e-haram jis kaa aastaa.n mujh konafas se jis ke khilii merii aarzuu kii kaliibanaayaa jis kii muravvat ne nukta-daa.n mujh kodu.aa ye kar ki KHudaavand-e-aasmaan-o-zamii.nkare phir us kii ziyaarat se shaadmaa.n mujh kovo meraa yuusuf-e-saanii vo sham-e-mahfil-e-ishqhu.ii hai jis kii uKHuvvat qaraar-e-jaa.n mujh kojalaa ke jis kii mohabbat ne daftar-e-man-o-tuuhavaa-e-aish me.n paalaa kiyaa javaa.n mujh koriyaaz-e-dahr me.n maanind-e-gul rahe KHandaa.nki hai aziiz-tar az-jaa.n vo jaan-e-jaa.n mujh koshagufta ho ke kalii dil kii phuul ho jaa.eye iltijaa-e-musaafir qubuul ho jaa.e
pahlii aavaazab sa.ii kaa imkaa.n aur nahii.n parvaaz kaa mazmuu.n ho bhii chukaataaro.n pe kamande.n phe.nk chuke mahtaab pe shab-KHuu.n ho bhii chukaaab aur kisii fardaa ke liye un aa.nkho.n se kyaa paimaa.n kiijekis KHvaab ke jhuuTe afsuu.n se taskiin-e-dil-e-naadaa.n kiijeshiiriinii-e-lab KHushbuu-e-dahan ab shauq kaa unvaa.n ko.ii nahii.nshaadaabii-e-dil tafriih-e-nazar ab ziist kaa darmaa.n ko.ii nahii.njiine ke fasaane rahne do ab in me.n ulajh kar kyaa le.ngeik maut kaa dhandaa baaqii hai jab chaahe.nge nipTaa le.ngeye teraa kafan vo meraa kafan ye merii lahad vo terii hai
maGfirat kii tujh pe maulaa ab faraavaanii karejannat-ul-firdaus me.n bhii rahmat arzaanii karesabza-e-naurasta us ghar kii nigahbaanii kareaasmaa.n terii lahad par shabnam afshaanii karehaq adaa kar paa.nv teraa maa.n tire jaane ke baa'ddam ghuTaa jaataa hai meraa maa.n tire jaane ke baa'd
lucknow mere vatan mere chaman-zaar vatantere gahvaara-e-aaGosh me.n ai jaan-e-bahaarapnii duniyaa-e-hasii.n dafn kiye jaataa huu.ntuu ne jis dil ko dha.Dakne kii adaa baKHshii thiiaaj vo dil bhii yahii.n dafn kiye jaataa huu.ndafn hai dekh miraa ahd-e-bahaaraa.n tujh me.ndafn hai dekh mirii ruuh-e-gulistaa.n tujh me.nmerii gul-posh javaa.n-saal uma.ngo.n kaa suhaagmerii shaadaab tamannaa ke mahakte hu.e KHvaabmerii bedaar javaanii ke firozaa.n mah o saalmerii shaamo.n kii malaahat mirii sub.ho.n kaa jamaalmerii mahfil kaa fasaana mirii KHalvat kaa fusuu.nmerii diivaangii-e-shauq miraa naaz-e-junuu.nmere marne kaa saliiqa mire jiine kaa shu.uurmeraa naamuus-e-vafaa merii mohabbat kaa Guruurmerii nabzo.n kaa tarannum mire naGmo.n kii pukaarmere shero.n kii sajaavaT mire giito.n kaa si.ngaarlucknow apnaa jahaa.n sau.np chalaa huu.n tujh koapnaa har KHvaab-e-javaa.n sau.np chalaa huu.n tujh koapnaa sarmaaya-e-jaa.n sau.np chalaa huu.n tujh kolucknow mere vatan mere chaman-zaar vatanye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaadafn hai.n is me.n mohabbat ke KHazaane kitneek unvaan me.n muzmar hai.n fasaane kitneik bahan apnii rifaaqat kii qasam khaa.e hu.eek maa.n mar ke bhii siine me.n liye maa.n kaa gudaazapne bachcho.n ke la.Dakpan ko kaleje se lagaa.eapne khilte hu.e ma.asuum shaguufo.n ke liyeband aa.nkho.n me.n bahaaro.n ke javaa.n KHvaab basaa.eye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaaek saathii bhii tah-e-KHaak yahaa.n sotii haiarsa-e-dahr kii be-rahm kashaakash kaa shikaarjaan de kar bhii zamaane se na maane hu.e haarapne tevar me.n vahii azm-e-javaa.n-saal liyeye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaadekh ik sham-e-sar-e-raah-guzar chaltii haijagmagaataa hai agar ko.ii nishaan-e-manzilzindagii aur bhii kuchh tez qadam chaltii hailucknow mere vatan mere chaman-zaar vatandekh is KHvaab-gah-e-naaz pe kal mauj-e-sabaale ke nau-roz-e-bahaaraa.n kii KHabar aa.egiisurKH phuulo.n kaa ba.De naaz se guu.ndhe hu.e haarkal isii KHaak pe gul-ra.ng sahar aa.egiikal isii KHaak ke zarro.n me.n samaa jaa.egaa ra.ngkal mire pyaar kii tasviir ubhar aa.egiiai mirii ruuh-e-chaman KHaak-e-lahad se teriiaaj bhii mujh ko tire pyaar kii buu aatii haizaKHm siine ke mahakte hai.n tirii KHushbuu sevo mahak hai ki mirii saa.ns ghuTii jaatii haimujh se kyaa baat banaa.egii zamaane kii jafaamaut KHud aa.nkh milaate hu.e sharmaatii haimai.n aur in aa.nkho.n se dekhuu.n tujhe paivand-e-zamii.nis qadar zulm nahii.n haa.e nahii.n haa.e nahii.nko.ii ai kaash bujhaa de mirii aa.nkho.n ke diyechhiin le mujh se ko.ii kaash nigaahe.n meriiai mirii sham-e-vafaa ai mirii manzil ke charaaGaaj taariik hu.ii jaatii hai.n raahe.n meriitujh ko ro.uu.n bhii to kyaa ro.uu.n ki in aa.nkho.n me.nashk patthar kii tarah jam se ga.e hai.n merezindagii arsa-gah-e-johd-e-musalsal hii sahiiek lamhe ko qadam tham se ga.e hai.n merephir bhii is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujheko.ii aavaaz pe aavaaz diye jaataa haiaaj sotaa hii tujhe chho.D ke jaanaa hogaanaaz ye bhii Gam-e-dauraa.n kaa uThaanaa hogaazindagii dekh mujhe hukm-e-safar detii haiik dil-e-shola-ba-jaa.n saath liye jaataa huu.nhar qadam tuu ne kabhii azm-e-javaa.n baKHshaa thaa!mai.n vahii azm-e-javaa.n saath liye jaataa huu.nchuum kar aaj tirii KHaak-e-lahad ke zarrean-ginat phuul mohabbat ke cha.Dhaataa jaa.uu.njaane is samt kabhii meraa guzar ho ki na hoaaKHirii baar gale tujh ko lagaataa jaa.uu.nlucknow mere vatan mere chaman-zaar vatandekh is KHaak ko aa.nkho.n me.n basaa kar rakhnaais amaanat ko kaleje se lagaa kar rakhnaa
pas-e-marg KHaak hu.e badan vo kafan me.n ho.n ki ho.n be-kafanna mirii lahad ko.ii aur hai na tirii chitaa ko.ii aur hai
idhar na dekho ki jo bahaadurqalam ke yaa teG ke dhanii thejo azm-o-himmat ke mudda.ii theab un ke haatho.n me.n sidq-e-iimaa.n kiiaazmuuda puraanii talvaar mu.D ga.ii haijo kaj-kulah saahib-e-hasham thejo ahl-e-dastaar mohtaram thehavas ke pur-pech raasto.n me.nkulah kisii ne girau rakh diikisii ne dastaar bech dii haiudhar bhii dekhojo apne ruKHshaa.n lahuu ke diinaarmuft baazaar me.n luTaa karnazar se ojhal hu.eaur apnii lahad me.n is vaqt tak Ganii hai.n,udhar bhii dekhojo harf-e-haq kii saliib par apnaa tan sajaa karjahaa.n se ruKHsat hu.eaur ahl-e-jahaa.n me.n is vaqt tak nabii hai.n
lahad me.n so rahii hai aaj be-shak musht-e-KHaak us kiimagar garm-e-amal hai jaagtii hai jaan-e-paak us kiivo ik faanii bashar thaa mai.n ye baavar kar nahii.n saktaabashar iqbaal ho jaa.e to hargiz mar nahii.n saktaaba-zer-e-saaya-e-diivaar-e-masjid hai jo aasuudaye KHaakii jism hai sattar baras kaa raah paimuudaye KHaakii jism bhii us kaa bahut hii besh-qiimat thaajise ham-jalva samjhe the vo parda bhii Ganiimat thaause ham naapte the le ke aa.nkho.n hii kaa paimaanaaGazal-KHvaa.n us ko jaanaa ham ne shaa.ir us ko gardaanaafaqat suurat hii dekhii us ke ma.anii ham nahii.n samjhena dekhaa ra.ng-e-tasviir aa.ine ko dil-nashii.n samjhehame.n zof-e-basaarat se kahaa.n thii taab-e-nazzaaraasikhaa.e us ke parde ne hame.n aadaab-e-nazzaaraaye naGma kyaa hai zer-e-parda-haa-e-saaz kam samjherahe sab gosh-bar-aavaaz lekin raaz kam samjheshikast-e-paikar-e-mahsuus ne to.Daa hijaab aaKHirtuluu-e-sub.h-e-mahshar ban ke chamkaa aaftaab aaKHirmuqayyad ab nahii.n 'iqbaal' apne jism-e-faanii me.nnahii.n vo band haa.il aaj dariyaa kii ravaanii me.nvajuud-e-marg kii qaa.el nahii.n thii zindagii us kiita.aalaa allaah ab dekhe ko.ii paa.indagii us kiijise ham murda samjhe zinda tar paa.inda tar niklaamah o KHurshiid se zarre kaa dil taabinda tar niklaaabhii andaaza ho saktaa nahii.n us kii bulandii kaaabhii duniyaa kii aa.nkho.n par hai parda firqa-bandii kaamagar merii nigaaho.n me.n hai.n chehre un javaano.n kejinhe.n 'iqbaal' ne baKHshe hai.n baazuu qahar-maano.n ke
ta.aviiz-e-lahad hai zabar o zer ye andherye daur-e-zamaana ke ulaT pher ye andheraa.ngan me.n pa.De gard ke hai.n Dher ye andherai gardish-e-ayyaam ye andher! ye andher
kaise Tahaltaa hai chaa.nd aasmaan pejaise zabt kii pahlii manzilaavaaz ke alaava bhii insaan haiaa.nkho.n ko chhuu lene kii qiimat pe udaas mat hoqabr kii sharm abhii baaqii haiha.nsii hamaarii maut kii shahaadat hailahad me.n paidaa hone vaale bachchehamaarii maa.n aa.nkh haiqabr to miTTii kaa makr haiphir parinde suuraj se pahle kisii kaa zikr karte hai.naavaaz ke alaava bhii insaan haiTuuTe hozaraa aur lahuu a.ngaar karoki mai.n ek be-libaas aurat huu.naur jitnii chaahuu.n aa.nkhe.n rakhtii huu.nmai.n ne aavaaz ko taraashaa haihai ko.ii meraa mujassama banaane vaalaaapnii qismat pe udaas mat homaut kii sharm abhii baaqii haimujhe chaadar dene vaaletujhe hayaa tak dukh lag jaa.e.nmujhe lafz dene vaalekaash aurat bhii janaaze ko kaa.ndhaa de saktiihar qadam zanjiir ma.aluum ho rahaa hai aur meraa dil tah kar ke rakh diyaagayaa hai shor mujhe lahuuluhaan kar rahaa hai mai.napnii qaid kaaT rahii huu.n aur is qaid me.n kabhiihaath kaaT kar phe.nk detii huu.n kabhiiaavaaz kaaT kaaT kar phe.nk rahii huu.nmeraa dil daldal me.n rahne vaalaa kii.Daa hai aur mai.n qabr sedhutkaarii hu.ii laashsa.Daa.ndii hii sa.Daa.nd se merii aa.nkho.n kaazaa.iqa bad-ruuh ho rahaa haiaur mai.n insaan kii pahlii aur aaKHirii Galatii par dum hilaa.ebhau.nktii jaa rahii huu.nmai.n jab insaan thii to chor kii aas tak na thii mai.naa.nkho.n me.n saliib aur dil me.n apnii laashliye phirtii huu.nsachchaa.iyo.n ke zahr se marii huu.nlekin duniyaa gorkan ko Dhuu.nDhne ga.ii hu.ii haivo mujhe aabaad kartaa hai aur aabaad kahtaa haimai.n harii-bharii pyaas se zarKHez ho jaatii huu.naur phuulo.n ko miTTii me.n dabaane lagtii huu.ndard mere azhdahe kaa naam haiaur saa.np kii bhuuk meraa ghar hai
saf-e-maatam bichhii haisuKHan kaa aaKHirii dar band hone kii KHabar nekhi.Dkiyo.n ke paar baiThe Gamgusaaro.n koye kaisii chup lagaa dii haiye kis kii naa-gahaanii maut par sargoshiyo.n kii aag raushan haikisii ke kunj-e-lab se ko.ii taaraa mere dil par aan pa.Dtaa haiburaa ho maut kaa jis ne mire fariyaad-ras kii jaan le lii haiabhii us kii zaruurat thiimai.n is duniyaa ke ik goshe me.n baiThaa sochtaa huu.naaj is viiraan ma.nDlii me.nmai.n kis ko pursa dene ke liye aayaa huu.nmujh ko ta.aziyat to KHud se karnaa thiiabhii is ghar se ik mayyat sidhaarii haidam-e-ruKHsatkisii ne nik.hat-e-zulf-e-pareshaa.n kaa nahii.n puuchaakisii ne dukh ke andar raushnii kii chhab nahii.n dekhiimakaa.n se phuuTne vaalii ravish parek bachcha ro rahaa haiaaj us ke aa.n.su.o.n ko kaun po.nchhegaaki us ke saath jo shatranj kii baazii lagaataa thaavo ab zer-e-zamii.n ik chaadar-e-saada kii KHushbuu haiyahaa.n sub.he.n bhii aa.e.ngiiyahaa.n shaame.n bhii utre.ngiimagar ik hichkiyaa.n letaa hu.aa bachchacharaaG-e-aarzuu ban karsar-e-taaq-e-lahad guu.ngii zamii.n kii lab-kushaa.ii tak pukaare gaaburaa ho maut kaa jis ne mire fariyaad-ras kii jaan le lii hai
badal ga.e hozaraa se arse me.n aah kaise badal ga.e hotumhe.n KHabar haivo haath dhartii ne khaa liye hai.njinho.n ne apnii hatheliyo.n me.nhamaarii KHaatir faqat du.aa.e.n bharii hu.ii thii.ntumhe.n pata haivo ho.nT miTTii me.n jha.D rahe hai.nhamaare chehro.n pe jin ke bose ju.De hu.e hai.nvo aa.nkhe.n andhii lahad me.n shaayad bikhar chukii ho.nvo shab ga.e takhamaarii raaho.n me.n apnii kirne.n bikhertii thii.nhamaare nam ko numuud de karzamii.n ko apnaa vajuud de karkahaa.n ga.e hozamii.n ke nam me.n hamaare paikar pighal ga.e hai.nbadal ga.e ho to aa.o dekhoki ham bhii kitne badal ga.e hai.n
lahad me.n bhii yahii Gaib-o-huzuur rahtaa haiagar ho zinda to dil naa-subuur rahtaa haimah-o-sitaara misaal-e-sharaara yak-do-nafasmai-e-KHudii kaa abad tak suruur rahtaa haifarishta maut kaa chhuutaa hai go badan teraatire vujuud ke markaz se duur rahtaa hai
apnaa to abad hai kunj-e-marqadjab jism supurd-e-KHaak ho jaa.emarqad bhii nahii.n vo aaKHirii saa.nsjab qissa-e-ziist paak ho jaa.evo saa.ns nahii.n shikast-e-ummiidjab daaman-e-dil hii chaak ho jaa.eummiid nahii.n bas ek lamhajo aatish-e-Gam se KHaak ho jaa.ehastii kii abad-gah-e-qazaa me.nkuchh farq nahii.n fanaa baqaa me.nKHaakistar-e-KHvaab shola-e-KHvaabye apnaa azal hai vo abad haivo shola to kab kaa mar chukaa haiye jism ik naash-e-be-lahad haimartii hai hayaat lamha lamhahar saa.ns ik zindagii kii had hai
ye raastaa kab hai ik lahad hailahad ke andar to ik janaaza hii baar paa.egaa ye bhii sochoto kyaa mashiyyat ke faisle se haTe haTe re.ngte rahogejanaaze rakkhe hu.e hai.n in ko uThaa.o jaa.olahad khulii hailahad hai aise ki jaise bhuuke kaa laalchii kaa mu.nh khulaa hu.aa homagar ko.ii taaza aur taaza na ho mayassar to baasii luqma bhii us keandar na jaane paa.ekhulaa dahan yuu.n khulaa rahe jaise ik KHalaa houThaa.o jaldii uThaa.o aa.nkho.n ke saamne kuchh janaaze rakkhehu.e hai.n in ko uThaa.o jaa.o
pyaarii maa.nik baat bataajis shahar me.n ab tuu jaa ke basii hai us kaa mausam kaisaa haikyaa us bastii me.n din hotaa haivaa.n pe raat utartii haikyaa qabr kii tanhaa.ii me.n leTaa vaqt samay kuchh kahtaa haiyaa din aur raat kii qaid se aarii ant zamaana bahtaa haikyaa suuraj gole kii chand kirne.n andar jaa ke girtii hai.nkyaa chhat ke niile ambar uupar chaa.nd sitaara rahtaa haikyaa jugnuu baate.n karte hai.nkyaa titlii milne aatii haikyaa qabr sirhaane pe.D ke niichebulbul naGme gaatii haikyaa lahad kii daa.e.n jaanib se jannat kii havaa.e.n aatii hai.nkyaa raushan khi.Dkii ke raste tibtum kii sadaa.e.n aatii hai.nkyaa ahl-e-jannat mil-jul ke aapas me.n baate.n karte hai.nkyaa ibraahiim kii raushan peshaanii pe nuur utarte hai.nkyaa 'yahyaa'-bin-'zakariyaa' ke zaKHmo.n se phuul bikharte hai.n'yuusuf' kii savaarii aatii haiyaaquub vahaa.n kyaa karte hai.nkhi.Dkii ke raste chupke sebeTe se milne jaatii haibaaho.n me.n use le ke apniituu aksar lorii gaatii haiyaa us ko lagaa kar siine sejab haule se muskaatii haitab tujh ko mirii yaad aatii hai
ik baar phir vatan me.n gayaa jaa ke aa gayaalaKHt-e-jigar ko KHaak me.n dafnaa ke aa gayaahar ham-safar pe KHizr kaa dhokaa hu.aa mujheaab-e-baqaa kii raah se katraa ke aa gayaahuur-e-lahad ne chhiin liyaa tujh ko aur mai.napnaa saa mu.nh liye hu.e sharmaa ke aa gayaadil le gayaa mujhe tirii turbat pe baar baaraavaaz de ke baiTh ke uktaa ke aa gayaaroyaa ki thaa jahez tiraa vaajib-ul-adaame.nh motiyo.n kaa qabr pe barsaa ke aa gayaamerii bisaat kyaa thii huzuur-e-razaa-e-dosttinkaa saa ek saamne dariyaa ke aa gayaaab ke bhii raas aa.ii na hubb-e-vatan 'hafiiz'ab ke bhii ek tiir-e-qazaa khaa ke aa gayaa
ik sharaabii kii lahad par raat bhar hanDe jalebar mazaar-e-maa Gariibaa.n nai charaaGe nai gule
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books