aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "plate"
kabhii kabhii to zindagiyaa.n kuchh itne vaqt me.n apnii muraade.n haasil kar letii hai.njitne vaqt me.n luqma plate se mu.nh me.n pahu.nchtaa hai... auraksar aisii muraado.n kii to pahu.nch bhii luqmo.n tak hotii haiaur jab aisii manzile.n baarvar hotii hai.n to shahr panapte hai.n aur gaa.nv phabakte hai.n… aurtahziibo.n kii manDiyo.n me.n har jaanib qistaaso.n kii Te.Dhii DanDiyaa.n roz o shab tezii tezii seinsaano.n kii jholiyo.n me.n rizqo.n kii dha.Dyaa.n ulaTtii hai.n aurbhare samaajo.n me.n shuddh talqiino.n kii DauDiyaa.n piiTne vaale bhii apnii apnii paGambariyo.n kii tanKHvaahe.n paate hai.nlekin kis ko KHabar hai aisii bhii hai.n manzile.n jin tak jaane vaale raasto.n par na du.aa kaa saaya hai na qazaa kaa ga.Dhaa haikuchh hai bhii to bas apnii socho.n kii dhajjiyo.n me.n simTii hu.ii ik bechaargii jis kii be-sadaahuuk me.n umre.n Duub jaatii hai.n
chaa.e kii mez se lag kar mai.n kha.Daa thaa KHaamoshvo samoso.n se bharii plate liye paas aa.iiaur puuchaa bahut aahista se''naak kii kiil ko a.ngrezii me.n kyaa kahte hai.n''umr hogii ko.ii chaubiis barasDhe.Dh do saal kaa beTaa thaa bahut pyaaraa saajo kabhii god me.n hotaa to kabhii bhaag keaa.ngan me.n chalaa jaaataa thaanaak me.n baa.e.n taraf kiil thii aa.ankho.n me.n chamakaur chamak vo jo gunaaho.n ko chhupaa letii haikaale baalo.n me.n gu.ndhii shaam kii ra.anaa.ii thiiaisii ra.anaa.ii jo aadaab bhulaa detii haizabt aur fahm ko naa-vaqt sulaa detii haiKHuun me.n so.ii hu.ii aag jagaa detii haidaad denaa to bahut daur kii baatek bhii nazm tavajjoh se nahii us ne suniiham kahii.n aur rahe aur vo kahii.n aur rahii''naak kii kiil ko a.ngrezii me.n kyaa kahte hai.n''
KHush hai.n aise log duniyaa me.n jo KHush-KHuuraak hai.naur un logo.n ke dastar-KHvaan haibatnaak hai.nun ke dastar-KHvaan pe KHushbuu misaalii chaa.e kiichaar anDe chhe slice das piyaalii chaa.e kiiho ga.e jab chaa.e kii lazzat se dil-bardashtakhaa liye aadhaa kilo anguur ba.ad-az-naashtajab kahii.n mauqa.a milaa tho.Daa saa biscuit khaa liyaanosh-e-jaa.n farmaa liyaa phir paan cigarette chhaaliyaadopahar me.n chhe chapaatii chaar anDe omelettechaar-chhe shaamii kabaab aur ik nahaarii ke platekofte hasb-e-liyaaqat ek lassii kaa gilasskhaa ga.e aur pii ga.e mausuuf be-KHauf-o-hiraasda.avato.n ke jaal phailaa.e hu.e hai.n har tarafkah diyaa khaane se pahle hii takalluf-bar-tarafraat ko tho.Dii sii jelly kuchh murbba aam kaakuchh papiitaa le liyaa phir haazme ke naam kaado paraaThe le liye kuchh der sustaane ke ba.ad''ik tire aane se pahle ik tire jaane ke ba.ad''
raat plate me.n dukh rakkhaa thaasub.h ke cup me.n be-zaarii thiishaam chaa.e ke saath pa.Daa thaadil kii suurat vaalaa barfii kaa ik Tuk.Daaaaj mire kamre me.n phir se hijr kii Table pardil kaa piyaala yuu.n ashko.n se bharaa hu.aa thaaandar se kuchh TuuT gayaa thaaaur ik jag yaado.n se bharaa merii jaanib dekh rahaa thaaek gilaas thakan kaa KHaaliijaise dar se ko.ii savaaliibin paa.e hii lauT gayaa thaanii.nd ke takiye par sar rakkhaamere sirhaane kitaab tumhaariimeraa jiivan dam saadhe chup-chaap pa.Daa thaamai.n ne juu.nhii haath ba.Dhaayaalafzo.n se ik chehra ubhraaraat bahut hii biit chukii haiab so jaa.o
yuu.n Te.Dhii tirchhii aa.Diijaise sa.Dak ho un kiiapnii hii khetii-baa.Diido dost piichhe baiThedo cha.Dh ga.e agaa.Diiye phaT-phaTii hai ko.iiyaa bhaagtii pahaa.DiiphaT phaT phaTaak kar kejab ye sa.Dak pe dhaa.Diidaa.e.n ko pahle ghuumiiphir baa.e.n samt taa.Diiik bas se bach ke nikliiik cycle pachhaa.Diiik taxi ko rag.Daanumber plate ukhaa.Diifootpath par jo uchhliiTakraayaa ik kabaa.Diiphir ro.D par utar karmachvaa dii bhag-bhagaa.Diivo chauk kaa sipaahiirokii thii jis ne gaa.Diilo vo bhii kuud bhaagaaphaa.ndii ba.Dii sii jhaa.Diiyuu.n Dagmagaa ke la.Dkechaachuu ke saare aa.Diidikhlaa.e.n jaise circuskuchh masKHare anaa.Dii
jaisaa ki kabhii vo la.Dte hai.n kitaabo.n parcopy aur ra.ngiin pencilo.n ke hisaabo.n parye la.Dte hai.n kabhii sur aur sa.ngiit parkhel me.n kabhii haar aur kabhii jiit parkabhii school kaa home-work karne me.nkabhii tasviiro.n me.n rang bharne me.nkabhii khaane piine kii chiizo.n pardastar-KHvaan aur khaane kii mezo.n parye la.Dte hai.n daal machhlii aur anDe parkabhii garm chaa.e aur icecream ke ThanDe parla.Dte hu.e to.D dete hai.n gilaas aur plateaur barbaad kar dete hai.n ye saarii chokleT
khuu.nTii pe laTke ik lamp kiipiilii piilii raushnii me.nthakii thakii sii shaam kii piiThdiivaaro.n par dhu.e.n ke baadal kii parte.nkamre me.n lak.Dii kaa TuuTaa-phuuTaa Tableaur puraanii chaar kursiyaa.nTable par miTTii kii plate me.n uble aaluu kii KHushbuuaaluu kii KHushbuu me.n bhiigaa komal haathaur mirii dono.n aa.nkhe.n bhiizaa.iqa letii hai.n aaluu kaa ra.ngo.n me.n
1potii se daadii ban.ne ke lambe safar me.naisaa ko.ii pa.Daav nahii.n aaya thaa jis parruk ke taaza dam hone kiisuukhii so.ndhii payaal pe pa.D kemiiThe miiThe sapno.n me.n so jaane kii mohlat miltiiab manzil par aa ke thak ke chuur pa.Dii vomiiThe sapno.n me.n so jaane kii koshishkarte karte kyaa behaal hu.ii jaatii haikhaa.ns khaa.ns ke saarii raat guzar jaatii hai2bhare-pure mahlo.n jaise is ghar kaaik ik kamraapne apne naam se ab reserve karaa rakkhaa hai sabho.n nevo jo barsaatii me.n biitii yaade.n o.Dh ke leTaaapne din gintaa hainame plate pe ghar ke usii buu.Dhe kaa naamlikhaa hu.aa hai ba.De ba.De harfo.n me.n3rasta bilkul saaf haipuKHta siidhii sa.Dak hainiile vaale baaG ke phuulo.n se milne rozaanajaayaa jaa saktaa hai lekin kaisesoch ke hii pairo.n me.n ai.nThan hone lagtii haiaur dam be-dam hone lagtaa hai4betaabi se Dhuu.nD rahaa hai kaise paa.egaa abvo sab kuchh jo chho.D gayaa thaana.e na.e saamaano.n se ghar chhat tak aTaa pa.Daa haipahle jo rakkhaa thaa yahaa.n vo un me.n dab karTuuT ke chaknaa-chuur hu.aa yaa ko.ii kabaa.Diisaste daamo.n le ke gayaa ye kaun bataa.etaal pe us ke laa.e hu.e stereo music system kesab thirak rahe hai.naise shor-sharaabe me.n ab us kii kaun sunegaapahle ghar vaalo.n se i s D parminto.n kaa hii raabta ik qaa.em to ho jaataa thaa
mere ru.ii ke bistarao.n ke sulagne sesahn me.n dhu.aa.n phailtaa jaa rahaa haigharo.n kii chilmano.n se us paarbaahar baiThii havaa ro rahii hainizaam-saqqaa pyaas kii ok ke saamnesabiil lagaa.e hu.e al-atash baa.nTtaa haizamaana pyaas ke nauhe parmaatamii daf bajaa rahaa haiw T o anaaj kii gaThriyo.n pe baiThiibhuuko.n ko amn ke huruuf se bhariiplate de rahii haiU N O kii aa.nkh ke kinaaro.n kii jumbihso.n se duniyaakapkapaa rahii haimaa.nmaamtaa ko ha.nsii aa rahii haiduudh kii jagah chhaatiyo.n me.nnazariye aur falsafe ghole jaa rahe hai.nvaqt kii Dor par jhuulte bachcho.n sejhuulne ke auqaat chhiine jaa rahe hai.nbaaruud bam missile aur dhamaakedhartii kii kokh me.n dhakele jaa rahe hai.n
insaanii huquuq kii plate me.nrakhaa kaa.nTaa aur be.Diyo.n ko kaaTnevaalii rang aaluud chhurii mal kar bhiiKHudaa ke ho.nTo.n ko zaKHmii nahii.n kar sakte
ek chhoTii sii name platejis par meraa naam likhaa thaasaal-bhar se mere kamre me.nmaarii maarii phir rahii thiiTable se khi.Dkii paraur kabhiikhi.Dkii se almaarii pardhuul se aTiijagah badal rahii thiius ik intizaar me.n ki jabdo kiile.n aur ek hathau.Dii yakjaa ho.naur kalbil-aaKHir mai.n nedo kiilo.n kii saliib parapne naam ko Taa.ng diyaaab ye kamra be-naam nahii.n hai
nahii.n ma.aluum 'zaryuun' ab tumhaarii umr kyaa hogiivo kin KHvaabo.n se jaane aashnaa naa-aashnaa hogiitumhaare dil ke is duniyaa se kaise silsile ho.ngetumhe.n kaise gumaa.n ho.nge tumhe.n kaise gile ho.ngetumhaarii sub.h jaane kin KHayaalo.n se nahaatii hotumhaarii shaam jaane kin malaalo.n se nibhaatii hona jaane kaun doshiiza tumhaarii zindagii hogiina jaane us kii kyaa baayastagii shaa.istagii hogiiuse tum phone karte aur KHat likhte rahe hogena jaane tum ne kitnii kam Galat urdu likhii hogiiye KHat likhnaa to daqyaanuus kii pii.Dhii kaa qissa haiye sinf-e-nasr ham naa-baaliGo.n ke fan kaa hissa haivo ha.nstii ho to shaayad tum na rah paate ho haalo.n me.nga.Dhaa nanhaa saa pa.D jaataa ho shaayad us ke gaalo.n me.ngumaa.n ye hai tumhaarii bhii rasaa.ii naa-rasaa.ii hovo aa.ii ho tumhaare paas lekin aa na paa.ii hovo shaayad maa.ide kii gand biryaanii na khaatii hovo naan-e-be-KHamiir-e-maida kam-tar hii chabaatii hovo doshiiza bhii shaayad daastaano.n kii ho dil-daadause ma.aluum hogaa 'zaal' thaa 'sohraab' kaa daadaatahamtan ya.anii 'rustam' thaa giraamii 'saam' kaa vaarisgiraamii 'saam' thaa sulb-e-nar-e-'maanii' kaa KHush-zaada(ye merii ek KHvaahish hai jo mushkil hai)vo 'najm'-aafa.ndi-e-marhuum ko to jaantii hogiivo nauho.n ke adab kaa tarz to pahchaantii hogiiuse kad hogii shaayad un sabhii se jo lapaa.Dii ho.nna ho.nge KHvaab us kaa jo gavayye aur khilaa.Dii ho.n
ye vaaqiyehaadsetasaadumhar ek Gamaur har ik masarrathar ik aziyyathar ek lazzathar ik tabassumhar ek aa.nsuuhar ek naGmahar ek KHushbuuvo zaKHm kaa dard hoki vo lams kaa ho jaaduuKHud apnii aavaaz ho ki maahaul kii sadaa.e.nye zehn me.n bantii aur biga.Dtii hu.ii fazaa.e.nvo fikr me.n aa.e zalzale ho.n ki dil kii halchaltamaam ehsaassaare jazbeye jaise patte hai.nbahte paanii kii sat.h parjaise tairte hai.nabhii yahaa.n hai.nabhii vahaa.n hai.naur ab hai.n ojhaldikhaa.ii detaa nahii.n hai lekinye kuchh to haijo ki bah rahaa haiye kaisaa dariyaa haikin pahaa.Do.n se aa rahaa haiye kis samundar ko jaa rahaa haiye vaqt kyaa hai
ye Diary hai aur is me.n pate hai.n aur numberise KHayaal se bakse kii jeb me.n rakhnaahai arz ''hazrat-e-Gaa.eb-dimaaG'' bandii kiiki apne aib kii haalat ko Gaib me.n rakhnaa
mai.n ne maazii se ka.ii KHushk sii shaaKHe.n kaaTii.ntum ne bhii guzre hu.e lamho.n ke patte to.Demai.n ne jebo.n se nikaalii.n sabhii suukhii nazme.ntum ne bhii haatho.n se murjhaa.e hu.e KHat kholeapnii in aa.nkho.n se mai.n ne ka.ii maa.nje to.Deaur haatho.n se ka.ii baasii lakiire.n phe.nkii.ntum ne palko.n pe namii suukh ga.ii thii so giraa diiraat bhar jo bhii milaa ugte badan par ham kokaaT ke Daal diyaa jalte alaa.o me.n use
vaqt ke agle shahr ke saare baashindesab din sab raate.njo tum se naa-vaaqif ho.ngevo kab merii baat sune.ngemujh se kahe.ngejaa.o apnii raah lo raahiiham ko kitne kaam pa.De hai.njo biitii so biit ga.iiab vo baate.n kyuu.n dohraate hoka.ndhe par ye jholii rakkhekyuu.n phirte ho kyaa paate homai.n be-chaaraik banjaaraaavaara phirte phirte jab thak jaa.uu.ngaatanhaa.ii ke Tiile par jaa kar baiThuu.ngaaphir jaise pahchaan ke mujh koik banjaara jaan ke mujh kovaqt ke agle shahr ke saare nanhe-munne bhole lamhena.nge paa.nvdau.De dau.De bhaage bhaage aa jaa.e.ngemujh ko gher ke baiThe.ngeaur mujh se kahe.ngekyuu.n banjaaretum to vaqt ke kitne shahro.n se guzre houn shahro.n kii ko.ii kahaanii hame.n sunaa.oun se kahuu.ngaananhe lamho!ek thii raaniisun ke kahaaniisaare nanhe lamheGamgii.n ho kar mujh se ye puuchhe.ngetum kyuu.n in ke shahr na aa.ii.nlekin un ko bahlaa luu.ngaaun se kahuu.ngaaye mat puuchhoaa.nkhe.n muu.ndoaur ye sochotum hotii.n to kaisaa hotaatum ye kahtii.ntum vo kahtii.ntum is baat pe hairaa.n hotii.ntum us baat pe kitnii ha.nstii.ntum hotii.n to aisaa hotaatum hotii.n to vaisaa hotaa
ye saaGar shiishe laal-o-goharsaalim ho.n to qiimat paate hai.nyuu.n Tuk.De Tuk.De ho.n to faqatchubhte hai.n lahuu rulvaate hai.n
ye raat us dard kaa shajar haijo mujh se tujh se aziim-tar haimagar isii raat ke shajar seye chand lamho.n ke zard patte
mai.n apne band kamre me.n pa.Daa huu.naur ik diivaar par nazre.n jamaa.emanaazir ke ajuube dekhtaa huu.nusii diivaar me.n ko.ii KHalaa haimujhe jo Gaar jaisaa lag rahaa haivahaa.n mak.Dii ne jaal bun liyaa haiaur ab apne hii jaal me.n pha.nsii haivahii.n par ek murda chhipkilii haika.ii sadiyo.n se jo saakit pa.Dii haiab us par kaa.ii jamtii jaa rahii haiaur us me.n ek jangal dikh rahaa haidaraKHto.n se parinde gir rahe hai.nkulhaa.Dii shaaKH par laTkii hu.ii hailaka.Dhaare pe giida.D ha.ns rahemusalsal tez baarish ho rahii haikisii patte se gir kar ek qatraachaanak ek samundar ban gayaa haisamundar naav se la.Dne lagaa haimachheraa machhliyo.n me.n ghir gayaa haiaur ab patvaar siine se lagaa karvo niile aasmaa.n ko dekhtaa haijo yak-dam zard pa.Dtaa jaa rahaa haivo kaise ret bantaa jaa rahaa haimujhe ab sirf sahraa dikh rahaa haiaur us me.n dhuum kii chaadar bichhii haimagar vo ek jagah se phaT rahii haivahaa.n par ek saaya naachtaa haijahaa.n bhii pair dhartaa hai vahaa.n parsunahre phuul khilte jaa rahe haiye sahraa baaG bantaa jaa rahaa haiaur us me.n titliyaa.n dikhtii hai.nparo.n me.n jin ke niilii raushnii haivo har pal tez hotii jaa rahii haiso merii aa.nkh me.n chubhne lagii haiso mai.n ne haath aa.nkho.n par rakhe hai.naur ab u.nglii haTaa kar dekhtaa huu.nki apne band kamre me.n pa.Daa huu.naur ik diivaar ke aage kha.Daa huu.n
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books