aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "qabiila"
kis se Darte ho ki sab log tumhaarii hii tarahek se hai.n vahii aa.nkhe.n vahii chehre vahii dilkis pe shak karte ho jitne bhii musaafir hai.n yahaa.nek hii sab kaa qabiila vahii paikar vahii gil
ik umr ke baa'd tum mile hoai mere vatan ke KHush-navaa.ohar hijr kaa din thaa hashr kaa dindozaKH the firaaq ke alaa.oro.uu.n ki ha.nsuu.n samajh na aa.ehaatho.n me.n hai.n phuul dil me.n ghaa.otum aa.e to saath hii tumhaarebichh.De hu.e yaar yaad aa.eik zaKHm pe tum ne haath rakkhaaaur mujh ko hazaar yaad aa.evo saare rafiiq paa-ba-jaulaa.nsab kushta-e-daar yaad aa.eham sab kaa hai ek hii qabiilaik dasht ke saare ham-safar hai.nkuchh vo hai.n jo duusro.n kii KHaatiraashufta-nasiib o dar-ba-dar hai.nkuchh vo hai.n jo KHil.at-o-qabaa seaivaan-e-shahii me.n mo'tabar hai.nsuqraat o masiih ke fasaanetum bhii to bahut sunaa rahe themansuur o husain se aqiidattum bhii to bahut jataa rahe thekahte the sadaaqate.n amar hai.nauro.n ko yahii bataa rahe theaur ab jo hai.n jaa-ba-jaa saliibe.ntum baa.nsuriyaa.n bajaa rahe hoaur ab jo hai karbalaa kaa naqshatum mad.h-e-yaziid gaa rahe hojab sach tah-e-teG ho rahaa haitum sach se nazar churaa rahe hojii chaahtaa hai ki tum se puuchhuu.nkyaa raaz is ijtinaab me.n haitum itne kaThor to nahii.n theye be-hisii kisii hisaab me.n haitum chup ho to kis tarah se chup hojab KHalq-e-KHudaa azaab me.n haisocho to tumhe.n milaa bhii kyaa haiik luqma-e-tar qalam kii qiimatGairat ko faroKHt karne vaaloik kaasa-e-zar qalam kii qiimatpindaar ke taajiro bataa.odarbaan kaa dar qalam kii qiimatnaadaa.n to nahii.n ho tum ki samjhuu.nGaflat se ye zahr gholte hothaame hu.e maslahat kii miizaanhar sher kaa vazn taulte hoaise me.n sukuut, chashm-poshiiaisaa hai ki jhuuT bolte hoik umr se adl o sidq kii laashGaasib kii saliib par ja.Dii haiis vaqt bhii tum Gazal-saraa hojab zulm kii har gha.Dii ka.Dii haija.ngal pe lapak rahe hai.n sholetaa.uus ko raqs kii pa.Dii haihai sab ko aziiz kuu-e-jaanaa.nis raah me.n sab jiye mare hai.nhaa.n merii bayaaz-e-sher me.n bhiibarbaadi-e-dil ke marsiye hai.nmai.n ne bhii kiyaa hai TuuT kar ishqaur ek nahii.n ka.ii kiye hai.nlekin Gam-e-aashiqii nahii.n haiaisaa jo subuk-sarii sikhaa.eye Gam to vo KHush-ma.aal Gam haijo koh se juu-e-shiir laa.eteshe kaa hunar qalam ko baKHshejo qais ko kohkan banaa.eai hiila-garaan-e-shahr-e-shiirii.naayaa huu.n pahaa.D kaaT kar mai.nhai be-vatanii gavaah meriihar-chand phiraa huu.n dar-ba-dar mai.nbechaa na Guruur-e-nai-navaaziiaisaa bhii na thaa subuk hunar me.ntum bhii kabhii ham-navaa the merephir aaj tumhe.n ye kyaa hu.aa haimiTTii ke vaqaar ko na bechoye ahd-e-sitam jihaad kaa haidaryuuza-garii ke maqbaro.n sezindaa.n kii fasiil KHushnumaa haikab ek hii rut rahii hameshaye zulm kii fasl bhii kaTegiijab harf kahegaa qum-be-izniimartii hu.ii KHaak jii uThegiilailaa-e-vatan ke pairahan me.nbaaruud kii buu nahii.n rahegiiphir baa.ndhe.nge abru.o.n ke dohephir mad.h-e-ruKH-o-dahan kahe.ngeThahraa.e.nge un labo.n ko matlaajaanaa.n ke liye suKHan kahe.ngeafsaana-e-yaar o qissa-e-dilphir anjuman anjuman kahe.nge
janam kaa andhaajo soch aur sach ke raasto.n parkabhii kabhii ko.ii KHvaab dekheto KHvaab me.n bhiiazaab dekheye shaahraah-e-hayat jis parhazaar-haa qaafile ravaa.n hai.nsabhii kii aa.nkhe.nhar ek kaa dilsabhii ke rastesabhii kii manzilisii hujuum-e-kashaa.n-kashaa.n me.ntamaam chehro.n kii daastaa.n me.nna naam meraana zaat meriimiraa qabiilasafed chha.Diyaa.n
mai.n laakh buzdil sahii magar mai.n usii qabiile kaa aadmii huu.n ki jis ke beTo.n nejo kahaa us pe jaan de diimai.n jaantaa thaa mire qabiile kii KHema-gaahe.n jalaa.ii jaa.e.ngii aur tamaashaa.iiraqs-e-sho.ala-fishaa.n par israar hii kare.ngemai.n jaantaa thaa miraa qabiila buriida aur be-ridaa saro.n kii gavaahiyaa.nle ke aa.egaa phir bhii log inkaar hii kare.ngeso mai.n kamii.n-gaah-e-aafiyat me.n chalaa gayaa thaaso mai.n amaa.n-gaah-e-maslahat me.n chalaa gayaa thaaaur ab mujhe mere shahsavaaro.n kaa KHuun aavaaz de rahaa haito nazr-e-sar le ke aa gayaa huu.ntabaah hone ko ek ghar le ke aa gayaa huu.nmai.n laakh buzdil sahii magar mai.n usii qabiile kaa aadmii huu.n!
mai.n aurat huu.n taKHliiq-e-jahaa.n kaa ik sabab bhii huu.nmai.n bilkul be-talab huu.n aur zamaane kii talab bhii huu.nmai.n devii pyaar kii huu.n husn hii meraa vasiila haiKHuluus-o-saadgii zevar vafaa meraa qabiila haihunar jiine kaa baKHshaa ilm kaa parcham bhii lahraayaapale hai.n god me.n merii jinho.n ne martaba paayaavafaadaarii mohabbat hii faqat meraa havaala haimirii aqdaar kaa ham-sar faqat koh-e-himaala haipa.Dhaa hai 'miir'-o-'Gaalib' 'ismat'-o-'manto' ko bhii mai.n neye rango.n me.n basii har daastaa.n goyaa likhii mai.n nebahut farsuuda rasmo.n par jalaa.ii bhii ga.ii huu.n mai.nqadaamat ke tariiqo.n se sataa.ii bhii ga.ii huu.n mai.ntijaarat bhii mirii hotii rahii tohmat sahii mai.n neguzaarii hai bahut marmar ke goyaa zindagii mai.n neanaa kii bhe.nT cha.Dh kar aag ke sho.alo.n me.n jaltii huu.nzamii.n me.n dafn ho jaatii huu.n aur be-maut martii huu.nbyaahii jaatii huu.n qur.aan se bhii mai.n yahaa.n ab takki zinda hai yahaa.n par kaarobaarii kaa jahaa.n ab takbahut hii past huu.n aur laa.eq-e-dushnaam huu.n mai.n hiizinaa bil-jabr me.n bhii morid-e-ilzaam huu.n mai.n hiimai.n insaa.n huu.n farishta aur valii mai.n bhii nahii.n ko.iiKHataa kartii huu.n gangaa kii dhulii mai.n bhii nahii.n ko.iiki sabr-o-shukr se maamuur hai iisaar se bhii dilmagar aaKHir ko thak jaataa hai yuu.n aazaar se bhii dilnahii.n darkaar ko.ii martaba daulat na zar mujh koKHudaavandaa mirii qurbaaniyo.n kaa de ajr mujh ko
mai.n huu.n yaa tum hoye sach haiapne andar ek qabiila har ko.ii haijis ko shaayadraat ko sahraa ke rone kaa raaz pata haiaisaa ronaaduur kahii.n jaise kuchh bachchesadiyo.n pahle ham ne jin ko qatl kiyaa hoaur vo apne qatl se pahlero.e chale jaate ho.nyaa phirye un ruuho.n kaa ronaa hojo insaanii ruup me.n zaahir ho na sakii huu.nret ke Tiilo.n ko chhuu chhuu karmisl-e-havaaro.e jaatii huu.naur qabiile ke baashindehamapne KHemo.n me.n leTeapne aap se baate.n karteraat ko sahraa kii tanhaa.ii kaa ronaa sunte rahte hai.nsaara.ngii kii sur kii tarah sisaktaa sahraaham sab me.n hailekin phir bhiimeraa ronaateraa ronaadukh se KHaalii KHaalii kyuu.n hai
ajiib log thesuuraj kii raushnii ke taleKHud apne-aap ko pahchaan bhii rahe theaurlabo.n pe da.avaa-e-inkaar-e-aaftaab bhii thaavo jaante the ki suuraj kii raushnii ke sivaako.ii charaaG mayassar nahii.n hai aisaa jotalaash-e-asl-e-haqiiqat ke ziine cha.Dhte hu.ebe-imtiyaazii me.n is aaftaab jaisaa hoajiib log thesuuraj ke nuur-KHaane me.nkiraa.e-daar bhii the aur sar-niguu.n nahii.n thekisii sharaar-e-munaafiq ne un ke siino.n me.nzabaa.n-daraazii kii us aag ko havaa dii thiijise qabiila-e-Gaflat ke KHushk logo.n neanaa ke KHabt pe aflaak se nikaale hu.ekisii darinda-e-be-shakl kii tasallii parbaraa.e-nashsha-e-haivaaniyat uThaa liyaa thaamagar ye kyaaki phir aaj is hamaarii bastii me.najiib log hai.nsuuraj kii raushnii ke taleKHud apne-aap ko pahchaan bhii rahe hai.naurlabo.n pe da.avaa-e-inkaar-e-aaftaab bhii haiajiib log hai.nsuuraj ke nuur-KHaane me.nkiraa.e-daar bhii hai.naur sar-niguu.n nahii.n hai.n
ba.Daa ajiib thaa manzarajiib raat thii vohavaa.e.n sahmii hu.ii thii.n charaaG chup chup thehar ek samt vahii be-karaa.n sii KHaamoshiifazaa udaasvahii niim-jaa.n sii KHaamoshiisukuut-e-shab me.n bhii aahaT thii inqilaabo.n kiisajii thii bazm vahaa.n aasmaa.n-janaabo.n kiibahut sii baate.n thii.n aur ko.ii baat thii hii nahii.nphir us ke baa'd ko.ii raatraat thii hii nahii.nvo raat jab bhii kabhii yaad aane lagtii haito raushnii hame.n rasta dikhaane lagtii haius ek shab me.n murattab hu.aa nisaab-e-vafaalikhii ga.ii thii usii raat me.n kitaab-e-vafaaus ek raat ko tahriir ko.ii kaise kareKHayaal-o-fikr ko zanjiir ko.ii kaise karelahuu ke KHvaab kii ta.abiir ko.ii kaise karesafar thaa kaisaa vo kaisii masaafat-e-shab thiiko.ii bataa.e tokaisii vo saa.at-e-shab thiimutaalibaat-e-sharii.at bahut ziyaada theaur us ke paas faqat ek shab kii mohlat thiius ek shab me.n use kitne kaam karne theuse sikhaanaa thaa insaa.n ko bandagii kaa shu.uurtilaavato.n kaa qariina suKHanvarii kaa shu.uurvo ek raat thii aisiiki qadr-o-israa nenazar jo apnii jamaa.ii to phir haTaa.ii nahii.nvo regzaar ke siine pe nasb ik KHemalahuu se sabr kii taariiKH likhne vaalaa thaabujhaa bujhaa saa kha.Daa thaa vo paasbaan-e-charaaGmagar daruun me.n is ke bahut ujaalaa thaavo jaantaa thaa vafaadaar hai.n sabhii naasirvo sar kaTaa.e.nge lekin na saath chho.De.ngecharaag-e-KHema bujhaane kaa ye na thaa maqsadki us ko yaavar-e-ansaar ko parakhnaa thaavo raushnii me.n unhe.n laanaa chaahtaa thaa faqatsamajh rahaa thaa vo qudrat ke har ishaare kosadaa.e.n detii rahii us ko daulat-e-duniyaakahaa.n vo sabr kahaa.n jabr-o-shaukat-e-duniyaamagar vo ek sadaaaasmaa.n se aatii hu.iibataa rahii thiiki kyaa aasmaan chaahtaa haiKHudaa-e-paak ko.ii imtihaan chaahtaa haiisii liye ko.ii sahraa kii samt ba.Dhtaa rahaalahuu lahuu kisii dariyaa kii samt ba.Dhtaa rahaavo raushnii kii alaamatvo baaniyaan-e-charaaGsamajh rahaa thaa bujhegaa ye KHaandaan-e-charaaGajiib log the vo KHaandaan-e-nuur ke logthe sab ke ek se lahjekalaam yaksaa.n theKHilaaf-e-zulm sabhii ke payaam yaksaa.n thebahut hii Gaur se har chehra pa.Dh rahe the husainki aane vaalaa har ik lamha pa.Dh rahe the husainvo ek raat bhii dekho guzar hii jaatii haisavere ma.arka hotaa hai haqq-o-baatil me.najiib josh hai jazba hai jaa.n-nisaaro.n me.nvaqaar-e-tishna-labii ko gale lagaa.e hu.eguzar rahaa hai qabiila lahuu ke dariyaa seba-vaqt-e-asr azaa.n guu.njtii hai sahraa me.nnamaaz KHud hii musallaa bichhaane aa.ii haisar-e-husain adaa kar rahaa hai sajda-e-shukrguluu-e-KHushk pe KHanjar kii dhaar chaltii haipa.Dhaa thaa jis ne kabhiikullu man alaihaa faanlahuu se us ne likhaalaa-ilaaha il-lallaah
yuu.n to har shaa.ir kii fitrat me.n hai kuchh diivaangiiGair zimmedaariyaa.n hai.n us kii juzv-e-zindagiiarz-e-sheristaan me.n ye shaa.iraana KHaasiyatcancer kii tarah se jab phailne ba.Dhne lagiimuKHtalif school jab ja.ngii akhaa.De ban ga.efikr-o-fan me.n jab niraajii kaifiyat paidaa hu.iimumlikat me.n zaabta ko.ii na jab baaqii rahaahar jagah qaanuun kii hone lagii be-hurmatiiek ik tuk-band ustaado.n ke mu.nh aane lagaalikh ke sub.h-o-shaam nazme.n be-tukii se be-tukiikuu.De-karkaT kii tarah har suu nazar aane lage.nDheriyaa.n hii Dheriyaa.n diivaan-e-KHaas-o-aam kiihad to ye hai ahl-e-machhlii-shahr bhii karne lagemaahii-giirii chho.D kar din raat fikr-e-shaa.iriijin se bohraan-e-Gizaa state me.n paidaa hu.aaqaht-e-maahii se ba.Dhii har chaar jaanib bhuk-mariichand qaumii dard rakhne vaale ahlurraa.e seqaum kii naa-gufta-ba-haalat na jab dekhii ga.iiek dastuur-ul-amal tayyaar karne ke liyeik kametii 'amn'-saahab kii sadaarat me.n baniitaaki is par chal ke nazm-o-zabt aa.e qaum me.ntaaki kuchh to mo.atadil ho shaa.iro.n kii zindagiiduusre kaamo.n me.n bhii qaumii energy sarf hotuk faroshii ke alaava bhii to maqsad ho ko.iidaur-e-'aflaatuun'-o-'tulsii-das' se 'iqbaal' takhistory kal shaa.iro.n kii is kametii ne pa.Dhiiduusre mulko.n ke aa.iin-o-zavaabit me.n jahaa.njo munaasib baat thii vo chhaa.nT kar rakh lii ga.iiraat din kii saKHt mehnat aur jaa.n-sozii ke ba.adis kametii ne report apnii bil-aaKHir pesh kiiKHaaka-e-dastuur-e-qaumii ya.anii vo she.rii report'amn'-saahab ne raqam kii thii ba-sinf-e-masnaviiis pe raa.e-aamma ma.aluum karne ke liyeshaa.iro.n ko naql dastaavez kii bhejii ga.iimuKHtalif ahl-e-suKHan ne apne apne taur parraa.e dii dastuur me.n tarmiim yaa tansiiKH kiimasnavii me.n KHaamiyaa.n Dhuu.nDe.n zabaa.n kii jaa-ba-jaaek shaa.ir ne jo the shaagird-e-nuuh-naarviisaik.Do.n misre badal kar rakh diye kuchh is tarahnafs-e-mazmuu.n nazr ho kar rah gayaa islaah kiiun kaa kahnaa thaa ki bandish chust honii chaahiyesher ke andar balaa se ho na fikrii taazgiina.at-go hazraat kaa kahnaa thaa shaa.ir ke liyeshart avval hai ki ho jaa.e vo kaTTar maz.habiiaaqibat kii baat soche aur munaajaate.n likheus ke jan me.n kaar-aamad shaa.irii hai bas vahiiaise shaa.ir jo ki haamii the taraqqii-vaad kein kaa kahnaa thaa ki shaa.ir kaa suKHan ho maqsadiiya.anii pahle se muqarrar-karda mauzuaat parmumlikat me.n aam kii jaa.e shu.uurii shaa.iriiKHvaah sheristaan me.n is kaa na ho ko.ii vajuudlaaziman dikhlaa.ii jaa.e kashmakash tabqaat kiiik qabiila jo muKHaalif thaa shu.uurii fikr kaathaa taraqqii-vaadiyo.n se jis ko buGz-e-lillaahiiis qabiile kaa ye kahnaa thaa ki shaa.ir kaa kalaamlaaziman ho ik mu.amma qaid-e-ma.anii se bariijis ko shaa.ir KHud na samjhe nazm kar lene ke ba.adjis ko pa.Dh kar gum ho aql-e-maulvii-e-ma.anaviidekh kar dastuur me.n nazm-o-nasq kaa tazkirasaKHt barham ho ga.e kul shaa.iraan-e-naksaliiin kaa nukta thaa ki shaa.ir fitratan aazaad haius pe lag saktii nahii.n paabandiyaa.n tanziim kiizindagii me.n zaabta laane ke bilkul the KHilaafsaath naksal-vaadiyo.n ke duusre hazraat bhiimuKHtasar ye hai ki sab ne rad kiyaa dastuur kosaarii mehnat 'amn'-saahab kii akaarat ho ga.iidekh kar naa-aaqibat andeshii-e-ahl-e-suKHanis tarah goyaa hu.ii un kii mohazzab KHaamushiime.nDako.n ko taulnaa aasaa.n nahii.n hai jis tarahshaa.iro.n ko bhii munazzam karnaa mushkil hai yuu.nhii
teraa ko.ii din nahii.nteraa ko.ii ruup nahii.nabuu-suifyaan kii hi.ndais ra.ng-manch me.nterii ko.ii jagah nahii.najdaad ke intiqaam me.ntuu kahaa.n hainaslo.n kii KHuun-aashaam ja.ng me.ntuu jaltii rahiikaleja chabaane se husain kaa KHuun bahaane takzamiin-o-aasmaan tujhe malaamat karte rahebad-baKHt-o-shikast-KHurdahi.nda bint-e-atbateraa qabiila terii vahshat se pahchaanaa gayaateraa paagal-panterii vaj.h-e-shohrat haikisii faisle kisii raa.e me.n teraa ko.ii havaala nahii.ntujhe vahshii banaane vaale tere adh mare aslaafterii kokh zahr-aaluud kar ketujhe be vajuud kar kezamiin par musallat rahe aaseb ban karbad-baKHt hi.ndajo itnaa shu.uur tujhe hotaato samajh paatiijabrii nizaam raa.ij karne ke liyehar baar kokh barbaad kii ga.ii
mai.n aur aadamvahaa.n puraane pe.D ke niicheroz ikaTThaa hote thevo lak.Dii sepahiye aur shahtiir banaayaa kartaa thaamai.n pe.Do.n aur phuulo.n sera.ng kashiid kiyaa kartii thiiphir ham dono.n ne mil karik pesha iijaad kiyaaaur ek qabiila janam diyaajab se ab takham ko ek nasab-naame kii zaruurat hai
sadaa se baat karoyahii ki jin ko sar-e-dasht-o-bar pukaaraa gayaavo sar-kashiida qabaa.il kii sar-phirii aulaadkis zamii.n me.n khapiikis falak kaa rizq hu.ii
sahiife utarne se pahle aur nabiyo.n ke nuzuul ke ba.adhaath se gire hu.e nivaalo.n kii tarah hame.n kutto.n ke aage Daal diyaa jaataa rahaais darmiyaan, aa.nkho.n ke niiche ham ne apne haath rakheki vo paa.o.n par na gir pa.De.n aur kaa.nch kaa e'tibaar jaataa rahemujhe aag se likh aur paanii se ugaamiTTii ke saath insaaf mai.n KHud karuu.ngiivo to qadam qadam kaa.nTo.n kii baa.D tak KHud chal kar ga.eaag pahnaavaa karte the jo logaur jo akelaa thaa us ne sargoshii iijaad kiiaur jis ne qabiila chaahaa us ne chiiKHe.n banaa.ii.n aur raat ke parindo.n me.n baa.nT dii.npardesii hu.e haath kuu.nje.n paka.Dte rah ga.ehavaa kaa bichhaunaa judaa.ii kii u.ngliyo.n ne bunaa aur mohabbat karne vaale dil ne sameTaakyaa paa.nv juuto.n ke liye bane the yaa manzilo.n ke liye?phir thakan ne kis ke paa.nv to.Deaur kaun asiir kiyaa ki us se juuto.n kii qiimat puuchhe aur insaan ke bhaav bataa.ephir e'tibaar ne kis ke TaKHne kaaTe ki vo aasmaan samet zamiin par aa raheKHudaavand! bhiil qabiile ke log gosht khaanaa kab siikhejab un ke mu.nh ko KHuun aur dil ko KHauf-e-KHudaa lag gayaaphir is ke baa'd vo sar na uThaa sakeaazaadii sirf ek ThanDii saa.ns thii maqduur-bharaur Gulaamii! umr bhar kii roTiyaa.n!!
jis ke shero.n kii la.Diyaa.n...mohabbat ke maathe kaa si.nghaar thii.njis ke be-taab jazbo.n kii miiThii kasaklutf kii daastaano.n kaa unvaan thiijo gulaabii ruto.n kaa mahaktaa hu.aa surKH paimaan thiiaaj KHaamosh hai...nafrato.n ke alaav se uThtaa dhu.aa.nzard shaamo.n ke is maatamii ahd ko...de gayaa hai sulagte lahuu kii humakphuul kaa ishq pesha gulaabii badanqabr ke zard katbe kaa darbaan haititliyaa.n mar chukii.n!chaa.nd KHaamosh hai...jugnu.o.n kaa qabiila siyah-posh hainazm kii shaa.era!marsiye maa.ngtii, be-gunaahii kaa taaza lahuu thuuktiiu.Dte baaruud ke zahr se khaa.nstiihaa.nptii-kaa.nptii nazm kaise likhe
ye adaa.e.n raqs ke ha.ngaam kitnii raqs-KHezvo javaanaan-e-qabiila hosh se baahar chalekaakulo.n ke sumbulistaa.n aarizo.n par aks-rezjaise saahil kaa nazaaraa aab-e-dariyaa par chaleik ta.assur hai ki raqsaa.n ho rahaa hai har tarafsham.e.n raushan hai.n charaaGaa.n ho rahaa hai har tarafaag ke atraaf raushan jaise ik faanuus-e-raqsraqs kartii la.Dkiyaa.n kuchh aag ke atraaf yuu.njaise sat.h-e-aab par mahtaab ke haale kaa aksjis ko jhuule me.n jhulaa.e.n mauj-haa-e-siimguu.nmil ke jab jhuktii hai.n lagtii hai.n kalii mu.nh-band siiaur jab tantii hai.n kis darja bhalii dil-band siiik taraf vo surKH mish.al haath me.n le kar chalekuchh hasii.n kuchh naaznii.n kuchh sarv-qad kuchh siim-tanjaise kuchh phuulo.n ke naazuk narm-rau lashkar chalenarm-raftaarii me.n dajla ke tamavvuj kii phabanjaise sahraa.o.n ke aahuu mahv-e-gul-gasht-e-chamanye hasii.n aahuu-qadam aahuu-nafas aahuu-mizaajle rahe hai.n nau-javaanan-e-qabiila se KHiraajjalva-pairaa jalva-saamaa.n kitne dilkash maahtaabkitne afsaano.n ke paikar kitne ra.ng-o-buu ke KHvaabvo jabiino.n ke araq me.n jaise sho.alo.n ke saraabjaise sandal me.n sharaaro.n ke tabassum mahv-e-KHvaabsho.ala-afshaa.n kaakulo.n me.n surKH phuulo.n ke charaaGjaise taariikii me.n mil jaa.e.n ujaale ke suraaGaarizo.n kii chaa.ndnii phailii hu.ii sii har tarafhar taraf hai ek tarkash ek aahuu har qadamkar rahe hai.n raqs daf par mahvishaan-e-jalva-taabhar taraf bikhre hu.e hai.n vaadi-e-dajla ke KHvaabkuchh ka.nval kuchh nastaran kuchh sumbulistaa.n kuchh gulaab
zamaa.n kii gardishKHutuut jitne bhii amn-o-ulfat ke tum ne ham ko diye hai.n ab takzaraa ruko tohame.n bataa.otumhaare lafzo.n kii aastiino.n me.n kyaa chhupaa haivo koh-e-kaafii qabiila jis nena.e zamaano.n ko surKH chaadar se Dhaa.np lene kaahukm saadir kiyaa hai phir sevo nochtaa hai un aa.ino.n koki jin pe suuraj kaa aks chhalke to raushnii hoKHudaa ke ghar me.nKHaraab haalo.n ne dars dene kii Thaan lii haihamaare aa.nsuu bhii kuchh KHasaaro.n ko jazb kar kehazaaro.n sajdo.n pe jam ga.e hai.nhar ik galii me.n hai shor itnaaazaane.n ghar tak pahu.nch na paa.e.nhamaarii tahziib aur rivaayat mirii pa.Dii haihar ek gumbad pe sard lahje saje hu.e hai.nhai darj un parye log saare jahannamii hai.nhamaare bachche namaaz pa.Dhne se Dar rahe hai.nnigaahe.n sab kii tamaash-biino.n ne baa.nT lii hai.nhiraa se aatii hu.ii havaa.o.n ko bosa dene kii aarzuu me.nbahut se rasto.n ne dhuul phuu.nkiibahut se gho.Do.n ne jaa.n ga.nvaa diizamaa.n kii gardishhai yaad ham koarab kii miTTii pe dhuup barsii to aag bha.Dkiifalak se utrii thii.n aabshaare.nbahut se fitne bhii jal bujhe thevahii dhu.aa.n phir se uTh rahaa haizamii.n pe jin ne baqaa kaa parcham uThaa rakhaa haishariir bachche hai.n kuufiyo.n kezamaa.n kii gardishzaraa suno tobahut hai.n tuufaa.n zamii.n hai banjarmirii sadaa ke nahiif sho.ale gavaah rahnaagavaah rahnaacharaaG ugne ke din nahii.n hai.n charaaG ugne ke din nahii.n hai.n
ruko mohabbat ke KHaanvaade ke shaahzaaderuko kahaa.n ujlato.n me.n jaane.n luTaa rahe hokahaa.n lahuu se charaaG raushan kiye kha.De hoye kaise logo.n se ‘ahd-e-ulfat nibhaa rahe hoye log vo hai.n jo tere zaKHmo.n ko ghaav kar kehavaa.e.n de.nge sharar ko KHud hii alaav kar ketirii vafaa kaa junuu.n salaamat ho taa-qayaamatye log lekin vafaa.e.n beche.nge bhaav kar kesuno mohabbat ke KHaanvaade ke shaahzaadeye dhyaan rakhnaa ki tum se pahle hame.n junuu.n thaahame.n junuu.n thaa ki is qabiile me.n jaa.n luTaa.e.nhame.n junuu.n thaa ki vahshato.n se sukuu.n banaa.e.nvo ham the sahraa ko jo samundar banaa rahe thevo ham the jo pattharo.n ko dha.Dkan sikhaa rahe themagar ye kuufa-mizaaj logo.n kii 'aadate.n hai.nimaam un kii vafaa kii KHaatir 'alam uThaa.eimaam apne lahuu se sahraa me.n rang laa.eto ye qabiila yaziid kii saf me.n jaa rukegaatumhii Galat the tumhii Galat ho tumhe.n kahegaasuno mohabbat ke KHaanvaade ke shaahzaadeye bevafaa.ii kaa silsila hai nahii.n rukegaa
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
log aurat kii har ik chiiKH ko naGma samjhevo qabiilo.n kaa zamaana ho ki shahro.n kaa rivaaj
ho na ho apne qabiile kaa bhii ko.ii lashkarmuntazir hogaa a.ndhere kii fasiilo.n ke udharun ko sholo.n ke rajaz apnaa pataa to de.ngeKHair ham tak vo na pahu.nche bhii sadaa to de.ngeduur kitnii hai abhii sub.h bataa to de.nge
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books