aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "risaa"
pahle bhii to guzre hai.ndaur naa-rasaa.ii ke ''be-riyaa'' KHudaa.ii kephir bhii ye samajhte ho hech aarzuu-mandiiye shab-e-zabaa.n-bandii hai rah-e-KHudaa-vandiitum magar ye kyaa jaanolab agar nahii.n hilte haath jaag uThte hai.nhaath jaag uThte hai.n raah kaa nishaa.n ban karnuur kii zabaa.n ban karhaath bol uThte hai.n sub.h kii azaa.n ban karraushnii se Darte horaushnii to tum bhii ho raushnii to ham bhii hai.nraushnii se Darte hoshahr kii fasiilo.n pardev kaa jo saaya thaa paak ho gayaa aaKHirraat kaa libaada bhiichaak ho gayaa aaKHir KHaak ho gayaa aaKHirizhdihaam-e-insaa.n se fard kii navaa aa.iizaat kii sadaa aa.iiraah-e-shauq me.n jaise raah-rau kaa KHuu.n lapkeik nayaa junuu.n lapkeaadmii chhalak uTTheaadmii ha.nse dekho shahr phir base dekhotum abhii se Darte ho?haa.n abhii to tum bhii hohaa.n abhii to ham bhii hai.ntum abhii se Darte ho
har shaam yahaa.n shaam-e-viiraa.n aaseb-zada raste galiyaa.njis shahr kii dhun me.n nikle the vo shahr dil-e-barbaad kahaa.nsahraa ko chaman ban ko gulshan baadal ko ridaa kyaa likhnaazulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko KHudaa kyaa likhnaa
un hasiinaa.o.n ke naamjin kii aa.nkho.n ke gulchilmano.n aur dariicho.n kii belo.n pe be-kaar khil khil kemurjhaa ga.e hai.nun biyaahtaao.n ke naamjin ke badanbe mohabbat riyaa-kaar sejo.n pe saj saj ke uktaa ga.e hai.nbevaa.o.n ke naamkaT.Diyo.n aur galiyo.n mohallo.n ke naamjin kii naapaak KHaashaak se chaa.nd raato.nko aa aa ke kartaa hai aksar vazuujin ke saayo.n me.n kartii hai aah-o-bukaaaa.nchalo.n kii hinaachuu.Diyo.n kii khanakkaakulo.n kii mahakaarzuu-mand siino.n kii apne pasiine me.n julne kii buu
jin kaa dii.n pairvi-e-kizb-o-riyaa hai un kohimmat-e-kufr mile jur.at-e-tahqiiq milejin ke sar muntazir-e-teG-e-jafaa hai.n un kodast-e-qaatil ko jhaTak dene kii taufiiq mile
har raah me.n Tapkaa haiKHuunaaba baham jo thaarasto.n me.n luTaayaa haivo besh ki kam jo thaanai ranj-e-shikast-e-dilnai jaan kaa andesha.kuchh ahl-e-riyaa bhii tohamraah hamaare therahrav the ki rahzan thejo ruup bhii dhaare the kuchh sahl-talab bhii thevo bhii hame.n pyaare theapne the ki begaaneham KHush the ki saare the
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
phir vahii KHauf kii diivaar tazabzub kii fazaaphir vahii aam hu.ii.n ahl-e-riyaa kii baate.nna.ara-e-hubb-e-vatan maal-e-tijaarat kii tarahjins-e-arzaa.n kii tarah diin-e-KHudaa kii baate.n
ma.iishat duusro.n ke haath me.n hai mere qabze me.njuz ik zehn-e-rasaa kuchh bhii nahii.n phir bhii magar mujh koKHarosh-e-umr ke itmaam tak ik baar uThaanaa haianaasir muntashir ho jaane nabze.n Duub jaane taknavaa-e-sub.h ho yaa naala-e-shab kuchh bhii gaanaa haizafar-mando.n ke aage rizq kii tahsiil kii KHaatirkabhii apnaa hii naGma un kaa kah kar muskuraanaa haivo KHaama-sozii shab-bedaariyo.n kaa jo natiija house ik khoTe sikke kii tarah sab ko dikhaanaa haikabhii jab sochtaa huu.n apne baare me.n to kahtaa huu.nki tuu ik aabla hai jis ko aaKHir phuuT jaanaa haiGaraz gardaa.n huu.n baad-e-sub.h-gaahii kii tarah lekinsahar kii aarzuu me.n shab kaa daaman thaamtaa huu.n jabye la.Dkaa puuchhtaa hai aKHtar-ul-iimaan tum hii hoye la.Dkaa puuchhtaa hai jab to mai.n jhallaa ke kahtaa huu.nvo aashufta-mizaaj andoh-parvar iztiraab-aasaajise tum puuchhte rahte ho kab kaa mar chukaa zaalimuse KHud apne haatho.n se kafan de kar farebo.n kaaisii kii aarzuu.o.n kii lahad me.n phe.nk aayaa huu.nmai.n us la.Dke se kahtaa huu.n vo sho.ala mar chukaa jis nekabhii chaahaa thaa ik KHaashaak-e-aalam phuu.nk Daalegaaye la.Dkaa muskuraataa hai ye aahista se kahtaa haiye kizb-o-iftiraa hai jhuuT hai dekho mai.n zinda huu.n
mirii nazro.n me.naa.inda ke afsos ke saa.e larzaa.n hai.nmujhe qaid-e-KHauf se rihaa karomai.n apne dard kii na.ngii dhuup seghanii tasallii maa.ng maa.ng ke haar gayaaai dard miraa faisla karomirii KHaalii aa.nkhe.nmanzar manzar bhaTak rahiila.Dkha.Daa rahii hai.ndayaa karomujhe KHvaabo.n kii baisaakhii do
khol aa.nkh zamii.n dekh falak dekh fazaa dekh!mashriq se ubharte hu.e suuraj ko zaraa dekh!is jalva-e-be-parda ko parda me.n chhupaa dekh!ayyaam-e-judaa.ii ke sitam dekh jafaa dekh!betaab na ho maarka-e-biim-o-rajaa dekh!hai.n tere tasarruf me.n ye baadal ye ghaTaa.e.nye gumbad-e-aflaak ye KHaamosh fazaa.e.nye koh ye sahraa ye samundar ye havaa.e.nthii.n pesh-e-nazar kal to farishto.n kii adaa.e.naa.iina-e-ayyaam me.n aaj apnii adaa dekh!samjhegaa zamaana tirii aa.nkho.n ke ishaare!dekhe.nge tujhe duur se garduu.n ke sitaare!naapaid tire bahr-e-taKHayyul ke kinaarepahu.nche.nge falak tak tirii aaho.n ke sharaaretaamiir-e-KHudii kar asar-e-aah-e-rasaa dekhKHurshiid-e-jahaa.n-taab kii zau tere sharar me.naabaad hai ik taaza jahaa.n tere hunar me.njachte nahii.n baKHshe hu.e firdaus nazar me.njannat tirii pinhaa.n hai tire KHuun-e-jigar me.nai paikar-e-gul koshish-e-paiham kii jazaa dekh!naala.nda tire uud kaa har taar azal setuu jins-e-mohabbat kaa KHariidaar azal setuu piir-e-sanam-KHaana-e-asraar azal semehnat-kash o KHuu.n-rez o kam-aazaar azal sehai raakib-e-taqdiir-e-jahaa.n terii razaa dekh!
ret se but na banaa ai mire achchhe fankaarek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.nmai.n tire saamne ambaar lagaa duu.n lekinkaun se rang kaa patthar tire kaam aa.egaasurKH patthar jise dil kahtii hai be-dil duniyaayaa vo pathraa.ii hu.ii aa.nkh kaa niilaa pattharjis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dorekyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogiijis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii haiik vo patthar hai jo kahlaataa hai tahziib-e-safedus ke marmar me.n siyah KHuun jhalak jaataa haiek insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magarhaath me.n tesha-e-zar ho to vo haath aataa haijitne meyaar hai.n is daur ke sab patthar hai.njitnii aqdaar hai.n is daur kii sab patthar hai.nsabza o gul bhii havaa aur fazaa bhii pattharmeraa ilhaam tiraa zehn-e-rasaa bhii pattharis zamaane me.n to har fan kaa nishaa.n patthar haihaath patthar hai.n tire merii zabaa.n patthar hairet se but na banaa ai mire achchhe fankaar
abhii ham KHuub-suurat hai.nhamaare jism auraaq-e-KHizaanii ho ga.e hai.naur ridaa-e-zaKHm se aaraasta hai.nphir bhii dekho tohamaarii KHush-numaa.ii par ko.ii harfaur kashiida-qaamtii me.n KHam nahii.n aayaahamaare ho.nT zahriilii ruto.n se kaasnii hai.naur chehre ratjago.n kii sho.alagii seaabnuusii ho chuke hai.naur zaKHmii KHvaabnaadiida jaziiro.n kii zamii.n paris tarah bikhre pa.De hai.njis tarah tuufaa.n-zada kashtii ke Tuk.Do.n kosamundar saahilo.n par phe.nk detaa hailahuu kii baarishe.nyaa KHud-kushii kii KHvaahishe.n thii.nis aziyyat ke safar me.nkaun saa mausam nahii.n aayaamagar aa.nkho.n me.n namlahje me.n samho.nTo.n pe ko.ii naGma-e-maatam nahii.n aayaaabhii tak dil hamaareKHanda-e-tiflaa.n kii suurat be-kuduurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nzamaane ho ga.eham kuu-e-jaanaa.n chho.D aa.e themagar ab bhiibahut se aashnaa naa-aashnaa hamdamaur un kii yaad ke maanuus qaasidaur un kii chaahato.n ke hijr-naameduur deso.n se hamaarii or aate hai.ngulaabii mausamo.n kii dhuupjab naurasta sabze par qadam rakhtii hu.iima.muura-e-tan me.n dar aatii haituu barfaanii badan me.njuu-e-KHuu.n aahistagii se gungunaatii haiudaasii kaa parindachup ke jangal me.nsar-e-shaaKH-e-nihaal-e-Gam chahaktaa haiko.ii bhuulaa hu.aa bisraa hu.aa dukhaabla bin kar Tapaktaa haito yuu.n lagtaa haijaise harf apnezinda aavaazo.n kii suurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.nhamaarii KHush-numaa.ii harf-e-haq kii ruu-numaa.ii haiusii KHaatir to ham aashufta-jaa.nushshaaq kii yaado.n me.n rahte hai.nki jo un par guzartii hai vo kahte hai.nhamaarii harf-saaziiab bhii mahbuub-e-jahaa.n haishaa.erii shoriid-gaan-e-ishq ke vird-e-zabaa.n haiaur gulaabo.n kii tarah shaadaa.n chehrela.al o marjaa.n kii tarah labsandalii.n haatho.n sechaahat aur aqiidat kii bayaazo.n parhamaare naam likhte hai.nsabhii dard-aashnaaiisaar mashrabham-nafas ahl-e-qafasjab maqtalo.n kii samt jaate hai.nhamaare bait gaate hai.nabhii tak naaz karte hai.n sab ahl-e-qaafilaapne hudii-KHvaano.n par aashufta-kalaamo.n parabhii ham dastaKHat karte hai.n apne qatl-naamo.n parabhii ham aasmaano.n kii amaanataur zamiino.n kii zaruurat hai.nabhii ham KHuub-suurat hai.n
jahaa.n-zaadvo halab kii kaarvaa.n-saraaa kaa hauz, raat vo sukuutjis me.n ek duusre se ham-kinaar tairte rahemuhiit jis tarah ho daa.ere ke gird halqaa-zantamaam raat tairte rahe the hamham ek duusre ke jism o jaa.n se lag ketairte rahe the ek shaad-kaam KHauf seki jaise paanii aa.nsu.o.n me.n tairtaa raheham ek duusre se mutma.in zavaal-e-umr ke KHilaaftairte rahetuu kah uThii 'hasan yahaa.n bhii khii.nch laa.iijaa.n kii tishnagii tujhe!'(lo apnii jaa.n kii tishnagii ko yaad kar rahaa thaa mai.nki meraa halq aa.nsu.o.n kii be-bahaa saKHaavato.nse shaad-kaam ho gayaa!)magar ye vahm dil me.n tairne lagaa ki ho na homiraa badan kahii.n halab ke hauz hii me.n rah gayaanahii.n, mujhe du.ii kaa vaahima nahii.nki ab bhii rabt-e-jism-o-jaa.n kaa e'tibaar hai mujheyahii vo e'tibaar thaaki jis ne mujh ko aap me.n samo diyaamai.n sab se pahle 'aap' huu.nagar hamii.n ho.n tuu ho aur mai.n huu.n phir bhii mai.nhar ek shai se pahle aap ho.n!agar mai.n zinda huu.n to kaise aap se daGaa karuu.n?ki tere jaisii aurte.n, jahaa.n-zaad,aisii uljhane.n hai.njin ko aaj tak ko.ii nahii.n 'sulajh' sakaajo mai.n kahuu.n ke mai.n 'sulajh' sakaa to sar-ba-sarfareb apne aap se!ki aurato.n kii saaKHt hai vo tanz apne-aap parjavaab jis kaa ham nahii.n(labiib kaun hai? tamaam raat jis kaa zikrtere lab pe thaavo kaun tere gesu.o.n ko khii.nchtaa rahaalabo.n ko nochtaa rahaajo mai.n kabhii na kar sakaanahii.n ye sach hai mai.n huu.n yaa labiib horaqiib ho to kis liye tirii KHud-aagahii kii be-riyaa nashaat-e-naab kaajo sad-navaa o yak-navaa KHiraam-e-sub.h kii tarahlabiib har navaa-e-saaz-gaar kii nafii sahii!)magar hamaaraa raabta visaal-e-aab-o-gil nahii.n, na thaa kabhiivajuud-e-aadmii se aab-o-gil sadaa baruu.n rahena har visaal-e-aab-o-gil se ko.ii jaam yaa subuu hii ban sakaajo in kaa ek vaahima hii ban sake to ban sake!
sochtaa jaataa hai kin aa.nkho.n se dekhaa jaa.egaabe-ridaa biivii kaa sar bachcho.n kaa mu.nh utraa hu.aa
ko.ii fikrmand kulaah kaako.ii da.ave-daar qabaa kaa haivahii ahl-e-dil bhii hai.n zeb-tanjo libaas ahl-e-riyaa kaa hai
jahaa.n-zaad kaise hazaaro.n baras ba.adik shahr-e-madfuun kii har galii me.nmere jaam o miinaa o gul-daa.n ke reze mile hai.nki jaise vo is shahr-e-barbaad kaa haafiza ho.nhasan naam kaa ik javaa.n kuuza-gar ik na.e shahr me.napne kuuze banaataa hu.aa ishq kartaa hu.aaapne maazii ke taaro.n me.n ham se piroyaa gayaa haihamii.n me.n ki jaise hamii.n ho.n samoyaa gayaa haiki ham tum vo baarish ke qatre the jo raat bhar sehazaaro.n baras re.ngtii raat bharik dariiche ke shiisho.n pe girte hu.e saa.np lahre.nbanaate rahe hai.naur ab is jagah vaqt kii sub.h hone se pahleye ham aur ye naujavaa.n kuuza-garek ruuyaa me.n phir se piro.e ga.e hai.njahaa.n-zaadye kaisaa kohna-parasto.n kaa ambohkuuzo.n kii laasho.n me.n utraa haidekhoye vo log hai.n jin kii aa.nkhe.nkabhii jaam o miinaa kii lim tak na pahu.nchii.nyahii aaj is rang o roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nko phir se ulaTne palaTne lage hai.nye un ke tale Gam kii chi.ngaariyaa.n paa sake.ngejo taariiKH ko khaa ga.ii thii.nvo tuufaan vo aa.ndhiyaa.n paa sake.ngejo har chiiKH ko khaa ga.ii thii.nunhe.n kyaa KHabar kis dhanak se mere rang aa.emere aur is naujavaa.n kuuza-gar keunhe.n kyaa KHabar kaun sii titliyo.n ke paro.n seunhe.n kyaa KHabar kaun se husn sekaun sii zaat se kis KHadd-o-KHaal semai.n ne kuuzo.n ke chehre utaareye sab log apne asiiro.n me.n hai.nzamaana jahaa.n-zaad afsuu.n-zada burj haiaur ye log us ke asiiro.n me.n hai.njavaa.n kuuza-gar ha.ns rahaa haiye maasuum vahshii ki apne hii qaamat se zholiida-daamanhai.n juuyaa kisii azmat-e-naa-rasaa keunhe.n kyaa KHabar kaisaa aaseb-e-mubram mere Gaar siine pe thaajis ne mujh se aur us kuuza-gar se kahaaai hasan kuuza-gar jaagdard-e-risaalat kaa roz-e-bashaarat tire jaam o miinaakii tishna-labii tak pahu.nchne lagaa haiyahii vo nidaa ke piichhe hasan naam kaaye javaa.n kuuza-gar bhiipyaape ravaa.n hai zamaa.n se zamaa.n takKHizaa.n se KHizaa.n tak
ai himaala ai fasiil-e-kishvar-e-hindustaanchuumtaa hai terii peshaanii ko jhuk kar aasmaa.ntujh me.n kuchh paidaa nahii.n deriina rozii ke nishaa.ntuu javaa.n hai gardish-e-shaam-o-sahar ke darmiyaa.nek jalva thaa kaliim-e-tuur-e-siinaa ke liyetuu tajallii hai saraapaa chashm-e-biinaa ke liyeimtihaan-e-diida-e-zaahir me.n kohistaa.n hai tuupaasbaa.n apnaa hai tuu diivaar-e-hindustaa.n hai tuumatla-e-avval falak jis kaa ho vo diivaa.n hai tuusuu-e-KHalvat-gaah-e-dil daaman-kash-e-insaa.n hai tuubarf ne baa.ndhii hai dastaar-e-faziilat tere sarKHanda-zan hai jo kulaah-e-mehr-e-aalam-taab parterii 'umr-e-rafta kii ik aan hai ahd-e-kuhanvaadiyo.n me.n hai.n tirii kaalii ghaTaa.e.n KHema-zanchoTiyaa.n terii surayyaa se hai.n sargarm-e-suKHantuu zamii.n par aur pahnaa-e-falak teraa vatanchashma-e-daaman tiraa aa.iina-e-sayyaal haidaaman-e-mauj-e-havaa jis ke liye ruumaal haiabr ke haatho.n me.n rahvaar-e-havaa ke vaastetaaziyaana de diyaa barq-e-sar-e-kohsaar neai himaala ko.ii baazii-gaah hai tuu bhii jisedast-e-qudrat ne banaayaa hai 'anaasir ke liyehaa.e kyaa fart-e-tarab me.n jhuumtaa jaataa hai abrfiil-e-be-zanjiir kii suurat u.Daa jaataa hai abrjumbish-e-mauj-e-nasiim-e-sub.h gahvaara baniijhuumtii hai nashsha-e-hastii me.n har gul kii kaliiyuu.n zabaan-e-barg se goyaa hai us kii KHaamushiidast-e-gul-chii.n kii jhaTak mai.n ne nahii.n dekhii kabhiikah rahii hai merii KHaamoshii hii afsaana miraakunj-e-KHalvat KHaana-e-qudrat hai kaashaana miraaaatii hai naddii faraaz-e-koh se gaatii hu.iikausar o tasniim kii maujo.n ko sharmaatii hu.iiaa.iina saa shaahid-e-qudrat ko dikhlaatii hu.iisa.ng-e-rah se gaah bachtii gaah Takraatii hu.iichhe.Dtii jaa is iraaq-e-dil-nashii.n ke saaz koai musaafir dil samajhtaa hai tirii aavaaz kolaila-e-shab kholtii hai aa ke jab zulf-e-rasaadaaman-e-dil khii.nchtii hai aabshaaro.n kii sadaavo KHamoshii shaam kii jis par takallum ho fidaavo daraKHto.n par tafakkur kaa samaa.n chhaayaa hu.aakaa.nptaa phirtaa hai kyaa rang-e-shafaq kohsaar parKHush-numaa lagtaa hai ye Gaaza tire ruKHsaar parai himaala daastaa.n us vaqt kii ko.ii sunaamaskan-e-aabaa-e-insaa.n jab banaa daaman tiraakuchh bataa us siidhii-saadhii zindagii kaa maajraadaaG jis par Gaaza-e-ra.ng-e-taklluf kaa na thaahaa.n dikhaa de ai tasavvur phir vo sub.h-o-shaam tuudau.D piichhe kii taraf ai gardish-e-ayyaam tuu
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
titlii jugnuu rang-o-KHushbuugul-o-bulbul jaiseisti'aare nahii.n hai.n paas mirekyuu.nke mai.n nesisaktii sulagtii ta.Daptii hu.iizindagii ko dekhaa haikhulii aa.nkh semai.n ne dekhii hailahuu se tar sa.Dke.nmai.n ne dekhe hai.n general ward me.nbebasii se e.Diyaa.n raga.Dte hu.ebachche buu.Dhe laachaarmai.n ne dekhii hai.nroTii ke badleridaa hotii hu.iitaar-taarmire shu'uur me.naaj bhii taaza hai'saara-shagufta’ ke binaa kafan kephuul jaise bachche kii laashmai.n ne dekhii haimasjid kii TuuTtii hu.ii mehraabab mirii be-nuur aa.nkhe.nkaise dekhe ko.ii hasiin KHvaab
'aql ne ek din ye dil se kahaabhuule-bhaTke kii rahnumaa huu.n mai.nhuu.n zamii.n par guzar falak pe miraadekh tuu kis qadar rasaa huu.n mai.nkaam duniyaa me.n rahbarii hai miraamisl-e-KHizr-e-KHajista-paa huu.n me.nhuu.n mufassir kitaab-e-hastii kiimaz.har-e-shaan-e-kibriyaa huu.n mai.nbuu.nd ik KHuun kii hai tuu lekinGairat-e-laa'l-e-be-bahaa huu.n mai.ndil ne sun kar kahaa ye sab sach haipar mujhe bhii to dekh kyaa huu.n mai.nraaz-e-hastii ko tuu samajhtii haiaur aa.nkho.n se dekhtaa huu.n mai.nhai tujhe vaasta mazaahir seaur baatin se aashnaa huu.n mai.n'ilm tujh se to maa'rifat mujh setuu KHudaa jo KHudaa-numaa huu.n mai.n'ilm kii intihaa hai betaabius maraz kii magar davaa huu.n mai.nsham' tuu mahfil-e-sadaaqat kiihusn kii bazm kaa diyaa huu.n mai.ntuu zamaan-o-makaa.n se rishta bapaataa.ir-e-sidra-aashnaa huu.n mai.nkis bulandii pe hai maqaam miraa'arsh rabb-e-jaliil kaa huu.n mai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books