aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "samet"
KHudaa ne qur.aan me.n kahaa haiki logo mai.n netumhaarii KHaatirfalak banaayaafalak ko taaro.n sechaa.nd suuraj se jagmagaayaaki logo mai.n netumhaarii KHaatirzamii.n banaa.iizamii.n ke siine penadiyo.n kii lakiire.n khii.nchii.nsamundaro.n kozamii.n kii aaGosh me.n biThaayaapahaa.D rakkhedaraKHt ugaa.edaraKHt pephuul phal lagaa.eki logo mai.n netumhaarii KHaatirye din banaayaaki din me.n kuchh kaam kar sako tumki logo mai.n netumhaarii KHaatirye shab banaa.iiki shab me.n aaraam kar sako tumki logo mai.n netumhaarii KHaatirye sab banaayaamagar na bhuuloki ek din mai.nye saarii chiize.n sameT luu.ngaa
KHabar sunii hai kabhii jab tumhaare aane kiimai.n aa.ine me.n dulhan ban ke muskuraa.ii huu.nga.ii huu.n daaman-e-dil ko KHushii se bharne magarjahaan bhar kii udaasii sameT laa.ii huu.n
magar me.n shahr-e-havaadis ke sang-zaado.n seye aa.ine saa badan kis tarah bachaa.uu.ngaamujhe ye Dar hai kisii roz tere karb sametmai.n KHud bhii dukh ke samundar me.n duub jaa.u.ngaa
aaKHirii takraar ke baad mai.n ne zabaan sameT lii haiab mai.n ek lafz bhii maziid nahii.n boluu.ngaakhii.nch-taan kar zabaan apne badan par lapeT lii haidu.aa nahii.n karuu.ngaa girah nahii.n kholuu.ngaa
ye imaaraat, ye miinaar, ye gulzaar, ye khettoda-e-KHaak se hastii ne liyaa taaza janmjii uThe vaadii-e-KHaamosh ke be-jaan sanamphir ko.ii chiiregaa zarre kaa jigar qatra-e-yamdafn kar degaa jo KHaaliq ko bhii maKHluuq sametaur ye aabaadiyaa.n ban jaa.e.ngii phir ret hii ret
(3)na.e zamaane me.n agar udaas KHud ko paa.uu.ngaaye shaam yaad kar ke apne Gam ko bhuul jaa.uu.ngaaayaadat-e-habiib se vo aaj zindagii miliiKHushii bhii chau.nk chauk uThii Gam kii aa.nkh khul ga.iiagarche doctor ne mujh ko maut se bachaa liyaapar is ke baa'd us nigaah ne mujhe jilaa liyaanigaah-e-yaar tujh se apnii manzile.n mai.n paa.uu.ngaatujhe jo bhuul jaa.uu.ngaa to raah bhuul jaa.uu.ngaa(4)qariib-tar mai.n ho chalaa huu.n dukh kii kaa.enaat semai.n ajnabii nahii.n rahaa hayaat se mamaat sevo dukh sahe ki mujh pe khul gayaa hai dard-e-kaa.enaathai apne aa.nsu.o.n se mujh pe aa.iina Gam-e-hayaatye be-qusuur jaan-daar dard jhelte hu.eye KHaak-o-KHuu.n ke putle apnii jaa.n pe khelte hu.evo ziist kii karaah jis se be-qaraar hai fazaavo zindagii kii aah jis se kaa.np uThtii hai fazaakafan hai aa.nsu.o.n kaa dukh kii maarii kaa.enaat parhayaat kyaa inhe.n haqiiqato.n se honaa be-KHabarjo aa.nkh jaagtii rahii hai aadmii kii maut parvo abr-e-ra.ng-ra.ng ko bhii dekhtii hai saada-tarsikhaa gayaa dukh miraa puraanii piir jaan.naanigaah-e-yaar thii jahaa.n bhii aaj merii rahnumaayahii nahii.n ki mujh ko aaj zindagii na.ii miliihaqiiqat-e-hayaat mujh pe sau tarah se khul ga.iigavaah hai ye shaam aur nigaah-e-yaar hai gavaahKHayaal-e-maut ko mai.n apne dil me.n ab na duu.ngaa raahjiyuu.ngaa haa.n jiyuu.ngaa ai nigaah-e-aashnaa-e-yaarsadaa suhaag zindagii hai aur jahaa.n sadaa-bahaar(5)abhii to kitne naa-shuniida naGma-e-hayaat hai.nabhii nihaa.n dilo.n se kitne raaz-e-kaa.enaat hai.nabhii to zindagii ke naa-chashiida ras hai.n saik.Do.nabhii to haath me.n ham ahl-e-Gam ke jas hai.n saik.Do.nabhii vo le rahii hai.n merii shaa.erii me.n karvaTe.nabhii chamakne vaalii hai chhupii hu.ii haqiiqate.nabhii to bahr-o-bar pe so rahii hai.n merii vo sadaa.e.nsameT luu.n unhe.n to phir vo kaa.enaat ko jagaa.e.nabhii to ruuh ban ke zarre zarre me.n samaa.uu.ngaaabhii to sub.h ban ke mai.n ufuq pe thartharaa.uu.ngaaabhii to merii shaa.erii haqiiqate.n luuTaa.egiiabhii mirii sadaa-e-dard ik jahaa.n pe chhaa.egiiabhii to aadmii asiir-e-daam hai Gulaam haiabhii to zindagii sad-inqalaab kaa payaam haiabhii tamaam zaKHm o daaG hai tamaddun-e-jahaa.nabhii ruKH-e-bashar pe hai.n bahmiyat kii jhaa.iyaa.nabhii mashiyyato.n pe fat.h paa nahii.n sakaa basharabhii muqaddaro.n ko bas me.n laa nahii.n sakaa basharabhii to is dukhii jahaa.n me.n maut hii kaa daur haiabhii to jis ko zindagii kahe.n vo chiiz aur haiabhii to KHuun thoktii hai zindagii bahaar me.nabhii to rone kii sadaa hai naGma-e-sitaar me.nabhii to u.Dtii hai.n ruKH-e-bahaar par havaa.iyaa.nabhii to diidanii hai.n har chaman kii be-fazaa.iyaa.nabhii fazaa-e-dahr legii karvaTo.n pe karvaTe.nabhii to sotii hai.n havaa.o.n kii vo sansanaahaTe.nki jis ko sunte hii hukuumato.n ke ra.ng-e-ruKH u.De.nchapeTe.n jin kii sarkasho.n kii gardane.n maro.D de.nabhii to siina-e-bashar me.n sote hai.n vo zalzaleki jin ke jaagte hii maut kaa bhii dil dahal uTheabhii to batn-e-Gaib me.n hai is savaal kaa javaabKHudaa-e-KHair-o-shar bhii laa nahii.n sakaa thaa jis kii taababhii to god me.n hai.n devtaa.o.n kii vo maah-o-saaljo de.nge ba.Dh ke barq-e-tuur se hayaat ko jalaalabhii rag-e-jahaa.n me.n zindagii machalne vaalii haiabhii hayaat kii na.ii sharaab Dhalne vaalii haiabhii chhurii sitam kii Duub kar uchhalne vaalii haiabhii to hasrat ik jahaan kii nikalne vaalii haiabhii ghan-garaj sunaa.ii degii inqalaab kiiabhii to gosh-bar-sadaa hai bazm aaftaab kiiabhii to puu.njii-vaad ko jahaan se miTaanaa haiabhii to saamraajo.n ko sazaa-e-maut paanaa haiabhii to daa.nt piistii hai maut shahryaaro.n kiiabhii to KHuu.n utar rahaa hai aa.ankho.n me.n sitaaro.n kiiabhii to ishtiraakiyat ke jhanDe ga.Dne vaale hai.nabhii to ja.D se kisht-o-KHuu.n ke nazm ukha.Dne vaale hai.nabhii kisaan-o-kaamgaar raaj hone vaalaa haiabhii bahut jahaa.n me.n kaam-kaaj hone vaalaa haimagar abhii to zindagii musiibato.n kaa naam haiabhii to nii.nd maut kii mire liye haraam haiye sab payaam ik nigaah me.n vo aa.nkh de ga.iiba-yak-nazar kahaa.n kahaa.n mujhe vo aa.nkh le ga.ii
abuu-lahab ajnabii zamiino.n ke laal o gauhar sameT karphir vatan ko lauTaa hazaar tarraar o tez aa.nkhe.n puraaneGurfo.n se jhaa.nk uTThii.n hujuum piir o javaa.n kaagahraa hujuum apne gharo.n se niklaa abuu-lahab ke juluusko dekhne ko lapkaaabuu-lahab ik shab-e-zafaaf-e-abuu-lahab kaa jalaaphaphuulaa KHayaal kii ret kaa baguulaa vo ishq-e-barbaadkaa heyuulaa hujuum me.n se pukaar uTThii abuu-lahab
jhunjhlaa ke us ne chaa.ndii kaa diipak bujhaa diyaaaakaash ko sameT ke niiche giraa diyaaphailii hu.ii zamii.n ko dhu.e.n saa u.Daa diyaaphir kuchh nahii.nna khet, na maidaa.n na raastebas ik nigaahkhi.Dkii kii ra.ng-jaaliyaa.n(bas tiin chaar aane kii do chaar goliyaa.n)
ga.e leTne raat Dhalte hu.euThe sub.h ko aa.nkh malte hu.enahaa dho ke kap.De badalte hu.euThaa.ii kitaab aur chalte hu.esavere kaa jab tak ki school haiyahii apnaa har roz ma.amuul haikha.De hai.n sa.Dak par ki ab aa.ii basguzartaa hai ik ik minute ik barasbas aa.ii to rush is qadar pesh-o-paski allaah bas aur baaqii havasba.Dhe ham bhii cha.Dhne ko jab sab ke saathto handle pe thaa paa.nv pedal pe haathpassenger kii vo bhii.D vo bas kaa gateguzarte hai.n machchhar jahaa.n par sameTko.ii ho gayaa choT khaa kar flatkisii kii hai kohnii kisii kaa hai peTkha.De ho.n kahaa.n paa.nv rakkhe.n kidhara.ndheraa idhar hai a.ndheraa udharmagar hukm checker kaa hai aa.iyekha.De kyo.n hai.n aage ba.Dhe jaa.iyejahaa.n me.n jahaa.n tak jagah paa.iyekhisakte khisakte chale jaa.iyesitaaro.n se aage jahaa.n aur hai.nzamii.n aur hai.n aasmaa.n aur hai.n
tumhaarii aa.nkho.n kii muskuraahaT me.nmerii chaahat kii raushnii haiyuu.nhii shaguufo.n ke paas baiThii rahoshu.aa.o.n ko aariz-o-lab se khelne dohavaa ke haatho.n ko apne gesuu bikherne dobahaar kii saarii KHushbu.e.napne baazu.o.n me.n sameT lomere chashm-o-dil ko yaqiin dilaa.oki tum faqat KHvaab hii nahii.n hoguzarte baadal kaa ko.ii aks-e-ravaa.n nahii.n hotum ik haqiiqat ho mahz vahm-o-gumaa.n nahii.n homire qariib aa.o aur mirii zaat ko miTaa domujhe tum apne jamaal kii zau me.n jazb kar lovisaal me.n fard kii fanaa haivisaal me.n fard kii baqaa haivisaal me.n fard kii baqaa haibahaar kii diid aarzii haibahaar-e-tajriid daa.imii hai
shajar se TuuT ke jab mai.n giraa kahaa.n pe giraamujhe talaash karojin aa.ndhiyo.n ne mirii sar-zamii.n udhe.Dii thiivo aaj maulid-e-iisaa me.n gard u.Daatii hai.njo ho sake to unhii se miraa pata puuchhomujhe talaash karochalii jo mashriq-o-maGrib se tund-o-tez havaamire shajar ne mujhe pyaar se sameT liyaamujhe lapeT liyaa apnii kitnii baaho.n me.nye be-lihaaz anaasir magar ba-zid hii rahemai.n barg-e-sabz giraa barg-e-zard kii maanindusii sulagtii hu.ii raakh sii pataavar me.njo bichh rahii hai ufuq se ufuq ke paar talakmujhe talaash karoshajar se kaT ke zabaa.n kaT ga.ii na ho meriimai.n chiiKHtaa huu.n magar harf-e-naa-shuniida huu.nhayaat-e-taaza hai merii shajar se meraa milaapki bas vahii mirii baaliidgii kaa mamba.a haijo regzaar me.n chhitnaar dekhne hai.n tumhe.nmujhe talaash karofalak ke raaz to khulte rahe.nge ham-nafasomire vajuud kaa bhii ab to raaz faash karomujhe talaash karo
bichha.D ke tujh se ka.ii ajnabii dayaaro.n nemujhe gale se lagaayaa mujhe tasallii diimujhe bataa.e shab-e-tiira-o-siyaah ke raazmire badan ko sikhaa.e hazaar istilzaazkuchh is tarah mire pahluu me.n aa.e zohra-o-shamsmai.n muddato.n yahii samjhaa kiyaa ki jism kaa lamsazal se taa-ba-abad ek hii masarrat haiki sab fareb hai meraa badan haqiiqat haiaur is tarah bhii hu.aa hai ki merii tanhaa.iisamundaro.n se lipaT kar havaa se Takraa karkabhii sameT ke mujh ko na.e jaziiro.n me.nkabhii pahaa.D ke jharne kii tarah bikhraa karkabhii biThaa ke mujhe aasmaa.n ke dosh-ba-doshkabhii zamii.n kii taho.n me.n ja.Do.n me.n phailaa karkuchh is tarah mire ehsaas me.n samaa.ii haiki mujh ko zaat se baahar nikaal laa.ii haikuchh aisaa KHvaab saa naa-KHvaabiyaa.n sii taarii thii.nbadan to kyaa mujhe parchhaa.iyaa.n bhii bhaarii thii.n
taviil taariikiyo.n me.n kho jaa.e.nge jab ik dinhamaare saa.eis apnii duniyaa kii laash uThaa.eto sail-e-ravaa.nkii ko.ii mauj-e-hayaat-saamaa.nfaroG-e-fardaakaa ruKH pe Daale mahiin pardaauchhal ke shaayadsameT le zindagii kii sarhadke us kinaarepe ghuumte aalamo.n ke dhaareye sab jaa hai ba-jaa hai lekinye totlii nau-KHiraam ruuhe.n ki jin kii har saa.ns a.ngbii.nagar inhii ko.npalo.n kii qismat me.n naaz-e-baaliidgii nahii.n haito bahtii nadiyo.nme.n aane vaalii hazaar sadiyo.nkaa ye talaatumsukuut-e-paiham kaa ye tarannumye jho.nke jho.nkeme.n khulte ghuu.nghaT na.ii ruto.n kethakii KHalaa.o.nme.n laakh an-dekhii kahkashaa.o.nkii kaavish-e-ramhazaar naa-aafriida aalamtamaam baatilna un kaa maqsad na un kaa haasilagar inhii ko.npalo.n kii qismat me.n naaz-e-baaliidgii nahii.n hai
ek parinde kii tarahpaaniyo.n se Takraatii hu.iiaa.nkh se ojhal ho jaa.uu.nek aise daraKHt kii tarahjo saarii umrdhuup aur chhaa.nv kaa mazaa letaa haiek aise banjaare kii tarahjo pahaa.Do.n aur maidaano.n koapne qadmo.n kii dhuul me.nsameT letaa haikisii aisii raqqaasa kii tarahjo apne man kaa bojhapne jism par Daal detii haikisii aisii ja.ng me.n shariik ho karjo bhuuk aur nafrat ke KHilaafla.Dii jaa rahii homaarii jaa.uu.n
musaahibiin-e-shaah mutma.in hu.e ki sarfaraaz sar-buriida baazu.o.n samet shahr kii fasiil par laTak rahe hai.naur har taraf sukuun haisukuun hii sukuun haifuGaan-e-KHalq ahl-e-taa.ifa kii nazr ho ga.iimataa-e-sabr vahshat-e-du.aa kii nazr ho ga.iiumiid-e-ajr be-yaqiinii-e-jazaa kii nazr ho ga.iina e'tibaar-e-harf hai na aabruu-e-KHuun haisukuun hii sukuun haimusaahibiin-e-shaah mutma.in hu.e ki sarfaraaz sar-buriida baazu.o.nsamet shahr kii fasiil par laTak rahe hai.n aur har taraf sukuun haisukuun hii sukuun haiKHaliij-e-iqtidaar sarkasho.n se paaT dii ga.iijo haath aa.ii daulat-e-Ganiim baa.nT dii ga.iitanaab-e-KHema-e-lisaan-o-lafz kaaT dii ga.iifazaa vo hai ki aarzuu-e-KHair tak junuun haisukuun hii sukuun haimusaahibiin-e-shaah mutma.in hu.e ki sarfaraaz sar-buriida baazu.o.n samet shahr kii fasiil par laTak rahe hai.naur har taraf sukuun haisukuun hii sukuun hai
tiflii me.n aarzuu thii kisii dil me.n ham bhii ho.nik roz soz-o-saaz kii mahfil me.n ham bhii ho.ndil ho asiir gesuu-e-ambar-sarisht me.nuljhe inhii.n hasiin salaasil me.n ham bhii ho.nchhe.Daa hai saaz hazrat-e-'saadii' ne jis jagahus bostaa.n ke shoKH anaadil me.n ham bhii ho.ngaa.e.n taraane dosh-e-surayyaa pe rakh ke sartaaro.n se chhe.D ho mah-e-kaamil me.n ham bhii ho.naazaad ho ke kashmakash-e-ilm se kabhiiaashuftagaan-e-ishq kii manzil me.n ham bhii ho.ndiivaana-vaar ham bhii phire.n koh-o-dasht me.ndil-daadgaan-e-shola-e-mahmil me.n ham bhii ho.ndil ko ho shaahzaadii-e-maqsad kii dhun lagiihairaa.n suraaG-e-jaada-e-manzil me.n ham bhii ho.nsahraa ho, KHaar-zaar ho, vaadii ho, aag hoik din inhii.n muhiib manaazil me.n ham bhii huu.ndariyaa-e-hashr-KHez kii maujo.n ko chiir karkashtii samet daaman-e-saahil me.n ham bhii ho.nik lashkar-e-aziim ho masruuf kaar-zaarlashkar ke pesh pesh muqaabil me.n ham bhii ho.nchamke hamaare haath me.n bhii teG-e-aabdaarha.ngaam-e-ja.ng narGa-e-baatil me.n ham bhii ho.nqadmo.n pe jin ke taaj hai.n iqliim-e-dahr keun chand kushtagaan-e-Gam-e-dil me.n ham bhii ho.n
zamiin-e-vietnammai.n bhii ik sar-zamii.n kaa baasii huu.njo abhii tak mirii haikal kaa pata nahii.n hai ki mere paa.nv mirii zamiin par phisal rahe hai.nko.ii ba.De zor-daar haatho.n seduur baiThaazamiin kaa palluu paka.D ke apnii taraf use khii.nchtaa hii jaataa haimai.n khi.nchaa jaa rahaa huu palluu sametThahruu.n to mere paa.nv phisal rahe hai.nmai.n duusrii samt mu.nh agar kar ke bhaag nikluu.nzamiin khi.nch jaa.e paa.nv se to KHalaa me.n girne kaa Dar hai mujh kozamiin-vietnamis se pahle ki mere pairo.n tale se merii zamiin khi.nch jaa.eaaj tujh se muqaabla apnaa kar rahaa huu.nki mujh me.n tujh me.n jo mushtarak qadar hai vo ja.ngii sa.uubate.n hai.nmiraa bhii dushman vahii hai jo tujh se la.D rahaa haitirii zamiin par bhii ja.ng jaariimirii zamii.n par bhii ja.ng jaariiagar ko.ii farq hai to ye hai ki apne dushman ke saamne tuu bahaadurii se Dataa hu.aa haimai.n jhuk gayaa huu.nyahaa.n zaraa muKHtalif hai suuratki meraa dushman Dataa hu.aa haimai.n sar bhii apnaa jhukaa chukaa huu.nmai.n us kii minnat bhii kar chukaa huu.nmagar vo be-rahm maare hii jaa rahaa haikisii tarah maantaa nahii.n haibas apnii manvaa.e jaa rahaa haizamiin-vietnamtuu ne itne baras ga.nvaa.ekaro.Do.n afraad apne marvaa.etuu ne minnat hii kii na saudaa kiyaa na faujo.n kaa sar jhukaayaaajab ki tuu ne rago.n me.n KHuun kii bajaa.e baaruud bhar liyaa haituu baavlii haiye dekh baarah karo.D ke chand maaliko.n kaa bhii kaar-naamaunhe.n bhii ik ja.ng aa pa.Dii thiiunho.n ne sola dino.n me.n vo kar diyaa jo sadiyo.n me.n bhii na hotaajhukaa diye apne laakh faujiimiTaa diye apne laakh faujiimiTaa diye apne nisf jhag.DekaTaa diyaa apnaa nisf naqshajo nisf baaqii thaa aur sola dino.n kaa jhag.Daa thaa gar ye rahtaakyuu.n na hotaaki har ba.Dii qaum kaam aise kiyaa hii kartii hai jo ki taariiKH ke liye baab kholte hai.nye kaar-naamaye sirf taariiKH kaa nahii.n haiye kaar-naama to hai juGraafiya bhii jis ne badal diyaa haibahut ba.Dii qaum kaa ye kartab haiqaum su.ii banaanaa apne liye jo tuu jaantii nahii.n haiye qaum baaruud jis kii KHaatir ba.De mamaalik banaa rahe hai.nbahut ba.Dii qaum hai bahut hiijahaaz ke kaar-KHaane bairuun-e-mulk jis ke bane hu.e hai.nvo jis kii KHaatir ki buke impala ford order pe ban rahii haimashiin engine milo.n kaa saamaan kaar-KHaane ke saare auzaarradio telephone television tracktor machine-gun topGaraz ek ek shai us kii us ke kamii KHud apne mulko.n me.n us kii KHaatir banaa rahe hai.nbahut ba.Dii qaum hai ki us ke ba.De gharo.n me.n to sar kaa shave bhiitan ke kap.De bhii aur juute bhii us ke baahar se aa rahe hai.nzamiin-vietnamterii maa.e.n to apne bachche ke qad ko dekhtii hai.n ki us kii lambaa.ii car se to ba.Dii nahii.n haizamiin-vietnambeTiyaa.n terii apne shaano.n pe apne shero.n kaa bojh le kar paa.nv kii suurat hai.n iistaadamagar yahaa.n beTiyaa.n nahii.n hai.nyahaa.n to tohfe hai.njo ki baahar se aa.e saudaagaro.n kii KHaatir tavaazo.a karne ke vaaste kar rahe hai.nzamiin-vietnamtere beTe to tere vaaris tire muhaafiz hai.nfauj vo ban rahe hai.n terii ki tujh pe jaane.n nisaar kar de.nzamiin-vietnamtere beTe to tere vaaris tire muhaafiz hai.nfauj vo ban rahe hai.n terii ki tujh pe jaane.n nisaar kar de.nyahaa.n pe beTii nahii.n to beTe bhii is zamii.n ne nahii.n jane hai.nyahaa.n to tanKHvaah kii zaruurat hai fauj me.n ho ki mauj me.n hozamiin-vietnamteraa aadam kahaa.n se aayaa thaabeTiyaa.n terii kaun sii be-misaal havvaa kii beTiyaa.n hai.nzamiin-e-vietnam terii miTTii kahaa.n kii hai jo kitere dushman ne chaa.nd tasKHiir kar liyaa par na tujh ko jiitaatiraa KHudaa kaun saa KHudaa haimire KHudaa kaa salaam us komagar mire vietnam jo farq tujh me.n mujh me.n hai aur tho.Daa saa duur kar duu.ntirii la.Daa.ii to sirf dushman se hai ki jo tere saamne haimirii la.Daa.ii hai dushmano.n se jo saamne ho ke bhii mire saamne nahii.n hai.nmai.n dushmano.n se bhii la.D rahaa huu.nme.n dosto.n se bhii la.D rahaa huu.n jo dostii kaa libaas pahnemirii la.Daa.ii a.Dosiyo.n se pa.Dosiyo.n semirii la.Daa.ii hai apne ghar me.nmirii la.Daa.ii samundaro.n ke udhar bhii qaa.emmirii la.Daa.ii hai jism se bhiimirii la.Daa.ii hai zehn se bhiimirii la.Daa.ii to saamraajii nizaam se haijahaa.n jahaa.n saamraaj hai mai.n vahaa.n vahaa.n par Dataa hu.aa huu.nmai.n apnii Gurbat se apnii mazluumiyat se aagaah ho chukaa huu.nmirii ye Gurbat ye merii mazluumiyat hii quvvat haivo sipaahii nahii.n hai meraa jo apne helmate ke bojh se sar jhukaa chukaa haijo sirf tanKHvaah ke liye meraa sher jarnail ban gayaa haimeraa ye qallaash meraa be-kaar meraa mazduur vo sipaahii haijo mirii fauj ban rahaa haizamiin ke palluu ko apnii is taaza fauj kii be-panaah quvvat se thaam karab mai.n apnii jaanib ghasiiT luu.ngaaghasiiT luu.ngaa mai.n un ko bhii vo jo duusrii samt apne aahan ke haath le karmirii zamiin apnii samt laalach se khii.nchte hai.nzamiin-e-vietnam gar tirii sar-zamii.n pe baaruud kii tahe.n bichh ga.ii hai.n to us zamii.nke kheto.n me.n bhii faqat goliyaa.n uge.ngiiyahaa.n bhii pe.Do.n ko ab phalo.n kii bajaa.e bam hii lage.ngeis sar-zamii.n pe bhii aag hii ke dariyaa bahe.ngejin mai.n ki ko.ii kaaGaz kii naav vo saamraaj kii ho ki merii apniina chal sakegiizamiin-e-vietnam mai.n bhii ik sar-zamii.n kaa baasii huu.nis zamii.n kaa salaam tujh ko
aksarlikhte hu.e aataa haidil me.n ye savaalkyaa likhuu.nus ujle savere kojo laataa hai apne saath Dhero.n ummiide.nyaa likhuu.nraat ke us a.ndhere kojo de jaataa hai aa.nkho.n me.n hazaaro.n sapnekyaa likhuu.nin mahaktii havaa.o.n kojo har pal ehsaas dilaatii hai.nki zinda ho tumyaa likhuu.nun an-ginat du.aa.o.n kojin me.n huu.n mai.n sirf mai.nkyuu.n na likhuu.nus hasiin chaa.nd kojo sikhaataa hai mujhesar uThaa kar aasmaa.n kii or dekhnaayaa likh duu.nun ujle sitaaro.n kojo sikhaate hai.nkhud ko sameT kar chamakte rahnaaaur agar bikhro bhiito TuuT kar du.aa ban jaanaa
zamii.n ke siine se aur aastiin-e-qaatil seguluu-e-kushta se behis zabaan-e-KHanjar sesadaa lapaktii hai har samt harf-e-haq kii tarahmagar vo kaan jo bahre hai.n sun nahii.n saktemagar vo qalb jo sa.ngii.n hai.n hil nahii.n sakteki un me.n ahl-e-havas kii sadaa kaa siisa haivo jhukte rahte hai.n lab-haa-e-iqtidaar kii samtvo sunte rahte hai.n bas hukm-e-haakimaan-e-jahaa.ntavaaf karte hai.n arbaab-e-giir-o-daar ke gird
udaas mausam ke ratjago.n me.nhar ek lamha bikhar gayaa thaahar ek rasta badal gayaa thaaphir aise mausam me.n kaun aa.eko.ii to jaa.etire nagar kii masaafato.n ko sameT laa.etirii galii me.n hamaarii soche.n bikher aa.etujhe bataa.e ki kaun kaiseuchhaaltaa hai vafaa ke motiitumhaarii jaanib ko.ii to jaa.emirii zabaa.n me.n tujhe bulaa.e tujhe manaa.ehamaarii haalat tujhe bataa.e tujhe rulaa.eto apne dil ko bhii chain aa.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books