aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "shefta"
tazkira dehli-e-marhuum kaa ai dost na chhe.Dna sunaa jaa.egaa ham se ye fasaanaa hargizdaastaa.n gul kii KHizaa.n me.n na sunaa ai bulbulha.nste ha.nste hame.n zaalim na rulaanaa hargizDhuu.nDhtaa hai dil-e-shoriida bahaane mutribdard-a.ngez Gazal ko.ii na gaanaa hargizsohbate.n aglii musavvar hame.n yaad aa.e.ngiiko.ii dilchasp muraqqa.a na dikhaanaa hargizle ke daaG aa.egaa siine pe bahut ai sayyaahdekh is shahr ke kha.nDaro.n me.n na jaanaa hargizchappa chappa pe hai.n yaa.n gauhar-e-yaktaa tah-e-KHaakdafn hogaa na kahii.n itnaa KHazaana hargizmiT ga.e tere miTaane ke nishaa.n bhii ab toai falak is se zyaada na miTaanaa hargizvo to bhuule the hame.n ham bhii unhe.n bhuul ga.eaisaa badlaa hai na badlegaa zamaanaa hargizjis ko zaKHmo.n se havaadis ke achhuutaa samjhe.nnazar aataa nahii.n ik aisaa gharaanaa hargizham ko gar tuu ne rulaayaa to rulaayaa ai charKHham pe Gairo.n ko to zaalim na ha.nsaanaa hargizaaKHirii daur me.n bhii tujh ko qasam hai saaqiibhar ke ik jaam na pyaaso.n ko pilaanaa hargizbaKHt so.e hai.n bahut jaag ke ai daur-e-zamaa.nna abhii nii.nd ke maato.n ko jagaanaa hargizkabhii ai ilm-o-hunar ghar thaa tumhaaraa dilliiham ko bhuule ho to ghar bhuul na jaanaa hargiz'Gaalib' o 'sheftaa' o 'nayyar' o 'aazurdaa' o 'zauq'ab dikhaa.egaa na shaklo.n ko zamaanaa hargiz'momin' o 'alvii' o 'sahbaa.ii' o 'mamnuun' ke ba.adsher kaa naam na legaa ko.ii daanaa hargiz'daaG' o 'majruuh' ko sun lo ki phir is gulshan me.nna sunegaa ko.ii bulbul kaa taraanaa hargizraat aaKHir hu.ii aur bazm hu.ii zer-o-zabarab na dekhoge kabhii lutf-e-shabaana hargizbazm-e-maatam to nahii.n bazm-e-suKHan hai 'haalii'yaa.n munaasib nahii.n ro ro ke rulaanaa hargiz
merii zulfo.n ko 'valii' ne bhii sa.nvaaraa thaa kabhiimujh ko 'haalii' ne mohabbat se pukaaraa thaa kabhii'shefta' ne mirii kashtii ko ubhaaraa thaa kabhii'mus.hafii' ne mire chehre ko nikhaaraa thaa kabhii
gulaabai rang bhare taraane vaaliigulshan me.n bahaar gaane vaaliiai baaG kii laa-javaab chi.Diyaaai shefta-e-gulaab chi.Diyaajis ne tujhe chahchahe diye hai.ndilchasp ye zamzame diye hai.nus ne mujhe phuul hai banaayaaik pe.D kii shaaKH se ugaayaasab phuul hai.n mere aage saadaus baaG kaa huu.n mai.n shaahzaadamujh saa nahii.n aur ko.ii KHush-baKHthai mere liye bihaar kaa taKHt
ye mai.n ki mujh se chhin gayaa hai sar-basarvo kaun hai ki jis kii dastaras me.n aa ke mai.n miraa nahii.n rahaamujhe to mai.n tamaam kaa.enaat se aziiz thaamirii anaa kii saltanat vasii.a thii ariiz thii aur us kaa narcissus thaa mai.nvo saltanat jahaa.n pe sirf mai.n thaa meraa aks thaaaur is ke maa-sivaa nafii kaa raqs thaamai.n apnii zaat par farefta rahaamai.n apne aap hii kaa shefta rahaana jaane kitne mehr-o-mah kii taabishe.n mirii tajalliyo.n kii zad pe aa ke KHaak ho ga.ii.nmirii nazar ko ko.ii bhii mire sivaa jachaa nahii.nmagar vo ek shaam ajab tilism-rang-shaam thiifusuu.n-taraaz saahira saraapaa rashk-e-jaam thiivo saahira ki lashkar-e-jamaal-e-baa-kamaal us ke saath thaavo saahira ki qatl-e-aam ke tamaam aslaho.n se lais thiibalaa kii ja.ng chhi.D ga.iimirii anaa thii ik taraf aur us kaa husn ik tarafvo yak-ba-yak shadiid yuurishe.n hu.ii.nmire sabhii havaas us ke yarGamaal ho ga.etamaam KHud-pasandiyo.n kaa taKHt-o-taaj luT gayaamirii anaa kii saltanat tamaam uja.D ke rah ga.ii
gar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mire dostgar mujhe is kaa yaqii.n ho ki tire dil kii thakantirii aa.nkho.n kii udaasii tere siine kii jalanmerii dil-juu.ii mire pyaar se miT jaa.egiigar miraa harf-e-tasallii vo davaa ho jis sejii uThe phir tiraa uj.Daa hu.aa be-nuur dimaaGterii peshaanii se Dhal jaa.e.n ye tazliil ke daaGterii biimaar javaanii ko shifaa ho jaa.egar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mare dostroz o shab shaam o sahar mai.n tujhe bahlaataa rahuu.nmai.n tujhe giit sunaataa rahuu.n halke shiirii.naabshaaro.n ke bahaaro.n ke chaman-zaaro.n ke giitaamad-e-sub.h ke, mahtaab ke, sayyaaro.n ke giittujh se mai.n husn-o-mohabbat kii hikaayaat kahuu.nkaise maGruur hasiinaa.o.n ke barfaab se jismgarm haatho.n kii haraarat me.n pighal jaate hai.nkaise ik chehre ke Thahre hu.e maanuus nuquushdekhte dekhte yak-laKHt badal jaate hai.nkis tarah aariz-e-mahbuub kaa shaffaaf biloryak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jaataa haikaise gulchii.n ke liye jhuktii hai KHud shaaKH-e-gulaabkis tarah raat kaa aivaan mahak jaataa haiyuu.nhii gaataa rahuu.n gaataa rahuu.n terii KHaatirgiit buntaa rahuu.n baiThaa rahuu.n terii KHaatirpar mire giit tire dukh kaa mudaavaa hii nahii.nnaGma jarraah nahii.n muunis-o-Gam KHvaar sahiigiit nashtar to nahii.n marham-e-aazaar sahiitere aazaar kaa chaara nahii.n nashtar ke sivaaaur ye saffaak masiihaa mire qabze me.n nahii.nis jahaa.n ke kisii zii-ruuh ke qabze me.n nahii.nhaa.n magar tere sivaa tere sivaa tere sivaa
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
zarra zarra dahr kaa zindaanii-e-taqdiir haiparda-e-majbuurii o bechaargii tadbiir haiaasmaa.n majbuur hai shams o qamar majbuur hai.nanjum-e-siimaab-paa raftaar par majbuur hai.nhai shikast anjaam Gunche kaa subuu gulzaar me.nsabza o gul bhii hai.n majbuur-e-numuu gulzaar me.nnaGma-e-bulbul ho yaa aavaaz-e-KHaamosh-e-zamiirhai isii zanjiir-e-aalam-giir me.n har shai asiiraa.nkh par hotaa hai jab ye sirr-e-majbuurii ayaa.nKHushk ho jaataa hai dil me.n ashk kaa sail-e-ravaa.nqalb-e-insaanii me.n raqs-e-aish-o-Gam rahtaa nahii.nnaGma rah jaataa hai lutf-e-zer-o-bam rahtaa nahii.nilm o hikmat rahzan-e-saamaan-e-ashk-o-aah haiya.anii ik almaas kaa Tuk.Daa dil-e-aagaah haigarche mere baaG me.n shabnam kii shaadaabii nahii.naa.nkh merii maaya-daar-e-ashk-e-unnaabii nahii.njaantaa huu.n aah me.n aalaam-e-insaanii kaa raazhai navaa-e-shikva se KHaalii mirii fitrat kaa saazmere lab par qissa-e-naira.ngi-e-dauraa.n nahii.ndil miraa hairaa.n nahii.n KHanda nahii.n giryaa.n nahii.npar tirii tasviir qaasid girya-e-paiham kii haiaah ye tardiid merii hikmat-e-mohkam kii haigirya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaa.n paa.inda haidard ke irfaa.n se aql-e-sa.ng-dil sharminda haimauj-e-duud-e-aah se aa.iina hai raushan miraaganj-e-aab-aavrd se maamuur hai daaman miraahairatii huu.n mai.n tirii tasviir ke e.ajaaz kaaruKH badal Daalaa hai jis ne vaqt kii parvaaz kaarafta o haazir ko goyaa paa-ba-paa is ne kiyaaahd-e-tiflii se mujhe phir aashnaa is ne kiyaajab tire daaman me.n paltii thii vo jaan-e-naa-tavaa.nbaat se achchhii tarah mahram na thii jis kii zabaa.naur ab charche hai.n jis kii shoKHii-e-guftaar kebe-bahaa motii hai.n jis kii chashm-e-gauhar-baar keilm kii sa.njiida-guftaarii bu.Dhaape kaa shu.uurdunyavii e.azaaz kii shaukat javaanii kaa Guruurzindagii kii auj-gaaho.n se utar aate hai.n hamsohbat-e-maadar me.n tifl-e-saada rah jaate hai.n hambe-takalluf KHanda-zan hai.n fikr se aazaad hai.nphir usii kho.e hu.e firdaus me.n aabaad hai.nkis ko ab hogaa vatan me.n aah meraa intizaarkaun meraa KHat na aane se rahegaa be-qaraarKHaak-e-marqad par tirii le kar ye fariyaad aa.uu.ngaaab du.aa-e-niim-shab me.n kis ko mai.n yaad aa.uu.ngaatarbiyat se terii me.n anjum kaa ham-qismat hu.aaghar mire ajdaad kaa sarmaaya-e-izzat hu.aadaftar-e-hastii me.n thii zarrii.n varaq terii hayaatthii saraapaa diin o duniyaa kaa sabaq terii hayaatumr bhar terii mohabbat merii KHidmat-gar rahiimai.n tirii KHidmat ke qaabil jab hu.aa tuu chal basiivo javaa.n-qaamat me.n hai jo suurat-e-sarv-e-bulandterii KHidmat se hu.aa jo mujh se ba.Dh kar bahra-mandkaarobaar-e-zindagaanii me.n vo ham-pahluu miraavo mohabbat me.n tirii tasviir vo baazuu miraatujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-paa rotaa hai vosabr se naa-aashnaa sub.h o masaa rotaa hai votuKHm jis kaa tuu hamaarii kisht-e-jaa.n me.n bo ga.iishirkat-e-Gam se vo ulfat aur mohkam ho ga.iiaah ye duniyaa ye maatam-KHaana-e-barnaa-o-piiraadmii hai kis tilism-e-dosh-o-fardaa me.n asiirkitnii mushkil zindagii hai kis qadar aasaa.n hai mautgulshan-e-hastii me.n maanind-e-nasiim arzaa.n hai mautzalzale hai.n bijliyaa.n hai.n qaht hai.n aalaam hai.nkaisii kaisii duKHtaraan-e-maadar-e-ayyaam hai.nkalba-e-iflaas me.n daulat ke kaashaane me.n mautdasht o dar me.n shahr me.n gulshan me.n viiraane me.n mautmaut hai ha.ngaama-aaraa qulzum-e-KHaamosh me.nDuub jaate hai.n safiine mauj kii aaGosh me.nne majaal-e-shikva hai ne taaqat-e-guftaar haizindagaanii kyaa hai ik tauq-e-guluu-afshaar haiqaafile me.n Gair fariyaad-e-diraa kuchh bhii nahii.nik mataa-e-diida-e-tar ke sivaa kuchh bhii nahii.nKHatm ho jaa.egaa lekin imtihaa.n kaa daur bhiihai.n pas-e-noh parda-e-garduu.n abhii daur aur bhiisiina chaak is gulsitaa.n me.n laala-o-gul hai.n to kyaanaala o fariyaad par majbuur bulbul hai.n to kyaajhaa.Diyaa.n jin ke qafas me.n qaid hai aah-e-KHizaa.nsabz kar degii unhe.n baad-e-bahaar-e-jaavedaa.nKHufta-KHaak-e-pai sipar me.n hai sharaar apnaa to kyaaaarzii mahmil hai ye musht-e-Gubaar apnaa to kyaazindagii kii aag kaa anjaam KHaakistar nahii.nTuuTnaa jis kaa muqaddar ho ye vo gauhar nahii.nzindagii mahbuub aisii diida-e-qudrat me.n haizauq-e-hifz-e-zindagii har chiiz kii fitrat me.n haimaut ke haatho.n se miT saktaa agar naqsh-e-hayaataam yuu.n us ko na kar detaa nizaam-e-kaa.enaathai agar arzaa.n to ye samjho ajal kuchh bhii nahii.njis tarah sone se jiine me.n KHalal kuchh bhii nahii.naah Gaafil maut kaa raaz-e-nihaa.n kuchh aur hainaqsh kii naa-paa.edaarii se ayaa.n kuchh aur haijannat-e-nazaara hai naqsh-e-havaa baalaa-e-aabmauj-e-muztar to.D kar ta.amiir kartii hai habaabmauj ke daaman me.n phir us ko chhupaa detii hai yekitnii bedardii se naqsh apnaa miTaa detii hai yephir na kar saktii habaab apnaa agar paidaa havaato.Dne me.n us ke yuu.n hotii na be-parvaa havaais ravish kaa kyaa asar hai haiyat-e-taamiir parye to hujjat hai havaa kii quvvat-e-taamiir parfitrat-e-hastii shahiid-e-aarzuu rahtii na hoKHuub-tar paikar kii us ko justujuu rahtii na hoaah siimaab-e-pareshaa.n anjum-e-garduu.n-farozshoKH ye chi.ngaariyaa.n mamnuun-e-shab hai jin kaa sozaql jis se sar-ba-zaanuu hai vo muddat in kii haisarguzisht-e-nau-e-insaa.n ek saa.at un kii haiphir ye insaa.n aa.n suu-e-aflaak hai jis kii nazarqudsiyo.n se bhii maqaasid me.n hai jo paakiiza-tarjo misaal-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat me.n haiaasmaa.n ik nuqta jis kii vus.at-e-fitrat me.n haijis kii naadaanii sadaaqat ke liye betaab haijis kaa naaKHun saaz-e-hastii ke liye mizraab haisho.ala ye kam-tar hai garduu.n ke sharaaro.n se bhii kyaakam-bahaa hai aaftaab apnaa sitaaro.n se bhii kyaatuKHm-e-gul kii aa.nkh zer-e-KHaak bhii be-KHvaab haikis qadar nashv-o-numaa ke vaaste betaab haizindagii kaa sho.ala is daane me.n jo mastuur haiKHud-numaa.ii KHud-fazaa.ii ke liye majbuur haisardi-e-marqad se bhii afsurda ho saktaa nahii.nKHaak me.n dab kar bhii apnaa soz kho saktaa nahii.nphuul ban kar apnii turbat se nikal aataa hai yemaut se goyaa qabaa-e-zindagii paataa hai yehai lahad is quvvat-e-aashufta kii shiiraaza-bandDaaltii hai gardan-e-garduu.n me.n jo apnii kamandmaut tajdiid-e-mazaaq-e-zindagii kaa naam haiKHvaab ke parde me.n bedaarii kaa ik paiGaam haiKHuugar-e-parvaaz ko parvaaz me.n Dar kuchh nahii.nmaut is gulshan me.n juz sanjiidan-e-par kuchh nahii.nkahte hai.n ahl-e-jahaa.n dard-e-ajal hai laa-davaazaKHm-e-furqat vaqt ke marham se paataa hai shifaadil magar Gam marne vaalo.n kaa jahaa.n aabaad haihalqa-e-zanjiir-e-sub.h-o-shaam se aazaad haivaqt ke afsuu.n se thamtaa naala-e-maatam nahii.nvaqt zaKHm-e-teG-e-furqat kaa ko.ii marham nahii.nsar pe aa jaatii hai jab ko.ii musiibat naa-gahaa.nashk paiham diida-e-insaa.n se hote hai.n ravaa.nrabt ho jaataa hai dil ko naala o fariyaad seKHuun-e-dil bahtaa hai aa.nkho.n kii sarishk-aabaad seaadmii taab-e-shakebaa.ii se go mahruum haius kii fitrat me.n ye ik ehsaas-e-naa-maaluum haijauhar-e-insaa.n adam se aashnaa hotaa nahii.naa.nkh se Gaa.eb to hotaa hai fanaa hotaa nahii.nraKHt-e-hastii KHaak-e-Gam kii sho.ala-afshaanii se haisard ye aag is latiif ehsaas ke paanii se haiaah ye zabt-e-fuGaa.n Gaflat kii KHaamoshii nahii.naagahii hai ye dilaasaa.ii faraamoshii nahii.nparda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotii hai sub.hdaaG shab kaa daaman-e-aafaaq se dhotii hai sub.hlaala-e-afsurda ko aatish-qabaa kartii hai yebe-zabaa.n taa.ir ko sarmast-e-navaa kartii hai yesiina-e-bulbul ke zindaa.n se sarod aazaad haisaik.Do.n naGmo.n se baad-e-sub.h-dam-aabaad haiKHuftagaan-e-laala-zaar o kohsaar o ruud baarhote hai.n aaKHir uruus-e-zindagii se ham-kanaarye agar aa.iin-e-hastii hai ki ho har shaam sub.hmarqad-e-insaa.n kii shab kaa kyuu.n na ho anjaam sub.hdaam-e-siimiin-e-taKHayyul hai miraa aafaaq-giirkar liyaa hai jis se terii yaad ko mai.n ne asiiryaad se terii dil-e-dard aashnaa maamuur haijaise ka.abe me.n du.aa.o.n se fazaa maamuur haivo faraa.ez kaa tasalsul naam hai jis kaa hayaatjalva-gaahe.n us kii hai.n laakho.n jahaan-e-be-sabaatmuKHtalif har manzil-e-hastii ko rasm-o-raah haiaaKHirat bhii zindagii kii ek jaulaa.n-gaah haihai vahaa.n be-haasilii kisht-e-ajal ke vaastesaazgaar aab-o-havaa tuKHm-e-amal ke vaastenuur-e-fitrat zulmat-e-paikar kaa zindaanii nahii.nta.ng aisaa halqa-e-afkaar-e-insaanii nahii.nzindagaanii thii tirii mahtaab se taabinda-tarKHuub-tar thaa sub.h ke taare se bhii teraa safarmisl-e-aivaan-e-sahar marqad farozaa.n ho tiraanuur se maamuur ye KHaakii shabistaa.n ho tiraaaasmaa.n terii lahad par shabnam-afshaanii karesabza-e-nau-rasta is ghar kii nigahbaanii kare
zahe-qismat hilaal-e-eid kii suurat nazar aa.iijo the ramzaan ke biimaar un sab ne shifaa paa.iipahaa.Do.n se vo utre qaafile roza-guzaaruu.n kegayaa garmii kaa 'mausam aur aa.e din bahaaro.n keuThaa hotel kaa 'parda saamne parda-nashii.n aa.ejo chhup kar kar rahe the ehtiraam-e-hukm-e-dii.n aa.ehu.ii anguur kii beTii se ''mastii-KHaan'' kii shaadiikhule dar mai-kado.n ke aur milii rindo.n ko aazaadiinaved-e-kaamraanii laa rahe hai.n race ke gho.Demasarrat ke taraane gaa rahe hai.n race ke gho.Demubaarak ho ki phir se ho gayaa ''dance'' aur ''dinner'' chaaluuKHalaas ahl-e-nazar ho.nge hu.aa dard-e-jigar chaaluunamaaz-e-eid pa.Dhne ke liye sarkaar aa.e hai.naur un ke saath saare taalib-e-diidaar aa.e hai.nyahii din ahl-e-dil ke vaaste ummiid kaa din haitumhaarii diid kaa din hai hamaarii eid kaa din hai
yahaa.n roz hashr bapaa hu.epe ko.ii bhii roz-e-jazaa nahii.nyahaa.n zindagii bhii 'azaab haiyahaa.n maut me.n bhii shifaa nahii.n
sunte ho saama.iin-e-baa-tamkii.nsunte ho haazriin-e-sadr-nashii.njo hai.n duniyaa me.n qaum ke hamdardbanda-e-qaum un ke hai.n zan o mardbaap kii hai du.aa ye bahr-e-pisarqaum kii mai.n banaa.uu.n us ko siparmaa.n KHudaa se ye maa.ngtii hai muraadqaum par se nisaar ho aulaadbhaa.ii aapas me.n karte hai.n paimaa.ntuu agar maal de to mai.n duu.n jaa.nahl-e-himmat kamaa ke laate hai.nham-vatan faa.ede uThaate hai.nkahii.n hote hai.n madrase jaariidaKHl aur KHarj jin ke hai.n bhaariiaur kahii.n hote hai.n club qaa.emmab.has-e-hikmat aur adab qaa.emnit-na.e khulte hai.n davaa-KHaanebante hai.n saik.Do.n shifaa-KHaanemulk me.n jo maraz hai.n aalam-giirqaum par un kii farz hai tadbiirhai.n sadaa is udhe.D-bun me.n tabiibki ko.ii nusKHa haath aa.e ajiibqaum ko pahu.nche manfa.at jis semulk me.n phaile.n faa.ede jis kekhap ga.e kitne ban ke jhaa.Do.n me.nmar ga.e saik.Do.n pahaa.Do.n me.nlikhe jab tak jiye safar-naamechal diye haath me.n qalam thaamego safar me.n uThaa.e ra.nj-e-kamaalkar diyaa par vatan ko apne nihaalhai.n ab in ke gavaah hubb-e-vatandar-o-diivaar-e-paris o londonkaam hai.n sab bashar ke ham-vatano.ntum se bhii ho sake to mard banochho.Do afsurdagii ko josh me.n aa.obas bahut so.e uTTho hosh me.n aa.oqaafile tum se ba.Dh ga.e koso.nrahe jaate ho sab se piichhe kyuu.nqaafilo.n se agar milaa chaahomulk aur qaum kaa bhalaa chaahogar rahaa chaahte ho izzat sebhaa.iyo.n ko nikaalo zillat seun kii izzat tumhaarii izzat haiun kii zillat tumhaarii zillat haiqaum kaa mubtadil hai jo insaa.nbe-haqiiqat hai garche hai sultaa.nqaum duniyaa me.n jis kii hai mumtaazhai faqiirii me.n bhii vo baa-e.azaazizzat-e-qaum chaahte ho agarjaa ke phailaa.o un me.n ilm-o-hunarzaat kaa faKHr aur nasab kaa GuruuruTh ga.e ab jahaa.n se ye dastuurab na sayyad kaa iftiKHaar sahiihna barhaman ko shudr par tarjiihhu.ii turkii tamaam KHaano.n me.nkaT ga.ii ja.D se KHaandaano.n me.nqaum kii izzat ab hunar se haiilm se yaa ki siim-o-zar se haiko.ii din me.n vo daur aa.egaabe-hunar bhiik tak na paa.egaana rahe.nge sadaa yahii din raatyaad rakhnaa hamaarii aaj kii baatgar nahii.n sunte qaul 'haalii' kaaphir na kahnaa ki ko.ii kahtaa thaa
mire liye kaun sochtaa haijudaa judaa hai.n mire qabiile ke log saarejudaa judaa sab kii suurate.n hai.nsabhii ko apnii anaa ke andhe ku.e.n kii tah me.n pa.De hu.eKHvaahisho.n ke pinjarhavas ke Tuk.Dehavaas rezehiraas ka.nkar talaashnaa hai.nsabhii ko apne badan kii shah-e-rag me.nqatra qatra lahuu kaa laavaa u.nDelnaa haisabhii ko guzre dino.n ke dariyaa kaa dukhviraasat me.n jhelnaa haimire liye kaun sochtaa haisabhii kii apnii zaruurate.n hai.nmirii rage.n chhiltii jaraahat ko kaun baKHsheshifaa kii shabnammirii udaasii ko kaun bahlaa.ekisii ko fursat hai mujh se puuchheki merii aa.nkhe.n gulaab kyuu.n hai.nmirii mashaqqat kii shaaKH-e-uriyaa.n parsaazisho.n ke azaab kyuu.n hai.nmirii hathelii pe KHvaab kyuu.n hai.nmire safar me.n saraab kyuu.n hai.nmire liye kaun sochtaa haisabhii ke dil me.n kuduurate.n hai.n
yaziid naqsha-e-jaur-o-jafaa banaataa haihusain us me.n KHat-e-karbalaa banaataa haiyaziid mausam-e-isyaa.n kaa laa-'ilaaj marazhusain KHaak se KHaak-e-shifaa banaataa haiyaziid kaaKH-e-kasaafat kii Doltii buniyaadhusain husn kii hairat-saraa banaataa haiyaziid tez havaa.o.n se jo.D to.D me.n gumhusain sar pe bahan ke ridaa banaataa haiyaziid likhtaa hai taariikiyo.n ko KHat din bharhusain shaam se pahle diyaa banaataa haiyaziid aaj bhii bante hai.n log koshish sehusain KHud nahii.n bantaa KHudaa banaataa hai
kis zabaa.n se kah rahe ho aaj tum saudaagarodahr me.n insaaniyat ke naam ko uu.nchaa karojis ko sab kahte hai.n hitler bhe.Diyaa hai bhe.Diyaabhe.Diye ko maar do golii pa.e-amn-o-baqaabaaG-e-insaanii me.n chalne hii pe hai baad-e-KHizaa.naadamiyyat le rahii hai hichkiyo.n par hichkiyaa.nhaath hai hitler kaa raKHsh-e-KHud-sarii kii baag parteG kaa paanii chhi.Dak do germany kii aag parsaKHt hairaa.n huu.n ki mahfil me.n tumhaarii aur ye zikrnau-e-insaanii ke mustaqbil kii ab karte ho fikrjab yahaa.n aa.e the tum saudaagarii ke vaastenau-e-insaanii ke mustaqbil se kiyaa vaaqif na thehindiyo.n ke jism me.n kyaa ruuh-e-aazaadii na thiisach bataa.o kyaa vo insaano.n kii aabaadii na thiiapne zulm-e-be-nihaayat kaa fasaana yaad haicompany kaa phir vo daur-e-mujrimaana yaad hailuuTte phirte the jab tum kaarvaa.n-dar-kaarvaa.nsar-barahna phir rahii thii daulat-e-hindostaa.ndast-kaaro.n ke a.nguuThe kaaTte phirte the tumsard laasho.n se ga.Dho.n ko paaTte phirte the tumsan.at-e-hindostaa.n par maut thii chhaa.ii hu.iimaut bhii kaisii tumhaare haat kii laa.ii hu.iiallaah allaah kis qadar insaaf ke taalib ho aajmiir-ja.afar kii qasam kyaa dushman-e-haq thaa 'siraaj'kyaa avadh kii begamo.n kaa bhii sataanaa yaad haiyaad hai jhaa.nsii kii raanii kaa zamaana yaad haihijrat-e-sultaan-e-dehlii kaa samaa.n bhii yaad haisher-dil 'Tiipuu' kii KHuunii.n daastaa.n bhii yaad haitiisare faaqe me.n ik girte hu.e ko thaamnekas ke tum laa.e the sar shaah-e-zafar ke saamneyaad to hogii vo maTiyaa-burj kii bhii daastaa.nab bhii jis kii KHaak se uThtaa hai rah rah kar dhu.aa.ntum ne qaisar-e-baaG ko dekhaa to hogaa baarhaaaaj bhii aatii hai jis se haa.e 'aKHtar' kii sadaasach kaho kyaa haafize me.n hai vo zulm-e-be-panaahaaj tak ragoon me.n ik qabr hai jis kii gavaahzehn me.n hogaa ye taaza hindiyo.n kaa daaG bhiiyaad to hogaa tumhe.n jallianwala-bagh bhiipuuchh lo is se tumhaaraa naam kyuu.n taabinda hai'dyer'-e-gurg-e-dahan-aaluud ab bhii zinda haivo 'bhagat-singh' ab bhii jis ke Gam me.n dil naashaad haius kii gardan me.n jo Daalaa thaa vo phandaa yaad haiahl-e-aazaadii rahaa karte the kis hanjaar sepuuchh lo ye qaid-KHaano.n ke dar-o-diivaar seab bhii hai mahfuuz jis par tantana sarkaar kaaaaj bhii guu.njii hu.ii hai jin me.n ko.Do.n kii sadaaaaj kashtii amn ke amvaaj par khete ho kyuu.nsaKHt hairaa.n huu.n ki ab tum dars-e-haq dete ho kyuu.nahl-e-quvvat daam-e-haq me.n to kabhii aate nahii.n''bankii'' aKHlaaq ko KHatre me.n bhii laate nahii.nlekin aaj aKHlaaq kii talqiin farmaate ho tumho na ho apne me.n ab quvvat nahii.n paate ho tumahl-e-haq raushan-nazar hai.n ahl-e-baatin kor hai.nye to hai.n aqvaal un qaumo.n ke jo kamzor hai.naaj shaayad manzil-e-quvvat me.n tum rahte nahii.njis kii laaThii us kii bhai.ns ab kis liye kahte nahii.nkyaa kahaa insaaf hai insaa.n kaa farz-e-avvalii.nkyaa fasaad-o-zulm kaa ab tum me.n kas baaqii nahii.nder se baiThe ho naKHl-e-raastii kii chhaa.nv me.nkyaa KHudaa-naa-karda kuchh moch aa ga.ii hai paa.nv me.nguu.nj Taapo.n kii na aabaadii na viiraane me.n haiKHair to hai asp-e-taazii kyaa shifaa-KHaane me.n haiaaj kal to har nazar me.n rahm kaa andaaz haikuchh tabii.at kyaa nasiib-e-dushmanaa.n naa-saaz haisaa.ns kyaa ukh.Dii ki haq ke naam par marne lagenau-e-insaa.n kii havaa-KHvaahii kaa dam bharne lagezulm bhuule raagnii insaaf kii gaane lagelag ga.ii hai aag kyaa ghar me.n ki chillaane lagemujrmo.n ke vaaste zebaa nahii.n ye shor-o-shainkal 'yaziid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'KHair ai saudaagaro ab hai to bas is baat me.nvaqt ke farmaan ke aage jhukaa do gardane.nik kahaanii vaqt likkhegaa na.e mazmuun kiijis kii surKHii ko zaruurat hai tumhaare KHuun kiivaqt kaa farmaan apnaa ruKH badal saktaa nahii.nmaut Tal saktii hai ab farmaan Tal saktaa nahii.n
(1)ai sab se avval aur aaKHirjahaa.n-tahaa.n, haazir aur naazirai sab daanaa.o.n se daanaasaare tavaanaa.o.n se tavaanaaai baalaa, har baalaa-tar sechaa.nd se suuraj se ambar seai samjhe buujhe bin suujhejaane-pahchaane bin buujhesab se anokhe sab se niraaleaa.nkh se ojhal dil ke ujaaleai andho.n kii aa.nkh ke taareai la.ng.De luulo.n ke sahaarenaatiyo.n se chhoTo.n ke naatiisaathiyo.n se bichh.Do.n ke saathiinaav jahaa.n kii khene vaaledukh me.n tasallii dene vaalejab ab tab tujh saa nahii.n ko.iitujh se hai.n sab tujh saa nahii.n ko.iijot hai terii jal aur thal me.nbaas hai terii phuul aur phal me.nhar dil me.n hai teraa baseraatuu paas aur ghar duur hai teraaraah tirii dushvaar aur suk.Diinaam tiraa rah-giir kii lak.Diituu hai Thikaanaa miskiino.n kaatuu hai sahaaraa Gamgiino.n kaatuu hai akelo.n kaa rakhvaalaatuu hai a.ndhere ghar kaa ujaalaalaaguu achchhe aur bure kaaKHvaahaa.n khoTe aur khare kaabed niraase biimaaro.n kaagaahak mande baazaaro.n kaasoch me.n dil bahlaane vaalebiptaa me.n yaad aane vaale(2)ai be-vaaris gharo.n ke vaarisbe-baazuu be-paro.n ke vaarisbe-aaso.n kii aas hai tuu hiijaagte sote paas hai tuu hiibas vaale hai.n yaa be-bas hai.ntuu nahii.n jin kaa vo be-kas hai.nsaathii jin kaa dhyaan hai teraadusraayat kii vahaa.n nahii.n parvaadil me.n hai jin ke terii ba.Daa.iiginte hai.n vo parbat ko raa.iibekas kaa Gam-KHvaar hai tuu hiiburii banii kaa yaar hai tuu hiidukhiyaa dukhii yatiim aur bevatere hii haath un sab kaa hai khevaatuu hii maraz de tuu hii davaa detuu hii davaa-daaruu me.n shifaa detuu hii pilaa.e zahr ke pyaaletuu hii phir amrit zahr me.n Daaletuu hii dilo.n me.n aag lagaa.etuu hii dilo.n kii lagii bujhaa.echumkaare chumkaar ke maaremaare maar ke phir chumkaarepyaar kaa tere puuchhnaa kyaa haimaar me.n bhii ik terii mazaa hai(3)ai rahmat aur haibat vaaleshafqat aur dabaaGat vaaleai aTkal aur dhyaan se baaharjaan se aur pahchaan se baaharaql se ko.ii paa nahii.n saktaabhed tire hukmo.n me.n hai.n kyaa kyaaek ko tuu ne shaad kiyaa haiek ke dil ko daaG diyaa haius se na teraa pyaar kuchh aisaaus se na tuu bezaar kuchh aisaahar dam terii aan na.ii haijab dekho tab shaan na.ii haiyahaa.n pachhu.aa hai vahaa.n purvaa haighar ghar teraa hukm nayaa haiphuul kahii.n kumlaa.e hu.e hai.naur kahii.n phal aa.e hu.e hai.nkhetii ek kii hai lahraatiiek kaa har dam KHuun sukhaatiiek pa.De hai.n dhan ko Dubo.eek hai.n gho.De bech ke so.eek ne jab se hosh sambhaalaara.nj se us ko pa.Daa na paalaaek ne is janjaal me.n aa karchain na dekhaa aa.nkh uThaa karme.nh kahii.n daulat kaa hai barastaahai ko.ii paanii tak ko tarastaaek ko marne tak nahii.n deteek uktaa gayaa lete letehaal Garaz duniyaa kaa yahii haiGam pahle aur baa'd KHushii haira.nj kaa hai duniyaa ke gilaa kyaatohfa yahii le de ke hai yaa.n kaayahaa.n nahii.n bantii ranj sahe binra.nj nahii.n sab ek se lekinek se yahaa.n ranj ek hai baalaaek se hai dard ek niraalaaghaav hai go naasuur kii suuratpar use kyaa naasuur se nisbattap vahii diq kii shakl hai lekindiq nahii.n rahtii jaan liye bindiq ho vo yaa naasuur ho kuchh hode na jo ab ummiid kisii koroz kaa Gam kyuu.n-kar sahe ko.iiaas na jab baaqii rahe ko.iituu hii kar insaaf ai mire maulaakaun hai jo be-aas hai jiitaago ki bahut bande hai.n pur-armaa.nkam hai.n magar maayuus hai.n jo yaa.nKHvaah dukhii hai KHvaah sukhii haijo hai ik ummiid us ko ba.ndhii haikhetiyaa.n jin kii kha.Dii hai.n suukhiiaas vo baa.ndhe baiThe hai.n me.nh kiighaTaa jin kii asaa.Dii me.n haisaavanii kii ummiid nahii.n haiDuub chukii hai un kii agetiidetii hai Dhaaras un ko pachhetiiek hai is ummiid pe jiitaaab hu.ii beTii ab hu.aa beTaaek ko jo aulaad milii haius ko uma.ng shaadiyo.n kii haira.nj hai yaa qismat me.n KHushii haikuchh hai magar ik aas ba.ndhii haiGam nahii.n un ko Gamgii.n hai.njo dil naa-umiid nahii.n hai.nkaal me.n kuchh saKHtii nahii.n aisiikaal me.n hai jab aas samay.n kiisahal hai maujo.n se chhuTkaaraajab ki nazar aataa hai kinaaraapar nahii.n uTh saktii vo musiibataa.egii jis ke baa'd na raahatshaad ho us rah-giir kaa kyaa dil?mar ke kaTegii jis kii manzilun uj.Do.n ko kal pa.De kyuu.n-karghar na basegaa jin kaa janam bharun bichh.Do.n kaa kyaa hai Thikaanaa?jin ko na milne degaa zamaanaab ye balaa Taltii nahii.n Taaliimujh pe hai jo taqdiir ne Daaliiaa.ii.n bahut duniyaa me.n bahaare.naish kii ghar ghar pa.Dii.n pukaare.npa.De bahut baaGo.n me.n jhuuleDhaak bahut jangal me.n phuulega.ii.n aur aa.e.n chaa.ndnii raate.nbarsii.n khulii.n bahut barsaate.npar na khilii hargiz na khilegiivo jo kalii murjhaa.ii thii dil kiiaas hii kaa bas naam hai duniyaajab na rahii yahii to rahaa kyaa?aise bidesii kaa nahii.n Gam kuchhjis ko na ho milne kii qasam kuchhronaa un ban-baasiyo.n kaa haides nikaalaa jin ko milaa haihukm se tere par nahii.n chaaraka.Dvii miiThii sab hai gavaaraazor hai kyaa patte kaa havaa parchaahe jidhar le jaa.e u.Daa kartinkaa ik aur saat samundarjaa.e kahaa.n maujo.n se nikal karqismat hii me.n jab thii judaa.iiphir Taltii kis tarah ye aa.ii?aaj kii big.Dii ho to bane bhiiazal kii big.Dii KHaak banegiituu jo chaahe vo nahii.n Taltaabande kaa yaa.n bas nahii.n chaltaamaare aur na de tuu ronethapke aur na de tuu soneThahre ban aatii hai na bhaageterii zabardastii ke aagetujh se kahii.n gar bhaagnaa chaahe.nband hai.n chaaro.n khuu.nT kii raahe.ntuu maare aur KHvaah navaazepa.Dii hu.ii huu.n mai.n tere darvaazetujh ko apnaa jaantii huu.n mai.ntujh se nahii.n to kis se kahuu.n mai.nmaa.n hii sadaa bachche ko maareaur bachcha maa.n maa.n hii pukaare(4)ai mire zor aur qudrat vaalehikmat aur hukuumat vaalemai.n lau.nDii terii dukhyaaredarvaaze kii terii bhikaariimaut kii KHvaahaa.n jaan kii dushmanjaan apnii hai aap ajiiranapne paraa.e kii dhutkaariimaike aur sasuraal pe bhaariisah ke bahut aazaar chalii huu.nduniyaa se bezaar chalii huu.ndil par mere daaG hai.n jitnemu.nh me.n bol nahii.n hai.n utnedukh dil kaa kuchh kah nahii.n saktiiis ke sivaa kuchh kah nahii.n saktiitujh pe hai raushan sab dukh dil kaatujh se haqiiqat apnii kahuu.n kyaabyaah ke dam paa.ii thii na lenelene ke yaa.n pa.D ga.e deneKHushii me.n bhii dukh saath na aayaaGam ke sivaa kuchh haat na aayaaek KHushii ne Gam ye dikhaa.eek ha.nsii ne gul hii khilaa.ekaisaa thaa ye byaah ninaavaa.njuu.nhii pa.Daa is kaa parchaavaa.nchain se rahne diyaa na jii kokar diyaa maliyaameT KHushii koro nahii.n saktii ta.ng huu.n yaa.n takaur ro.uu.n to ro.uu.n kahaa.n takha.ns ha.ns dil bahlaa.uu.n kyuu.n-karoso.n pyaas bujhaa.uu.n kyuu.n-karek kaa kuchh jiinaa nahii.n hotaaek na ha.nstaa bhalaa na rotaaleTe gar sone ke bahaanepaa.entii kal hai aur na sirhaanejaagiye to bhii ban nahii.n pa.Dtiijaagne kii aaKHir ko.ii had bhiiab kal ham ko pa.Degii mar kargor hai suunii sej se behtarbaat se nafrat kaam se vahshatTuuTii aas aur bujhii tabii.ataabaadii jangal kaa namuunaduniyaa suunii aur ghar suunaadin hai bhayaanak aur raat Daraaniiyuu.n guzrii saarii ye javaaniibahne.n aur bahneliyaa.n meriisaath kii jo thii.n kheliyaa.n meriimil na sakii.n jii khol ke mujh seKHush na hu.ii.n ha.ns bol ke mujh sejab aa.ii.n ro-dho ke ga.ii.n vojab ga.ii.n be-kal ho ke ga.ii.n voko.ii nahii.n dil kaa bahlaavaaaa nahii.n chuktaa meraa bulaavaaaaTh pahar kaa hai ye julaapaakaaTuu.ngii kis tarah ra.nDaapaathak ga.ii dukh sahte sahtetham ga.e aa.nsuu bahte bahteaag khulii dil kii na kisii parghul ga.ii jaan andar hii andardekh ke chup jaanaa na kisii nejaan ko phuu.nkaa dil kii lagii nedabii thii bhobhal me.n chi.ngaariilii na kisii ne KHabar hamaariiqaum me.n vo KHushiyaa.n biyaaho.n kiishahr me.n vo dho.e.n saaho.n kiityauhaaro.n kaa aa.e din aanaaaur sab kaa tyauhaar manaanaavo chait aur phaagun kii havaa.e.nvo saavan bhaado.n kii ghaTaa.e.nvo garmii kii chaa.ndnii raate.nvo armaan bharii barsaate.nkis se kahuu.n kis taur se kaaTe.nKHair kaTe.n jis taur se kaaTe.nchaav ke aur KHushiyo.n ke samay sabaate hai.n KHush kal jaan ko ho jabra.nj me.n hai.n saamaan KHushii keaur jalaane vaale hii keghar barkhaa aur piyaa bidesiiaa.iyo barkhaa kahii.n na aisiidin ye javaanii ke kaTe aisebaaG me.n panchhii qaid ho jaiserut ga.ii saarii sar Takraateu.D na sake par hote saarekisii ne hogii kuchh kal paa.iimujhe to shaadii raas na aa.iiaas ba.ndhii lekin na milaa kuchhphuul aayaa aur phal na lagaa kuchhrah gayaa de kar chaa.nd dikhaa.iichaa.nd hu.aa par iid na aa.iiphal kii KHaatir barchhii khaa.iiphal na milaa aur jaan ga.nvaa.iiret me.n zarre dekh chamaktedau.D pa.Dii me.n jhiil samajh kechaaro.n khuu.nT nazar dau.Daa.iipar paanii kii buu.nd na paa.ii
chalo ham eid manaa.e.n ki jashn kaa din haiKHushii ke giit sunaa.e.n ki jashn kaa din hairuKHo.n pe phuul khilaa.e.n ki jashn kaa din haidilo.n me.n priit jagaa.e.n ki jashn kaa din hai
ham to majbuur the is dil se ki jis me.n har damgardish-e-KHuu.n se vo kohraam bapaa rahtaa haijaise rindadan-e-balaa-nosh jo mil baiThe.n bahammai-kade me.n safar-e-jaam bapaa rahtaa haisoz-e-KHaatir ko milaa jab bhii sahaaraa ko.iidaaG-e-hirmaan ko.ii, dard-e-tamannaa ko.iimarham-e-yaas se maa.il-ba-shifaa hone lagaazaKHm-e-ummiid ko.ii phir se haraa hone lagaaham to majbuur the is dil se ki jis kii zid parham ne us raat ke maathe pe sahar kii tahriirjis ke daaman me.n a.ndhere ke sivaa kuchh bhii na thaaham ne is dasht ko Thahraa liyaa firdaus-e-naziirjis me.n juz san.at-e-KHuun-e-sar-e-paa kuchh bhii na thaadil ko ta.abiir ko.ii aur gavaaraa hii na thiikulfat-e-ziist to manzuur thii har taur magarraahat-e-marg kisii taur gavaaraa hii na thii
udaas kyo.n hohame.n bataa.otumhe.n udaasii kii ranjisho.n se rihaa kare.ngeagarche ham aise KHaak-zaado.n kii dastaras me.n shifaa nahii.n haitumhaare zaKHmo.n ko bhar de aisii davaa nahii.n haimagar ham aise KHudaa-parasto.n kii dastaras me.n du'aa-e-kun haitumhaare haq me.n du'aa kare.ngeudaas kyo.n hohame.n bataa.o
KHudaa alii-ga.Dh ke madrase ko tamaam amraaz se shifaa debhare hu.e hai.n raiis-zaade amiir-zaade shariif-zaadelatiif o KHush-vaz.a chust o chaalaak o saaf o paakiiza shaad-o-KHurramtabii.ato.n me.n hai in kii jaudat dilo.n me.n in ke hai.n nek iraadekamaal-e-mehnat se pa.Dh rahe hai.n kamaal-e-Gairat se pa.Dh rahe hai.nsavaar mashriq raah me.n hai.n to maGribii raah me.n piyaadehar ik hai in me.n kaa be-shak aisaa ki aap use chaahte hai.n jaisaadikhaave mahfil me.n qadd-e-ra.anaa jo aap aa.e.n to sar jhukaa defaqiir maa.nge to saaf kah de.n ki tuu hai mazbuut jaa kamaa khaaqubuul farmaa.e.n aap daavat to apnaa sarmaaya kul khilaa debuto.n se in ko nahii.n lagaavaT miso.n kii lete nahii.n vo aahaTtamaam quvvat hai sarf-e-KHvaandan nazar ke bhole hai.n dil ke saadenazar bhii aa.e jo zulf-e-pechaa.n to samjhe.n ye ko.ii policy haielectric light us ko samjhe.n jo barq-vash ko.ii kuudenikalte hai.n kar ke Gol-bandii ba-naam-e-tahziib o dard-mandiiye kah ke lete hai.n sab se chande jo tum hame.n do tumhe.n KHudaa deunhe.n isii baat par yaqii.n hai ki bas yahii asl kaar-e-dii.n haiisii se hogaa faroG-e-qaumii isii se chamke.nge baap daademakaan-e-college ke sab makii.n hai.n abhii unhe.n tajrabe nahii.n hai.nKHabar nahii.n hai ki aage chal kar hai kaisii manzil hai.n kaise jaadedilo.n me.n in ke hai.n nuur-e-iimaa.n qavii nahii.n hai magar nigahbaa.nhavaa-e-mantiq adaa-e-tiflii ye sham.a aisaa na ho bujhaa defareb de kar nikaale matlab sikhaa.e tahqiir-e-diin-o-mazhabmiTaa de aaKHir ko diin-o-maz.hab numuud-e-zaatii ko go ba.Dhaa deyahii bas 'akbar' kii iltijaa hai janaab baarii me.n ye du.aa haiuluum o hikmat kaa dars in ko professor de.n samajh KHudaa de
kuchh jaag rahii kuchh sotii haihar mauj-e-sabaa mu.nh dhotii hainaa-shushta ruKH yaa motii haia.ng.Daa.ii se jiz-biz hotii haiye kaun uThaa hai sharmaataa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books