aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "sukh"
1vo sub.h kabhii to aa.egiiin kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh kaa saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab mar mar kar jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na taulii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiino.n ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg banaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii2vo sub.h hamii.n se aa.egiijab dhartii karvaT badlegii jab qaid se qaidii chhuuTe.ngejab paap gharau.nde phuuTe.nge jab zulm ke bandhan TuuTe.ngeus sub.h ko ham hii laa.e.nge vo sub.h hamii.n se aa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiimanhuus samaajii Dhaa.ncho.n me.n jab zulm na paale jaa.e.ngejab haath na kaaTe jaa.e.nge jab sar na uchhaale jaa.e.ngejailo.n ke binaa jab duniyaa kii sarkaar chalaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiisansaar ke saare mehnat-kash kheto.n se milo.n se nikle.ngebe-ghar be-dar be-bas insaa.n taariik bilo.n se nikle.ngeduniyaa amn aur KHush-haalii ke phuulo.n se sajaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egii
jo zindagii ke na.e safar me.ntujhe kisii vaqt yaad aa.e.nto ek ik harf jii uThegaapahan ke anfaas kii qabaa.e.nudaas tanhaa.iyo.n ke lamho.nme.n naach uTThe.ngii ye apsaraa.e.nmujhe tire dard ke alaava bhiiaur dukh the ye maantaa huu.nhazaar Gam the jo zindagii kiitalaash me.n the ye jaantaa huu.nmujhe KHabar thii ki tere aa.nchal me.ndard kii ret chhaantaa huu.nmagar har ik baar tujh ko chhuu karye ret ra.ng-e-hinaa banii haiye zaKHm gulzaar ban ga.e hai.nye aah-e-sozaa.n ghaTaa banii haiye dard mauj-e-sabaa hu.aa haiye aag dil kii sadaa banii haiaur ab ye saarii mataa-e-hastiiye phuul ye zaKHm sab tire hai.nye dukh ke nauhe ye sukh ke naGmejo kal mire the vo ab tire hai.njo terii qurbat tirii judaa.iime.n kaT ga.e roz-o-shab tire hai.nvo teraa shaa.ir tiraa muGanniivo jis kii baate.n ajiib sii thii.nvo jis ke andaaz KHusravaana theaur adaa.e.n Gariib sii thii.nvo jis ke jiine kii KHvaahishe.n bhiiKHud us ke apne nasiib sii thii.nna puuchh is kaa ki vo divaanabahut dino.n kaa uja.D chukaa haivo kohkan to nahii.n thaa lekinka.Dii chaTaano.n se la.D chukaa haivo thak chukaa thaa aur us kaa teshausii ke siine me.n ga.D chukaa hai
ye dhuum-dha.Dakkaa saath liye kyuu.n phirtaa hai jangal jangalik tinkaa saath na jaavegaa mauquuf hu.aa jab ann aur jalghar-baar aTaarii chaupaarii kyaa KHaasaa nain-sukh aur malmalchalvan parde farsh na.e kyaa laal pala.ng aur ra.ng-mahalsab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
mai.n ne maazii se ka.ii KHushk sii shaaKHe.n kaaTii.ntum ne bhii guzre hu.e lamho.n ke patte to.Demai.n ne jebo.n se nikaalii.n sabhii suukhii nazme.ntum ne bhii haatho.n se murjhaa.e hu.e KHat kholeapnii in aa.nkho.n se mai.n ne ka.ii maa.nje to.Deaur haatho.n se ka.ii baasii lakiire.n phe.nkii.ntum ne palko.n pe namii suukh ga.ii thii so giraa diiraat bhar jo bhii milaa ugte badan par ham kokaaT ke Daal diyaa jalte alaa.o me.n use
vo sub.h kabhii to aa.egiiun kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab marmar ke jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na tolii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.e jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiine ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg bataa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii
ye dhuup kinaaraa shaam Dhalemilte hai.n dono.n vaqt jahaa.njo raat na din jo aaj na kalpal-bhar ko amar pal bhar me.n dhu.aa.nis dhuup kinaare pal-do-palho.nTo.n kii lapakbaa.nho.n kii chhanakye mel hamaaraa jhuuT na sachkyuu.n raar karo kyuu.n dosh dharokis kaaran jhuuTii baat karojab terii samundar aa.nkho.n me.nis shaam kaa suuraj Duubegaasukh so.e.nge ghar dar vaaleaur raahii apnii rah legaa
1ye bachcha kaisaa bachcha haiye bachcha kaalaa kaalaa saaye kaalaa saa maTiyaalaa saaye bachcha bhuukaa bhuukaa saaye bachcha suukhaa suukhaa saa
kyuu.n na jahaa.n kaa Gam apnaa le.nba.ad me.n sab tadbiire.n soche.nba.ad me.n sukh ke sapne dekhe.nsapno.n kii ta.abiire.n soche.n
dukh kaa dariyaa sukh kaa saagar is ke dam se dekh liyeham ko apne saath hii le kar Duubaa chaa.nd aur ubhraa chaa.nd
ye jiivan ik raah nahii.nik doraahaa haipahlaa rastabahut sahal haiis me.n ko.ii mo.D nahii.n haiye rastais duniyaa se bejo.D nahii.n haiis raste par milte hai.nreto.n ke aa.nganis raste par milte hai.nrishto.n ke bandhanis raste par chalne vaalekahne ko sab sukh paate hai.nlekinTuk.De Tuk.De ho karsab rishto.n me.n baT jaate hai.napne palle kuchh nahii.n bachtaabachtii haibe-naam sii uljhanbachtaa haisaa.nso.n kaa ii.ndhanjis me.n un kii apnii har pahchaanaur un ke saare sapnejal bujhte hai.nis raste par chalne vaaleKHud ko kho kar jag paate hai.nuupar uupar to jiite hai.nandar andar mar jaate hai.n
sukh chain nahii.n le chal!ai ishq kahii.n le chal!
lekin phir soch ye aatii haijab naddii bahtii jaatii haiaur apnii anant kahaanii me.nyuu.n be-dhyaanii me.n ravaanii me.nmaanaa har mo.D pe mu.Dtii haipar jii kii kah ke guzartii haisar par aa.ii sah jaatii haiaur mu.nh aa.ii kah jaatii haidhartii ke siine pe cha.Dhtii haiaur aage hii aage ba.Dhtii haiyuu.n mai.n bhii dil kii baat kahuu.njii me.n aa.e to nazm likhuu.nchaahe ik baat me.n sau baate.njiite.n le aa.e.n yaa maate.nchaahe ko.ii baat bane na banechaahe sukh ho.n yaa dukh apnechaahe ko.ii mujh se aa ke kahekyuu.n bol uThe kyuu.n chup na rahe
yuu.nhii dekhuu.n jo raakhii ko to ye rangiin Doraa haijo dekhuu.n Gaur se is ko to hai zanjiir lohe kiijo ba.Dh kar qaid kar letii hai aafat apne bhaa.ii kiimusiibat kii haqiiqat kyaamusiibat aa nahii.n saktiimusiibat kaa.np jaatii haijo raakhii dekh letii haikisii bhaa.ii ke haath me.nraakhii ke dhaage me.nbahan ne pyaar baa.ndhaa haiitihaas me.n raakhii hai rishta bhaa.ii bahno.n kaahavaala is me.n poshiida hai sadiyo.n ke rishto.n kaaba.ndhaa hai pyaar is me.n bahan kaaaur us ke purkho.n kaaraakhiinibhaanaa laaj raakhii kii mire bhayyaabahan kaa maan rakh lenaaba.ndhaa kar haath me.n raakhii bahan sehar ko.ii bhaa.iibahan ke sukh ke vaastetayyaar ho jaataa hai marne komagar bhayyaatumhaarii zindagii tobahan ko dil se pyaarii haisalaamat tum rahobhagvaan se bintii hamaarii haijo chaaho neg tum denaato mujh ko ye vachan de dona uThe phir ko.ii diivaar nafrat kiibahan bhaa.ii ke aa.ngan me.nnahii.n byopaar kuchh is me.nye ik vyahvaar hai bhayyaanahii.n hai kachchaa ye Doraatiraa e.atibaar hai bhayyaa
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
ai dil ai banda-e-vatan hoshiyaarKHvaab-e-Gaflat se ho zaraa bedaaro sharaab-e-KHudii ke matvaaleghar kii chaukhaT ke chuumne vaalenaam hai kyaa isii kaa hubb-e-vatanjis kii tujh ko lagii hu.ii hai lagankabhii bachcho.n kaa dhyaan aataa haikabhii yaaro.n kaa Gam sataataa haiyaad aataa hai apnaa shahr kabhiilau kabhii ahl-e-shahr kii hai lagiinaqsh hai.n dil pe kuucha-o-baazaarphirte aa.nkho.n me.n hai.n dar-o-diivaarkyaa vatan kyaa yahii mohabbat haiye bhii ulfat me.n ko.ii ulfat haiis me.n insaa.n se kam nahii.n hai.n darindis se KHaalii nahii.n chairnd o parindTuk.De hote hai.n sang Gurbat me.nsuukh jaate hai.n ruukh furqat me.njaa ke kaabul me.n aam kaa paudaakabhii parvaan cha.Dh nahii.n saktaaaa ke kaabul se yaa.n bihii-o-anaarho nahii.n sakte baarvar zinhaarmachhlii jab chhuuTtii hai paanii sehaath dhotii hai zindagaanii seaag se jab hu.aa samundar duurus ko jiine kaa phir nahii.n maqduurgho.De jab khet se bichha.Dte hai.njaan ke laale un ke pa.Dte hai.ngaa.e, bhai.ns uu.nT ho yaa bakriiapne apne Thikaane KHush hai.n sabhiikahiye hubb-e-vatan isii ko agarham se haivaa.n nahii.n hai.n kuchh kam-tarhai ko.ii apnii qaum kaa hamdardnau-e-insaa.n kaa samjhe.n jis ko fardjis pe itlaaq-e-aadmii ho sahiihjis ko haivaa.n pe de sake.n tarjiihqaum par ko.ii zad na dekh sakeqaum kaa haal-e-bad na dekh sakeqaum se jaan tak aziiz na hoqaum se ba.Dh ke ko.ii chiiz na hosamjhe un kii KHushii ko raahat-e-jaa.nvaa.n jo nau-roz ho to iid ho yaa.nra.nj ko un ke samjhe maaya-e-Gamvaa.n agar sog ho to yaa.n maatambhuul jaa.e sab apnii qadr-e-jaliildekh kar bhaa.iyo.n ko KHvaar-o-zaliiljab pa.De un pe gardish-e-aflaakapnii aasaa.isho.n pe Daal de KHaak
saaraa din mai.n KHuun me.n lat-pat rahtaa huu.nsaare din me.n suukh suukh ke kaalaa pa.D jaataa hai KHuunpap.Dii sii jam jaatii haikhurach khurach ke naaKHuuno.n secham.Dii chhilne lagtii hainaak me.n KHuun kii kachchii buuaur kap.Do.n par kuchh kaale kaale chakte se rah jaate hai.n
mirii jaa.n ab bhii apnaa husn vaapas pher de mujh koabhii tak dil me.n tere ishq kii qindiil raushan haitire jalvo.n se bazm-e-zindagii jannat-ba-daaman haimirii ruuh ab bhii tanhaa.ii me.n tujh ko yaad kartii haihar ik taar-e-nafas me.n aarzuu bedaar hai ab bhiihar ik be-ra.ng saa.at muntazir hai terii aamad kiinigaahe.n bichh rahii hai.n raasta zar-kaar hai ab bhiimagar jaan-e-hazii.n sadme sahegii aaKHirash kab taktirii be-mehriyo.n par jaan degii aaKHirash kab taktirii aavaaz me.n so.ii hu.ii shiiriiniyaa.n aaKHirmire dil kii fasurda KHalvato.n me.n jaa na paa.e.ngiiye ashko.n kii faraavaanii se dhundlaa.ii hu.ii aa.nkhe.ntirii raanaa.iyo.n kii tamkanat ko bhuul jaa.e.ngiipukaare.nge tujhe to lab ko.ii lazzat na paa.e.ngeguluu me.n terii ulfat ke taraane suukh jaa.e.ngemabaadaa yaad-haa-e-ahd-e-maazii mahv ho jaa.e.nye paariina fasaane mauj-haa-e-Gam me.n kho jaa.e.nmire dil kii taho.n se terii suurat dhul ke bah jaa.ehariim-e-ishq kii sham-e-daraKHshaa.n bujh ke rah jaa.emabaadaa ajnabii duniyaa kii zulmat gher le tujh komirii jaa.n ab bhii apnaa husn vaapas pher de mujh ko
sabza sabza suukh rahii hai phiikii zard dopahardiivaaro.n ko chaaT rahaa hai tanhaa.ii kaa zahrduur ufuq tak ghaTtii ba.Dhtii uThtii rahtii haikohr kii suurat be-raunaq dardo.n kii gadlii lahrbastaa hai is kohr ke piichhe raushniyo.n kaa shahr
vahii narm lahjajo itnaa mulaa.em hai jaisedhanak giit ban ke samaa.at ko chhuune lagii hoshafaq narm komal suro.n me.n ko.ii pyaar kii baat kahne chalii hokis qadar rang-o-aahang kaa kis qadar KHuubsuurat safarvahii narm lahjakabhii apne maKHsuus andaaz me.n mujh se baate.n karegaato aisaa lagejaise resham ke jhuule pe ko.ii madhur giit halkore lene lagaa hovahii narm lahjakisii shoKH lamhe me.n us kii ha.nsii ban ke bikhreto aisaa lagejaise qaus-e-quzah ne kahii.n paas hii apnii paazeb chhankaa.ii haiha.nsii ko vo rim-jhimki jaise fazaa me.n banafshii chamakdaar buu.ndo.n ke ghu.nghruu chhanakne lage ho.nki phirus kii aavaaz kaa lams paa kehavaa.o.n ke haatho.n me.n an-dekhe ka.ngan khanakne lage ho.nvahii narm lahja mujhe chhe.Dne par jab aa.eto aisaa lagegaajaise saavan kii chanchal havaasabz patto.n ke jhaa.njhan pahansurKH phuulo.n kii paa.el bajaatii hu.iimere ruKHsaar kogaahe gaahe sharaare se chhuune lagemai.n jo dekhuu.n palaT ke to vobhaag jaa.e magarduur pe.Do.n me.n chhup kar ha.nseaur phir nanhe bachcho.n kii maanind KHush ho ke taalii bajaane lagevahii narm lahjaki jis ne mire zaKHm-e-jaa.n pe hamesha shagufta gulaabo.n kii shabnam rakhii haibahaaro.n ke pahle parinde kii maanind haijo sadaa aane vaale na.e sukh ke mausam kaa qaasid banaa haiusii narm lahje ne phir mujh ko aavaaz dii hai
diida-o-dil gavaah hai.n jaanaa.nsukh se jaagaa na chain se soyaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books