aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "tu.de"
aa lagii hai ret diivaaro.n ke saathsaare darvaazo.n ke saathsurKH ii.nTo.n kii chhato.n par re.ngtii hainiilii niilii khi.Dkiyo.n se jhaa.nktii hairetret ruk jaakhel tai kar le.nsunahre taash ke patto.n se darzo.nrauzano.n ko band kar le.n retruk jaasust barsaate.n ki jin par dau.D pa.Dnaajin ko daa.nto.n me.n chabaa lenaako.ii mushkil na thaatuu ne vo saarii nigal Daalii hai.n raatraat ham ha.nste rahe ai rettuu diivaanii billii thii jo apnii dum ke piichheghuumtii jaatii thiius ko chaaTtii jaatii thii raatret kii ik umr hai ik vaqt hailekin hame.nKHud se judaa kartii chalii jaatii hai retnaa-gahaa.n ham sab pe chhaa jaane kii KHaatirye hamaarii maut ban kar taaza kar detii haiyaade.n duur kii yaa der kiiret ko muTThii me.n le kar dekhte hai.napne poro.n se use chhante hu.eham dekhte hai.napne paa.nv me.n phisalte dekhte hai.nret par chalte hu.eapne gesuu se aT jaate hai.nbhar jaate hai.n pairaahanhamaare baatino.n ko chiirtii jaatii hai retphailtii jaatii hai jism-o-jaa.n ke har-suuham pe gheraa Daaltii jaatii hairetret ik musbat nafii thiiret sarhad thii kabhiiret aarif kii aziyyat kaa badal thiiaa.nsu.o.n kii Gam kii pahnaa.ii thii retapnii juu.yaa.ii thii retret me.n har-kas the hamduusraa ko.ii na thaaret vo duniyaa thii jis par dushmano.n kiimohr lag saktii na thiius ko apnaa tak ko.ii saktaa na thaaret par ham sun rahe hai.n aajpiiraana-sarii kii apnii tanhaa.iikii chaapdin ke saahil par utar karaane vaalii raat ke tuude lagaatiijaa rahii hainaa-gahaa.n kii be-nihaayat ko u.Daa laa.ii hairetdil ke suune-pan me.n dar aa.ii hairetret
phir ik dinhamaarii kahaanii pe filme.n bane.ngiimohabbat ke raste me.nchaahe samaajii ma'aashiiyaa diinii masaa.il ketuude tabaahii machaa de.nmai.n har film ke aaKHirii scene me.ntum ko zinda rakhuu.ngaa
mai.n bachpan me.ndo qalam ek saath maa.ngtii thiimere daadaa KHush ho jaateaur merii maa.n bhii muskuraatiipaapaa, naanaa ban.ne se pahlebachcho.n ke khel me.n dilchaspii nahi.n letemai.n do do haatho.n se lakiire.n khe.nchtiiek din mere haatho.naurat ban ga.iijas ke haath pair hii nahi.ndil aur dimaaG bhii dukh rahe thephir is kii tahziib karne me.nmerii chhattiis raate.n guzar ga.ii.nsai.ntiisvii.n raatpaapaa mere khel me.n shariik hu.emu.De-tu.De kaaGaz jaiseus aurat koapnii jeb me.n Thuu.ns liyaamai.n malaal me.napne dono.n qalam to.D baiThiiab aurat nahi.nphuul banaa.uu.ngiikaaGzii phuuljinhe.n na kahii.n miTii kii zaruuratna havaa raushnii aur paanii kii muhtaaj hophir jo jahaa.n chaaheunhe.n rakh deyaa sajaa de
muTThii bhar KHaak se ziist kaa saamaanret ke tuude par shiishe kaa makaanjo ban jaa.e to makiino.n ke dha.Dakte dilKHauf se larzaa-o-hiraasaa.n rahe.n har palki puurab se aa.ii aa.ndhiiyaa pachchhim se patthar kii zarbchahaar-jaanib changez-o-halaakuu ke jaa-nashii.namn-o-shaa.ntii ke pardo.n me.n halaakat kii baate.njin se laraz jaa.e.n pahaa.Do.n ke paratkamzor haath du.aa.o.n ke liye uThte hu.ena.ii tahziib me.n KHud ko tanhaa dekh karki puurab se aa.ii aa.ndhiiyaa pachchhim se patthar kii zarbmuTThii bhar KHaak se ziist kaa saamaanret ke tuude par shiishe kaa makaan
jab bache shaaKHo.n par palte ho.n baarish kaa kyaa KHaufhaa.n baarish saagar kaa pahlaa harkaara haiaur kiilo.n kii ye jo.Dii la.Dke kal tak saath na degiivo aa.nkhe.n miiche ha.nstii hai aur sotii haila.Dke jaldii ghar aa jaanaapaanii Thahar gayaa haiaur la.Dkaa ghar na gayaavo la.Dkaa ghar na gayaaaur dekhne vaalo.n ne dekhaavo barf ke tuude khii.nchtaa thaa aur rotaa thaaaur ghar paanii ke beach jhakole khaataa thaapaanii jo Thahar gayaa
raat a.ndherii thii sunsaan thii aur mai.ntang-o-taariik galiyo.n se hotaa hu.aaajnabii se KHayaalo.n me.n khoyaa hu.aaek aise nagar jaa ke pahu.nchaa jahaa.nsarsaraate daraKHto.n ne phunkaartii vahshato.n ne miraa KHair-maqdam kiyaachand lamhe KHamoshii me.n guzre magarphir achaanak kahii.n se ko.ii naGma-e-Gam sunaa.ii diyaamerii nazre.n sadaa ke ta'aaqub me.n pahu.nchii.n bahut duur takaur girtaa sa.nbhaltaa muGannii talak mai.n pahu.nch hii gayaapaas hii us ke thii ek qindiil jaltii hu.iiKHaak ke ek tuude pe chaadar shagufta se phuulo.n kii thiiaur bhii an-ginat KHaak ke Dher themai.n ki kuchh bolnaa chaahtaa thaa magarus ne merii taraf kuchh tavajjoh na kiijaane kyaa baat thiiphir sahar ho ga.iiaur mai.n ek goshe me.n gum-sum yahii sochtaa rah gayaakis qadar jaa.n-fazaa hai yahaa.n kii fazaakyo.n na har roz aataa rahuu.n mai.n yahaa.nek din is nagar me.n hamesha hamesha ko aanaa hii hai
mu.De-tu.De kaaGazo.n ke purzejo apne siine me.n vaqt kebe-shumaar dukh-sukh liye hu.e hai.nhazaaro.n sadiyo.n ke udh.De-pudh.Desafar se guzreka.ii mashiino.n ke jism chhuu kar yahaa.n tak aa.eyahaa.n pa.De sochte hai.nye kaa.enaat raddii kii Tokarii haijahaa.n hamaarii masaafate.n aur KHudaake vaa’desisak rahe hai.n
baizavii chehrabe-suuratsar par mu.De-tu.De do sii.ngaur siine ke vast me.n ikpanj-konii aa.nkhaa.nkh kii putlii me.n meraa hii aks muqayyadaatish-fishaa.n pahaa.D kii gahraa.ii se ubhar karKHuunii panjebhe.nch bhe.nch karkhurdure lahje me.n vo chiiKHaaapnii marzii kii to sub.h bistar parjism nahii.nmak.Dii kaa jaalaa paa.ogiimeraa hukm hai aa jaa.oaur barahna hote hiimujh ko chhuu karmere jaisii ban jaa.oaa jaa.oaa jaa.oaa jaa.o
ik muddat se ik kuuza-garghuumte chaak parKHvaahisho.n aarzuu.o.n kii ikmuurtii sii banaataa rahaaus kaa fanus kii shohrat kaa baa'is banaaus ko 'izzat milii aur daulat miliichain se ho rahii thii basar zindagiiphir achaanak 'ajab sii ik aavaaz dil me.n uThiiaur iThlaa ke boliisuno ai kuuza-garKHuub-suurat bahut hai.n tumhaare sanampar ye qaamat me.n tum se hai.n kamtar bahutapne fan kii anaa ke takabbur ko o.Dhe hu.ekuuza-gar ne ye KHud se kahaaek aisii bhii muurat kii taKHliiq hojo ujaagar kare qadr-o-qiimat miriijis kaa qad aur aakaar mere baraabar kaa hotab ga.Dhii us ne muurat pe muurat na.iiun kaa aakaar ba.Dhtaa gayaaphir yahaa.n tak ba.Dhaaus kii sab muurate.nus ke qad se ba.Dii ho ga.ii.nchaak chhoTaa thaa aur haath bhii us ke apne puraane hii thephir hu.aa ye ki vo aaKHirii muurtiiek tuude se yuu.n TuuT kar gir pa.Diichaak aur kuuza-garDher me.n dab ga.e
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
aur mai.n jis ne tujhe apnaa masiihaa samjhaaek zaKHm aur bhii pahle kii tarah sah jaa.uu.njis pe pahle bhii ka.ii ahd-e-vafaa TuuTe hai.nisii do-raahe pe chup-chaap kha.Daa rah jaa.uu.n
le ke ik cha.ngez ke haatho.n se KHanjar to.D duu.ntaaj par us ke damaktaa hai jo patthar to.D duu.nko.ii to.De yaa na to.De mai.n hii ba.Dh kar to.D duu.nai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
na jaane aariba kyuu.n aa.e kyuu.n musta.araba aa.emuzir ke log to chhaane hii vaale the so vo chhaa.emire jad haashim-e-aalii ga.e gazza me.n dafnaa.emai.n naaqe ko pilaa.uu.ngaa mujhe vaa.n tak vo le jaa.eliduu lilmauti vabnuu lilhizaabi san KHaraabaatiivo mard-e-uus kahtaa hai haqiiqat hai KHuraafaatiiye zaalim tiisraa paig ik aqaaniimii bidaayat haiuluuhii harzaa-farmaa.ii kaa sirr-e-tuur-e-luknat haibhalaa huurab kii jhaa.Dii kaa vo ramz-e-aatishii.n kyaa thaamagar huurab kii jhaa.Dii kyaa ye kis se kis kii nisbat haiye nisbat ke bahut se qaafiye hai.n hai gilaa is kaamagar tujh ko to yaaraa! qaafiyo.n kii be-tarah lat haigumaa.n ye hai ki shaayad bahr se KHaarij nahii.n huu.n mai.nzaraa bhii haal ke aaha.ng me.n haarij nahii.n huu.ntanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tantanaa-tan tan nahii.n mehnat-kasho.n kaa tan na pairaahanna pairaahan na puurii aadhii roTii ab rahaa saalanye saale kuchh bhii khaane ko na paa.e.n gaaliyaa.n khaa.e.nhai in kii be-hisii me.n to muqaddas-tar haraamii-pan
kuchh uj.Dii maa.nge.n shaamo.n kiiaavaaz shikasta jaamo.n kiikuchh Tuk.De KHaalii botal kekuchh ghu.ngruu TuuTii paa.el kekuchh bikhre tinke chilman kekuchh purze apne daaman keye taare kuchh tharraa.e hu.eye giit kabhii ke gaa.e hu.ekuchh sher puraanii Gazlo.n keunvaan adhuurii nazmo.n keTuuTii hu.ii ik ashko.n kii la.Diiik KHushk qalam ik band gha.Diimat roko inhe.n paas aane doye mujh se milne aa.e hai.nmai.n KHud na jinhe.n pahchaan sakuu.nkuchh itne dhu.ndle saa.e hai.n
daliil-e-sub.h-e-raushan hai sitaaro.n kii tunuk-taabiiufuq se aaftaab ubhraa gayaa daur-e-giraa.n-KHvaabiiuruuq-murda-e-mashriq me.n KHuun-e-zindagii dau.Daasamajh sakte nahii.n is raaz ko siinaa o faaraabiimusalmaa.n ko musalmaa.n kar diyaa tuufaan-e-maGrib netalaatum-haa-e-dariyaa hii se hai gauhar kii sairaabiiataa momin ko phir dargaah-e-haq se hone vaalaa haishikoh-e-turkamaanii zehn hindii nutq aaraabiiasar kuchh KHvaab kaa Guncho.n me.n baaqii hai tuu ai bulbulnavaa-raa talKH-tarmii zan chuu zauq-e-naGma kam-yaabiita.Dap sehn-e-chaman me.n aashiyaa.n me.n shaaKH-saaro.n me.njudaa paare se ho saktii nahii.n taqdiir-e-siimaabiivo chashm-e-paak hai.n kyuu.n ziinat-e-bar-gustavaa.n dekhenazar aatii hai jis ko mard-e-Gaazii kii jigar-taabiizamiir-e-laala me.n raushan charaaG-e-aarzuu kar dechaman ke zarre zarre ko shahiid-e-justujuu kar desarishk-e-chashm-e-muslim me.n hai naisaa.n kaa asar paidaaKHaliilullaah ke dariyaa me.n ho.nge phir guhar paidaakitaab-e-millat-e-baizaa kii phir shiiraaza-bandii haiye shaaKH-e-haashmii karne ko hai phir barg-o-bar paidaarabuud aa.n turk shiiraazii dil-e-tabrez-o-kaabul raasabaa kartii hai buu-e-gul se apnaa ham-safar paidaaagar usmaaniyo.n par koh-e-Gam TuuTaa to kyaa Gam haiki KHuun-e-sad-hazaar-anjum se hotii hai sahar paidaajahaa.nbaanii se hai dushvaar-tar kaar-e-jahaa.n-biiniijigar KHuu.n ho to chashm-e-dil me.n hotii hai nazar paidaahazaaro.n saal nargis apnii be-nuurii pe rotii haiba.Dii mushkil se hotaa hai chaman me.n diida-var paidaanavaa-pairaa ho ai bulbul ki ho tere tarannum sekabuutar ke tan-e-naazuk me.n shaahii.n kaa jigar paidaatire siine me.n hai poshiida raaz-e-zindagii kah demusalmaa.n se hadiis-e-soz-o-saaz-e-zindagii kah deKHudaa-e-lam-yazal kaa dast-e-qudrat tuu zabaa.n tuu haiyaqii.n paidaa kar ai Gaafil ki maGluub-e-gumaa.n tuu haipare hai charKH-e-niilii-faam se manzil musalmaa.n kiisitaare jis kii gard-e-raah ho.n vo kaarvaa.n to haimakaa.n faanii makii.n faanii azal teraa abad teraaKHudaa kaa aaKHirii paiGaam hai tuu jaavedaa.n tuu haiHinaa-band-e-uruus-e-laala hai KHuun-e-jigar teraatirii nisbat baraahiimii hai memaar-e-jahaa.n tuu haitirii fitrat amii.n hai mumkinaat-e-zindagaanii kiijahaa.n ke jauhar-e-muzmar kaa goyaa imtihaa.n to haijahaan-e-aab-o-gil se aalam-e-jaaved kii KHaatirnubuvvat saath jis ko le ga.ii vo armuGaa.n tuu haiye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizaa se hai paidaaki aqvaam-e-zamiin-e-asia kaa paasbaa.n tuu haisabaq phir pa.Dh sadaaqat kaa adaalat kaa shujaa.at kaaliyaa jaa.egaa tujh se kaam duniyaa kii imaamat kaayahii maqsuud-e-fitrat hai yahii ramz-e-musalmaaniiuKHuvvat kii jahaa.ngiirii mohabbat kii faraavaaniibutaan-e-ra.ng-o-KHuu.n ko to.D kar millat me.n gum ho jaana tuuraanii rahe baaqii na iiraanii na afGaaniimiyaan-e-shaaKH-saaraa.n sohbat-e-murG-e-chaman kab taktire baazuu me.n hai parvaaz-e-shaahiin-e-qahastaaniigumaa.n-aabaad hastii me.n yaqii.n mard-e-musalmaa.n kaabayaabaa.n kii shab-e-taariik me.n qindiil-e-rohbaaniimiTaayaa qaisar o kisraa ke istibdaad ko jis nevo kyaa thaa zor-e-haidar faqr-e-buu-zar sidq-e-salmaaniihu.e ahraar-e-millat jaada-paimaa kis tajammul setamaashaa.ii shigaaf-e-dar se hai.n sadiyo.n ke zindaaniisabaat-e-zindagii iimaan-e-mohkam se hai duniyaa me.nki almaanii se bhii paa.enda-tar niklaa hai tuuraaniijab is a.ngaara-e-KHaakii me.n hotaa hai yaqii.n paidaato kar letaa hai ye baal-o-par-e-ruuh-ul-amii.n paidaaGulaamii me.n na kaam aatii hai.n shamshiire.n na tadbiire.njo ho zauq-e-yaqii.n paidaa to kaT jaatii hai.n zanjiire.nko.ii andaaza kar saktaa hai us ke zor-e-baazuu kaanigaah-e-mard-e-momin se badal jaatii hai.n taqdiire.nvilaayat paadshaahii ilm-e-ashiyaa kii jahaa.ngiiriiye sab kyaa hai.n faqat ik nukta-e-iimaa.n kii tafsiire.nbaraahiimii nazar paidaa magar mushkil se hotii haihavas chhup chhup ke siino.n me.n banaa letii hai tasviire.ntamiiz-e-bandaa-o-aaqaa fasaad-e-aadmiyat haihazar ai chiira-dastaa.n saKHt hai.n fitrat kii ta.aziire.nhaqiiqat ek hai har shai kii KHaakii ho ki nuurii holahuu KHurshiid kaa Tapke agar zarre kaa dil chiire.nyaqii.n mohkam amal paiham mohabbat faatah-e-aalamjihaad-e-zindagaanii me.n hai.n ye mardo.n kii shamshiire.nche baayad mard raa tab-e-buland mashrab-e-naabedil-e-garme nigaah-e-paak-biine jaan-e-betaabeuqaabii shaan se jhapTe the jo be-baal-o-par niklesitaare shaam ke KHuun-e-shafaq me.n Duub kar niklehu.e madfuun-e-dariyaa zer-e-dariyaa tairne vaaletamaa.nche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikleGubaar-e-rahguzar hai.n kiimiyaa par naaz thaa jin kojabiine.n KHaak par rakhte the jo iksiir-gar niklehamaaraa narm-rau qaasid payaam-e-zindagii laayaaKHabar detii thii.n jin ko bijliyaa.n vo be-KHabar nikleharam rusvaa hu.aa piir-e-haram kii kam-nigaahii sejavaanaan-e-tataarii kis qadar saahab-nazar niklezamii.n se nuuryaan-e-aasmaa.n-parvaaz kahte theye KHaakii zinda-tar paa.enda-tar taabinda-tar niklejahaa.n me.n ahl-e-iimaa.n suurat-e-KHurshiid jiite hai.nidhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikleyaqii.n afraad kaa sarmaaya-e-taamiir-e-millat haiyahii quvvat hai jo suurat-gar-e-taqdiir-e-millat haituu raaz-e-kun-fakaa.n hai apnii aa.nkho.n par ayaa.n ho jaaKHudii kaa raaz-daa.n ho jaa KHudaa kaa tarjumaa.n ho jaahavas ne kar diyaa hai Tuk.De Tuk.De nau-e-insaa.n kouKHuvvat kaa bayaa.n ho jaa mohabbat kii zabaa.n ho jaaye hindii vo KHuraasaanii ye afGaanii vo tuuraaniituu ai sharminda-e-saahil uchhal kar be-karaa.n ho jaaGubaar-aaluuda-e-ra.ng-o-nasab hai.n baal-o-par teretuu ai murG-e-haram u.Dne se pahle par-fishaa.n ho jaaKHudii me.n Duub jaa Gaafil ye sirr-e-zindagaanii hainikal kar halqa-e-shaam-o-sahar se jaavedaa.n ho jaamasaaf-e-zindagii me.n siirat-e-faulaad paidaa karshabistaan-e-mohabbat me.n hariir o parniyaa.n ho jaaguzar jaa ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaabaa.n segulistaa.n raah me.n aa.e to juu-e-naGma-KHvaa.n ho jaatire ilm o mohabbat kii nahii.n hai intihaa ko.iinahii.n hai tujh se ba.Dh kar saaz-e-fitrat me.n navaa ko.iiabhii tak aadmii said-e-zabuun-e-shahryaarii haiqayaamat hai ki insaa.n nau-e-insaa.n kaa shikaarii hainazar ko KHiira kartii hai chamak tahziib-e-haazir kiiye sannaa.ii magar jhuuTe niguu.n kii reza-kaarii haivo hikmat naaz thaa jis par KHirad-mandaan-e-maGrib kohavas ke panja-e-KHuunii.n me.n teG-e-kaar-zaarii haitadabbur kii fusuu.n-kaarii se mohkam ho nahii.n saktaajahaa.n me.n jis tamaddun kii binaa sarmaaya-daarii haiamal se zindagii bantii hai jannat bhii jahannam bhiiye KHaakii apnii fitrat me.n na nuurii hai na naarii haiKHarosh-aamoz bulbul ho girah Gunche kii vaa kar deki tuu is gulsitaa.n ke vaaste baad-e-bahaarii haiphir uTThii asia ke dil se chi.ngaarii mohabbat kiizamii.n jaulaa.n-gah-e-atlas qabaayaan-e-tataarii haibayaa paidaa KHariidaa raast jaan-e-naa-tavaan-e-raapas az muddat guzaar uftaad barmaa kaarvaane raabayaa saaqii navaa-e-murG-zaar az shaaKH-saar aamadbahaar aamad nigaar aamad nigaar aamad qaraar aamadkashiid abr-e-bahaarii KHema andar vaadii o sahraasadaa-e-aabshaaraa.n az faraaz-e-koh-saar aamadsarat gardam toham qaanuun peshii.n saaz dah saaqiiki KHail-e-naGma-pardaazaa.n qataar andar qataar aamadkanaar az zaahidaa.n bar-giir o bebaakaana saaGar-kashpas az muddat azii.n shaaKH-e-kuhan baa.ng-e-hazaar aamadba-mushtaaqaa.n hadiis-e-KHvaajaa-e-badro hunain aavartasarruf-haa-e-pinhaanash ba-chashm-e-aashkaar aamaddigar shaaKH-e-KHaliil az KHuun-e-maa namnaak mii gardadba-baazaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil ayyaar aamadsar-e-KHaak-e-shahiire barg-haa-e-laala mii paashamki KHuunash baa-nihaal-e-millat-e-maa saazgaar aamadbayaa taa-gul baa-afmaishaaniim o mai dar saaGar andaazemfalak raa saqf ba-shagaafem o tarh-e-diigar andaazem
jab fasl kaTii to kyaa dekhaakuchh dard ke TuuTe gajre thekuchh zaKHmii KHvaab the kaa.nTo.n parkuchh KHaakistar se kajre theaur duur ufuq ke saagar me.nkuchh Dolte Duubte bajre the
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
chishtii ne jis zamii.n me.n paiGaam-e-haq sunaayaanaanak ne jis chaman me.n vahdat kaa giit gaayaataataariyo.n ne jis ko apnaa vatan banaayaajis ne hijaaziyo.n se dasht-e-arab chhu.Daayaameraa vatan vahii hai meraa vatan vahii haiyunaaniyo.n ko jis ne hairaan kar diyaa thaasaare jahaa.n ko jis ne ilm o hunar diyaa thaamiTTii ko jis kii haq ne zar kaa asar diyaa thaaturko.n kaa jis ne daaman hiiro.n se bhar diyaa thaameraa vatan vahii hai meraa vatan vahii haiTuuTe the jo sitaare faaras ke aasmaa.n sephir taab de ke jis ne chamkaa.e kahkashaa.n sevahdat kii lai sunii thii duniyaa ne jis makaa.n semiir-e-arab ko aa.ii ThanDii havaa jahaa.n semeraa vatan vahii hai meraa vatan vahii haibande kaliim jis ke parbat jahaa.n ke siinaanuuh-e-nabii kaa aa kar Thahraa jahaa.n safiinaarif.at hai jis zamii.n kii baam-e-falak kaa ziinaajannat kii zindagii hai jis kii fazaa me.n jiinaameraa vatan vahii hai meraa vatan vahii hai
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
mohabbat kii ek nazmagar kabhii merii yaad aa.eto chaa.nd raato.n kii narm dil-giir raushnii me.nkisii sitaare ko dekh lenaaagar vo naKHl-e-falak se u.D kartumhaare qadmo.n me.n aa gireto ye jaan lenaa vo isti.aara thaa mere dil kaaagar na aa.emagar ye mumkin hii kis tarah haiki tum kisii par nigaah Daaloto us kii diivaar-e-jaa.n na TuuTevo apnii hastii na bhuul jaa.eagar kabhii merii yaad aa.egurez kartii havaa kii lahro.n pe haath rakhnaamai.n KHushbu.o.n me.n tumhe.n miluu.ngaamujhe gulaabo.n kii pattiyo.n me.n talaash karnaamai.n os-qatro.n ke aa.iino.n me.n tumhe.n miluu.ngaaagar sitaaro.n me.n os-qatro.n me.n KHushbu.o.n me.n na paa.o mujh koto apne qadmo.n me.n dekh lenaa mai.n gard hotii masaafato.n me.n tumhe.n miluu.ngaakahii.n pe raushan charaaG dekhoto jaan lenaa ki har pata.nge ke saath mai.n bhii bikhar chukaa huu.ntum apne haatho.n se un pata.ngo.n kii KHaak dariyaa me.n Daal denaamai.n KHaak ban kar samundaro.n me.n safar karuu.ngaakisii na dekhe hu.e jaziire peruk ke tum ko sadaa.e.n duu.ngaasamundaro.n ke safar pe nikloto us jaziire pe bhii utarnaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books