aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "umiid"
chalo ik baar phir se ajnabii ban jaa.e.n ham dono.nna mai.n tum se ko.ii ummiid rakhuu.n dil-navaazii kiina tum merii taraf dekho Galat-andaaz nazro.n sena mere dil kii dha.Dkan la.Dkha.Daa.e merii baato.n sena zaahir ho tumhaarii kashmakash kaa raaz nazro.n se
mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaahaa us neshaayad ab bhii tiraa Gam dil se lagaa rakkhaa hoek be-naam sii ummiid pe ab bhii shaayadapne KHvaabo.n ke jaziiro.n ko sajaa rakkhaa ho
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rabkyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa hoshorish se bhaagtaa huu.n dil Dhuu.nDtaa hai meraaaisaa sukuut jis par taqriir bhii fidaa homartaa huu.n KHaamushii par ye aarzuu hai meriidaaman me.n koh ke ik chhoTaa saa jho.npa.Daa hoaazaad fikr se huu.n uzlat me.n din guzaaruu.nduniyaa ke Gam kaa dil se kaa.nTaa nikal gayaa holazzat sarod kii ho chi.Diyo.n ke chahchaho.n me.nchashme kii shorisho.n me.n baajaa saa baj rahaa hogul kii kalii chaTak kar paiGaam de kisii kaasaaGar zaraa saa goyaa mujh ko jahaa.n-numaa hoho haath kaa sirhaanaa sabze kaa ho bichhaunaasharmaa.e jis se jalvat KHalvat me.n vo adaa homaanuus is qadar ho suurat se merii bulbulnanhe se dil me.n us ke khaTkaa na kuchh miraa hosaf baa.ndhe dono.n jaanib buuTe hare hare ho.nnaddii kaa saaf paanii tasviir le rahaa hoho dil-fareb aisaa kohsaar kaa nazaarapaanii bhii mauj ban kar uTh uTh ke dekhtaa hoaaGosh me.n zamii.n kii soyaa hu.aa ho sabzaphir phir ke jhaa.Diyo.n me.n paanii chamak rahaa hopaanii ko chhuu rahii ho jhuk jhuk ke gul kii Tahniijaise hasiin ko.ii aa.iina dekhtaa homeh.ndii lagaa.e suuraj jab shaam kii dulhan kosurKHii liye sunahrii har phuul kii qabaa horaato.n ko chalne vaale rah jaa.e.n thak ke jis damummiid un kii meraa TuuTaa hu.aa diyaa hobijlii chamak ke un ko kuTiyaa mirii dikhaa dejab aasmaa.n pe har suu baadal ghiraa hu.aa hopichhle pahr kii koyal vo sub.h kii mo.azzinmai.n us kaa ham-navaa huu.n vo merii ham-navaa hokaano.n pe ho na mere dair o haram kaa ehsaa.nrauzan hii jho.npa.Dii kaa mujh ko sahar-numaa hophuulo.n ko aa.e jis dam shabnam vazuu karaaneronaa miraa vazuu ho naala mirii du.aa hois KHaamushii me.n jaa.e.n itne buland naaletaaro.n ke qaafile ko merii sadaa diraa hohar dardmand dil ko ronaa miraa rulaa debehosh jo pa.De hai.n shaayad unhe.n jagaa de
ummiid kii jhuuTii jannat ke rah rah ke na dikhlaa KHvaab hame.naa.inda kii farzii ishrat ke va.ado.n se na kar betaab hame.nkahtaa hai zamaana jis ko KHushii aatii hai nazar kamyaab hame.n
tamaam suufii o saalik sabhii shuyuuKH o imaamumiid-e-lutf pe aivaan-e-kaj-kulaah me.n hai.nmo.azzaziin-e-adaalat bhii half uThaane komisaal-e-saa.il-e-mubarram nashista raah me.n hai.n
havaa bhii KHush-gavaar haigulo.n pe bhii nikhaar haitarannum-e-hazaar haibahaar pur-bahaar haikahaa.n chalaa hai saaqiyaaidhar to lauT idhar to aaare ye dekhtaa hai kyaauThaa subuu subuu uThaasubuu uThaa pyaala bharpyaala bhar ke de idharchaman kii samt kar nazarsamaa.n to dekh be-KHabarvo kaalii kaalii badliyaa.nufuq pe ho ga.ii.n ayaa.nvo ik hujuum-e-mai-kashaa.nhai suu-e-mai-kada ravaa.nye kyaa gumaa.n hai bad-gumaa.nsamajh na mujh ko naa-tavaa.nKHayaal-e-zohd abhii kahaa.nabhii to mai.n javaan huu.nibaadato.n kaa zikr hainajaat kii bhii fikr haijunuun hai savaab kaaKHayaal hai azaab kaamagar suno to shaiKH jiiajiib shai hai.n aap bhiibhalaa shabaab o aashiqiialag hu.e bhii hai.n kabhiihasiin jalva-rez ho.nadaa.e.n fitna-KHez ho.nhavaa.e.n itr-bez ho.nto shauq kyuu.n na tez ho.nnigaar-haa-e-fitnagarko.ii idhar ko.ii udharubhaarte ho.n aish parto kyaa kare ko.ii basharchalo jii qissa-muKHtasartumhaaraa nuqta-e-nazardurust hai to ho magarabhii to mai.n javaan huu.nye gasht kohsaar kiiye sair juu-e-baar kiiye bulbulo.n ke chahchaheye gul-ruKHo.n ke qahqahekisii se mel ho gayaato ranj o fikr kho gayaakabhii jo baKHt so gayaaye ha.ns gayaa vo ro gayaaye ishq kii kahaaniyaa.nye ras bharii javaaniyaa.nudhar se mehrbaaniyaa.nidhar se lan-taraaniyaa.nye aasmaan ye zamii.nnazaara-haa-e-dil-nashii.ninhe.n hayaat-aafrii.nbhalaa mai.n chho.D duu.n yahii.nhai maut is qadar qarii.nmujhe na aa.egaa yaqii.nnahii.n nahii.n abhii nahii.nabhii to mai.n javaan huu.nna Gam kushuud o bast kaabuland kaa na past kaana buud kaa na hast kaana vaada-e-alast kaaummiid aur yaas gumhavaas gum qayaas gumnazar se aas paas gumhama-bajuz gilaas gumna mai me.n kuchh kamii raheqadah se hamdamii rahenashist ye jamii raheyahii hamaa-hamii rahevo raag chhe.D mutribaatarab-fazaa, alam-rubaaasar sadaa-e-saaz kaajigar me.n aag de lagaahar ek lab pe ho sadaana haath rok saaqiyaapilaa.e jaa pilaa.e jaaabhii to mai.n javaan huu.n
(1)taaza hai.n abhii yaad me.n ai saaqii-e-gulfaamvo aks-e-ruKH-e-yaar se lahke hu.e ayyaamvo phuul sii khultii hu.ii diidaar kii saa.atvo dil saa dha.Daktaa hu.aa ummiid kaa ha.ngaam
tire sofe hai.n afra.ngii tire qaalii.n hai.n iiraaniilahuu mujh ko rulaatii hai javaano.n kii tan-aasaaniiimaarat kiyaa shikva-e-KHusravii bhii ho to kyaa haasilna zor-e-haidarii tujh me.n na istiGnaa-e-salmaaniina Dhuu.nD us chiiz ko tahziib-e-haazir kii tajallii me.nki paayaa mai.n ne istiGnaa me.n meraaj-e-musalmaaniiuqaabii ruuh jab bedaar hotii hai javaano.n me.nnazar aatii hai un ko apnii manzil aasmaano.n me.nna ho naumiid naumiidii zavaal-e-ilm-o-irfaa.n haiumiid-e-mard-e-momin hai KHudaa ke raaz-daano.n me.nnahii.n teraa nasheman qasr-e-sultaanii ke gumbad partuu shaahii.n hai baseraa kar pahaa.Do.n kii chaTaano.n me.n
aaj kii shab to bahut kuchh hai magar kal ke liyeek andesha-e-be-naam hai aur kuchh bhii nahii.ndekhnaa ye hai ki kal tujh se mulaaqaat ke ba.adra.ng-e-ummiid khilegaa ki bikhar jaa.egaavaqt parvaaz karegaa ki Thahar jaa.egaajiit ho jaa.egii yaa khel biga.D jaa.egaaKHvaab kaa shahr rahegaa ki uja.D jaa.egaa
tumhe.n udaas saa paataa huu.n mai.n ka.ii din sena jaane kaun se sadme uThaa rahii ho tumvo shoKHiyaa.n vo tabassum vo qahqahe na rahehar ek chiiz ko hasrat se dekhtii ho tumchhupaa chhupaa ke KHamoshii me.n apnii bechainiiKHud apne raaz kii tash.hiir ban ga.ii ho tummerii umiid agar miT ga.ii to miTne doumiid kyaa hai bas ik pesh-o-pas hai kuchh bhii nahii.nmirii hayaat kii Gamgiiniyo.n kaa Gam na karoGam-e-hayaat Gam-e-yak-nafas hai kuchh bhii nahii.ntum apne husn kii ra.anaa.iyo.n pe rahm karovafaa fareb hai tuul-e-havas hai kuchh bhii nahii.nmujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat homirii fanaa mire ehsaas kaa taqaazaa haimai.n jaantaa huu.n ki duniyaa kaa KHauf hai tum komujhe KHabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa haiyahaa.n hayaat ke parde me.n maut paltii haishikast-e-saaz kii aavaaz ruuh-e-naGma haimujhe tumhaarii judaa.ii kaa ko.ii ranj nahii.nmire KHayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tumye tum ne Thiik kahaa hai tumhe.n milaa na karuu.nmagar mujhe ye bataa do ki kyuu.n udaas ho tumKHafaa na honaa mirii jur.at-e-taKHaatub partumhe.n KHabar hai mirii zindagii kii aas ho tummiraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.ngaamagar KHudaa ke liye tum asiir-e-Gam na rahohu.aa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaayahaa.n pe kaun hu.aa hai kisii kaa socho tomujhe qasam hai mirii dukh-bharii javaanii kiimai.n KHush huu.n merii mohabbat ke phuul Thukraa domai.n apnii ruuh kii har ik KHushii miTaa luu.ngaamagar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n saktaamai.n KHud ko maut ke haatho.n me.n sau.np saktaa huu.nmagar ye baar-e-masaa.ib uThaa nahii.n saktaatumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhenajaat jin se mai.n ik lahza paa nahii.n saktaaye uu.nche uu.nche makaano.n kii Dev.Dhiyo.n ke talehar ek gaam pe bhuuke bhikaariyo.n kii sadaahar ek ghar me.n hai aflaas aur bhuuk kaa shorhar ek samt ye insaaniyat kii aah-o-bukaaye kaar-KHaano.n me.n lohe kaa shor-o-Gul jis me.nhai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaye shaah-raaho.n pe ra.ngiin saa.Diyo.n kii jhalakye jho.npa.Do.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laasheye maal-road pe caro.n kii rel-pel kaa shorye pTriyo.n pe Gariibo.n ke zard-ruu bachchegalii galii me.n ye bikte hu.e javaa.n chehrehusain aa.ankho.n me.n afsurdagii sii chhaa.ii hu.iiye ja.ng aur ye mere vatan ke shoKH javaa.nKHariidii jaatii hai.n uThtii javaaniyaa.n jin kiiye baat baat pe qaanuun o zaabte kii giraftye zillate.n ye Gulaamii ye daur-e-majbuuriiye Gam bahut hai.n mirii zindagii miTaane koudaas rah ke mire dil ko aur ranj na do
vo sub.h kabhii to aa.egiiun kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab marmar ke jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na tolii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.e jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiine ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg bataa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii
mai.n ne us se ye kahaaye jo das karo.D hai.njahl kaa nicho.D hai.nun kii fikr so ga.iihar umiid kii kiranzulmato.n me.n kho ga.iiye KHabar durust haiun kii maut ho ga.iibe-shu.uur log hai.nzindagii kaa rog hai.naur tere paas haiun ke dard kii davaamai.n ne us se ye kahaatuu KHudaa kaa nuur haiaql hai shu.uur haiqaum tere saath haitere hii vajuud semulk kii najaat haituu hai mahr-e-sub.h-e-nautere baa'd raat haibolte jo chand hai.nsab ye shar-pasand hai.nun kii khii.nch le zabaa.nun kaa gho.nT de galaamai.n ne us se ye kahaajin ko thaa zabaa.n pe naazchup hai.n vo zabaa.n-daraazchain hai samaaj me.nbe-misaal farq haikal me.n aur aaj me.napne KHarch par hai.n qaidlog tere raaj me.naadmii hai vo ba.Daadar pe jo rahe pa.Daajo panaah maa.ng leus kii baKHsh de KHataa
sunaa hai bujhte bujhte bhii tumhaare sard o murda lab seek sho.ala shola-e-yaaquut-faam o rang o ummiid-e-faroG-e-zindagii-aaha.ng lapkaa thaa
tirii talab kaa sabab sirf KHaalii-pan to nahii.nki tujh se raabta meraa zaruuratan to nahii.nmai.n Dhuu.nDhtaa thaa shajar aasmaa.n ke hote hu.etire firaaq me.n thaa do jahaa.n ke hote hu.ejab aashnaa thii mohabbat kii har galii mujh semai.n zindagii se bahut KHush thaa zindagii mujh sejab ehtiraam kiyaa kartii thii sabaa meraabahaar khoj liyaa kartii thii pata meraajab aa.nsu.o.n ko mayassar hazaar shaane thejab intizaar na karne ke sau bahaane thetirii umiid se dil be-qaraar tab bhii thaayaqiin kar ki tiraa intizaar tab bhii thaa
sar pe apne juu.Daa baa.ndhemaa.njhii kii ummiid lagaa.ebhiigii ujlii sub.h me.n tumkohre kii chaadar me.n lipTiinadii kinaare soch me.n gumtaaj-mahal sii lagtii ho
is qadar bhii nahii.n mujhe ma.aluumkis mohalle me.n hai makaa.n teraakaun sii shaaKH-e-gul pe raqsaa.n hairashk-e-firdaus aashiyaa.n teraajaane kin vaadiyo.n me.n utraa haiGairat-e-husn kaarvaa.n teraakis se puuchhuu.ngaa mai.n KHabar teriikaun batlaa.egaa nishaa.n teraaterii rusvaa.iyo.n se Dartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nhaal-e-dil bhii na kah sakaa garchetuu rahii muddato.n qariib mirekuchh tirii azmato.n kaa Dar bhii thaakuchh KHayaalaat the ajiib mireaaKHir-e-kaar vo gha.Dii aa.iibaar-var ho ga.e raqiib miretuu mujhe chho.D kar chalii bhii ga.iiKHair qismat mirii nasiib mireab mai.n kyuu.n tujh ko yaad kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.ngo zamaana tirii mohabbat kaaek bhuulii hu.ii kahaanii haitere kuuche me.n umr-bhar na ga.esaarii duniyaa kii KHaak chhaanii hailazzat-e-vasl ho ki zaKHm-e-firaaqjo bhii ho terii mehrbaanii haikis tamannaa se tujh ko chaahaa thaakis mohabbat se haar maanii haiapnii qismat pe naaz kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nashk palko.n pe aa nahii.n saktedil me.n hai terii aabruu ab bhiitujh se raushan hai kaa.enaat miriitere jalve hai.n chaar-suu ab bhiiapne Gam-KHaana-e-taKHayyul me.ntujh se hotii hai guftuguu ab bhiitujh ko viiraana-e-tasvvur me.ndekh letaa huu.n ruu-ba-ruu ab bhiiab bhii mai.n tujh ko pyaar kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj bhii kaar-zaar-e-hastii me.ntuu agar ek baar mil jaa.ekisii mahfil me.n saamnaa ho jaa.eyaa sar-e-rahguzaar mil jaa.eik nazar dekh le mohabbat seek lamhe kaa pyaar mil jaa.eaarzuu.o.n ko chain aa jaa.ehasrato.n ko qaraar mil jaa.ejaane kyaa kyaa KHayaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj mai.n aise maqaam par huu.n jahaa.nrasan-o-daar kii bulandii haimere ash.aar kii lataafat me.ntere kirdaar kii bulandii haiterii majbuuriyo.n kii azmat haimere iisaar kii bulandii haisab tire dard kii inaayat haisab tire pyaar kii bulandii haitere Gam se nibaah kartaa haijab tire shahr se guzartaa huu.ntujh se ko.ii gila nahii.n mujh komai.n tujhe bevafaa nahii.n kahtaateraa milnaa KHayaal-o-KHvaab hu.aaphir bhii naa-aashnaa nahii.n kahtaavo jo kahtaa thaa mujh ko aavaaramai.n use bhii buraa nahii.n kahtaavarna ik be-navaa mohabbat me.ndil ke luTne pe kyaa nahii.n kahtaamai.n to mushkil se aah bhartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nko.ii pursaan-e-haal ho to kahuu.nkaisii aa.ndhii chalii hai tere baa'ddin guzaaraa hai kis tarah mai.n neraat kaise Dhalii hai tere baa'dsham-e-ummiid sarsar-e-Gam me.nkis bahaane jalii hai tere baa'djis me.n ko.ii makii.n na rahtaa hodil vo suunii galii hai tere baa'droz jiitaa huu.n roz martaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nlekin ai saakin-e-hariim-e-KHayaalyaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahii.nkyaa kabhii tere dil pe guzraa haimerii mahruumiyo.n kaa Gam ki nahii.nmerii barbaadiyo.n kaa sun kar haalaa.nkh terii hu.ii hai nam ki nahii.naur is kaar-zaar-e-hastii me.nphir kabhii mil sake.nge ham ki nahii.nDarte Darte savaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.n
dil aise shahr ke paamaal ho jaane kaa manzar bhuulne me.nabhii kuchh din lage.ngejahaan-e-ra.ng ke saare KHas-o-KHaashaak sab sarv-o-sanobar bhuulne me.n abhii kuchh din lage.ngethake haare hu.e KHvaabo.n ke saahil par kahii.n ummiid kaa chhoTaa saa ik gharbante bante rah gayaa haivo ik ghar bhuulne me.n abhii kuchh din lage.ngemagar ab din bhii kitne rah ga.e hai.nbas ik din dil kii lauh-e-muntazir paraachaanakraat utregiimirii be-nuur aa.nkho.n ke KHazaane me.n chhupe har KHvaab kii takmiil kar degiimujhe bhii KHvaab me.n tabdiil kar degiiik aisaa KHvaab jas kaa dekhnaa mumkin nahii.n thaaik aisaa KHvaab jis ke daaman-e-sad-chaak me.n ko.ii mubaarak ko.ii raushan din nahii.n thaaabhii kuchh din lage.nge
zahe-qismat hilaal-e-eid kii suurat nazar aa.iijo the ramzaan ke biimaar un sab ne shifaa paa.iipahaa.Do.n se vo utre qaafile roza-guzaaruu.n kegayaa garmii kaa 'mausam aur aa.e din bahaaro.n keuThaa hotel kaa 'parda saamne parda-nashii.n aa.ejo chhup kar kar rahe the ehtiraam-e-hukm-e-dii.n aa.ehu.ii anguur kii beTii se ''mastii-KHaan'' kii shaadiikhule dar mai-kado.n ke aur milii rindo.n ko aazaadiinaved-e-kaamraanii laa rahe hai.n race ke gho.Demasarrat ke taraane gaa rahe hai.n race ke gho.Demubaarak ho ki phir se ho gayaa ''dance'' aur ''dinner'' chaaluuKHalaas ahl-e-nazar ho.nge hu.aa dard-e-jigar chaaluunamaaz-e-eid pa.Dhne ke liye sarkaar aa.e hai.naur un ke saath saare taalib-e-diidaar aa.e hai.nyahii din ahl-e-dil ke vaaste ummiid kaa din haitumhaarii diid kaa din hai hamaarii eid kaa din hai
aaKHirii baar milo aise ki jalte hu.e dilraakh ho jaa.e.n ko.ii aur taqaaza na kare.nchaak-e-va.ada na sile zaKHm-e-tamannaa na khilesaa.ns hamvaar rahe sham.a kii lau tak na hilebaate.n bas itnii ki lamhe unhe.n aa kar gin jaa.e.naa.nkh uThaa.e ko.ii ummiid to aa.nkhe.n chhin jaa.e.n
apne siine se lagaa.e hu.e ummiid kii laashmuddato.n ziist ko naashaad kiyaa hai mai.n ne
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books