Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Best Maashuq Shayari

hai āshiq o ma.ashūq meñ ye farq ki mahbūb

tasvīr-e-tafarruj hai vo putlā hai alam

hai aashiq o mashuq mein ye farq ki mahbub

taswir-e-tafarruj hai wo putla hai alam ka

Jurat Qalandar Bakhsh

ḳhalvat ho aur sharāb ho ma.ashūq sāmne

zāhid tujhe qasam hai jo ho to kyā kare

KHalwat ho aur sharab ho mashuq samne

zahid tujhe qasam hai jo tu ho to kya kare

Inamullah Khan Yaqeen

ishq ma.ashūq ishq āshiq hai

yaanī apnā mubtalā hai ishq

Love is the beloved, Love's the paramour

Love is thus enmeshed/ in its own allure

ishq mashuq ishq aashiq hai

yani apna hi mubtala hai ishq

Love is the beloved, Love's the paramour

Love is thus enmeshed/ in its own allure

Meer Taqi Meer

na āshiq haiñ zamāne meñ na ma.ashūq

idhar ham rah ga.e haiñ aur udhar aap

na aashiq hain zamane mein na mashuq

idhar hum rah gae hain aur udhar aap

Sakhi Lakhnvi

ik ham haiñ ki ham ne tumheñ ma.ashūq banāyā

ik tum ho ki tum ne hameñ rakkhā na kahīñ

ek hum hain ki hum ne tumhein mashuq banaya

ek tum ho ki tum ne hamein rakkha na kahin ka

Muztar Khairabadi

ri.āyat buujh ma.ashūq jaur

ki tujh ko ishq meñ kāmil kare hai

riayat bujh tu mashuq ka jaur

ki tujh ko ishq mein kaamil kare hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

ma.ashūq kaun hai na ho dil meñ jis yaad

is muḳhtasar se baaġh meñ kis gul nahīñ

mashuq kaun sa hai na ho dil mein jis ki yaad

is muKHtasar se bagh mein kis gul ki bu nahin

Rasheed lakhnavi

mil gayā thā baaġh meñ ma.ashūq ik nak-dār

rañg o meñ phuul mānind saj meñ ḳhaar

mil gaya tha bagh mein mashuq ek nak-dar sa

rang o ru mein phul ki manind saj mein KHar sa

Abroo Shah Mubarak

samajh le āshiq o ma.ashūq ham-āġhoshī

azaab aur to kyā qabr ke fishār meñ thā

samajh le aashiq o mashuq ki ham-aghoshi

azab aur to kya qabr ke fishaar mein tha

Mushafi Ghulam Hamdani

martaba ma.ashūq āshiq se bālā-dast hai

ḳhaar zer-e-pā gul makāñ dastār par

martaba mashuq ka aashiq se baala-dast hai

KHar ki ja zer-e-pa gul ka makan dastar par

Munawar Khan Ghafil

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now