Hairan karne wale sher
maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā
ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
-
Tags : Aainaand 2 more
kabhū ronā kabhū hañsnā kabhū hairān ho jaanā
mohabbat kyā bhale-chañge ko dīvāna banātī hai
laughing, crying and at times spouting inanity
passion does render a wise person to insanity
kabhu rona kabhu hansna kabhu hairan ho jaana
mohabbat kya bhale-change ko diwana banati hai
laughing, crying and at times spouting inanity
passion does render a wise person to insanity
har na.e hādse pe hairānī
pahle hotī thī ab nahīñ hotī
har nae hadse pe hairani
pahle hoti thi ab nahin hoti
rafta rafta āñkhoñ ko hairānī de kar jā.egā
ḳhvāboñ kā ye shauq hameñ vīrānī de kar jā.egā
rafta rafta aankhon ko hairani de kar jaega
KHwabon ka ye shauq hamein virani de kar jaega
apnī tā.īd pe ḳhud aql bhī hairān huī
dil ne aise mire ḳhvāboñ kī himāyat kī hai
apni taid pe KHud aql bhi hairan hui
dil ne aise mere KHwabon ki himayat ki hai
kab vo zāhir hogā aur hairān kar degā mujhe
jitnī bhī mushkil meñ huuñ āsān kar degā mujhe
kab wo zahir hoga aur hairan kar dega mujhe
jitni bhi mushkil mein hun aasan kar dega mujhe
dil pareshāñ ho magar aañkh meñ hairānī na ho
ḳhvāb dekho ki haqīqat se pashīmānī na ho
dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
KHwab dekho ki haqiqat se pashimani na ho
hairānī meñ huuñ āḳhir kis kī parchhā.īñ huuñ
vo bhī dhyān meñ aayā jis kā saaya koī na thā
hairani mein hun aaKHir kis ki parchhain hun
wo bhi dhyan mein aaya jis ka saya koi na tha
bār-hā ḳhud pe maiñ hairān bahut hotā huuñ
koī hai mujh meñ jo bilkul hī judā hai mujh se
bar-ha KHud pe main hairan bahut hota hun
koi hai mujh mein jo bilkul hi juda hai mujh se
shāyad koī dekhne vaalā ho jaa.e hairān
kamre kī dīvāroñ par koī naqsh banā kar dekh
shayad koi dekhne wala ho jae hairan
kamre ki diwaron par koi naqsh bana kar dekh
phirte haiñ ka.ī qais se hairān o pareshān
is ishq kī sarkār meñ bahbūd nahīñ hai
phirte hain kai qais se hairan o pareshan
is ishq ki sarkar mein bahbud nahin hai
zaat kā ā.īna jab dekhā to hairānī huī
maiñ na thā goyā koī mujh sā thā mere rū-ba-rū
zat ka aaina jab dekha to hairani hui
main na tha goya koi mujh sa tha mere ru-ba-ru
hairān huuñ ki pīr-e-muġhāñ ke libās meñ
aa.e kahāñ se jāma-e-ehrām ke ḳhavās
hairan hun ki pir-e-mughan ke libas mein
aae kahan se jama-e-ehram ke KHawas
āmāda rakheñ chashm-o-dil sāmān-e-hairānī kareñ
kyā jāniye kis vaqt vo nazāra farmānī kareñ
aamada rakhen chashm-o-dil saman-e-hairani karen
kya jaaniye kis waqt wo nazara farmani karen
na hai ab ḳhāk-afshānī na hairānī na uryānī
junūñ gar aa gayā to le ke sab sāmān āvegā
na hai ab KHak-afshani na hairani na uryani
junun gar aa gaya to le ke sab saman aawega
kis kī ḳhātir ko muqaddam rakhkhūñ maiñ hairān huuñ
gabr kī jānib huuñ yā-rab yā musalmāñ kī taraf
kis ki KHatir ko muqaddam rakhkhun main hairan hun
gabr ki jaanib hun ya-rab ya musalman ki taraf