Pareshan Dilon ki Shayari
chāñd bhī hairān dariyā bhī pareshānī meñ hai
aks kis kā hai ki itnī raushnī paanī meñ hai
chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai
aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai
apne qātil kī zehānat se pareshān huuñ maiñ
roz ik maut na.e tarz kī ījād kare
apne qatil ki zehanat se pareshan hun main
roz ek maut nae tarz ki ijad kare
dekh lete jo mire dil kī pareshānī ko
aap baiThe hue zulfeñ na sañvārā karte
dekh lete jo mere dil ki pareshani ko
aap baiThe hue zulfen na sanwara karte
be-nām se ik ḳhauf se dil kyuuñ hai pareshāñ
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahīñ hogā
be-nam se ek KHauf se dil kyun hai pareshan
jab tai hai ki kuchh waqt se pahle nahin hoga
ham ko junūñ kyā sikhlāte ho ham the pareshāñ tum se ziyāda
chaak kiye haiñ ham ne azīzo chaar garebāñ tum se ziyāda
EXPLANATION
You teach me passion? I was distressed more than you,
O my friends I have torn,my far more collars than you.
Sagar Akbarabadi
hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada
chaak kiye hain hum ne azizo chaar gareban tum se ziyaada
EXPLANATION
You teach me passion? I was distressed more than you,
O my friends I have torn,my far more collars than you.
Sagar Akbarabadi
jaane kis ḳhvāb-e-pareshāñ kā hai chakkar saarā
bikhrā bikhrā huā rahtā hai mirā ghar saarā
jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara
bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara
pareshāñ ho ke dil tark-e-ta.alluq par hai āmāda
mohabbat meñ ye sūrat bhī na raas aa.ī to kyā hogā
pareshan ho ke dil tark-e-talluq par hai aamada
mohabbat mein ye surat bhi na ras aai to kya hoga
tum apnā ranj-o-ġham apnī pareshānī mujhe de do
tumheñ ġham kī qasam is dil kī vīrānī mujhe de do
tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do
tumhein gham ki qasam is dil ki virani mujhe de do
ḳhaak maiñ us kī judā.ī meñ pareshān phirūñ
jab ki ye milnā bichhaḌnā mirī marzī niklā
KHak main us ki judai mein pareshan phirun
jab ki ye milna bichhaDna meri marzi nikla
ham tere paas aa ke pareshān haiñ bahut
ham tujh se duur rahne ko tayyār bhī nahīñ
hum tere pas aa ke pareshan hain bahut
hum tujh se dur rahne ko tayyar bhi nahin
chhalke hue the jaam pareshāñ thī zulf-e-yār
kuchh aise hādsāt se ghabrā ke pī gayā
chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
aql gum hai dil pareshāñ hai nazar betāb hai
justujū se bhī nahīñ miltā surāġh-e-zindagī
aql gum hai dil pareshan hai nazar betab hai
justuju se bhi nahin milta suragh-e-zindagi
zehn par bojh rahā, dil bhī pareshān huā
in baḌe logoñ se mil kar baḌā nuqsān huā
zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
in baDe logon se mil kar baDa nuqsan hua
sumbul ko pareshān kiyā bād-e-sabā ne
jab baaġh meñ bāteñ tirī zulfoñ kī chalā.īñ
sumbul ko pareshan kiya baad-e-saba ne
jab bagh mein baaten teri zulfon ki chalain
zindagī meñ pahle itnī to pareshānī na thī
tañg-dāmānī thī lekin chāk-dāmānī na thī
zindagi mein pahle itni to pareshani na thi
tang-damani thi lekin chaak-damani na thi
guftugū kar ke pareshāñ huuñ ki lahje meñ tire
vo khulā-pan hai ki dīvār huā jaatā hai
guftugu kar ke pareshan hun ki lahje mein tere
wo khula-pan hai ki diwar hua jata hai
phirte haiñ ka.ī qais se hairān o pareshān
is ishq kī sarkār meñ bahbūd nahīñ hai
phirte hain kai qais se hairan o pareshan
is ishq ki sarkar mein bahbud nahin hai
is chashm-e-siyah-mast pe gesū haiñ pareshāñ
mai-ḳhāne pe ghanghor ghaTā khel rahī hai
is chashm-e-siyah-mast pe gesu hain pareshan
mai-KHane pe ghanghor ghaTa khel rahi hai
sach batā ishq mujhe saḳht pareshāñ huuñ maiñ
kyuuñ ḳhafā hotā nahīñ dost ḳhatā par merī
sach bata ishq mujhe saKHt pareshan hun main
kyun KHafa hota nahin dost KHata par meri
ab maiñ huuñ aur ḳhvāb-e-pareshāñ hai mere saath
kitnā paḌegā aur abhī jāgnā mujhe
ab main hun aur KHwab-e-pareshan hai mere sath
kitna paDega aur abhi jagna mujhe
dil hai pareshāñ un kī ḳhātir
pal bhar ko ārām nahīñ hai
dil hai pareshan un ki KHatir
pal bhar ko aaram nahin hai
dil ḳhush na huā zulf-e-pareshāñ se nikal kar
pachhtā.e ham is shām-e-ġharībāñ se nikal kar
dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar
pachhtae hum is sham-e-ghariban se nikal kar
ham gabrū ham musalmāñ ham jam.a ham pareshāñ
ik silsila bañdhā us zulf-e-dotā se dekhā
hum gabru hum musalman hum jama hum pareshan
ek silsila bandha us zulf-e-dota se dekha