Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mushtaq Ahmad Yusufi's Photo'

Mushtaq Ahmad Yusufi

1923 - 2018 | Karachi, Pakistan

Most prominent humorist and satirist of Pakistan; author of extraordinary works "Chiraagh Tale" and "Aab-e-Gum". He received Sitara-e-Imtiaz and Hilal-i-Imtiaz, the highest literary honours by the Government of Pakistan.

Quotes of Mushtaq Ahmad Yusufi

27.2K
Favorite

SORT BY

Lahore ki baa‘z galiyaan itni tang hain ki agar eik taraf se 'aurat aa rahi ho aur doosri taraf se mard, to darmiyaan mein sirf nikaah ki gunjaish bachti hai.

Ghussa jitna kam hoga, uski jagah udaasi leti jaaegi.

Mard ki aankh aur aurat ki zabaan ka dam sabse aakhir mein nikalta hai.

Moong-phali aur aawaargi mein kharaabi ye hai ki aadmi eik dafaa' shuroo' kar de to samajh mein nahi aata, khatm kaise kare.

Ghalib duniya mein waahid shaa'ir hai jo samajh mein na aaye to dugna maza deta hai.

Auratein paidaishi mehnati hoti hain. Iska andaaza isse laga lein ki sirf 12 feesad khawaateen khoobsurat paida hoti hain, baaqi apni mehnat se ye maqaam haasil karti hain.

Jis din bachche ki jeb se fuzool cheezon ke bajaaye paise bar-aamad hon to samajh lena chaahiye ki use be-fikri ki neend kabhi naseeb nahi hogi.

Daagh to do hi cheezon par sajta hai, dil aur jawaani.

Har dukh, har 'azaab ke baad zindagi aadmi par apna eik raaz khol deti hai.

Musalmaan hamesha eik amali qaum rahe hain. Wo kisi aise jaanwar ko muhabbat se nahi paalte jise zibha kar ke kha na sakein.

Insaan woh waahid haiwaan hai jo apna zahar dil mein rakhta hai.

Jo mulk jitna ghurbat-zada hoga utna hi aaloo aur mazhab ka chalan ziyaada hoga.

Jawaan ladki ki edi mein bhi aankhein hoti hain. Woh chalti hai to use pata hota hai ki peeche kaun, kaisi nazron se dekh raha hai.

Mard ishq-o-‘aashiqi sirf eik martaba karta hai, doosri martaba ayyaashi aur uske baad niri ayyaashi.

Gaali, ginti, sargoshi, aur ganda lateefa to sirf apne maadri zabaan mein hi maza deta hai.

Aasmaan ki cheel, chaukhat ki keel aur court ke wakeel se Khuda bachaaye, nanga karke chhodte hain.

Private aspataal aur clinic mein marne ka sabse bada faaeda ye hai ki marhoom ki jaaedaad, jama-jat'tha aur bank-balance ke bantwaare par pasmandagaan mein khoon-kharaaba nahi hota, kyunki sab doctors ke hisse mein aa jaate hain.

Jab sher aur bakri eik hi ghaat par paani peene lagen to samajh lo ki sher ki niyat aur bakri ki aql mein fitoor hai.

Ghode aur aurat ki zaat ka andaaza uski laat aur baat se kiya jaata hai.

Dushmanon ke hasb-e-adaawat teen darje hain: dushman, dushman-e-jaani, aur rishtedaar.

Budhaape ki shaadi aur bank ki chauki-daari mein zara farq nahi. Sote mein bhi aankh khuli rakhni padti hai.

Mard ki pasand wo pul-siraat hai jis par koi moti aurat nahi chal sakti.

Achchhe ustaad ke andar eik bachcha baitha hota hai jo haath utha-utha kar aur sar hila-hila kar bataata jaata ki baat samajh mein aayi ki nahi.

Sach bol kar zaleel-o-khwaar hone ki jagah jhoot bol kar zaleel-o-khwaar hona behtar hai. Aadmi ko kam-az-kam sabr to aa jaata hai ki kis baat ki saza mili hai.

Hamaari gaayiki ki buniyaad table par hai, guftugoo ki buniyaad gaali par.

Aurat ki edi hataao to uske neeche se kisi na kisi mard ki naak zaroor niklegi.

Mera 'aqeeda hai ki jo qaum apne aap par jee khol kar hans sakti hai, woh kabhi ghulaam nahi ho sakti.

Insaan ka koi kaam bigad jaaye to naakaami se itni koft nahi hoti jitni un bin maange mashwaron aur naseehaton se hoti hai jinse har woh shakhs nawaazta hai jisne kabhi us kaam ko haath tak nahi lagaaya.

Shareef gharaanon mein aai hui dulhan aur jaanwar to mar kar hi nikalte hain.

Khaali bori aur sharaabi ko kaun khada kar sakta hai.

Is zamaane mein sau fee-sad sach bol kar zindagi karna aisa hi hai jaise bajri milaaye baghair sirf cement se makaan banaana.

Middle class gareebi ki sabse qaabil-e-rahm aur laa-ilaaj qism wo hai jismein aadmi ke paas kuch na ho lekin use kisi cheez ki kami mahsoos na ho.

Subah us waqt nahi hoti jab sooraj nikalta hai. Subah us waqt hoti hai jab aadmi jaag uthta hai.

Jitna waqt aur rupya bachchon ko Musalmaano ke science par ehsaanaat rataane mein sarf kiya jaata hai, dasvaan hissa bhi bachchon ko science padhaane mein sarf kiya jaaye to Musalmaanon par bada ehsaan hoga.

Musalmaan ladke hisaab mein fail hone ko apne Musalmaan hone ki aasmaani daleel samajhte hain.

Azaad shaa'iri ki misaal aisi hai jaise baghair net tennis khelna.

Angrezi filmon mein log yun pyaar karte hain jaise tukhmi aam choos rahe hain.

Sharaab ko drinks kaha jaaye to kam haraam maa'loom hoti hai.

Pakistani afwaahon ki sabse badi kharaabi ye hai ki sach nikalti hain.

Hamaara aqeeda hai ki jise maazi yaad nahi rahta uski zindagi mein shaayad kabhi kuch hua hi nahi, lekin jo apne maazi ko yaad hi nahi karna chaahta wo yaqeenan loafer raha hoga.

mujhe raushan khayaal biwi bahut pasand hai... ba-sharte ki woh kisi doosre ki ho.

Be-sabab dushmani aur badsoorat aurat se ishq haqeeqat mein dushmani aur ishq ki sabse na-khaalis qism hai. Ye shuru hi wahaan se hui hai jahaan ‘aql khatm ho jaave hai.

Be-sabab dushmani aur badsoorat aurat se ishq haqeeqat mein dushmani aur ishq ki sabse na-khaalis qism hai. Ye shuru hi wahaan se hui hai jahaan ‘aql khatm ho jaave hai.

Daagh to do hi cheezon par sajta hai, dil aur jawaani.

Daagh to do hi cheezon par sajta hai, dil aur jawaani.

Jaade aur budhaape ko jitna mahsoos karoge utna hi lagta chala jaayega.

Aadmi eik baar professor ho jaaye to umr bhar professor hi rahta hai, khwaah baad mein samajh-daari ki baatein hi kyun na karne lage.

Badhiyaan cigarette peete hi har shakhs ko mu‘aaf kar dene ko jee chaahta hai... khwaah woh rishtedaar hi kyun na ho.

Nasha aur aatm-katha mein jo na khule, usse darna chaahiye.

Gaane wali soorat achhi ho to mohamal she'r ka matlab bhi samajh mein aa jata hai.

Jis aasamaan par kabootar, shafaq, patang aur sitaare na hon aise aasamaan ki taraf nazar utha kar dekhne ko jee nahi chaahta.

Sher, hawaai jahaaz, goli, truck aur Pathan reverse gear mein chal hi nahi sakte.

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now