Abhinandan Pandey
Ghazal 8
Sher-o-Shayari 10
darmiyāñ jo jism kā parda hai kaise hogā chaak
maut kis tarkīb se ham ko milā.egī na pūchh
darmiyan jo jism ka parda hai kaise hoga chaak
maut kis tarkib se hum ko milaegi na puchh
-
Share this
- See Ghazal
jab yahāñ rahne ke sab asbāb yakjā kar liye
tab khulā mujh par ki maiñ duniyā kā bāshinda na thā
jab yahan rahne ke sab asbab yakja kar liye
tab khula mujh par ki main duniya ka bashinda na tha
-
Share this
- See Ghazal
ḳhud-kushī kā faisla ye soch kar ham ne kiyā
kaun kartā zindagī kā maut se achchhā ilaaj
KHud-kushi ka faisla ye soch kar hum ne kiya
kaun karta zindagi ka maut se achchha ilaj
-
Share this
- See Ghazal
maiñ tire shoḳh laboñ par to abhī aayā huuñ
is se pahle tirī āñkhoñ meñ savālāt sā thā
main tere shoKH labon par to abhi aaya hun
is se pahle teri aankhon mein sawalat sa tha
-
Share this
- See Ghazal
us ne to yuuñ hī pūchh liyā thā ki koī hai
mahfil meñ uThā shor ba-yak-laḳht ki ham ham
us ne to yun hi puchh liya tha ki koi hai
mahfil mein uTha shor ba-yak-laKHt ki hum hum
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
chalo faraar-e-KHudii kaa ko.ii sila to milaa hamii.n mile nahii.n us ko hame.n KHudaa to milaa nashaat-e-qarya-e-jaa.n se judaa hu.ii KHushbuu safar kuchh aisaa hai ab ke ko.ii milaa to milaa hamaare baa'd rivaayat chalii mohabbat kii nizaam-e-aalam-e-hastii ko falsafa to milaa jo chho.D aa.e the taskiin-e-dil ke vaaste ham tumhe.n ai jaan-e-tamannaa vo naqsh-e-paa to milaa savaal aa ga.e aa.nkho.n se chhan ke ho.nTo.n par hame.n javaab na dene kaa faa.eda to milaa ye aah-o-girya-o-zaarii kahii.n to kaam aa.ii havaa-e-dasht ko paanii kaa zaa.iqa to milaa namaaz-e-asr nahii.n pa.Dh sakii mirii vahshat junuun-e-ishq ko maidaan-e-karbalaa to milaa phir is ke baa'd baraamad na ho sakaa kuchh bhii hamaare aa.nkh me.n jaltaa hu.aa diyaa to milaa