aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ammar Iqbal's Photo'

Ammar Iqbal

1986 | Lahore, Pakistan

Ammar Iqbal

Ghazal 13

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 12

maiñ ne chāhā thā zaḳhm bhar jaa.eñ

zaḳhm zaḳhm bhar ga.e mujh meñ

main ne chaha tha zaKHm bhar jaen

zaKHm hi zaKHm bhar gae mujh mein

ek baat mujh meñ achchhī hai

aur maiñ bas vahī nahīñ kartā

ek hi baat mujh mein achchhi hai

aur main bas wahi nahin karta

  • Share this

maiñ ne tasvīr pheñk hai magar

kiil dīvār meñ gaḌī huī hai

main ne taswir phenk di hai magar

kil diwar mein gaDi hui hai

ek darvesh ko tirī ḳhātir

saarī bastī se ishq ho gayā hai

ek darwesh ko teri KHatir

sari basti se ishq ho gaya hai

us ne nāsūr kar liyā hogā

zaḳhm ko shā.erī banāte hue

us ne nasur kar liya hoga

zaKHm ko shaeri banate hue

More Poets From "Lahore"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now