aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Rumani's Photo'

Anjum Rumani

1920 - 2001 | Lahore, Pakistan

Pakistani poet, translator of select Persian poetry of Iqbal

Pakistani poet, translator of select Persian poetry of Iqbal

Sher of Anjum Rumani

2K
Favorite

SORT BY

sach ke saude meñ na paḌnā ki ḳhasārā hogā

jo huā haal hamārā so tumhārā hogā

sach ke saude mein na paDna ki KHasara hoga

jo hua haal hamara so tumhaara hoga

dil se uThtā hai sub.h-o-shām dhuāñ

koī rahtā hai is makāñ meñ abhī

dil se uThta hai subh-o-sham dhuan

koi rahta hai is makan mein abhi

dete nahīñ sujhā.ī jo duniyā ke ḳhatt-o-ḳhāl

aa.e haiñ tīrgī meñ magar raushnī se ham

dete nahin sujhai jo duniya ke KHatt-o-KHal

aae hain tirgi mein magar raushni se hum

samjhī ga.ī jo baat hamārī ġhalat to kyā

yaañ tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai

samjhi gai jo baat hamari ghalat to kya

yan tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai

kisī bhī haal meñ raazī nahīñ hai dil ham se

har ik tarah ye kāfir bahāna rakhtā hai

kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil hum se

har ek tarah ka ye kafir bahana rakhta hai

ye jitne mas.ale haiñ mashġhale haiñ sab farāġhat ke

na tum be-kār baiThe ho na ham be-kār baiThe haiñ

ye jitne masale hain mashghale hain sab faraghat ke

na tum be-kar baiThe ho na hum be-kar baiThe hain

aaj jhagḌā aaj chukā

kal bāteñ kal par Taal

aaj ka jhagDa aaj chuka

kal ki baaten kal par Tal

paap karo khol kar dhabboñ kyā soch

jab chāhā dho liye gañgā-jal ke saath

pap karo ji khol kar dhabbon ki kya soch

jab ji chaha dho liye ganga-jal ke sath

dekhoge to aa.egī tumheñ apnī jafā yaad

ḳhāmosh jise pāoge ḳhāmosh na hogā

dekhoge to aaegi tumhein apni jafa yaad

KHamosh jise paoge KHamosh na hoga

jab tak ki haiñ zamāne meñ ham se ḳharāb log

masjid kahīñ kahīñ koī mai-ḳhāna chāhiye

jab tak ki hain zamane mein hum se KHarab log

masjid kahin kahin koi mai-KHana chahiye

mausam āh-o-nāla se andāza kījiye

taaza havā pe band na darvāza kījiye

mausam ka aah-o-nala se andaza kijiye

taza hawa pe band na darwaza kijiye

na.ī zindagī ke na.e makr o fan

na.e aadmī na.ī chāl-Dhāl

nai zindagi ke nae makr o fan

nae aadmi ki nai chaal-Dhaal

jaate haiñ zahr-e-ġham-e-hastī ho ki mai ho

ham bhī zamāne meñ balā-nosh na hogā

pi jate hain zahr-e-gham-e-hasti ho ki mai ho

hum sa bhi zamane mein bala-nosh na hoga

aur kuchh din ḳharāb ho liije

suud apnā hai is ziyāñ meñ abhī

aur kuchh din KHarab ho lije

sud apna hai is ziyan mein abhi

kis jabīñ pe haiñ ye sitāre araq araq

kis ke lahū se chāñd dāman hai daaġh daaġh

kis ki jabin pe hain ye sitare araq araq

kis ke lahu se chand ka daman hai dagh dagh

aa.egī ham ko raas na yak-rañgi-e-ḳhalā

ahl-e-zamīñ haiñ ham hameñ din raat chāhiye

aaegi hum ko ras na yak-rangi-e-KHala

ahl-e-zamin hain hum hamein din raat chahiye

qalandarī hai ki rakhtā hai dil ġhanī 'anjum'

koī dukāñ na koī kār-ḳhāna rakhtā hai

qalandari hai ki rakhta hai dil ghani 'anjum'

koi dukan na koi kar-KHana rakhta hai

rahe zarā dil-e-ḳhūñ-gashta par nazar 'anjum'

usī sadaf se ajab kyā guhar nikal aa.e

rahe zara dil-e-KHun-gashta par nazar 'anjum'

usi sadaf se ajab kya guhar nikal aae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now