Sher of Anwar Dehlvi
na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
kuchh ḳhabar hotī to maiñ apnī ḳhabar kyuuñ rakhtā
ye bhī ik be-ḳhabarī thī ki ḳhabar-dār rahā
kuchh KHabar hoti to main apni KHabar kyun rakhta
ye bhi ek be-KHabari thi ki KHabar-dar raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sharm bhī ik tarah kī chorī hai
vo badan ko churā.e baiThe haiñ
sharm bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
sūrat chhupā.iye kisī sūrat-parast se
ham dil meñ naqsh aap kī tasvīr kar chuke
surat chhupaiye kisi surat-parast se
hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke
-
Tag : Tasweer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
miTTī ḳharāb hai tire kūche meñ varna ham
ab tak to jis zamīñ pe rahe āsmāñ rahe
miTTi KHarab hai tere kuche mein warna hum
ab tak to jis zamin pe rahe aasman rahe
niiñd kā kaam garche aanā hai
merī āñkhoñ meñ par nahīñ aatī
nind ka kaam garche aana hai
meri aankhon mein par nahin aati
un se ham lau lagā.e baiThe haiñ
aag dil meñ dabā.e baiThe haiñ
un se hum lau lagae baiThe hain
aag dil mein dabae baiThe hain
kis soch meñ haiñ aa.ine ko aap dekh kar
merī taraf to dekhiye sarkār kyā huā
kis soch mein hain aaine ko aap dekh kar
meri taraf to dekhiye sarkar kya hua
vo jo gardan jhukā.e baiThe haiñ
hashr kyā kyā uThā.e baiThe haiñ
wo jo gardan jhukae baiThe hain
hashr kya kya uThae baiThe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pī bhī jā shaiḳh ki saaqī kī ināyat hai sharāb
maiñ tire badle qayāmat meñ gunahgār rahā
pi bhi ja shaiKH ki saqi ki inayat hai sharab
main tere badle qayamat mein gunahgar raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-tarah paḌtī hai nazar un kī
ḳhair dil kī nazar nahīñ aatī
be-tarah paDti hai nazar un ki
KHair dil ki nazar nahin aati
hashr ko māntā huuñ be-dekhe
haa.e hañgāma us kī mahfil kā
hashr ko manta hun be-dekhe
hae hangama us ki mahfil ka
mirī numūd se paidā hai rañg-e-nākāmī
pisā huā huuñ kisī ke hinā lagāne kā
meri numud se paida hai rang-e-nakaami
pisa hua hun kisi ke hina lagane ka
goyā ki sab ġhalat haiñ mirī bad-gumāniyāñ
dekhe to koī shakl tumhārī hayā ke saath
goya ki sab ghalat hain meri bad-gumaniyan
dekhe to koi shakl tumhaari haya ke sath
maiñ giraftār-e-vafā huuñ chhuT ke jā.ūñgā kahāñ
baal bāñdhā chor huuñ har tār-e-zulf-e-yār kā
main giraftar-e-wafa hun chhuT ke jaunga kahan
baal bandha chor hun har tar-e-zulf-e-yar ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har shai ko intihā hai yaqīñ hai ki vasl ho
arsa bahut khiñchā hai mirī intizār kā
har shai ko intiha hai yaqin hai ki wasl ho
arsa bahut khincha hai meri intizar ka
kaisī hayā kahāñ kī vafā pās-e-ḳhalq kyā
haañ ye sahī ki aap ko aanā yahāñ na thā
kaisi haya kahan ki wafa pas-e-KHalq kya
han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nākāmī-e-visāl kā paiġhām hai mujhe
shīrīñ kā zikr bhī na karo kohkan ke saath
nakaami-e-visal ka paigham hai mujhe
shirin ka zikr bhi na karo kohkan ke sath
qāmat hī likhā ham ne sadā jā-e-qayāmat
qāmat ne bhulāyā tire imlā-e-qayāmat
qamat hi likha hum ne sada ja-e-qayamat
qamat ne bhulaya tere imla-e-qayamat
allāh-re fart-e-shauq-e-asīrī kī shauq meñ
pahroñ uThā uThā ke salāsil ko dekhnā
allah-re fart-e-shauq-e-asiri ki shauq mein
pahron uTha uTha ke salasil ko dekhna
kamar bāñdhī hai tauba toḌne par
ilāhī ḳhair azm-e-nātavāñ kī
kamar bandhi hai tauba toDne par
ilahi KHair azm-e-natawan ki
thak ke baiThe ho dar-e-sauma.a par kyā 'anvar'
do-qadam aur ki ye ḳhāna-e-ḳhummar rahā
thak ke baiThe ho dar-e-sauma par kya 'anwar'
do-qadam aur ki ye KHana-e-KHummar raha
'anvar' ne badle jaan ke lī jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudā girāñ na thā
'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naz ye ki ye sauda giran na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pheñkiye kyuuñ mai-e-nāqis saaqī
shaiḳh-sāhib kī ziyāfat hī sahī
phenkiye kyun mai-e-naqis saqi
shaiKH-sahib ki ziyafat hi sahi
nazar aa.e kyā mujh se faanī kī sūrat
ki pinhāñ huuñ dard-e-nihānī kī sūrat
nazar aae kya mujh se fani ki surat
ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
garche kyā kuchh the magar aap ko kuchh bhī na ginā
ishq barham-zan-e-kāshāna-e-pindār rahā
garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina
ishq barham-zan-e-kashana-e-pindar raha