Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asif Bilal's Photo'

Asif Bilal

2002 | Siddharth Nagar, India

One of the emerging young poets, known for expressing spontaneity in ghazal

One of the emerging young poets, known for expressing spontaneity in ghazal

Sher of Asif Bilal

97
Favorite

SORT BY

taraqqiyāt ye kaun ghaḌī hai jahāñ

sab apne aap meñ bāzār honā chāhte haiñ

taraqqiyat ki ye kaun si ghaDi hai jahan

sab apne aap mein bazar hona chahte hain

ham ne jis hādse pe sabr kiyā

aap hote to mar ga.e hote

hum ne jis hadse pe sabr kiya

aap hote to mar gae hote

jaane lagtā huuñ to vo paañv pakaḌ letā hai

aur sitam ye hai ki siine se lagātā bhī nahīñ

jaane lagta hun to wo panw pakaD leta hai

aur sitam ye hai ki sine se lagata bhi nahin

gaañv ke narm ravayyoñ meñ pale haiñ ham log

shahr meñ koī nigah-bān zarūrī hai miyāñ

ganw ke narm rawayyon mein pale hain hum log

shahr mein koi nigah-ban zaruri hai miyan

tumheñ ham is liye bhī sochte rahte haiñ aksar

ki ik tasvīr meñ dhuñdlā hai chehrā tumhārā

tumhein hum is liye bhi sochte rahte hain aksar

ki ek taswir mein dhundla sa hai chehra tumhaara

maiñ ik aise gaañv rahne vaalā thā

sailāboñ meñ jis ke ghar kaT jaate the

main ek aise ganw ka rahne wala tha

sailabon mein jis ke ghar kaT jate the

ham ne jis hādse pe sabr kiyā

aap hote to mar ga.e hote

hum ne jis hadse pe sabr kiya

aap hote to mar gae hote

jaane lagtā huuñ to vo paañv pakaḌ letā hai

aur sitam ye hai ki siine se lagātā bhī nahīñ

jaane lagta hun to wo panw pakaD leta hai

aur sitam ye hai ki sine se lagata bhi nahin

takte rahte the kināre se musalsal donoñ

jaane dariyā meñ bhī kyā vaqt bahā.e ga.e the

takte rahte the kinare se musalsal donon

jaane dariya mein bhi kya waqt bahae gae the

guzishta kuchh dinoñ se jaane kis uljhāo meñ hai dil

ki ham baiThe bhī rahte haiñ ġhazal-ḳhvānī nahīñ hotī

guzishta kuchh dinon se jaane kis uljhao mein hai dil

ki hum baiThe bhi rahte hain ghazal-KHwani nahin hoti

tum kaho tum bhī taḌapte ho ta'alluq ke ta.iiñ

mire dil-e-bismil ye bīmārī hai

tum kaho tum bhi taDapte ho ta'alluq ke tain

ya mere hi dil-e-bismil ki ye bimari hai

'ālam-e-hū meñ sahī shor to kar lene do

apne hone bhī e'lān zarūrī hai miyāñ

'alam-e-hu mein sahi shor to kar lene do

apne hone ka bhi e'lan zaruri hai miyan

ham ek mez pe jab saath saath baiThe the

to darmiyān koī aur vaqt chal rahā thā

hum ek mez pe jab sath sath baiThe the

to darmiyan koi aur waqt chal raha tha

ab bahut dasht-navardī huī 'āsif' sāhab

ab badan maut āvāz pe haañ chāhtā hai

ab bahut dasht-nawardi hui 'asif' sahab

ab badan maut ki aawaz pe han chahta hai

pech-dar-pech huī jaatī hai duniyā ham par

jaane kyoñ is pe ham āsān hue jaate haiñ

pech-dar-pech hui jati hai duniya hum par

jaane kyon is pe hum aasan hue jate hain

vo lamhe-bhar ko tasavvur se bhī nahīñ jaatā

isī liye to use apnī jaan bolte haiñ

wo lamhe-bhar ko tasawwur se bhi nahin jata

isi liye to use apni jaan bolte hain

tum kaho tum bhī taḌapte ho ta'alluq ke ta.iiñ

mire dil-e-bismil ye bīmārī hai

tum kaho tum bhi taDapte ho ta'alluq ke tain

ya mere hi dil-e-bismil ki ye bimari hai

ik harf-e-tasallī thā mudāvā-e-ġham-e-hijr

jis vaqt pahlū se mire uTh ke gayā thā

ek harf-e-tasalli tha mudawa-e-gham-e-hijr

jis waqt tu pahlu se mere uTh ke gaya tha

raat raat chale jaao mire ham-safaro

sub.h mumkin hai yahī dasht maqtal ho jaa.e

raat hi raat chale jao mere ham-safaro

subh mumkin hai yahi dasht hi maqtal ho jae

maiñ ik aise gaañv rahne vaalā thā

sailāboñ meñ jis ke ghar kaT jaate the

main ek aise ganw ka rahne wala tha

sailabon mein jis ke ghar kaT jate the

taraqqiyāt ye kaun ghaḌī hai jahāñ

sab apne aap meñ bāzār honā chāhte haiñ

taraqqiyat ki ye kaun si ghaDi hai jahan

sab apne aap mein bazar hona chahte hain

raat raat chale jaao mire ham-safaro

sub.h mumkin hai yahī dasht maqtal ho jaa.e

raat hi raat chale jao mere ham-safaro

subh mumkin hai yahi dasht hi maqtal ho jae

guzishta kuchh dinoñ se jaane kis uljhāo meñ hai dil

ki ham baiThe bhī rahte haiñ ġhazal-ḳhvānī nahīñ hotī

guzishta kuchh dinon se jaane kis uljhao mein hai dil

ki hum baiThe bhi rahte hain ghazal-KHwani nahin hoti

ham ek mez pe jab saath saath baiThe the

to darmiyān koī aur vaqt chal rahā thā

hum ek mez pe jab sath sath baiThe the

to darmiyan koi aur waqt chal raha tha

ab bahut dasht-navardī huī 'āsif' sāhib

ab badan maut āvāz pe haañ chāhtā hai

ab bahut dasht-nawardi hui 'asif' sahib

ab badan maut ki aawaz pe han chahta hai

āshuftagī azal se mire āb-o-gil meñ hai

kul lazzat-e-hayāt ġham-e-jāñ-gusil meñ hai

aashuftagi azal se mere aab-o-gil mein hai

kul lazzat-e-hayat gham-e-jaan-gusil mein hai

‘ālam-e-hū meñ sahī shor to kar lene do

apne hone bhī e'lān zarūrī hai miyāñ

‘alam-e-hu mein sahi shor to kar lene do

apne hone ka bhi e'lan zaruri hai miyan

ab is hujūm meñ pahchān kho ga.ī merī

kisī badan ke liye isti'āra thā pahle

ab is hujum mein pahchan kho gai meri

kisi badan ke liye isti'ara tha pahle

tumheñ ham is liye bhī sochte rahte haiñ aksar

ki ik tasvīr meñ dhuñdlā hai chehrā tumhārā

tumhein hum is liye bhi sochte rahte hain aksar

ki ek taswir mein dhundla sa hai chehra tumhaara

vo lamhe-bhar ko tasavvur se bhī nahīñ jaatā

isī liye to use apnī jaan bolte haiñ

wo lamhe-bhar ko tasawwur se bhi nahin jata

isi liye to use apni jaan bolte hain

takte rahte the kināre se musalsal donoñ

jaane dariyā meñ bhī kyā vaqt bahā.e ga.e the

takte rahte the kinare se musalsal donon

jaane dariya mein bhi kya waqt bahae gae the

ham aise log bahut der tak nahīñ rahte

yaqīn jāniye koī kamāl ho rahā hai

hum aise log bahut der tak nahin rahte

yaqin jaaniye koi kamal ho raha hai

gaañv ke narm ravayyoñ meñ pale haiñ ham log

shahr meñ koī nigahbān zarūrī hai miyāñ

ganw ke narm rawayyon mein pale hain hum log

shahr mein koi nigahban zaruri hai miyan

ham aise log bahut der tak nahīñ rahte

yaqīn jāniye koī kamāl ho rahā hai

hum aise log bahut der tak nahin rahte

yaqin jaaniye koi kamal ho raha hai

āshuftagī azal se mire āb-o-gil meñ hai

kul lazzat-e-hayāt ġham-e-jāñ-gusil meñ hai

aashuftagi azal se mere aab-o-gil mein hai

kul lazzat-e-hayat gham-e-jaan-gusil mein hai

pech-dar-pech huī jaatī hai duniyā ham par

jaane kyoñ is pe ham āsān hue jaate haiñ

pech-dar-pech hui jati hai duniya hum par

jaane kyon is pe hum aasan hue jate hain

ab is hujūm meñ pahchān kho ga.ī merī

kisī badan ke liye isti'āra thā pahle

ab is hujum mein pahchan kho gai meri

kisi badan ke liye isti'ara tha pahle

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now