Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asif Bilal's Photo'

Asif Bilal

2002 | Siddharth Nagar, India

One of the emerging young poets, known for expressing spontaneity in ghazal

One of the emerging young poets, known for expressing spontaneity in ghazal

Asif Bilal

Ghazal 34

Nazm 5

 

Sher-o-Shayari 37

taraqqiyāt ye kaun ghaḌī hai jahāñ

sab apne aap meñ bāzār honā chāhte haiñ

taraqqiyat ki ye kaun si ghaDi hai jahan

sab apne aap mein bazar hona chahte hain

ham ne jis hādse pe sabr kiyā

aap hote to mar ga.e hote

hum ne jis hadse pe sabr kiya

aap hote to mar gae hote

  • Share this

gaañv ke narm ravayyoñ meñ pale haiñ ham log

shahr meñ koī nigah-bān zarūrī hai miyāñ

ganw ke narm rawayyon mein pale hain hum log

shahr mein koi nigah-ban zaruri hai miyan

jaane lagtā huuñ to vo paañv pakaḌ letā hai

aur sitam ye hai ki siine se lagātā bhī nahīñ

jaane lagta hun to wo panw pakaD leta hai

aur sitam ye hai ki sine se lagata bhi nahin

maiñ ik aise gaañv rahne vaalā thā

sailāboñ meñ jis ke ghar kaT jaate the

main ek aise ganw ka rahne wala tha

sailabon mein jis ke ghar kaT jate the

Naat 4

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now