Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bashir Mehtaab's Photo'

Bashir Mehtaab

1994 | Jammu and Kashmir, India

Bashir Mehtaab

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 25

ik bevafā ke pyaar meñ had se guzar ga.e

kāfir ke pyaar ne hameñ kāfir banā diyā

ek bewafa ke pyar mein had se guzar gae

kafir ke pyar ne hamein kafir bana diya

  • Share this

is daur-e-āḳhirī jahālat to dekhiye

jis zabāñ-darāz hukūmat usī hai

is daur-e-aKHiri ki jahaalat to dekhiye

jis ki zaban-daraaz hukumat usi ki hai

  • Share this

maiñ hisār-e-zulmat-e-shab meñ huuñ jo bhaTak rahā huuñ galī galī

mujhe tīrgī se gilā nahīñ mujhe raushnī talāsh hai

main hisar-e-zulmat-e-shab mein hun jo bhaTak raha hun gali gali

mujhe tirgi se gila nahin mujhe raushni ki talash hai

  • Share this

mohabbat bāñTanā sīkho mohabbat hai atā rab

mohabbat bāñTne vaale tavīl-ul-umr hote haiñ

mohabbat banTana sikho mohabbat hai ata rab ki

mohabbat banTne wale tawil-ul-umr hote hain

  • Share this

mujh ko aḳhbār lagtī haiñ tumhārī bāteñ

har na.e roz nayā fitna bayāñ kartī haiñ

mujh ko aKHbar si lagti hain tumhaari baaten

har nae roz naya fitna bayan karti hain

  • Share this

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now