aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bilal Ahmad's Photo'

Bilal Ahmad

1979

Bilal Ahmad

Ghazal 6

Nazm 8

Sher-o-Shayari 9

ajiib qaid thī jis meñ bahut ḳhushī thī mujhe

ab ashk thamte nahīñ haiñ ye kyā rihā huā maiñ

ajib qaid thi jis mein bahut KHushi thi mujhe

ab ashk thamte nahin hain ye kya riha hua main

hamārī ḳhaak tabarruk samajh ke le jaao

hamārī jaan mohabbat lau meñ jaltī thī

hamari KHak tabarruk samajh ke le jao

hamari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi

sunā hai maiñ ne aziyyat maza bhī detī hai

sunā hai dil ḳhalish meñ sakūñ bhī hotā hai

suna hai main ne aziyyat maza bhi deti hai

suna hai dil ki KHalish mein sakun bhi hota hai

ek hālat thī mirī aur ek hālat dil thī

merī hālat to vahī hai dil vo hālat ga.ī

ek haalat thi meri aur ek haalat dil ki thi

meri haalat to wahi hai dil ki wo haalat gai

ek kāñTe khaTak se dil mirā ābād thā

vo gayā to dil se mere dard rāhat ga.ī

ek kanTe ki khaTak se dil mera aabaad tha

wo gaya to dil se mere dard ki rahat gai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now