join rekhta family!
Ghazal 51
Nazm 32
Sher 47
kabhī jo ḳhvāb thā vo pā liyā hai
magar jo kho ga.ī vo chiiz kyā thī
kabhi jo KHwab tha wo pa liya hai
magar jo kho gai wo chiz kya thi
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Khwab
jidhar jaate haiñ sab jaanā udhar achchhā nahīñ lagtā
mujhe pāmāl rastoñ kā safar achchhā nahīñ lagtā
jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta
-
Share this
- See Ghazal
zarā mausam to badlā hai magar peḌoñ kī shāḳhoñ par na.e pattoñ ke aane meñ abhī kuchh din lageñge
bahut se zard chehroñ par ġhubār-e-ġham hai kam be-shak par un ko muskurāne meñ abhī kuchh din lageñge
zara mausam to badla hai magar peDon ki shaKHon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge
bahut se zard chehron par ghubar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskurane mein abhi kuchh din lagenge
Qita 4
Image shayari 3
ye jiivan ik raah nahii.n ik doraahaa hai pahlaa rasta bahut sahal hai is me.n ko.ii mo.D nahii.n hai ye rasta is duniyaa se bejo.D nahii.n hai is raste par milte hai.n reto.n ke aa.ngan is raste par milte hai.n rishto.n ke bandhan is raste par chalne vaale kahne ko sab sukh paate hai.n lekin Tuk.De Tuk.De ho kar sab rishto.n me.n baT jaate hai.n apne palle kuchh nahii.n bachtaa bachtii hai be-naam sii uljhan bachtaa hai saa.nso.n kaa ii.ndhan jis me.n un kii apnii har pahchaan aur un ke saare sapne jal bujhte hai.n is raste par chalne vaale KHud ko kho kar jag paate hai.n uupar uupar to jiite hai.n andar andar mar jaate hai.n duusraa rasta bahut kaThin hai is raste me.n ko.ii kisii ke saath nahii.n hai ko.ii sahaaraa dene vaalaa nahii.n hai is raste me.n dhuup hai ko.ii chhaa.nv nahii.n hai jahaa.n tasallii bhiik me.n de de ko.ii kisii ko is raste me.n aisaa ko.ii gaa.nv nahii.n hai ye un logo.n kaa rastaa hai jo KHud apne tak jaate hai.n apne aap ko jo paate hai.n tum is raste par hii chalnaa mujhe pataa hai ye rasta aasaan nahii.n hai lekin mujh ko ye Gam bhii hai tum ko ab tak kyuu.n apnii pahchaan nahii.n hai