Sher of Ikram Arfi
ik dhamā-chaukḌī hai siine meñ
ye kahīñ be-lagām dil to nahīñ
ek dhama-chaukDi hai sine mein
ye kahin be-lagam dil to nahin
sūkhne vaale phir hare na hue
raah kī ghaas phir na phūlī-phalī
sukhne wale phir hare na hue
rah ki ghas phir na phuli-phali
sab log muntazir haiñ ki darvāza kuchh kahe
dīvār se savāl kisī ne nahīñ kiyā
sab log muntazir hain ki darwaza kuchh kahe
diwar se sawal kisi ne nahin kiya
-
Tag : Sawal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qarīb thā ki mire haq meñ boltā insāf
muqaddame kī samā'at ne ghuTne Tek diye
qarib tha ki mere haq mein bolta insaf
muqaddame ki sama'at ne ghuTne Tek diye
chāra-garān-e-zaḳhm ko phir bhī mirā salām
hālāñki indimāl kisī ne nahīñ kiyā
chaara-garan-e-zaKHm ko phir bhi mera salam
haalanki indimal kisi ne nahin kiya
āḳhirī ḳhat liye āḳhirī moḌ par
āḳhirī baar dekhā gayā Dākiyā
aaKHiri KHat liye aaKHiri moD par
aaKHiri bar dekha gaya Dakiya
vā'doñ ke jis maqām pe chhoḌā thā aap ne
ham aaj tak vahīñ pe khaḌe haiñ janāb-e-man
wa'don ke jis maqam pe chhoDa tha aap ne
hum aaj tak wahin pe khaDe hain janab-e-man
aisā nahīñ ki phuul daraḳhtoñ hī se gire
kuchh shāḳh-e-chashm se bhī jhaḌe haiñ janāb-e-man
aisa nahin ki phul daraKHton hi se gire
kuchh shaKH-e-chashm se bhi jhaDe hain janab-e-man
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil meñ aa.e koī kharī 'aurat
ye kuaañ bhar gayā hai khoTiyoñ se
dil mein aae koi khari 'aurat
ye kuan bhar gaya hai khoTiyon se
-
Tag : Tamanna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhushk hoñToñ se mā'zarat kar lī
dil ke sahrā meñ mar ga.e mire uuñT
KHushk honTon se ma'zarat kar li
dil ke sahra mein mar gae mere unT
terī furqat ke daaġh dil meñ rakhe
tere kūche kī ḳhaak muñh pe malī
teri furqat ke dagh dil mein rakhe
tere kuche ki KHak munh pe mali
maiñ tire ḳhālī haath ke qurbān
mujh se milnā magar gulāb samet
main tere KHali hath ke qurban
mujh se milna magar gulab samet
niiñd aatī hai karvaTeñ le kar
ranj ke saath iztirāb samet
nind aati hai karwaTen le kar
ranj ke sath iztirab samet
dasht darpesh hai so chaltā huuñ
aañkh meñ bhar ke tiin chaar daraḳht
dasht darpesh hai so chalta hun
aankh mein bhar ke tin chaar daraKHt
ye pā.eleñ to mirī tab’-zād haiñ lekin
mire kalām meñ kangan kahāñ se aatā hai
ye paelen to meri tab’-zad hain lekin
mere kalam mein kangan kahan se aata hai
-
Tag : kangan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
Duub jaane meñ koī harj nahīñ
Dūbnā ho agar sharāb samet
Dub jaane mein koi harj nahin
Dubna ho agar sharab samet
-
Tag : Maikashi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
muḳhtasar ye ki ḳhānamāñ-barbād
bistaroñ meñ qiyām ko tarse
muKHtasar ye ki KHanaman-barbaad
bistaron mein qiyam ko tarse
-
Tag : Muflisi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek bhī sīdhī kal nahīñ 'ikrām'
apne ajdād par ga.e mire uuñT
ek bhi sidhi kal nahin 'ikram'
apne ajdad par gae mere unT
-
Tag : Tanz
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download