aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khwaja Meer Dard's Photo'

Khwaja Meer Dard

1721 - 1785 | Delhi, India

Sufi poet, contemporary of Mir Taqi Mir, known for his deep knowledge of Indian music.

Sufi poet, contemporary of Mir Taqi Mir, known for his deep knowledge of Indian music.

Sher of Khwaja Meer Dard

29.7K
Favorite

SORT BY

sair kar duniyā ġhāfil zindagānī phir kahāñ

zindagī gar kuchh rahī to ye javānī phir kahāñ

sair kar duniya ki ghafil zindagani phir kahan

zindagi gar kuchh rahi to ye jawani phir kahan

nahīñ shikva mujhe kuchh bevafā.ī tirī hargiz

gilā tab ho agar ne kisī se bhī nibhā.ī ho

nahin shikwa mujhe kuchh bewafai ka teri hargiz

gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhai ho

zindagī hai koī tūfān hai!

ham to is jiine ke hāthoñ mar chale

zindagi hai ya koi tufan hai!

hum to is jine ke hathon mar chale

aziyyat musībat malāmat balā.eñ

tire ishq meñ ham ne kyā kyā na dekhā

aziyyat musibat malamat balaen

tere ishq mein hum ne kya kya na dekha

tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jā.iyo

dāman nichoḌ deñ to farishte vazū kareñ

do not be deceived by it damp disposition

if I wring my cloak, angels will do ablution

tar-damani pe shaiKH hamari na jaiyo

daman nichoD den to farishte wazu karen

do not be deceived by it damp disposition

if I wring my cloak, angels will do ablution

hai ġhalat gar gumān meñ kuchh hai

tujh sivā bhī jahān meñ kuchh hai

hai ghalat gar guman mein kuchh hai

tujh siwa bhi jahan mein kuchh hai

jag meñ aa kar idhar udhar dekhā

aayā nazar jidhar dekhā

jag mein aa kar idhar udhar dekha

tu hi aaya nazar jidhar dekha

jaan se ho ga.e badan ḳhālī

jis taraf ne aañkh bhar dekhā

jaan se ho gae badan KHali

jis taraf tu ne aankh bhar dekha

arz-o-samā kahāñ tirī vus.at ko sake

merā dil hai vo ki jahāñ samā sake

arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake

mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake

kabhū ronā kabhū hañsnā kabhū hairān ho jaanā

mohabbat kyā bhale-chañge ko dīvāna banātī hai

laughing, crying and at times spouting inanity

passion does render a wise person to insanity

kabhu rona kabhu hansna kabhu hairan ho jaana

mohabbat kya bhale-change ko diwana banati hai

laughing, crying and at times spouting inanity

passion does render a wise person to insanity

maiñ jaatā huuñ dil ko tire paas chhoḌe

mirī yaad tujh ko dilātā rahegā

main jata hun dil ko tere pas chhoDe

meri yaad tujh ko dilata rahega

dard-e-dil ke vāste paidā kiyā insān ko

varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayāñ

dard-e-dil ke waste paida kiya insan ko

warna taat ke liye kuchh kam na the karr-o-bayan

un laboñ ne na masīhā.ī

ham ne sau sau tarah se mar dekhā

un labon ne na ki masihai

hum ne sau sau tarah se mar dekha

dushmanī ne sunā na hovegā

jo hameñ dostī ne dikhlāyā

dushmani ne suna na howega

jo hamein dosti ne dikhlaya

tamannā tirī hai agar hai tamannā

tirī aarzū hai agar aarzū hai

tamanna teri hai agar hai tamanna

teri aarzu hai agar aarzu hai

har-chand tujhe sabr nahīñ dard va-lekin

itnā bhī na miliyo ki vo badnām bahut ho

har-chand tujhe sabr nahin dard wa-lekin

itna bhi na miliyo ki wo badnam bahut ho

haal mujh ġham-zada jis jis ne

jab sunā hogā ro diyā hogā

haal mujh gham-zada ka jis jis ne

jab suna hoga ro diya hoga

mujhe ye Dar hai dil-e-zinda na mar jaa.e

ki zindagānī ibārat hai tere jiine se

mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tu na mar jae

ki zindagani ibarat hai tere jine se

kahte na the ham 'dard' miyāñ chhoḌo ye bāteñ

paa.ī na sazā aur vafā kījiye us se

kahte na the hum 'dard' miyan chhoDo ye baaten

pai na saza aur wafa kijiye us se

khul nahīñ saktī haiñ ab āñkheñ mirī

meñ ye kis tasavvur aa gayā

khul nahin sakti hain ab aankhen meri

ji mein ye kis ka tasawwur aa gaya

aage bin kahe kahe hai nahīñ nahīñ

tujh se abhī to ham ne ve bāteñ kahī nahīñ

ahead of time, before I speak, you do seek to deny

those matters that I haven't even started to imply

aage hi bin kahe tu kahe hai nahin nahin

tujh se abhi to hum ne we baaten kahi nahin

ahead of time, before I speak, you do seek to deny

those matters that I haven't even started to imply

qāsid nahīñ ye kaam tirā apnī raah le

us payām dil ke sivā kaun sake

qasid nahin ye kaam tera apni rah le

us ka payam dil ke siwa kaun la sake

dil bhī ai 'dard' qatra-e-ḳhūñ thā

āñsuoñ meñ kahīñ girā hogā

dil bhi ai 'dard' qatra-e-KHun tha

aansuon mein kahin gira hoga

ham tujh se kis havas falak justujū kareñ

dil nahīñ rahā hai jo kuchh aarzū kareñ

hum tujh se kis hawas ki falak justuju karen

dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen

ek īmān hai bisāt apnī

na ibādat na kuchh riyāzat hai

ek iman hai bisat apni

na ibaadat na kuchh riyazat hai

saaqī mire bhī dil taraf Tuk nigāh kar

lab-tishna terī bazm meñ ye jaam rah gayā

saqi mere bhi dil ki taraf Tuk nigah kar

lab-tishna teri bazm mein ye jam rah gaya

sham.a ke mānind ham is bazm meñ

chashm-e-tar aa.e the dāman-tar chale

shama ke manind hum is bazm mein

chashm-e-tar aae the daman-tar chale

vahdat meñ terī harf duī na aa sake

ā.īna kyā majāl tujhe muñh dikhā sake

wahdat mein teri harf dui ka na aa sake

aaina kya majal tujhe munh dikha sake

galī se tirī dil ko le to chalā huuñ

maiñ pahuñchūñgā jab tak ye aatā rahegā

gali se teri dil ko le to chala hun

main pahunchunga jab tak ye aata rahega

ġhair ke dil meñ na kījiyegā

merī āñkhoñ meñ rahā kījiyegā

ghair ke dil mein na ja kijiyega

meri aankhon mein raha kijiyega

yak-ba-yak naam le uThā merā

meñ kyā us ke aa gayā hogā

yak-ba-yak nam le uTha mera

ji mein kya us ke aa gaya hoga

'dard' ke milne se ai yaar burā kyuuñ maanā

us ko kuchh aur sivā diid ke manzūr na thā

'dard' ke milne se ai yar bura kyun mana

us ko kuchh aur siwa did ke manzur na tha

āñkheñ bhī haa.e naza.a meñ apnī badal ga.iiñ

sach hai ki bekasī meñ koī āshnā nahīñ

aankhen bhi hae naza mein apni badal gain

sach hai ki bekasi mein koi aashna nahin

'dard' kuchh ma.alūm hai ye log sab

kis taraf se aa.e the kīdhar chale

'dard' kuchh malum hai ye log sab

kis taraf se aae the kidhar chale

tohmat-e-chand apne zimme dhar chale

jis liye aa.e the ham kar chale

tohmat-e-chand apne zimme dhar chale

jis liye aae the hum kar chale

bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ ḳhaar haiñ to ham haiñ

gar yaar haiñ to ham haiñ aġhyār haiñ to ham haiñ

bagh-e-jahan ke gul hain ya KHar hain to hum hain

gar yar hain to hum hain aghyar hain to hum hain

kamar ḳhamīda nahīñ be-sabab za.īfī meñ

zamīn DhūñDte haiñ vo mazār ke qābil

kamar KHamida nahin be-sabab zaifi mein

zamin DhunDte hain wo mazar ke qabil

rauñde hai naqsh-e-pā tarah ḳhalq yaañ mujhe

ai umr-e-rafta chhoḌ ga.ī kahāñ mujhe

raunde hai naqsh-e-pa ki tarah KHalq yan mujhe

ai umr-e-rafta chhoD gai tu kahan mujhe

dil bhī tere Dhañg sīkhā hai

aan meñ kuchh hai aan meñ kuchh hai

dil bhi tere hi Dhang sikha hai

aan mein kuchh hai aan mein kuchh hai

zālim jafā jo chāhe so kar mujh pe vale

pachhtāve phir aap aisā na kar kahīñ

O cruel one any torture, on me implement

just refrain from actions which you may repent

zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu wale

pachhtawe phir tu aap hi aisa na kar kahin

O cruel one any torture, on me implement

just refrain from actions which you may repent

Tuk ḳhabar le ki har ghaḌī ham ko

ab judā.ī bahut satātī hai

Tuk KHabar le ki har ghaDi hum ko

ab judai bahut satati hai

raat majlis meñ tire husn ke sho.ale ke huzūr

sham.a ke muñh pe jo dekhā to kahīñ nuur na thā

raat majlis mein tere husn ke shoale ke huzur

shama ke munh pe jo dekha to kahin nur na tha

bāvajūde ki par-o-bāl na the aadam ke

vahāñ pahuñchā ki farishte bhī maqdūr na thā

bawajude ki par-o-baal na the aadam ke

wahan pahuncha ki farishte ka bhi maqdur na tha

tujhī ko jo yaañ jalva-farmā na dekhā

barābar hai duniyā ko dekhā na dekhā

tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha

barabar hai duniya ko dekha na dekha

qatl-e-āshiq kisī ma.ashūq se kuchh duur na thā

par tire ahd se aage to ye dastūr na thā

qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha

par tere ahd se aage to ye dastur na tha

zikr merā vo kartā thā sarīhan lekin

maiñ ne pūchhā to kahā ḳhair ye mazkūr na thā

zikr mera hi wo karta tha sarihan lekin

main ne puchha to kaha KHair ye mazkur na tha

band ahkām-e-aql meñ rahnā

ye bhī ik naua himāqat hai

band ahkaam-e-aql mein rahna

ye bhi ek naua ki himaqat hai

naala fariyād aah aur zaarī

aap se ho sakā so kar dekhā

nala fariyaad aah aur zari

aap se ho saka so kar dekha

saltanat par nahīñ hai kuchh mauqūf

jis ke haath aa.e jaam vo jam hai

saltanat par nahin hai kuchh mauquf

jis ke hath aae jam wo jam hai

yā-rab ye kyā tilism hai idrāk-o-fahm yaañ

dauḌe hazār aap se bāhar na sake

ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yan

dauDe hazar aap se bahar na ja sake

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now