Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moid Rahbar's Photo'

Moid Rahbar

1985 | Lucknow, India

Moid Rahbar

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 34

hamīñ pe ḳhatm hai me.ār-e-gulshan-e-hastī

hamāre baad na ḳhushbū chaman se aa.egī

hamin pe KHatm hai mear-e-gulshan-e-hasti

hamare baad na KHushbu chaman se aaegi

  • Share this

jab arsh-e-muallā pe mire naqsh-e-qadam haiñ

kyā chiiz hai phir auj-e-surayyā mire aage

jab arsh-e-mualla pe mere naqsh-e-qadam hain

kya chiz hai phir auj-e-surayya mere aage

  • Share this

jab sadā suur gūñjegī zamāne-bhar meñ

ik farishte meñ simaT aa.egī saarī āvāz

jab sada sur ki gunjegi zamane-bhar mein

ek farishte mein simaT aaegi sari aawaz

  • Share this

ye duniyā hai yahāñ kuchh bhī ho lekin

vahāñ sharmindagī hone na paa.e

ye duniya hai yahan kuchh bhi ho lekin

wahan sharmindagi hone na pae

  • Share this

ye us se rabt-o-zabt baḌhāne hai sila

us ḳhatā ko merī ḳhatā mānte haiñ log

ye us se rabt-o-zabt baDhane ka hai sila

us ki KHata ko meri KHata mante hain log

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now