Sher of Mushafi Ghulam Hamdani
lailā chalī thī haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd kī manzil meñ rah gayā
laila chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naqa machal ke najd ki manzil mein rah gaya
raat din tū hai mirī āġhosh meñ
maiñ tirā sāhil mirā dariyā hai tū
raat din tu hai meri aaghosh mein
main tera sahil mera dariya hai tu
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tīrath samajh us ko vo gar ashnān ko aave
ashkoñ ne bahā.e haiñ mire gañg zamīñ par
tirath samajh us ko wo gar ashnan ko aawe
ashkon ne bahae hain mere gang zamin par
yuuñ hai Dalak badan kī us pairahan kī tah meñ
surḳhī badan kī jaise chhalke badan kī tah meñ
yun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surKHi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
tū ne muñh pherā aur us kā nuur sā jaatā rahā
thā tirī sūrat hī tak ai yaar ā.īñe kā lutf
tu ne munh phera aur us ka nur sa jata raha
tha teri surat hi tak ai yar aaine ka lutf
sādgī dekh ki bose kī tama.a rakhtā huuñ
jin laboñ se ki mayassar nahīñ dushnām mujhe
sadgi dekh ki bose ki tama rakhta hun
jin labon se ki mayassar nahin dushnam mujhe
shab meñ dekhī haiñ paḌī paañv meñ zanjīreñ do
yaaro is ḳhvāb kī tum hī mujhe ta.abīreñ do
shab mein dekhi hain paDi panw mein zanjiren do
yaro is KHwab ki tum hi mujhe tabiren do
jānte aap se judā tujh ko
karte gar farq jism o jaañ meñ ham
jaante aap se juda tujh ko
karte gar farq jism o jaan mein hum
bātoñ meñ lagā.e hī mujhe rakhtā hai zālim
va.ade vahī jhūTe haiñ vahī shām-o-sahar roz
baaton mein lagae hi mujhe rakhta hai zalim
wade wahi jhuTe hain wahi sham-o-sahar roz
us ke jaane se mirā dil hai mire siine meñ
dam kā mehmān charāġh-e-saharī kī sūrat
us ke jaane se mera dil hai mere sine mein
dam ka mehman charagh-e-sahari ki surat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mai piine se vo aariz kyā aur ho ga.e the
ik nāzukī kī un par taasī chaḌhī huī thī
mai pine se wo aariz kya aur ho gae the
ek nazuki ki un par tasi chaDhi hui thi
is taraf bhī kabhī aanā ki asīrān-e-qafas
ai nasīm-e-saharī tujh ko duā dete haiñ
is taraf bhi kabhi aana ki asiran-e-qafas
ai nasim-e-sahari tujh ko dua dete hain
us ke lahrāne meñ chaal aa.ī na mutlaq saañp kī
mauj-e-dariyā kartī hai taqlīd nāhaq saañp kī
us ke lahrane mein chaal aai na mutlaq sanp ki
mauj-e-dariya karti hai taqlid nahaq sanp ki
isī sabab to pareshāñ rahā maiñ duniyā meñ
ki sālahā tirī zulfoñ kī abtarī dekhī
isi sabab to pareshan raha main duniya mein
ki salaha teri zulfon ki abtari dekhi
sajda kartā huuñ maiñ mehrāb samajh kar us ko
ishq ne tere kiyā hai mujhe shamshīr-parast
sajda karta hun main mehrab samajh kar us ko
ishq ne tere kiya hai mujhe shamshir-parast
pīchhā kisī tarah ye mirā chhoḌtā nahīñ
hāthoñ se ishq ke koī jaave kahāñ nikal
pichha kisi tarah ye mera chhoDta nahin
hathon se ishq ke koi jawe kahan nikal
ye kū-e-mai-farosh meñ raulā huā ki raat
dahshat se vaañ Thahar na sakā pā-e-mohtasib
ye ku-e-mai-farosh mein raula hua ki raat
dahshat se wan Thahar na saka pa-e-mohtasib
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-muravvat tujhe āzurda kareñge ham log
ye tirī nāzukī-e-tab.a kī ījād haiñ sab
be-murawwat tujhe aazurda karenge hum log
ye teri nazuki-e-taba ki ijad hain sab
maqsūd hai ā.ankhoñ se tirā dekhnā pyāre
jab tū hī na ho paas to kis kaam kī āñhkeñ
maqsud hai aaankhon se tera dekhna pyare
jab tu hi na ho pas to kis kaam ki aanhken
'mus.hafī' karb-o-balā kā safar āsān nahīñ
saiñkaḌoñ basra-o-baġhdād meñ mar jaate haiñ
'mushafi' karb-o-bala ka safar aasan nahin
sainkaDon basra-o-baghdad mein mar jate hain
'mus.hafī' maiñ huuñ ab aur jāma-e-uryānī hai
thā kabhī chāk-e-malāmat se garebāñ ābād
'mushafi' main hun ab aur jama-e-uryani hai
tha kabhi chaak-e-malamat se gareban aabaad
tarfa aalam hai hamārā bhī ki har dam us se
aaphī ham mante haiñ aur aaphī ḳhafā hote haiñ
tarfa aalam hai hamara bhi ki har dam us se
aaphi hum mante hain aur aaphi KHafa hote hain
tū khule bāloñ mire sāmne aayā mat kar
varna sar piiT abhī ghar se nikal jā.ūñgā
tu khule baalon mere samne aaya mat kar
warna sar piT abhi ghar se nikal jaunga
tere kūche se safar maiñ ne kiyā thā jis din
the mire saath mire dīda-e-ḳhūñ-bār aur bas
tere kuche se safar main ne kiya tha jis din
the mere sath mere dida-e-KHun-bar aur bas
shaiḳh ka.abe ko tū jā jā.ūñ maiñ but-ḳhāne ko
ki tirī raah hai vo aur mirī raah hai ye
shaiKH kabe ko tu ja jaun main but-KHane ko
ki teri rah hai wo aur meri rah hai ye
dafīna ghar meñ kyā thā aur to ham bāda-noshoñ ke
khudā jab shahr saarā vaañ se niklā mai kā ik maTkā
dafina ghar mein kya tha aur to hum baada-noshon ke
khuda jab shahr sara wan se nikla mai ka ek maTka
aish-e-jahāñ baġhal meñ tumhārī sab aa rahā
dil hī diyā jo tum ko to phir aur kyā rahā
aish-e-jahan baghal mein tumhaari sab aa raha
dil hi diya jo tum ko to phir aur kya raha
āḳhir to arsh par haiñ arvāh-e-shā.irāñ bhī
jāveñge vaañ to un kī garm anjuman kareñge
aaKHir to arsh par hain arwah-e-shairan bhi
jawenge wan to un ki garm anjuman karenge
misr ko chhoḌ ke aa.ī hai jo hindustāñ meñ
mere yūsuf kī zuleḳhā tū ḳharīdār hai kyā
misr ko chhoD ke aai hai jo hindustan mein
mere yusuf ki zuleKHa tu KHaridar hai kya
luT ke manzil se koī yuuñ to na aayā hogā
jis tarah chhoḌ ke ham shahr-e-adam nikle haiñ
luT ke manzil se koi yun to na aaya hoga
jis tarah chhoD ke hum shahr-e-adam nikle hain
āsāñ nahīñ dariyā-e-mohabbat se guzarnā
yaañ nuuh kī kashtī ko bhī tūfān kā Dar hai
aasan nahin dariya-e-mohabbat se guzarna
yan nuh ki kashti ko bhi tufan ka Dar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har chand amradoñ meñ hai ik raah kā mazā
ġhair az nisā vale na milā chaah kā mazā
har chand amradon mein hai ek rah ka maza
ghair az nisa wale na mila chah ka maza
gar zamāne kī adāvat hai yahī mujh se to maiñ
abhī ro ro ke jahāz us kā Dubo detā huuñ
gar zamane ki adawat hai yahi mujh se to main
abhi ro ro ke jahaz us ka Dubo deta hun
vārafta huuñ aisā meñ ki kūche meñ butāñ ke
Thahrā.ūñ jo Tuk dil ko to phir paañv ukhaḌ jaa.e
warafta hun aisa mein ki kuche mein butan ke
Thahraun jo Tuk dil ko to phir panw ukhaD jae
ai 'mus.hafī' ustād-e-fan-e-reḳhta-goī
tujh sā koī aalam ko maiñ chhānā nahīñ miltā
ai 'mushafi' ustad-e-fan-e-reKHta-goi
tujh sa koi aalam ko main chhana nahin milta
-
Tag : Rekhta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
to mā.il-e-ushshāq-kushī hai to yahāñ bhī
jiine kī tama.a ai but-e-maġhrūr kise hai
to mail-e-ushshaq-kushi hai to yahan bhi
jine ki tama ai but-e-maghrur kise hai
jo sham.a hai ka.abe kī vahī nuur kā sho.ala
qindīl-e-sanam-ḳhāna kī mehrāb meñ chamkā
jo shama hai kabe ki wahi nur ka shoala
qindil-e-sanam-KHana ki mehrab mein chamka
tarrār zulf-e-yār agar charḳh par chaḌhe
sonā utaar le varaq-e-āftāb se
tarrar zulf-e-yar agar charKH par chaDhe
sona utar le waraq-e-aftab se
adam vāloñ kī sohbat se bhī nafrat ho ga.ī ab to
koī vīrāna ab sū-e-adam ābād karte haiñ
adam walon ki sohbat se bhi nafrat ho gai ab to
koi virana ab su-e-adam aabaad karte hain
sulh-e-kul meñ mirī guzre hai mohabbat ke biich
na to takrār hai kāfir se na dīñ-dār se bahs
sulh-e-kul mein meri guzre hai mohabbat ke bich
na to takrar hai kafir se na din-dar se bahs
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham gabrū ham musalmāñ ham jam.a ham pareshāñ
ik silsila bañdhā us zulf-e-dotā se dekhā
hum gabru hum musalman hum jama hum pareshan
ek silsila bandha us zulf-e-dota se dekha
paan khāne kī adā ye hai to ik aalam ko
ḳhuuñ rulā.egā mirī jaañ dahan-e-surkh tirā
pan khane ki ada ye hai to ek aalam ko
KHun rulaega meri jaan dahan-e-surkh tera
'mus.hafī' rash.ha-e-qalam se mire
'mīr' kī kulliyāt bhīgī hai
'mushafi' rashha-e-qalam se mere
'mir' ki kulliyat bhigi hai
go ki tū 'mīr' se huā behtar
'mus.hafī' phir bhī 'mīr' 'mīr' hī hai
go ki tu 'mir' se hua behtar
'mushafi' phir bhi 'mir' 'mir' hi hai
-
Tag : Meer Taqi Meer
kyuuñ sher-o-shā.erī ko burā jānūñ 'mus.hafī'
jis shā.erī ne ārif-e-kāmil kiyā mujhe
kyun sher-o-shaeri ko bura jaanun 'mushafi'
jis shaeri ne aarif-e-kaamil kiya mujhe
ham sanam dam tire ishq kā bhar ga.e
jal ga.e bhun ga.e kaT ga.e mar ga.e
hum sanam dam tere ishq ka bhar gae
jal gae bhun gae kaT gae mar gae
kam hai kuchh kundan se kyā chehre kā us ke rañg-e-zard
ishq kar ke 'mus.hafī' tū kīmiyā-gar ho gayā
kam hai kuchh kundan se kya chehre ka us ke rang-e-zard
ishq kar ke 'mushafi' tu kimiya-gar ho gaya
rañg-e-badan se us ke ye hotā jalva-gar
ek tah-gulābī dī huī hai pairahan ke biich
rang-e-badan se us ke ye hota jalwa-gar
ek tah-gulabi di hui hai pairahan ke bich
'mus.hafī' hotā musalmān jo mujh sā kāfir
dāna-e-sub.ha pirotā abhī zunnār ke biich
'mushafi' hota musalman jo mujh sa kafir
dana-e-subha pirota abhi zunnar ke bich
us ke maqtal meñ mirā ḳhuun baTā dast-ba-dast
ḳhūb-rū jaise lagāte haiñ hinā dast-ba-dast
us ke maqtal mein mera KHun baTa dast-ba-dast
KHub-ru jaise lagate hain hina dast-ba-dast