aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muztar Haidri's Photo'

Muztar Haidri

1920 - 1975 | Kolkata, India

Popularly known for his mellifluous tarannum.

Popularly known for his mellifluous tarannum.

Muztar Haidri

Ghazal 1

 

Sher-o-Shayari 10

ḳhulūs ho to kahīñ bandagī qaid nahīñ

sanam-kade meñ tavāf-e-haram bhī mumkin hai

KHulus ho to kahin bandagi ki qaid nahin

sanam-kade mein tawaf-e-haram bhi mumkin hai

  • Share this

koī bhī shakl mukammal kitāb ban na sakī

har ek chehra yahāñ iqtibās jaisā hai

koi bhi shakl mukammal kitab ban na saki

har ek chehra yahan iqtibas jaisa hai

  • Share this

mahfil meñ un khul gayā dil muāmla

palkoñ pe ashk rah ga.e piine ke ba.ad bhī

mahfil mein un ki khul gaya dil ka muamla

palkon pe ashk rah gae pine ke baad bhi

  • Share this

kal raat mire dil ne phir chupke se pūchhā hai

'muztar' tirī aahoñ meñ aa.egā asar kab tak

kal raat mere dil ne phir chupke se puchha hai

'muztar' teri aahon mein aaega asar kab tak

  • Share this

jhukī jhukī jo hai kaḌvī-kasīlī niim shāḳh

usī pe shahd chhatta dikhā.ī detā hai

jhuki jhuki jo hai kaDwi-kasili nim ki shaKH

usi pe shahd ka chhatta dikhai deta hai

  • Share this

BOOKS 2

 

More Poets From "Kolkata"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now