Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qamar Abbas Qamar's Photo'

Qamar Abbas Qamar

1993 | Delhi, India

Prominent among upcoming generation of urdu poets.

Prominent among upcoming generation of urdu poets.

Sher of Qamar Abbas Qamar

950
Favorite

SORT BY

tishna-lab aisā ki hoñToñ pe paḌe haiñ chhāle

mutma.in aisā huuñ dariyā ko bhī hairānī hai

tishna-lab aisa ki honTon pe paDe hain chhaale

mutmain aisa hun dariya ko bhi hairani hai

mere māthe pe ubhar aate the vahshat ke nuqūsh

merī miTTī kisī sahrā se uThā.ī ga.ī thī

mere mathe pe ubhar aate the wahshat ke nuqush

meri miTTi kisi sahra se uThai gai thi

pahāḌ peḌ nadī saath de rahe haiñ mirā

ye terī or mirā āḳhirī safar to nahīñ

pahaD peD nadi sath de rahe hain mera

ye teri or mera aaKHiri safar to nahin

majnūñ se ye kahnā ki mire shahar meñ aa jaa.e

vahshat ke liye ek bayābān abhī hai

majnun se ye kahna ki mere shahar mein aa jae

wahshat ke liye ek bayaban abhi hai

ye ehtijāj ajab hai ḳhilāf-e-teġh-e-sitam

zamīñ meñ jazb nahīñ ho rahā hai ḳhuuñ merā

ye ehtijaj ajab hai KHilaf-e-tegh-e-sitam

zamin mein jazb nahin ho raha hai KHun mera

ab ki mumkin hai zamīñ ḳhuun pyāsī na rahe

ik qabīle ne merī baat nahīñ maanī hai

ab ki mumkin hai zamin KHun ki pyasi na rahe

ek qabile ne meri baat nahin mani hai

mujhe bachā le mire yaar soz-e-imshab se

ki ik sitāra-e-vahshat jabīñ se guzregā

mujhe bacha le mere yar soz-e-imshab se

ki ek sitara-e-wahshat jabin se guzrega

alag alag hai samtoñ ab safar darpesh

tumhārā haath mire haath se judā bhī nahīñ

alag alag si hai samton ka ab safar darpesh

tumhaara hath mere hath se juda bhi nahin

palaTne vaale parindoñ pe bad-havāsī hai

maiñ is zamīñ kahīñ āḳhirī shajar to nahīñ

palaTne wale parindon pe bad-hawasi hai

main is zamin ka kahin aaKHiri shajar to nahin

sard rātoñ taqāza thā badan jal jaa.e

phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne

sard raaton ka taqaza tha badan jal jae

phir wo ek aag jo sine se lagai main ne

yuuñ raat ga.e kis ko sadā dete haiñ aksar

vo kaun hamārā thā jo vāpas nahīñ aaya

yun raat gae kis ko sada dete hain aksar

wo kaun hamara tha jo wapas nahin aaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now