Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sada Ambalvi's Photo'

Sada Ambalvi

1951 | Gurgaon, India

Rajinder Pal Singh, Sada Ambalvi is a popular poet who also writes in Punjabi. Famous for his ghazal 'Wo to khushbu hai har ik samt bikharnaa hai use' sung by many singers.

Rajinder Pal Singh, Sada Ambalvi is a popular poet who also writes in Punjabi. Famous for his ghazal 'Wo to khushbu hai har ik samt bikharnaa hai use' sung by many singers.

Sher of Sada Ambalvi

4.4K
Favorite

SORT BY

vaqt har zaḳhm marham to nahīñ ban saktā

dard kuchh hote haiñ tā-umr rulāne vaale

waqt har zaKHm ka marham to nahin ban sakta

dard kuchh hote hain ta-umr rulane wale

baḌā ghāTe saudā hai 'sadā' ye saañs lenā bhī

baḌhe hai umr jyūñ-jyūñ zindagī kam hotī jaatī hai

baDa ghaTe ka sauda hai 'sada' ye sans lena bhi

baDhe hai umr jyun-jyun zindagi kam hoti jati hai

bujh ga.ī sham.a lau tere dupaTTe se to kyā

apnī muskān se mahfil ko munavvar kar de

bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kya

apni muskan se mahfil ko munawwar kar de

apnī urdu to mohabbat zabāñ thī pyāre

uff siyāsat ne use joḌ diyā maz.hab se

apni urdu to mohabbat ki zaban thi pyare

uff siyasat ne use joD diya mazhab se

ab kahāñ dost mileñ saath nibhāne vaale

sab ne sīkhe haiñ ab ādāb zamāne vaale

ab kahan dost milen sath nibhane wale

sab ne sikhe hain ab aadab zamane wale

de gayā ḳhuub sazā mujh ko koī kar ke muaaf

sar jhukā aise ki tā-umr uThāyā na gayā

de gaya KHub saza mujh ko koi kar ke muaf

sar jhuka aise ki ta-umr uThaya na gaya

mohabbat ke marīzoñ mudāvā hai zarā mushkil

utartā hai 'sadā' un buḳhār āhista āhista

mohabbat ke marizon ka mudawa hai zara mushkil

utarta hai 'sada' un ka buKHar aahista aahista

vaqt ke saath 'sadā' badle ta.alluq kitne

tab gale milte the ab haath milāyā na gayā

waqt ke sath 'sada' badle talluq kitne

tab gale milte the ab hath milaya na gaya

kyuuñ sadā pahne vo terā pasandīda libās

kuchh to mausam ke mutābiq bhī sañvarnā hai use

kyun sada pahne wo tera hi pasandida libas

kuchh to mausam ke mutabiq bhi sanwarna hai use

baḌe bā-vafā the mire yaar sab

musībat meñ jab tak pukārā na thā

baDe ba-wafa the mere yar sab

musibat mein jab tak pukara na tha

rasm-e-duniyā to kisī taur nibhāte jaao

dil nahīñ milte bhī to haath milāte jaao

rasm-e-duniya to kisi taur nibhate jao

dil nahin milte bhi to hath milate jao

zikr merā aa.egā mahfil meñ jab jab dosto

ro paḌeñge yaad kar ke yaar sab yaarī mirī

zikr mera aaega mahfil mein jab jab dosto

ro paDenge yaad kar ke yar sab yari meri

dil jalāo diye āñkhoñ ke darvāze par

vaqt se pahle to aate nahīñ aane vaale

dil jalao ya diye aankhon ke darwaze par

waqt se pahle to aate nahin aane wale

ik na ik roz rifāqat meñ badal jā.egī

dushmanī ko bhī salīqe se nibhāte jaao

ek na ek roz rifaqat mein badal jaegi

dushmani ko bhi saliqe se nibhate jao

tum sitāroñ ke bharose pe na baiThe rahnā

apnī tadbīr se taqdīr banāte jaao

tum sitaron ke bharose pe na baiThe rahna

apni tadbir se taqdir banate jao

dil ko samjhā leñ abhī se to munāsib hogā

ik na ik roz to va.ade se mukarnā hai use

dil ko samjha len abhi se to munasib hoga

ek na ek roz to wade se mukarna hai use

chalo ki ham bhī zamāne ke saath chalte haiñ

nahīñ badaltā zamāna to ham badalte haiñ

chalo ki hum bhi zamane ke sath chalte hain

nahin badalta zamana to hum badalte hain

na zikr gul kahīñ hai na māhtāb hai

tamām shahr meñ charchā tire shabāb hai

na zikr gul ka kahin hai na mahtab ka hai

tamam shahr mein charcha tere shabab ka hai

bhale laakh havāloñ ke saath kahte haiñ

magar vo sirf kitāboñ baat kahte haiñ

bhale hi lakh hawalon ke sath kahte hain

magar wo sirf kitabon ki baat kahte hain

'sadā' ke paas hai duniyā tajraba vaa.iz

tumhārī baat meñ bas falsafa kitāb hai

'sada' ke pas hai duniya ka tajraba waiz

tumhaari baat mein bas falsafa kitab ka hai

vo to ḳhushbū hai har ik samt bikharnā hai use

dil ko kyuuñ zid hai ki āġhosh meñ bharnā hai use

wo to KHushbu hai har ek samt bikharna hai use

dil ko kyun zid hai ki aaghosh mein bharna hai use

kaun aa.egā bhuul kar rasta

dil ko kyuuñ zid hai ghar sajāne

kaun aaega bhul kar rasta

dil ko kyun zid hai ghar sajaane ki

ujālā 'ilm phailā to hai chāroñ taraf yaaro

basīrat aadmī kuchh magar kam hotī jaatī hai

ujala 'ilm ka phaila to hai chaaron taraf yaro

basirat aadmi ki kuchh magar kam hoti jati hai

chuum luuñ maiñ varaq varaq us

tere chehre se jo kitāb mile

chum lun main waraq waraq us ka

tere chehre se jo kitab mile

hameñ na raas zamāne mahfileñ aa.ī

chalo ki chhoḌ ke ab is jahāñ ko chalte haiñ

hamein na ras zamane ki mahfilen aai

chalo ki chhoD ke ab is jahan ko chalte hain

unheñ na toliye tahzīb ke tarāzū meñ

gharoñ meñ un ke na chūlhe na diip jalte haiñ

unhen na toliye tahzib ke taraazu mein

gharon mein un ke na chulhe na dip jalte hain

log kahte haiñ dil lagānā jise

rog vo bhī lagā ke dekh liyā

log kahte hain dil lagana jise

rog wo bhi laga ke dekh liya

maut god meñ jab tak nahīñ so jaatā

'sadā' chain se hargiz nahīñ sone vaalā

maut ki god mein jab tak nahin tu so jata

tu 'sada' chain se hargiz nahin sone wala

chaman meñ ḳhushk-sālī par hai ḳhush sayyād ki ab ḳhud

parinde peT ḳhātir asīr-e-dām hote haiñ

chaman mein KHushk-sali par hai KHush sayyaad ki ab KHud

parinde peT ki KHatir asir-e-dam hote hain

mar-mar ke ji.eñ kis liye bande tire maulā

jiinā bhī zarā maut āsān banā de

mar-mar ke jien kis liye bande tere maula

jina bhi zara maut sa aasan bana de

jinheñ ham bulbulā paanī dikhte haiñ kaho un se

nazar ho dekhne vaalī to bahr-e-be-karāñ ham haiñ

jinhen hum bulbula pani ka dikhte hain kaho un se

nazar ho dekhne wali to bahr-e-be-karan hum hain

ashk āñkhoñ se mirī nikle musalsal lekin

us ne ik harf-e-tasallī na nikālā lab se

ashk aankhon se meri nikle musalsal lekin

us ne ek harf-e-tasalli na nikala lab se

DhūñD aflāk na.e aur zamīneñ bhī na.ī

ho ġhazal tirī har she'r nayā harf-ba-harf

DhunD aflak nae aur zaminen bhi nai

ho ghazal ka teri har she'r naya harf-ba-harf

apnī āñkhoñ bad-nasībī haa.e

ik na ik roz hādisa dekhā

apni aankhon ki bad-nasibi hae

ek na ek roz hadisa dekha

chhīn lenā yā-ḳhudā mujh se mire lauh-o-qalam

gar zavāl aa.e mire ash.ār ke me.aar meñ

chhin lena ya-KHuda mujh se mere lauh-o-qalam

gar zawal aae mere ashaar ke mear mein

kitnā sochā thā dil lagā.eñge

sochte sochte hayāt huī

kitna socha tha dil lagaenge

sochte sochte hayat hui

sher meñ saath ravānī ke ma.ānī bhī to bhar

ai 'sadā' qaid kuuze meñ samundar kar de

sher mein sath rawani ke maani bhi to bhar

ai 'sada' qaid tu kuze mein samundar kar de

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now