aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1993 | Aligarh, India
One of the new generation of poets, known for writing verses filled with thought and emotion; with his first poetry collection now published
ab to ḳhvāhish bhī yahī hai ki hamāre hisse
hijr aayā hai faqat hijr hī aatā jaa.e
ab to KHwahish bhi yahi hai ki hamare hisse
hijr aaya hai faqat hijr hi aata jae
ek ḳhitte meñ rahā pyaas kā 'ālam barpā
ek ḳhitte meñ bahut TuuT ke barsā paanī
ek KHitte mein raha pyas ka 'alam barpa
ek KHitte mein bahut TuT ke barsa pani
maiñ tishna-labī par bhī rahā ḳhush ki mirā zarf
ḳhālī hai magar soch se logoñ kī baḌā hai
main tishna-labi par bhi raha KHush ki mera zarf
KHali hai magar soch se logon ki baDa hai
mauj-e-dariyā kā koī ḳhauf nahīñ hai lekin
haiñ tabī'at pe girāñ-bār kināre is ke
mauj-e-dariya ka koi KHauf nahin hai lekin
hain tabi'at pe giran-bar kinare is ke
tum ko jiine ke bhī aate nahīñ atvār magar
ham ko marne ke bhī me'yār samajh aate haiñ
tum ko jine ke bhi aate nahin atwar magar
hum ko marne ke bhi me'yar samajh aate hain
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books